Chapter 1

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

[The car halted in front of the Oberoi mansion, and Om and Rudra hopped off the car, while Gauri silently followed them.]

Gauri: (To herself) Vikram ka ghar itna bada hai? Isliye unke maa baap raaji nahi the! Kahaan ee mahal, aur kahaan humaara jhopda!

[Om, Rudra and Gauri entered the Oberoi mansion, and Anika rushed to the door, yearning to meet her friend.]

*At the Oberoi mansion*

Anika: Arre dekho aa gaye woh...Yeh kaun hai?!

Gauri: (To Om) Aapka naam bunty hai?

Anika: (Confused) Bunty?

Shivaay: Kya hua Anika...yeh kaun hai?

Dadi: (Shocked) Hey bhagwaan! Om! Tu kya kaand kar ke aaya hai!

Om: Kaand? Dadi, kya bol rahi hai aap!

Dadi: Rudra, tune hi kuch kiya hai na? Hey bhagwaan!

Rudra: Arre dadi, itna drama kyun kar rahe ho?! Maine kuch nahi kiya hai!

Gauri: (Confused, looking at Om) Accha toh bunty, Vikram kaha hai?

Anika: Ab yeh Vikram kaun hai?!

Gauri: Arre bunty, Didi ko bata Vikram kaun hai!

Om: Arre kisse bunty bula rahi ho?!

Gauri: Aapko! Aap hi toh bunty ho! Jo taxi chalaate Hai!

[Rudra immediately burst out laughing and almost collapsed on the floor, unable to control his laughter.

The whole family looked at each other in confusion.

What the hell was going on?!]

Shivaay:(Slapping his forehead) Ab Rudra ko Kya ho gaya hai?! Rudy, uth!

Rudra: (Laughing) Isliye kaha tha O, ki apna fashion sense badal! Isne toh Tujhe taxi driver samajh liya!

Om: (Annoyed) Shut up Rudra!

Gauri: (Confused) Samajh liya Matlab? Ee bunty nahi hai ka?!

Om: Arre, kaun bunty, kaisa bunty?! Yahaan par koi bunty nahi hai!

Gauri: Ek jhaanp mein deewar pe satt jaaye be! Vikram ko bulao phir! Hum unse baat karenge!

Om: Ajeeb ladki ho! Yahaan koi Vikram nahi rehta! Yeh Oberoi mansion hai! Na koi Vikram Hai, na koi bunty!

Gauri: (Shocked) Ka?! Toh phir aap Hume yahaan lekar kahe aaye hai?!

Om: Hume laga tum Anika bhabhi ki bacchpan ki dost ho!

Shivaay: Aisi bewakoof tum Aur Rudra hi kar sakte ho! Arre Anika ki dost dulhan ke libaaz mein kyun hogi?

Om: Wahi toh Maine kaha tha! Phir Rudy ne kaha ki woh Anika bhabhi ki tarah dramatic hogi, isliye dulhan ke libaaz mein hogi!

Dadi: Hey bhagwaan!

Shivaay: Tum aur Rudy, dono pagal ho gaye ho! Ab iss ladki ka Kya karna hai?!

[The whole family engaged themselves in a huge argument, and afraid Gauri slowly walked away and sat on the chair, trying to get a grip of herself.

If this wasn't Vikram's house then where was she?

Who were these people?

Where was Vikram? Her Vikram?

Anika and Dadi immediately noticed Gauri sitting in the corner, in fear and rushed towards her side and sat besides her.

Soon enough, the argument fizzled down and everyone stood around Gauri, as she narrated her story.]

Dadi: (To Gauri) Puttar, tu kaun hai? Tumhaara naam Kya hai? Tumhaara ghar kaha hai, Aur tum yeh dulhan ke libaaz mein kyun ho?

Gauri: (Scared) H-h-Humaara naam Gauri Hai. Gauri Kumari Sharma. Hum Bareilly ke rehne waale hai, aur kuch ghante pehle apne shaadi se bhaagkar Mumbai aaye hai, Vikram se shaadi karne.

Om: Vikram kaun hai?

Gauri: Woh jisse hum pyaar Karte Hai. Hum bacchpan ke dost hua Karte the, aur jaise jaise bade ho gaye, Waise Waise dosti pyaar mein badal gayi.

5 Saal pehle unka khaandaan bahut ameer ho gaya, Aur woh yahaan Mumbai mein rehne lage.

Lekin Unke parivaar aur mere parivaar ke beech bahut dushmani hai, Aur isliye hum ek dusre se shaadi nahi kar paaye. Humse jabardasti shaadi karwa rahe the, aur phir Vikram aur Maine tay kiya ki hum bhaag kar shaadi karenge

Om: Toh Vikram Hai Kahaan?

Gauri: (Tearing up) Wahi toh Hume nahi pata! Pata nahi iss bade sheher mein kaise dhoondenge unhe! Kuch samajh nahi aa raha! Aisi phasi hoon ki waapis Bareilly chali bhi gayi, toh woh log mere tukde-tukde kar denge!

Rudra: Accha aapke paas Vikram ka number toh hoga? Ya address?

Gauri: Number...N-Nahi, Vikram ne kaha tha ki mujhe ghar pe phone chod dena chahiye taaki mere ghar waale kabhi mujhe dhoond na paaye!

Dadi: Puttar, tere ghar waale itne pareshaan honge na? Itne dukh mein honge!

Gauri: Nahi Dadi, humaare gharwaale sirf Hume bech rahe the! Aur jiss shaks se humaari shaadi ho rahi thi, woh umar mein 25 Saal bada Hai! Bass humse chutkaara paana chah rahe the!

Shivaay: Accha...Tumhe Vikram ka last name pata hai?

Gauri: Unka pura naam Vikram Pandey Hai, Lekin iss sheher mein unhone alag naam rakha hai, taaki kissi ko shakh na ho ki hum Vikram ke saath hai

Om: Wow! Kya planning ki Hai! Lekin tumhaare ghar ke log? Unka Kya? Tumhaari maa? Tumhe nahi lagta tumne bewakoofi ki Hai?

Gauri: Hume nahi pata hai! Hume bass ee pata hai ki pyaar mein na koi bewakoofi hoti hai, na koi galti. Hume bhi khush rehne ka haq hai!

Shivaay: Accha O, relax! Gauri, Mumbai ki abaadi bahut badi Hai! Aise mein Vikram koi dhoondna itna mushkil hoga! Saal lag jaayenge! Tumhe uss ke baare mein aur kuch yaad Hai?

Gauri: Ek baat pata hai ki unka textile ka karobaar hai, bass!

Om: Iss information se kuch nahi milega! Arre iss sheher mein itne saare textile businesses hai!

Dadi: Accha shaant ho ja! Itna gussa kyun kar raha Hai?!

Gauri: (Getting up) Dekhiye, taqleef ke liye maafi chahte hai. Hume jaana chahiye

Anika: (Holding Gauri's hand) Ruko! Kahaan jaa rahi ho?

Gauri: Waapis Station mein, shaayad bunty waha Humaara intezaar kar raha hoga

Shivaay: (Looking at his watch) Raat ke 1 bajj gaye hai, Sab kuch bandh hoga. Iss waqt jaane ka koi Matlab nahi banta

Rudra: Toh phir Kya karein? Kaise milega Vikram?

Shivaay: Jab tak Vikram nahi milta, tab tak Gauri issi ghar mein rahegi. Yeh humaari zimmedaari hai

Pinky: Oh my mata, Shivaay! Kissi anjaan ladki ko aise ghar mein entry nahi dete! Especially jab kissi village ki ho!

Shivaay: Mom, kaisi baatein kar rahi hai aap? Gauri issi ghar mein rahegi

Gauri: Nahi bhaiyya, hum khud jaayenge. Bunty station par hi hoga, hum bata rahe Hai! Humaara dil keh raha hai! Hum chalte hai, dhanyawaad---

Shivaay: Accha Tumhaari tassali ke liye, Om Tumhe Station le jaayega, Lekin agar woh bunty nahi mila, toh tum Om ke saath ghar waapis aaogi, theek hai?

Om: (Annoyed) Main kyun jaaon? Rudy, tu ja!

Gauri: Koi baat nahi, hum rickshaw le lenge

Dadi: Om, chup chaap Gauri ko le ja!

[Gauri silently followed Om, and sat in the car, as he drove along towards the railway station.

Om was annoyed by her presence.

Annoyed because he thought she was selfish for deceiving her family.

Gauri, on the other hand, hated how rude Om was to her, and simply couldn't stand him.]

*In the car*

Gauri: Aur kitna waqt lagega?

Om: Main bhagwaan nahi hoon! Mujhe Kya pata!

Gauri: Aapka dimaag kharab ho gaya Hai ka? Matlab hume jaante bhi nahi Hai, Aur iss lehje mein baat kar rahe hai!

Om: Shukar Hai tum jaisi khudgarz ladki ko nahi jaanta! Jo kissi Aur ke liye, apne hi parivaar ko dhoka de rahi hai!

Gauri: Dekhiye, aap humaare baare mein kuch nahi jaante! Bhalai issi mein hogi ki aap zubaan par lagaam lagaayie!

Om: Main kuch jaanta bhi nahi chahta! Bhaagkar shaadi karna itni sharm ki baat hai, pata Hai?

Gauri: Arre humaari jindagi Hai! Humaara faisla Hai! Aap taang mat adaayie! Gaadi chalaayie Jaldi, Hume bunty se Milna Hai!

[A few minutes later, the car stopped at the railway station, and Gauri immediately stepped out, whilst trying her best to not trip because of her heavy lehenga.

The station was deserted and completely empty, and Gauri walked around, while screaming for bunty's name.]

Gauri: (Screaming) Bunty! Bunty! Hum hai! Gauri!

[But Gauri's screams didn't help.

No one responded.

Gauri immediately collapsed on the floor, crying her heart out at what her life had now come to.

She left her family, left Bareilly and risked her life to come to Mumbai, but fate played such a sick joke on her.

She wanted Vikram by her side.

She left everything just for Vikram.

Where was Vikram? Would she ever find Vikram?

Gauri slowly wiped her tears and slowly got up, despite wearing a heavy lehenga. But her tired feet quickly gave up and she lost her balance and almost fell face first, on the hard ground, until she felt someone's arms catch her.

She looked up to find herself in Om's arms, as he carefully secured her in his arms.

Gauri slowly got up and walked towards the car, before Om and Gauri drove back home.]

*At the Oberoi mansion*

Om: Kona-Kona chaan Mara, lekin wahaan par koi nahi tha

Gauri: (Crying) Hume samajh nahi aa raha ki ab hum ka karenge? Kahaan dhoondenge Vikram ko? Ka hoga Humaara?

Om: Yeh sab ghar se bhagne se pehle sochna chahiye tha! Kisne kaha tumse ki bhaag kar shaadi karne ka idea accha hai?!

Shivaay: Enough! O, calm down! Gauri, tum tension mat lo, hum Vikram ko dhoondenge! Usse apni dulhania se milwaayenge!

Dadi: Accha bacchon, ab Sab so jao. Anika, Gauri ko kamra dikha de, Aur kuch kapde bhi

[Anika took Gauri to a room and gave her some clothes.

Gauri felt incredibly awkward at the Oberoi mansion.

How could she just stay here? She was an unwanted guest!

After helping Gauri settle, Anika returned to her room, and found Shivaay pacing up and down the room.]

*In Shivaay and Anika's room*

Anika: Shivaay, aap toh kissi par bhi bharosa karne se pehle hazaar baar sochte hai! Phir iss Gauri par vishwaas? Woh bhi itni Jaldi?

Shivaay: Mujhe Priyanka ki yaad dila rahi thi, Anika. Wahi Hansi, wahi nazaakat. Mujhe pata Hai woh sach keh rahi Hai, uski aankhon mein dekha Hai. Pata nahi kyun, Lekin mujhe lagta hai ki yeh humaare family ka bahut eham hissa banegi!

Anika: Woh Sab toh theek hai, Shivaay, lekin Vikram ko dhoondenge kaise?

Shivaay: Anika, iss duniya ka koi kaam nahi hai jo Shivaay Singh Oberoi nahi kar sakta! Vikram milega! Aur hum khud Gauri ka haath, uske haath mein rakhenge!

-------------------
I know a lot of were extremely excited about this book. So, here is the first chapter! I hope you guys liked it!

This book is very different from TTDATJ!

Thank you for reading! Please vote if you liked it!

-Chandni ❤️

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro