Chapter 4

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

*The next day*

Gauri: (To Shivaay) Bhaiyya, police commissioner ka phone aaya? Koi khabar mili?

Shivaay: Nahi, Gauri. Apparently Mumbai ke records mein Vikram Pandey naam ke bahut saare aadmi hai, lekin uski tasveer humaare tasveer se nahi mil rahi

Gauri: Toh ab?

Shivaay: Ab Hume bass intezaar karna hoga. Gauri, Vikram ke koi rishtedaar honge na? Bareilly mein? Unse Vikram ka pataa pooch sakti ho?

Gauri: Agar pooch paate toh jaroor pochte, Lekin jaise hi woh humaari awaaj sunenge, phone kaat denge. Bahut nafrat Karte Hai humse!

Anika: Toh kyun na hum unka pappu banaakar Vikram ka pataa jaan lein?

Gauri: (Confused) Pappu? Matlab?

Anika: Matlab ki main unhe phone karke yeh kahungi ki main income tax ki officer hoon, aur phir Vikram ka ataa-pataa pooch lungi!

Rudra: Kya baat hai bhabhi!

Gauri: Idea accha hai lekin...

Anika: Lekin?

Gauri: Humaare paas Vikram ke gharwaalo ka number nahi hai

Shivaay: Oh god! Ab kya?

Gauri: Wahi toh Hume samajh nahi aa raha!

Shivaay: Main commissioner sahib se kahunga ki woh Mumbai ke har police station ko alert karein, Vikram ka pata Milna chahiye, woh bhi bahut jald

Gauri: Ji, theek hai.

Shivaay: Accha, Mujhe office ke liye nikalna hai, excuse me! Gauri, kuch bhi ho, mujhe call karna, theek hai?

Gauri: Ji bhaiyya

*Shivaay leaves*

Anika: Gauri, main abhi aati hoon, Dadi bula rahi hai

Gauri: Ji didi, aap jaayie, hum Vikram ko dhoondne ke liye nikal jaate hai

Anika: Accha ruko, main driver saath bhejungi

Gauri: Arre nahi Didi, hum rickshaw se chale jaayenge, aap kyun khamakha taqleef le rahi hai?

Anika: Arre, issme taqleef ki Kya baat hai? Ruko main driver ko---

Om: (Interrupting Anika) Bhabhi mainGauri ke saath chalunga

Gauri: (Confused) Ji?

Anika: Accha theek hai!

[As Anika left, Gauri looked at Om in a confused manner.

What suddenly happened to him?

Why was he so willing to help Gauri, out of the blue? ]

Om: (Looking at Gauri) Tumhe taiyaar nahi hona Hai Kya?

Gauri: Taiyaar? Kiss liye?

Om: Vikram ko dhoondne! Main gaadi mein tumhara intezaar kar raha hoon, Jaldi aa jaana

*Om leaves*

Gauri: (To herself) Inhe achaanak se ka ho gaya hai? Khair, Tujhe Kya? Tujhe toh sirf Vikram ko dhoondna Hai!

[Gauri quickly changed and headed downstairs, before walking towards the car and sitting inside.

As she sat inside, Om pulled out a huge sheet of paper and opened it.]

Gauri: (Confused) Ee ka hai?

Om: Maine yeh kal raat banaya tha. Iss map mein hum woh jagah mark karenge, jahaan hum gaye hai, taaki Vikram tak asaani se pahunch sake. For starters, I think Hume waapis railway station ke paas jaana chahiye, shaayad wahaan bunty ka kuch pata ho? Jab bunty mil jaayega tab Vikram asaani se---

Gauri: (Shocked) Ka ho gaya hai aapko? Achaanak humaari madad kyun karna chah rahe Hai?

Om: Kya Matlab?

Gauri: Matlab kal tak toh humaare baare mein anaap-shanaap bakk rahe the; aur ab achaanak humaari madad karna chahte hai? Ka hua?

Om: (Looking away) Kuch bhi toh nahi...

Gauri: Aap humse nazarein kyun chupa rahe Hai?

Om: Dekho...I'm sorry

Gauri: (Confused) Hum kuch samjhe nahi...

Om: (Apologetic) umhaare baare mein kuch jaane bina galat raay bana di thi...I...Mujhe bahut bura lag raha hai...Maine tumhaare saath bahut badtameezi ki, I'm sorry

Gauri: (Surprised) Ek din mein itna badlaav? Aisa ka jaan liya aapne?

Om: Woh...Kal raat maine tumhaari aur bhabhi ki baat sunn li thi aur---

Gauri: Aap kaana-foosi kar rahe the?

Om: Nahi, main tumhaare room se guar raha tha aur tumhaari awaaz aayi toh...

Gauri: (Looking away) Toh isliye maafi maang rahe hai?

Om: (Adorably) Nahi...Main sach mein maafi maang raha hoon...Maine jo kuch bhi kaha, uske liye I'm sorry

Gauri: Koi baat nahi...kar diya maaf

[It was quite shocking.

How both of them immediately turned a new leaf, in just 5 minutes.

Just yesterday, they couldn't look eye to eye, but now, they just started being civil to one another!]

Om: Accha, tumne kabhi bunty ko pehle dekha hai? Woh shakal se kaise dikhta hai?

Gauri: Nahi...Bunty toh Mumbai ka hi hai, isliye hum kabhi usse mile hi nahi

Om: Accha, tumne kaha tha ki woh taxi driver hai na?

Gauri: Haan...lekin kaunsi taxi chalaata hai, o nahi pata

Om: Accha chalo usse kuch mil jaayein!

[The car halted in front of the railway station and Om and Gauri immediately hopped off ready to focus on their mission.]

*At the railway station*

Gauri: (To a shopkeeper) Bhaisaab, yahaan par taxi kaha milega?

Shopkeeper: Uss taraf behen! Wahaan par saare taxi waale apni gaadi khade karte hai

Gauri: Ji, dhanyawaad!

[Om and Gauri walked towards the taxi stand, where several taxis were parked.]

*At the taxi stand*

Gauri: (To a taxi driver) Bhaiyya, yahaan par bunty naam ka driver hai ka?

Taxi driver: Bunty? Naam suna suna sa lag raha hai, ek minute!

Kumar! Yahaan aa zara!

Kumar: Kya hua?

Taxi driver: Yeh bunty ke baare mein pooch rahi hai, tune woh naam kahi suna hai kya?

Kumar: Bunty? Haan! Arre woh toh yehi hai!

Gauri: (Shocked) Ka?! Kahaan? Hume unse milna hai, abhi!

Kumar: Accha rukiye, rukiye. Bunty! Bunty! Iss taraf!

[As Bunty came, Gauri rushed towards him to introduce herself.]

Gauri: Bunty! Hum Gauri! Yaad hai? Hum 4 din pehle Bareilly se aaye the? Vikram ke liye?

Bunty: (Confused) Ji? Aapko shaayad galat faimi hui hai

Gauri: Galat faimi? Nahi, nahi! Hum Gauri hai! Gauri Kumari Sharma! Vikram ne aapko humaare baare mein bataaya hoga!

Bunty: Dekhiye madam, na main kissi Vikram ko jaanta hoon, aur na toh maine kabhi aapka naam suna hai. Iss sheher mein bahut saare bunty hai, aapko zaroor galat faimi hui hai!

Gauri: (Frustrated) Arre aise kaise galat faimi hui hai! Hume pata hai ki aap bunty hai! Arre humaare Vikram ke dost bunty! woh bhi taxi chalaata hai, aur 4 din pehle, issi station par aane waale the, hume vikram ke paas le jaane! Sach bataayie, aap wohi bunty hai na?

Bunty: (Irritated) Arre ajeeb zabardasti hai! Jab main aapse keh raha hoon ki main woh bunty nahi hoon, jisski aapko talaash hai, aapko meri baat samajh kyun nahi aa rahi?

Gauri: (Frustrated) Kyun ki hume pata hai ki aap jhoot bol rahe hai! Hume Vikram ke paas le jaayie, haath jod rahe hai!

[Gauri began crying and pleaded in front of Bunty, who was getting more and more irritated. Om, who was standing behind immediately came forward and caught Gauri by the shoulders, before she collapsed on the ground.]

Bunty: (To Om) Aap samajhdaar lag rahe hai, isliye aapse keh rahe ki please inhe samjhaayie ki jiss Bunty ki unko talaash hai, woh main nahi hoon

Om: Ji, pareshaani ke liye maaf kijiye, aap jaa sakte hai

Gauri: (To Om) Aap unhe jaane kyun de rahe hai?! Hum bata rahe hai ki woh Bunty hai! Woh jaanta hai ki Vikram kahaan par hai!

Om: (Consoling Gauri) Gauri, utho, woh bunty nahi hai, chalo

[Gauri's shoulders slipped off his hands as she collapsed on the floor and began wailing uncontrollably and erratically.

She was frustrated and beyond tired.

It had been 4 days.

4 long days without Vikram.

Her Vikram.

Why was god playing this game with her? She had sacrificed her everything just so she could spend the rest of her life with the man she truly loved, Vikram.

Seeing her cry, Om slowly crouched down behind her and placed his arms over her shoulders, trying to console her. Gauri slightly turned and held on to his arm, before crying endlessly.

Om had no idea how to react. He had never done this before.

He had never been so proximal with a girl, let alone place his hands on her shoulders!

As she cried, he slowly placed a hand on his head, to calm her down.

Om was unusually surprised.

How could you love someone so much?

How could Gauri love Vikram so much that even his absence made her so weak and feeble?

Om had never fallen in love before, and to him, this was completely new and unusual.]

Gauri: (Crying) 4 din ho gaye hai! 4 din! Pata nahi hume Vikram milega bhi nahi! Kahaan jaayenge? Ghar bhi toh nahi jaa sakte!

Om: Vikram milega, Gauri! Tum himmat nahi haar sakti! Vikram bhi toh issi haal mein hoga, na? Vikram bahut jald milega, Gauri, bahut jald!

Gauri: (Crying) Pata nahi shankarji ne humaari qismat mein Vikram ka saath likha hai bhi ya nahi!

Om: Gauri, aisi baatein mat karo. Chalo, utho, hume aur bhi kahi jaana hai, Vikram ko dhoondne

Gauri: (Emotionless) Hume ghar jaana hai

Om: Kya? Kyun?

Gauri: Bass, jaana hai

Om: Theek hai, hum ghar chalenge, chalo

Gauri: (Getting up) Nahi, hum yahaan ki baat nahi kar rahe hai. Hume ghar jaana hai, Bareilly.

Om: What? Kyun?

Gauri:(Crying) Hume jaana hai!

Om: Gauri, tum Bareilly chali gayi toh woh log tumhe maar denge!

Gauri: (Crying) Toh ab kaunsa zinda hai, hum?! Hum waapis jaayenge, uss buddhe se shaadi karke zindagi kaat lenge!

Om: Tum Bareilly nahi jaoogi! Sirf 4 din hue hai, aur itni jaldi haar maan gayi?

Gauri: Toh ka karein?! Vikram ka koi ataa pataa nahi mil raha, aur yahaan reh rahein hai toh sirf bojh bankar! Hume Bareilly jaana hi padega!

[As Gauri tried walking away, Om brought her close, holding her by the shoulders, and looked deeply into her eyes.

He had never looked someones eyes before, but somehow, Gauri's eyes drew him in.

Her red and teary eyes spoke to him.]

Om: Tum bojh nahi ho, samjhi? Main vaada karta hoon ki main Vikram ko dhoond nikalunga! Aur uska haath tumhaare haath mein rakhunga!

Gauri: (Crying)

Om: Chalo, ghar chalo ab

[Gauri's feeble legs got weak and she almost fell as walked, until Om grabbed her and carried her in his arms.

Gauri was taken aback by Om's nature.

How was he so caring and nice? They just met 4 days ago (with an incredibly rough start) and despite that, he made her a huge promise.

A promise to find Vikram.

At that moment, Gauri was beginning to understand the man Om was, and she was slowly beginning to appreciate him.]


------------------------

New update! I hope you guys liked it!

If you guys dont already know, I have another book called Ae dil hai mushkil (which is also a RiKara fanfic) so please do read it and give it tons of love!!

Thank you!!



Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro