5~Officially Boyfriend Girlfriend

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

The duo woke up only the other day by Tara and Naivedhi's phones ringing.

N~uff, kya museebat hai yaar, pehle alarm clocks aur ab ye phone.. Oye Tara, dekh tera bhi phone baj raha hai

T~hain? (she opened her eyes and picked her phone to see the alarm ringing which she snoozed throughout the night, she sat up) baap re!

N~kya hua?

T~maine Deep se kaha tha ke woh jo naatak kar raha hai, us ke badle kiss usay poore college ke saamne kal he mil jaaye gi break mein, lekin yaar, dekh hum toh so gaye

N~koi nahi, ab kiss kar diyo na, (Tara sighed) oh phone ab tak baj raha hai, wait uthati hoon, (she picked the phone) hallo

"Sweetheart."

N~kya? Kaun ho tum?

"Tumhara boyfriend aur kaun?"

N~aeyyy! Mera koi boyfriend shoyfriend nahi hai, hatt!

"Aakesh toh hai na lekin?"

Naivedhi got shocked and recalled last night where she got a letter by someone named Aakesh.

N~Aakesh? Yaar kya keh rahay ho? Main kisi Aakesh ko nahi jaanti

"Sweetheart, wohi Aakesh jis ne kal raat letter likha tha, bhool gayi? Naivedhi meri jaan... meri khubsurat si subah ka ugta suraj, shaam ke waqt ki thandi chaanv, purnima ki raat ka poora chaand, sab mere liye tum ho... main gehra tawaz tu sunehra savera, main jungle ghannera tu jugnu chamakta, musafir main bhatka tu mera basera, main sharbato'n ka rang, tu meethe ghaat ka paani... Main dhang chahaton ka, tu jaise koi nadaani, main ek musafir hoon, tum ek raah anjaani, Tu jo naam mera le, mere dil baag baag ho jaaye. Tu jo saamne ho toh, dil ki dhadkan tham si jaaye. Tu mera khwaab jis mein kho jaun main, tu woh chaanv jis mein so jaun main... tu woh nasha hai jo agar sarr charhay toh aasmano'n mein urr jaun main, is se pehle ke ye deewana aur deewana ho jaaye, isay yaad karte rehna aur aglay letter ki raah dekhte rehna, tab tak ke liye bye. Tumhara boyfriend...Aakesh. Yaad aya? Sweetheart?"

N~hawww, woh tum thay? Lekin ho kaun tum? Kya naam hai tumhara? Ye mazaak kiun kiya?

"Mera naam Aakesh hai, main tumhara boyfriend, aray bataya toh sahi."

N~dekho, ye jo tum mazaak kar rahay ho na, ye sahi nahi kar rahay ho, (Tara stood up and sat beside her looking at her with a questioning gaze, Naivedhi removed the phone from her ear and whispered) koi Aakesh hai, kal raat letter bhi isi ne likha, lekin isay kaisa pata?

T~phone de, (Naivedhi gave her the phone, she placed it on her ear) kya hai haan? Kaun ho tum? Kya subah subah mazaak soojh raha hai?

She heard a laughter on the phone.

"Aakesh ki rago'n mein mazaak ka em(M) tak nahi hai. Aur tum Tara, chalo phone Naivedhi ko do, mujhe us se baat karni thi, isliye maine usay call kiya."

T~tum ko humare naam bhi...

"Haan pata hai, bhy jab tum dono ko mera naam pata hai toh mujhe kiun nahi pata ho sakta tum dono ka naam? Chalo ab Naivedhi ko phone do."

T~(giving the phone to Naivedhi) tujh se baat karni hai isay toh... Tu kar, main chali, I will have to make it up to Deep, bechare ko latka kiya maine toh

She left to freshen up. Naivedhi placed the phone on her ear.

N~tum kaise Aakesh ho saktay ho? Dekho, maine toh...

"Pleeeease sweetheart, tum jaanti ho ke tum mere naam ka he boyfriend chahti ho, aray jaldi ho jaaye gi mulakaat, jab tak mere letters aur calls ki raah dekho, hmm, bye."

N~hallo, hallo Aakesh... Hallo... (call disconnected) ugghhh, kaun hai yaar ye, (Tara came out of washroom) yaar Tara, ye larka, keh raha hai mulakaat ho jaaye gi lekin tab tak calls aur letters se kaam chalao

T~toh chala le meri maa, main Deep ke paas ja rahi hoon

N~oye sun, main bhi chaloon gi, thora wait kar

She stood up and ran to washroom. Tara waited and wore her slippers till then. Naivedhi came out after sometime and the duo walked out of their rooms. The duo collided into Deep, he had an eye lock with Tara but then he looked away feeling irrittated and began to leave, Tara held his bicep stopping him.

T~I know main aai nahi, aray kuchh aur maslay mein phassi thi, sorry bubba, please maan jao

D~Tara mazaak ki bhi hadh hoti hai. Pehle boyfriend ke naatak ka bol kar apne parents ke aagay mujhe hone wala husband keh diya, aur phir kiss ka waada kar ke tum aai nahi

T~toh aaj ho jaaye ga, you want it na?

D~haan

T~waise Deep, (she got closer to him encircling his arms around her neck looking deeply in his eyes) do you like me? Sach batana, kiun ke first kiss special hoti hai aur special one ke liye he reserved hoti hai, toh please sach batana

D~sach kahoon toh... Haan, somewhat mujhe tumhara fun loving aur carefree nature humesha se pasand tha, main humesha tumhari tarha ban'na chahta tha, aur kaheen na kaheen tum mujhe achhi bhi lagti thi

T~oh? What do you mean by thi? Achhi nahi lagti ab?

D~lagti ho, (a smile slowly spread on his lips by their proximity, she also smiled) lekin yaar, mere jaise boring insaan ko tum kahan pasand karo gi?

T~toh maine tum se he kiun kaha ye naatak karne ko? Chalo is naatak ko sach kar detay hain na? You like me you said

D~what about you? Tum toh nahi karti

T~toh ye proximity kiun? I do like you

He smiled.

D~pakka tumhe aisay karna hai?

T~haan, karna hai

D~okay, lekin tum chhor gayi phir?

T~main nahi jaun gi, lekin tum agar...

D~yaar aaj tak in books ka peechha nahi chhora, tumhara kya khaak chhorun ga

T~yayyy, chalo ab khush ho jao, tumhari boring life mein interesting Tara ki entry jo ho gayi, hai na?

D~haan

They shared a hug, Naivedhi smiled seeing them.





Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro