2~Apology

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Much time had passed by since the principal got warden's message which was sent to her by Naivedhi and Tara. She kept on calling on her phone but the phone was switched off.

"Ye warden bhi na, kuchh derr ka bol kar itni derr ke liye chali gayi, aur ab phone bhi band hai. Haan, let me guess, jaane se pehle woh mujh se Tara aur Naivedhi ke room ki master key le gayi thi, us ke baad return kiye bagair he chali gayi, how can she be so irresponsible? Nahi, woh itni irresponsible nahi hai, woh dono shaitaan larkiyaan Naivedhi aur Tara ke paas gayi thi woh, kaheen un dono ki koi shaitaani na ho. Master key toh hai nahi, I will call the key maker and get the key. Woh dono ghoray gaddhay bech kar so rahay hongay, unhay khabar tak nahi ho gi."

She dialed the key maker's number calling him to the hostel and took him outside Naivedhi and Tara's room. He made the key, she checked whether its working or not and when it worked, she paid him, he went and she opened the door to their room. She sighed to see them still sleeping. It was 3 in the afternoon.

"Tara! Naivedhi!"

She called out and they didn't even stir in their sleep. She grunted and then heard muffled sounds and followed them and bent to see under the bed. She saw Alia the warden tied and gasped. She pulled her out and untied her.

"Alia? Tumhe yahan in dono ne baandha? Aur woh message bhi in dono ne kiya?"

A~jee Nyonika ma'am, ye in dono ne kiya, kab se yahan bandhi hui hoon, itna kass ke baandha ke khol he nahi paayi khud ko

Nyo~ab bas ab hum ne bohat bardaasht kiya in dono brats ko, ab ya toh ye dono sudhar jaaein ya toh phir yahan se bahar ho jaaein.

She saw the water jug empty and went to the washroom filling it with water and came out splashing the water first on Naivedhi and then on Tara. They sat up immediately as it happened for the second time that day.

T~uhhh what the hell? Chain se sonay bhi nahi detay

She rubbed her eyes and then saw Nyonika along with Alia and grew tensed.

N~(while rubbing her eyes) ye hostel nahi jail ho jaise Tara, (she opened her eyes and got shocked seeing Alia and Nyonika, she and Tara both exchanged tensed glances) Alia ma'am, Nyonika ma'am

Nyo~don't you Alia ma'am Nyonika ma'am us you both brats, utho bistar se, subah nahi dopeher ho gayi

N~(while panting a little) mamu? (Tara chuckled) Haan subah ho gayi mamu, dekh Tara subah ho gayi, chanda mama so gaye suraj chachu jaagay

Tara laughed.

Nyo: shut up! (Tara grew quiet and placed finger on her lips, Naivedhi looked down) what is this way? Koi comedy chal rahi hai? Subah uth'tay nahi ho raat ko sotay nahi ho, itna he freedom chahiye toh baandho apna boriya bistra aur niklo yahan se, understood!

T~ma'am, aap koi principal nahi tv serial ki saas ho gayi, aisi baatein toh saasein karti hain, hai na Naivedhi?

Naivedhi pressed her lips inside to stop her laughter.

Nyo: shut up! Tum log yahan hostel mein kiun ho? Hostel ko kya hotel samajh rakha hai? Parhtay warhtay ho nahi, party animals ho, raat raat bhar shor kartay ho, dimag kharab kar ke rakha hai, aaj toh hadh he kar di. Warden ko itne wakt baandh ke rakha, keeping someone captivated is punishable by law.

T~ma'am, woh hostel se bahar toh thi nahi, humare saath thi, aap toh aisay keh rahay ho jaise hum ne gundo'n se kidnap karwaya ho jaise unhein

Nyo~still, itne wakt tak rakha, bhooka pyaasa, severe thirst and hunger can result in death, isay kuchh ho jaata phir? Kal ko tum log gundo'n se bhi haath mila ke gunda gardi kar saktay ho. Naivedhi, (she looked up at Nyonika) and you too Tara, 2 options hain tum dono ke paas. Ya toh hostel mein sukoon se doosro'n ki tarha raho, parhai likhaai sona uthna sab time se karo only after you both write an apology letter, warna abhi main tum log ke guardians ko call kar ke yahan personally bulaati hoon tum log yahan se jao, soch lo, bula loon tum log ke ghar se tum log ke guardians ko? Tum log toh ho beizatti ke laayak, maa baap aisay nahi hotay jo sikhaate nahi lekin bachay zaroor aisay hotay hain jo seekhte nahi, woh laayak nahi beizati ke. I am calling them kiun ke mujhe toh nahi lagta ke tum log apology letter likho gay, saath he is college se bhi niklo gay aaj tum log. Humari college aur hostel, dono ki ek reputation hai, humara kuchh nahi humein toh paise miltay hain haan magar tum log apnay maa baap ke paisay zaaya kartay ho. Aaj chahay jo bhi ho, m calling them and getting you both out of here. Phir chahay jaise raho we don't care.

The duo left from there. As soon as the door closed, they looked at each other.

N~aeyy sun na, yahan se nahi jaana yaar, ghar nahi jaana, saara freedom chhin jaaye ga

T~hmm toh kya karein? Likh dein apology letter?

N~sure sure

They wrote an apology letter trying their best to make it sound convincing and rushed to the principal's office but little did they know that now it was too late as Nyonika had already called Malti, Naivedhi's aunt and also Jigar and Rashi, Tara's parents. They knocked over the door and was allowed inside and was met with a shocking sight. Malti, Jigar and Rashi all were present there. Malti stood up and came to Naivedhi and pulled her ear.

M~aakhir kiun haan? Kiun kiya ye? Is din ke liye bara kiya tha kya tujhe? Ye parvarish di thi kya maine tujhe?

N~chachi I am sorry, please... Main apology letter likh chuki, main wohi denay aayi thi

She gave it to Nyonika and Tara too did the same.

J~ab ye sab se kya faida ho ga Tara? Tum aisi kaise ho sakti ho haan? Itna nuisance?

R~this is beyond limits. Kiun dalwaya hai is ko hum ne college mein jab isay parhna nahi hai aur yahi sab karna hai toh?

T~mumma papa, aap dono na rarely attention detay ho mujhe, mere liye time hai aap dono ke paas? Papa humesha office mein lagay rehte hain aur mumma aap humesha ghar ke kaamo'n mein. Mujhe humesha se he nuisance karni pari hai sirf isliye ke aap dono ki thori attention mujhe milay. Aap dono superstitious ho, ghar se bahar bhi jaane nahi detay, na akelay aur na friends ke saath, ke jawaan larki hai, ye ho jaaye ga woh ho jaaye ga, bahar jaaye gi toh bas parents ke saath ya phir husband ke saath jo ke haal filhaal hai bhi nahi.

R~haan toh beta waise he samjho tumhe yahan se toh nikaal he diya gaya hai, shahdi karwa dengay tumhari, aaj se larkay dekhne lagtay hain, phir jitna mann karay bahar jaana, haan lekin parhaai warhaai tumhare bas ki baat nahi.

Tara gasped.

J~bilkul theek kaha tumhari mumma ne.

M~Naivedhi, tujhe bhi toh yahan se nikaala ja raha hai na, yahi theek hai tere liye bhi

Both Tara and Naivedhi looked at each other tensely. Nyonika read their letters.

Nyo~kya hai ke abhi nahi nikaal rahi, aaj se kuchh din ka time hai in ke paas, agar mujhe changes dikhi toh woh yahan reh saktay hain, warna phir they can leave with you. Lekin tum dono ko na aaj ki ijazat hai ke tum log zara apnay guardian parents whatever, thora time spend karo in ke saath, thori baat cheet karo, sort this out with them, baaki mere saath sab sorted hai, saath mein warden ke saath bhi sort out karo

They all left the cabin. Rashi, Jigar, Malti walked further meanwhile Naivedhi and Tara walked behind.

N~(whispering to Tara) yaar hum toh nahi he sudharne walay, matlab yahan se nikalna tayy hai, aur phir ye log meri shahdi kara dengay, shahdi ek rukawat hai freedom mein. Is mein teri galti hai, kiun topic nikaala yaar ye?

T~(whispering back) aray toh ye waise he jail lagti hai jab subah uthaya jaata hai, is jail se ghar achha he hai. Lekin hum ko koi kahani banani ho gi, like boyfriend ki, jis se shahdi tal sakay.


As they reached garden, Malti and Naivedhi sat together on one bench meanwhile Jigar, Rashi and Tara sat together on other bench, both girls thinking hard on what to say.


Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro