Chapter 18

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

~05.04.2020

JINDAL RESTAURANT,

AJ: Do you even know what the hell are you speaking that too in front of me?

Manager: Sorry sir, we can't do anything.

AJ: Kaise kuchh nahi ho sakta?? Poora Indore jaanta hai ki har saal kal ke hi din wo poora hotel along with the function hall sirf aur sirf Akshat Jindal book karta hai aur is saal wo kisi aur ne kar diya. How could that happen?

Manager: Sir, poora Indore ye baat janta hai lekin Mumbai wale nahi jaante na.

AJ: What do you mean?

Manager: Wo jo movie cast aayi hai na unhi logon ne wo hotel book kiya hai.

AJ: What? Lekin kyun?

Manager: Un logon ne bhi kal Valentine's party rakhi hai featuring their new movie and their lead couple.

AJ: To kya unko sirf yehi hotel mila tha?

Manager: Sir, you know it's one of the best hotels of Indore.

AJ: So what? I need that hotel booked for me at any cost. Tum unko price badha do tab mai dekhta hun ki wo log kaise nahi maante.

Manager: Sir, ab agar khud bhagwan bhi aa kar unko kahenge na tab bhi wo nahi ho sakta.

AJ: What the hell??

Manager: Ha sir, kyunki fans ke liye unke artist aur celebrity hi unke bhagwan hote hai.

AJ: Whatever!! Lekin usse mera kya. Mujhe to wo hotel booking nahi milne wali na.

Manager: Sir, unlogon ne aapko invite kiya hai party ke liye.(he handsover the invitation to him)

AJ: Do you really think ki jo kuchh bhi hua hai uske baad mai us ghatiya party me jaaunga. No ways!!( he throws the invitation in the dustbin)

AJ: Now just leave ....

AJ was on the verge of bursting out coz of his anger. Every year on 14 of February he organizes Valentine's party only for Guddan and that too in the same hotel where they celebrated their 1st Valentine day. But now, these freaking movie cast has booked the hotel for their party and has invited him too...How could this happen on this earth that he would attend the same party for which he is feeling his love being incomplete for Guddan? He just shut his eyes down and remembers their 1st valentine's party...

SCHOOL,

Ahaan: Arya, aaj na ham donon tumhare Dadda ke restaurant chalenge.

Arya: Kyun? Aur Angel maan gayi kya uske liye?

Ahaan: Aaj Mumma, Maasi aur Karan uncle restaurant aa rahe hai kyunki aaj unki shooting nahi hai. Isiliye tum bhi chalna unse milne ke liye.

Arya: Ok!

She gets thinking something.

Ahaan: Kya hua?

Arya: Tumhe Karan uncle pasand hai kya?

Ahaan: Haa,wo bohot achhe hai. Wo mujhe bohot pyaar karte hai aur mujhe ride par lekar jaate hai, new toys dete hai, chocolates khilate hai, video games bhi khelte hai aur agar kabhi maine kuchh galti kardi na to Mumma se chhupane me meri help bhi karte hai. I love my Karan uncle.

Arya: Par mujhe wo bilkul nahi pasand.

Ahaan: Kyun? Aur waise bhi tum pehli baar me kisi ko pasand karti ho kya?

Arya: Haa, maine Angel ko pehli baar me hi pasand kar liya tha. Aur mujhe wo isiliye nahi pasand kyunki wo hamesha Angel ke saath rehte hai aur unke saare photos aur wahaan set par bhi.

Ahaan: Arey buddhu, wo sab acting hai. Wo donon TV me acting karke sab ko dikhate hai. Wo sab real me kuchh nahi hota. Wo donon real me best friends hai bilkul hamari tarah.

Arya: Sachi?

Ahaan: Haa.

Arya: Phir bhi wo mujhe nahi pasand.

Ahaan: Tumhe koi nahi samjha sakta. Tum baad me khud samajh jaaogi ki Karan uncle kitne achhe hai.

Arya: Jitne bhi achhe ho, mere Dadda se to achhe nahi ho sakte na.

Ahaan: Tum hamesha sab ko compare kyun karti ho. Pehle meri Mumma ko apni Angel se aur ab Karan uncle ko apne Dadda se. Sab koi alag alag hote hai, Koi ek jaisa nahi hota. Waise bhi mai buddhu ko kyun samjha raha hun.

Arya: Maine kitni baar kaha hai mujhe buddhu mat bulao.

Ahaan: Tum buddhu hi ho.

Arya: Aur tum Darpok.

Ahaan: Mai kisi se nahi darta.

Arya: Mujhe pata hai tum kisse kitna darte ho. "Darpok".

Ahaan: Buddhu!!!

Arya: Darpok!!!

And they continued their cute quarrelling session until they heard the bell and were ready to go the restaurant....

RESTAURANT,

(It's the same restaurant where Arya, Ahaan and AK went for the first time to meet AJ which probably failed.)

AK, Karan and Revati were already in the restaurant chitchatting with each other.

Revati: Di, time hogaya hai mai Ahaan ko school se lekar aati hun.

AK: Arey tum ruko, mai use lekar aati hun.

Revati: Di, aap yahin thik hai. Ek to bohot hi mushkil se aap donon yahaan restaurant me aaye ho sab se bachkar phir doobara bahar jaana thik nahi hai. Mai jaati hun aap donon aaram se baithiye.

AK: Achha thik hai jaldi aa jana.

Revati: Haan.

Revati leaves.

Karan: So, what's your next plan?

AK: Aaj shaam ko award event hai, bas wahi.

Karan: Arey, yaar mai kal ke baare me baat kar raha hun.

AK: Tumne to specifically kal keh kar nahi poocha, next poocha na to mai wahi bataungi. Aur waise bhi kal kya hai??

Karan: Achha thik hai. Aur kya haan, tumhe sach me nahi pata ki kal kounsa din hai. It's VALENTINE'S DAY tomorrow.

AK: Valentine's day?

Karan: Haa.

AK gets thinking about her 1st valentine's day with AJ.

Karan: Kya hua, kya soch rahi ho?? Apne Valentine ke baare me??

AK: Haa.

Karan: Mujhe bhi to batao, koun hai wo?

AK: Tum.

Karan: Huh?

AK: Kal ki party me to tum hi mere valentine ho na?

Karan: Ha, lekin mai tumhare real life Valentine ke baare me pooch raha hun.

AK: Tum jaante ho ki aisa koi nahi hai.

Karan: Ab to jhoot mat bolo.

AK: Sach hi bol rahi hun.

Karan notices her hand.

Karan: Tumhara A wala bracelet kahaan hai.

AK: Wo kahin kho gayi.

Karan: What?

AK: Ha lekin tum kyun itne pareshan ho rahe ho?

Karan: I am not worried am just surprised.

AK: But why?

Karan: Is baar to wo pakka tumhare Valentine ke paas hi hoga.

AK: Phir se tumne apni bakwaas shuru kardi na.

Karan: Arey, I am serious. Tumhe yaad hai na tumhara scarf aur ab tumhara bracelet. I am damn sure it's with your Valentine.

AK: Please stop it! Pehle prince aur ab Valentine. Kal valentine's day hai to ab wo mere Valentine ke paas hai. Kal mother's day se pehle meri mother ke paas hoga aur father's day se pehle mere father ke paas aur Raksha bandhan se pehle mere Bhai ke paas, right?

Karan: Tum kabhi kisi baat ko serious kyun nahi leti??

AK: Tum kabhi serious wali baat nahi kehte na.

Karan: I assure you that.

AK: I deny you that.

Their arguement halts when Revati returns with Ahaan and Arya.

Ahaan: Mumma..

Arya: Angel....

They both go and hug her.

Karan: Mai bhi hun yahaan. Aap sab mujhe bhi notice kar sakte ho.

Ahaan goes to him.

Ahaan: Karan uncle..(kisses his cheek)

Karan: Ab yaad aayi?

Ahaan: First Mumma na..

Karan: Haa, haa.

Karan notices that Arya didn't come to him.

Karan:(to Arya) Tumhe kya hua?

Arya: Kuchh nahi!!

Ahaan sees that and remembers what she said about him.

Ahaan (whispers to Karan): Aap rehne do, wo waise hi hai, mai use samjha dunga.

Karan royally ignored it as he thought it's just their childish talks but who knew that this Arya is not less than an experienced Grandma regarding her Angel..

AK: Arya, kaise hai aap?

Arya: Mai achhi hun Angel, bilkul aap ki tarah.

AK: Achha ji.

Arya: Ha.

Ahaan: Oye, tum bilkul bhi meri Mumma ki tarah nahi ho.

Arya: Huh?

Ahaan: Ha, meri Mumma cute hai bohot achhi hai lekin tum khadoos ho.

Arya: Mai khadoos nahi hun. Tum bohot bure ho.

AK: Ahaan, kitni baar kaha hai aise baat nahi karte. Say sorry to her.

Arya: Ha.

Ahaan: Mai sorry nahi bolunga, maine sach kaha hai tum meri Mumma ki tarah nahi ho.

Arya: Hamari deal hui thi na ki ham donon jhagda nahi karenge to phir kyun jhagda kar rahe ho. Sorry bolo.

Ahaan: Mai jhagda nahi kar raha hun, sach bol raha hun.

Arya: No..

Before they can argue further...
AK: Stop it!! Kya hai ye?? Aap donon jhagda karo mai jaa rahi hun.

Ahaan: No...      Arya: No.....

AK: To kyun jhagda kar rahe ho aap donon?? Ye sab karne aaye hai aap donon yahan. Nahi na. To ab achhe bachon ki tarah ek doosre ko sorry bolo.

Ahaan: Sorry.      Arya: Sorry.

AK: Ab promise karo ki ek doosre se jhagda nahi karoge.

They both promise but.....

Ahaan(whispers to Arya): I promise ki mai kabhi Mumma ke saamne jhagda nahi karunga.

Arya: Same here.

They all sit together and have some fun time together......

Kishore and Vardaan come to the restaurant to check over an issue.

Vardaan: Aaj to AJ aane wale the yahaan lekin nahi hame aana pad raha hai, wo bhi us manager ki wajah se. Kya hota agar do din pehle hotel ki booking kar deta. AJ ko itna gussa to nahi aata na.

Kishore: Ab jo hua so hua, ham use badal nahi sakte. Aur rahi baat AJ ke gussa hone ki wo to hoga hi na . Yahaan baat Guddan Maa ki hai.

Vardaan: Haa.

Kishore: Chalo, ab jaldi se kaam karte hai warna AJ apna bacha hua gussa hum par nikalenge.

Vardaan: Haa, chaliye.

They both were about to leave when Vardaan notices something and stops in his way.

Kishore: Kya hua? Chalo.

Vardaan: Maine wahaan Guddan Maa ko dekha.

Kishore: Kya? Wahaan to koi nahi hai.

Vardaan: Mai sach keh raha hun, maine wahaan Guddan Maa ko dekha hai.

Kishore: Ham unke baare me baat kar rahe the isiliye tumhe laga ki tumne unhe dekha, mai jaa raha hun tum bhi aa jao.

Kishore leaves but Vardaan stands there and was thinking about what he saw.

Arya: Angel, mai dekh ke aati hun ki Dadda yahan hai ya nahi. Agar yahaan honge to mai unko bulaungi aur aap sab se milaungi.

AK: Ok! Aap jaaiye lekin aaram se.

Arya: Ok!

Arya goes out and sees her Vardaan chachu standing.

Arya: Chachu....

Vardaan: Arya, tum yahaan.

Arya: Ha. Mai apne friend Ahaan ke saath yahaan aayi hun. Dadda nahi aaye?

Vardaan: Nahi, wo aaj bohot gusse me hai isiliye ham yahaan aaye hai kaam karne.

Arya: Kya hua unko, wo gusse me kyun hai?

Vardaan: Tum wo sab chhodo, wahaan pe koi hai kya?(pointing towards the place where they all are seated)

Arya: Shh.. shhhh!!! Mai aap ko ek secret batati hun. Chaliye mere saath.

They both go to a corner.

Vardaan: Kya hua yahaan kyun leke aayi ho?

Arya: Batati hun. Wahaan na Ahaan ki family hai. Ahaan ki Mumma na heroine hai, to wo sab se chhupkar yahan aayi hai. Agar sab ne dekh liya na to sab log unke paas aa jayenge. Isiliye wo log wahaan par sab se alag baithe hai. Ek aur baat bataun, ye idea na maine hi unko diya tha. Kuchh dinon pehle jab wo restaurant aaye the mere saath, tab kaha tha maine unse.

Vardaan: Achha thik hai. Ab ghar chale jaana. Sab wait kar rahe honge.

Arya: Ok chachu.

Vardaan: Mai kaam karne ja raha hun. Bye!

Arya: Bye!

Arya goes to them.

AK: Kya hua?

Arya: Dadda nahi aaye hai. Chachu aaye hai kuchh kaam se.

AK: Koi baat nahi.

Arya: Chachu bol rahe the wo bohot gusse me hai.

AK: Koi baat nahi wo kaam ke wajah se pareshaan honge. Aap se milne ke baad sab thik ho jaayega. Ok!

Arya: Ok!

Revati: Di, aap log ab kahaan ja rahe ho.

AK: Karan aur mera dance rehearsal hai kal ke liye. Wahaan se phir ham log seedha event ke liye chale jaayenge.

Karan: Ha.

Revati: Thik hai aap log jaaiye, mai aur Ahaan ghar chale jaayenge.

AK: Tum log pehle jaao, Ham log peeche se nikalte hai.

Revati: Ok.

Ahaan: Bye Mumma, bye Karan uncle, Bye Arya.

AK: Bye. Arya aap bhi chale jaaiye. Driver hai ya ham aapko drop karde.

Arya: Nahi Angel, Driver uncle hai mai unke saath chali jaungi. Bye.

AK: Bye.

AK and Karan leave the restaurant.

CAR,

Revati sees a public telephone and asks the driver to stop the car.

Revati: Ahaan, aap yahin baithiye, mai bas do minute me aayi.

Ahaan: Ok Maasi.

Revati goes there and calls AJ and speaks with a different voice.

Revati: Agar aap ko Guddan se milna hai to kal Indore me rakhi gayi sab se badi VALENTINE'S day party me aa jaiye.

AJ: Hello, koun baat kar raha hai? Aur tumhe Guddan ke baare me kaise pata?? Wo kal wahaan kaise hogi. Kuchh bolo.

Revati cuts the call without answering.

"Sorry Jiju, lekin abhi ke liye mai sirf aap ko yehi bata sakti thi. Baaki sab aap ko kal khud hi pata chal jaayega. Sorry di, Mujhe aap se chhupa kar ye sab karna pad raha hai, bas mai itna jaanti hun ki aap ko aur Jiju ko milane ke liye kal se behtar aur koi din nahi ho sakta." Said Revati.
She goes to the car and leave for their house.

=============================

P.S: I know that you all are waiting for AKSHAN'S first meet or you could say AKSHIYA'S (Akshat+Aliya) first meet😉. So it's waiting for you all in the next chapter. Till then is boring chapter se kaam chala lijiye sab. Sorry😬😬

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro