amdheer suhagraat 2

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Amdheer were in the same position
when randheer realised their position he not wanting to make amrit uncomfortable sat upright and looked at other side ... Amrit blushed hard and she too sat upright.... They were looking everywhere except each other
But then seeing the state of room a valid question popped in her mind and he asked it to randheer in a tense tone
A-Randheer ab hum yaha kaise soyenge
R-"amused tone" Yaha pe sone kon wala tha
A-"confused" Matlab
R-Aap change karke aaiye mai matlab samjhata hu aapko
A- Thik hai par pehle aap change kar lijiye mujhe pehle yeh gehne utaarne honge
R- Thik hai
Randheer went to washroom to change soon Amrit was sitting in front of the dressing table free of every jewelleries and was struggling to open her bun which was made tightly by her mummyji with many pins....failing to open it she thought to take help from randheer but was hesitating and he's in the washroom.... Finally seeing him coming out of the washroom all changed and gaining  courage from the fact that he'll always help her out she asked him stutteringly
A- Ran.. Dhe.eer
He immediately turned towards her listening her attentively
R- Ha amrit
She said struggling with her hairs when she felt pain while opening a tangled pin
A- Woh woh mere baal.... Ouch
Listening her scream he immediately went towards her and asked in a concerned tone
R- Amrit kya hua aap thik hai na
A- Ha woh woh mujshe mera juda nhi khul raha hai bilkul bhi
R- Juda kyu baandha aapne aap khule baalo mai sabse jyada khubsurat lagti hai
She blushed hearing her praise from his mouth while he smiled seeing her blush
R- Umm... Rukiye mai madad karta hu aapki.
He sat behind her on his heels such that their reflection as whole can be seen to them
Randheer slowly and carefully started to remove the hair pins
Soon after struggling a lot he succeeded in freeing her long and thick hairs from those pins... He was admiring her beautiful face from the mirror when his eyes fell on the red rashes again
R- Amrit zara woh cream paas kariega
A- Ji
Amrit forwarded him the cream and
Randheer after sliding her hairs to the front started applying the cream on her neck slowly yet sensuously sending shivers round their bodies soothing and burning her skin at the same time
Amrit felt unknown jitters in her body.... She's enjoying his touch very much making her cheeks red... Randheer also didn't wanted the moment to stop but he very well knew that he'll loose all control on himself if he didn't stopped right there
He left her neck and they sat there in the same position admiring themselves as a couple in the mirror
R- Aapko pata hai amrit mai na humesha sochta tha ke hum dono saath khade kaise lagte honge
A- Kaise lage hum aapko
R- Aisa lag raha hai jaise hum dono bilkul ek dusre ke liye hi bane hai sach kahu na toh do hanso ke khubsurat jode ki tarah lag rahe hai hum... Aaj pehli baar khud ki parchaayi ko iss aaine mai pura paaya hai maine.... Aapne meri jindagi mai aake mujhe pura kiya hai amrit
A- Aur aapne mujhe..... Yeh amrit sahani apne randheer raizada ke bina ab khud ki kalpana bhi nahi kar skti
R- Amrit sahani nahi madam "huskily"
Amrit randheer raizada.... Humari better half.
Amrit again blushed hearing her new name which always made her feel that she is now his in all sense
Randheer admired her blush and themselves for sometime but then asked her
R- amrit aap jaake change kar lijiye
A- Ji
She left for washroom..... Soon she came out in a casual suit.... Her hairs still open and started looking for randheer... Not finding him anywhere in the room she got tensed and thought
A-Yeh randheer kaha gaye ......kamre mai toh nahi hai
She started going towards the library. to look for him shouting
A- Randheer?? Randheer kaha hai aap
Suddenly she heard one of her most favourite tune... The tune which randheer plays with his mouth organ and she wondered
A- Yeh dhun?? Yeh dhun toh randheer bajaate hai par yeh aa kaha se Rahi hai
She started following the music which is coming from the end of the alley which is totally dark
A-Yaha kitna andhera hai par
She got scared seeing the dark alley and in a scared tone shouted
A- Randheer kaha hai aap mujhe darr lag raha hai
Suddenly she heard a husky voice from back and felt his breath fanning her neck. . . ..making her shiver due to the proximity
R- Mai yahi hu amrit
She turned around and tried to touch him but failed.... Frustraredly she asked
A-Kaha
Again she heard his husky voice
R- Yaha aapke bohot paas
Before She could turn around...She felt someone closing her eyes from behind and touched his palm to confirm him.... She smiled and felt relaxed as now she's with her love
Randheer holding her shoulders protectively guided her towards the end of alley.... Amrit being curious asked him
A- Randheer aap kaha leke jaa rahe hai mujhe
He smiled listening her curious tone
R- Bohot jald pata chal jaega aapko
A- Nahi mujhe abhi jaanna hai.... Pls na
They reached their destination and randheer lovingly said
R- Amrit aaj na mai aapke ek bohot hi khubsurat sapne ko sach karne wala hu
Amrit got all excited and asked
A- Sach mai....Konsa wala
He uncovered her eyes
R- Yeh wala
amrit gasped seeing the most beautiful sight she's ever seen
It was a beautiful open terrace... adorned with beautiful  foreign plants bearing authentic flowers... There was a bed on one side while the other part is totally dark.... The flowers are decorated with golden lights giving an aesthetic and elegant view of the place.... The fragrance of the flowers wafting in the environment were giving soulful positive vibes to them and the cherry on the cake.... The beautiful starry night sky glittering with stars and that serene silver moon added more to it's charm

Admiring the view and with mesmerized face she said
A- Randheer yeh kitna khubsurat hai
But here our randheer was just adoring her happy and mesmerized face which is glowing under the shining silver- moon .... He huskily said
R- Hmm par aapse zyada nahi
She blushed hearing her praise but then asked inquiringly
A- Par aapko mere iss sapne ke baare mai kaise pata chala
He smiled listening to her question and asked
R- Aapko yaad hai vashma aur uday ki shaadi ki ek din pehle hum raat ko chatt pe baithe huye vashma aur uday ki shaadi ki planning kar rahe the aur uss samay aapne mujse apne dil ki kuch icchaein kahi thi
Getting confused she asked
A- Konsi wali
R-Yaad kijiye
Flashback
Terrace
Om nivas
Amdheer were planning for a surprise for vashmay......amrit was packing some gifts when they noticed the male guests sleeping in the verandah on the charpoy arranged for guests
Seeing this amrit felt a void in her heart and said
A- randheer aap mard kitne kismat wale hote hai na.... Yun aasman ke tale sitaaron ke beech so skte hai
R- kyu aap auratein kyu nhi so skti ha
A- bauji ko pasand nhi hai humara kamre ke baahar sona par mainu mahsus karna hai ek baari....."with glint in her eyes" Kinna sundar lagta hoga na aasman ke tale sona. .... Aisa lgta hoga jaise ki humne taaron ka chaadar odh liya ho aur woh khubsurat chaand dur baithe humse hazaron baatein kar rha ho.....kaash ek din mai bhi so paati aasman ke tale
Randheer smiled hearing his love's innocent and beautiful dream and thought determinedly
R- Chinta mat kariye amrit bohot jald aapke iss sapne ko mai sach mai badal dunga
Flashback ends
Amrit smiled remembering those moments and asked
A- Aapko yaad tha
R- Aapke itne pyaare sapne ko bhala mai bhul sakta hu aur waise bhi usi pal maine faisla kar liya tha ki hum shaadi ke baad humari pehli raat aasman ke tale ek dusre ki baahon mai hi manayenge
A- par hum hai kaha
R- hum humaari personal balcony mai hai begum saahiba
A- par agar kisine dekh liya toh hume yun
R- chinta mat kijiye ise yun hi banwaaya hai ki kisi ki nazar ispar nahi pad sakti
Randheer then held her hands and took her towards the bed
R-Ab chaliye iss Aasmaan ko niharte hai
A- Hmm
They laid down on the bed entwining their hands...leaving  a little gap between them.... They were staring at the shining and glittering sky lovingly in silence soaking each other's presence when amrit broke the silence
A- Randheer aapko pata hai aapko  milne aur jaanne se pehle mujhe na humesha iss raat se darr lagta tha ....kitni ajeeb baat hai na randheer hum kudiyon ko humaare maa piyo bachpan se kade kisi munde se baat nahi karne dete.... Baat toh bohot durr ki baat hai kabhi kisi ladke ko dekhne tak nhi dete aur phir ek din shaadi karke unhe kisi ajnabee ke saamne ghunghat daal ke baitha dete hai puri jindagi uska saath nibhane ke liye bina yeh soche ki uss kudi ke dil pe kya bitti hogi... Unhe toh jaise iss baat se koi farak hi nahi padta ki woh kudi iss rishtey ke liye taiyyar hai ya nahi bas samaaj ke riti riwaazo ko nibhana hota hai unhe
Mai humesha sochti ki kitna accha hota na ke dulha aur dulhan shaadi ke pehle hi ek dusre Ko bohot acche se jaan le... Unki dosti ho jaaye toh vyaah ke baad woh dono ek dusre ko samajhte aur pehchaante honge..
Aur dekhiye na mai kitni khushnasib hu ke mujhe mere humsafar ke roop mai aap mile hai jo na toh sirf mujhse pyaar karte hai balki meri kahi ankaheee har baat ko samajh lete hai... Bin kahe meri aankhon ko padh lete hai.... Mujhpe itna bharosa karte hai
R- bol toh aap aise rahi hai jaise sirf mai hi aap ko samajhta hu aap nahi
...sach kahu na amrit toh yeh darr mujhe bhi lagta tha ki kahi mujhe ek aisi humsafar na mil jaaye jo mujhe samajhti tak na ho..... Jis din bauji ne kaha na ki ladki dekhne jaana hai mere mann mai bhi hazaaro khayaal aaye the kuch acche ki meri hone wali patni bilkul raanjhan ki tarah himmati hogi aur mere jindagi ke harr mod pe meri taakat ban mera saath degi toh kuch galat vichaar bhi ke kahi woh mujhe, mere sapno ko, mere naye soch ko samajh paaengi ya nahi.... Aur sach kahu na toh yeh baat jaanne ke bawjood bhi ke kiranbala raanjhan hai mujhe unme kabhi apni humsafar dikhi hi nahi dikhti bhi kaise jhoothi raanjhan banne ka naatak jo kar rhi thi woh
Par aaj mai bohot khush hu amrit apni zindagi se kyuki meri humsafar mai woh saari baatein hai jo maine kabhi apni patni mai chahi thi.... Aapka mujh par atoot bharosa... Aapki himmat... Aapki samajh yeh zindagi bhar meri sabse badi taakat rahegi amrit aur mai humesha aapki har icchaon ko saraankhon par rakhunga aur aapke harr baat pe aapka saath dunga
A- nahi randheer harr baat pe nhi sirf meri sahi baat pe.... Hum insaan hai aur humse galtiyaan hongi aur mai chahti hu ki agar aapko meri koi baat galat lage toh aap mujhe samjhaaye... Mujhe sahi raasta dikhaaye kyuki mai chahti hu ki humara pyaar humesha humari taakat bane na ki kabhi kamzori.... Mai waada karti hu randheer mai humesha aapko samajhne ki koshish karungi par maaf kijiyega agar aap kabhi galat honge toh mai aapki baat ankhein band karke nhi maan paungi... Main puri koshish karungi aapko  sahi raah dikhaane ki

R- Amrit mai kabhi nhi chahta tha ki mujhe ek aisi ladki mile jo mujhe rab samajh ke meri harr baat ko sir jhukaye maane balki mujhe humesha ek aisi hi humsafar chahiye thi jo pure haq se meri harr galtiyon ko dikhana jaanti ho.... Jo mere sahi mai mera atoot saath de aur mere galat hone par mujhe meri galti ka ehsaas karaaye aur mujhe sahi disha dikhaaye aur aaj aapki yeh baatein sunke sach mai dil ko bohot tassalli mili aur apne pyaar pe bohot garv bhi mahsus ho raha hai
R- Amrit mujhe aapse ek request krni hai
A- Randheer aap mujhpe hukum karne ka haq rakhte hai aur mai nhi chahti ki aap kbhi mujhse kuch bhi kehne mai hichkichaye
He smiled then continued
R- Amrit mai chahta hu ki hum dusre jodo ki tarah apne dil ki baat apne dil tak na rakhe... Mai maanta hu ki hum ek dusre ki mann ki baaton  ko bina kahe samajh paate hai par jaruri nhi hai ki aage chalke bhi samajh paayenge... Kya pata kabhi parastithiya aisi ho jaaye ki hum ek dusre ke khilaaf ho ya humari soch mel na khaaye... Mai chahta hu ki hum dono ek dusre se baat karna kabhi na chode... Chahe gussa kitna hi ho ya kitni hi badi ladaayi kyun na huyi ho humare beech.... Maine bohot se gharo ko tootte dekha hai jode ke beech baatcheet ki kami ki wajah se.... Main nhi chahta ki aap kabhi bhi mujhse door jaaye
Amrit maine na bohot se logo ko apne rishtey se haar maante dekha hai sirf iss wajha se ki woh apne ego ko side pe rakh ke ek dusre se baat nhi kar skte.... Woh sirf intezaar karte reh jaate hai kisi chamatkaar ka ya apne humsafar ke pehel karne ka par kbhi khud ek kadam nahi badhaate..... Mai nhi chahta ki kabhi humare saath aisa ho.... Sach kahu na toh pyaar ek taraf hota hai aur iss baat ka bharosa hona ki aap apne humsafar se kuch bhi keh sakte hai kisi bhi paristhiti mai yeh alag hota hai aur mera maanna hai ki jis rishtey mai pati patni apne dil ki koi bhi baat ek dusre se bina hichkichaei kar skte hai wahi rishta asal mai sabse zyada mazboot hota hai

A- Ha randheer mera bhi yahi maanna hai ke heer ranjhe ki tarah pyaar mai marr jaane se bhi bada imtehaan apne humsafar ke saath puri jindagi  kadam se kadam mila ke chalna hai.... Aur mai yeh zindagi aapke saath kadam se kadam mila ke chalna chahungi..... Mai kabhi aisi daraar humare rishtey mai nahi aane dungi
R- aur mai bhi nahi... Hum milke humare rishtey ko iss duniya ka sabse khubsurat rishta banayenge..... Iss rishte mai milke aage badhenge aur apne rishtey ko din bhar din aur sawaarenge
A- hmm

They again got lost in the beautiful sky feeling more content than before after discussing their individual views on marriage and were feeling blessed after making unsaid promises to each other and were just laying  feeling the beauty of this magical night in silence when amrit remembered something and broke the silence
A- Randheer aapko yaad hai jab uss raat ko hum radha chachi ko aapki car mai baitha rahe the tb aapne mujhse kaha tha ki mai aapko raanjhan se milwau
R- Ha acche se yaad hai
Turning towards him keeping her head on her one hand
A- Aapne aisa kyu kaha ki aap ko pura yakeen tha ki raanjhan ek ladki hi hogi  ....maine toh kabhi apne lekh mai jaahir nahi hone diya yeh
Turning towards her keeping his head on his one hand
R- Isiliye kaha kyuki mujhe sach mai yakeen tha ki raanjhan ek ladki hi hai aapko pata hai amrit Aksar sharfu miyan mujhse ek hi sawaal puchte the mimicking sharfu miyan
"Ajji aap ko kya lagata hai yeh ladka hogi ya ladki"
Aur mera jawaab ek hi rehta
"Pata nhi par ha dil ko yakeen hai ki yeh koi sapnon mai qaid ek ladki hi hai"
Aap jaanti hai amrit mujhe aapse pehli baar pyaar kab hua tha
A- Ha jab aap tongewale bankar mujhe aur vashma ko khud se milane sultan serai le jaa rhe the tab hi hai na
R- Ji nhi uss din toh pyaar sirf aur badha tha asal mai toh mai aapke pyaar mai usi din padd gaya tha jab maine pehli baar aapke  lekh mai likhe gye alfaazo ko padha tha sach kahu na toh usi din mai aapke pyaar mai dub gaya tha.... Pehli baar kisi chiz ko padhne ke baad sirf use hi dekhte rehne ki chahat huyi thi meri
R- "with a teasing smile" Aur waise  main bata du maine aapko lahore mai pehli baar tongewale ke roop mai nhi dekha tha
A- Matlab
R- Matlab yeh ki jab aap meri chitthi mere hi pairo se le gayi thi tb hi mujhe aapki inn nasheele aankhon ka deedar ho gaya tha
A- "in a shocked tone" Matlab aap hi woh ullulal the
R- "grinning" Ji koi shakk
A- Randheer aapne mujhe pehle kyu nhi bataya
R- "with a mischievous grin" Pata toh amrit mujhe aur bhi bohot kuch hai par samay aane pe hi bataunga
A- Kya pata hai aapko bataiye
R- Arre samay toh aane dijiye
A- Pls na randheer bataiye na
R- Nahi amrit samay aane pe hi bataunga kbhi kbhi kuch baatein paristhithi ke hisab se jaano toh hi unka maza aata hai
A- "in a little angry voice" Thik hai mat bataaiye
Randheer knew that she's not angry and is tricking him so that he'll reveal the secrets.... He smiled and changed the topic
R- Accha ab aap yeh bataiye ki aapke raanjhan hone wali baat bauji ko kaise aur kab bataani hai hume
A- Randheer jaruri hai kya batana??
R- Ji ha bohot jaruri hai kyuki meri amrit raanjhan hone ki saari taareef deserve karti hai
A- Par randheer aapko toh pata hai na ki bauji ko nafrat hai raanjhan ke naam se hi aur mai hi raanjhan hu yeh baat jaan kr kahi unki tabiyat na kharab ho jaaye
R- Aisa kuch nhi hoga amrit hum dono saath mil kar bade acche se samjhaenge unhe
A- Thik hai toh parso jab mai pag phere ke liye lahore ke liye niklungi aur aap ek hafte baad mainu lene aaoge toh hum milke bataenge
R- Hmm idea toh accha hai... Hum bilkul aisa hi karenge

Amrit got lost in her thoughts wondering whether it'll be a good idea to disclose her being raanjhan's secret and randheer sensing it tried to divert her mind
He shook her and pointed to the sky and said in an urgent tone
R- Amrit jaldi dekhiye Aasmaan mai
And his trick worked as amrit immediately became curious and faced the sky
A- Ha kya
But finding nothing extra ordinary she asked sadly
A- randheer kya dikha rahe the aap...bas chaand aur taare hi toh hai
R- Are acche se dekhiye dikhega
A- Lekin kya randheer
R- Are aapko woh chaand mujhse jalta hua nahi dikh raha kya
A- Mai kuch samjhi nahi
R- Amrit mere kehne ka matlab hai ki meri humsafar itni sundar hai ki uss chand ko bhi mujhse jalan ho rahi hai ki itni naayab chiz mujh jaise ek aam insaan ke paas hai aur uske paas nhi
A- Randheer kya aap bhi
R- "holding her chin and making her face himself....adoring her" Sach mai amrit mere liye aap uss chand se bhi zyada sundar hai aur mujhe humara bhavishya inn taaron se bhi jyada chamakta hua dikhai de raha hai
She blushed and they got lost in each other's eyes
A- mujhe bhi
They laid peacefully after sometime amrit asked randheer
A- randheer aap apni Mouthorgan se woh dhun bajaiye na jo aap humesha bajaate hai
R- aapko bohot pasand hai na
A- hmm
He started playing the music eyeing her lovingly when suddenly amrit kept her head on his chest.... Randheer became shocked for a moment but then hugged her in that position and continued playing soon he stopped and sensing this amrit said
A- Randheer aapko pata hai mujhe iss dhun se bhi zyada acchi dhun konsi lagti hai
R- Konsi
A- Yeh wali "pressing her ears more to his chest" Aapke dil ki dhadkan ki dhun jo harr baar sirf mera naam leti hai.... Mujhe iss duniya mai sabse zyada sukoon deti hai aapki yeh dhadkan
R- Arre waah amrit badi himmat aa gyi hai aap mai toh khud mere itna kareeb aa gyi
A- Himmat matlab pati hai aap mere hakk hai mera aapke dil ki dhadkan sunne ka
R-Hmm sirf aapko hi .....Waise amrit jab itni hi himmat aa gayi hai aap mai toh meri suhaagrat bhi puri kar dijiye
A- Matlab
R- Arre jaise maine aapke suhaagraat ko pura kiya waise hi aapko bhi toh karna chahiye na bilkul usi tarah se
Amrit got confused and blabbered the whole scene of film
A-Par filmon mai toh shaam aata hai uske gaalon ko chumta hai aur mombatti bujha ke dono so jaate hai
She got shocked as well as embarrassed realising what blunder she made... While randheer got lost in his thoughts
R- Ab inhe kon samjhaaye ki woh soye nahi raat bhar jaagne ka program bana rahe the...."mentally chiding himself" chi chi kaisi baatein sochne lag jaata hai tu randheer tujhe iss duniya ki sabse maasum aur pyaari biwi mili hai..."self comforting" Aur tu dekhna tere bhi woh din jarur aaenge ...ha woh toh hai....."determinedly" Par abhi iss mauke ko nhi chodunga mai
R- "with a teasing smirk" Waise amrit kya karta hai shaam??
She was going to blabber again but stopped seeing his smirk
A- Gaalon ko chum..
R- "with puppy face" Aapko bhi toh karna chahiye na
Seeing his puppy face amrit melted down and wanted to fulfill her wish but embarrassment took over her.... She blushed hard
A- Randheer par mai kaise
R- Aise "he kissed her cheek.... Feeling which amrit got shocked heating her cheeks and in an embarrassed tone said
A- Randheer
Randheer knew that amrit will not easily bend to his wish so he tried to challenge her
R- Kya hua abhi toh bade hako ki baat kar rahi thi..... Raanjhan kaha gayi aapke andar ki haa
A- "stuttering and not looking in his eyes" Woh woh
He tried to emotional blackmail her with his puppy eyes
R- Kya hua aap apne randheer ki itni si khwais bhi puri nhi karengi
Amrit feeling mixed emotions said blushingly yet innocently
A- Par mujhe bohot sharm aaegi randheer
R- Thik hai toh mai apni ankhein band rakhunga
A- Pkka
R- Ji ha pakka
As decided he closed her eyes
A- Thik hai
She with lots of courage and raging heartbeats slowly kept her soft lips on his cheeks... His soft stubbles caressing her face.... She became all red and immediately hid in his chest...he as an instict pulled her more in his embrace.... Randheer smiled seeing her cute antics although his eyes were closed he can imagine her flushed face and how she would've blushed hard... He can feel her raging heartbeats while she too can feel it.... They both remained in that position for sometime.... She hiding in his chest and randheer hugging her tightly to give her comfort
He very well knew her shy nature and the fact that she'll not talk to him at any cost thus he hatched a plan in his mind to make her talk
R- "screaming painfully" Amrit aa bohot dard ho raha hai... Aa.. Amrit
But randheer didn't realised that by doing this drama he actually made her remember his accident and digged those worst memories she had locked deep within her heart making her panic
A- "in a panicked tone and caressing his arms and legs" Randheer kya hua aap thik hai na kaha  dard ho raha hai aapko ha...mujhe lag hi raha tha... Jb se thik huye hai aaram hi nahi kiya hai acche se... Shaadi ke rasme nibha rahe the aur Kl raat bhi gaadi mai acche se nahi soye the... Aur mai bhi paagalon ki tarah aapke haath pe so gyi.... Kya karti hu mai bhi... Aap rukiye mai na abhi doctor saab ko bula ke laati hu
Randheer got terrified seeing her state and regretted immediately.... He stopped her going anywhere and cupping her cheeks made her face him
R- Amrit.... Amrit meri taraf dekhiye kuch nahi hua hai mujhe mai toh bas aapka dhyaan  bhatkane ki koshish kar raha tha.....
A- "with hopeful eyes" Sach mai
R- Ji ha sach mai
Hugging him tightly in a scared tone she said
A- "sobbing lightly" kyu kiya aapne abhi aisa randheer meri toh jaan hi nikal gayi thi... Abhi agar kuch ho jaata aapko toh
And before randheer could even console her she asked sternly
A- Aapne dawai khaayi
R- "trying to lighten her mood" Ji ha aapke team mai shaamil ho chuke sharfu miyan ne bilkul time pe mujhe dawaai khila di thi
He wanted to talk with her regarding her fear but knew that it was not the perfect time to talk in this matter and thus tried to give her assurance that he is with her all fine taking her into his embrace and laying down
Ab aap aaram se so jaiye aapka randheer aapke paas hi hai aur woh bhi bilkul sahi salaamat..
Hmm
She sticked more into him and randheer caressed her hairs lovingly making her feel his presence around her... That night he promised himself that he'll always protect this beautiful angel lying in his embrace and will soon replace those dreadful memories with blissful ones

I know I'm very late... I'm so sorry but one of my students is having her exams and I'm not getting enough time to write.... Sorry.... Will try to update soon... Pls bear with it

Pls give inline comments and give your precious likes and comments on my ff

My twitter friends pls give your likes and comments on my tweet and retweet it if you'll like it

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro