Chapter 9

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Next day deep and his team were ready to go for the mission, like you can say it was going to be a very big face off between Deep his team and Underworld mafia and a few corrupt politicians.

Arohi: Deep chalo

Deep: Chalo matlab, tum kaha jaa rahi ho

Arohi: Tumhare saath jaa rahi hoon deep

Deep: Kya, arohi mai koi picnic pe nahi jaa raha, tumhara mere saath chalna bohot bara khatra ban sakta hain, mere liye bhi aur tumhare liye bhi

Arohi: Deep khatra toh tab hoga jab tum mujhe yaha aakele chod ke chale jaoge, aur waise bhi maine movies mein dekha hai ki villain hero ko bulata hain par hero aakela hi chala jata hain, aur piche se villain ke gunde heroine ko kidnap kar lete hain, issiliye for my own safety mai tumhare saath chalungi

Deep: Aarohi yeh koi movie nahi hai

Arohi: Woh toh mujhe bhi pata hai deep, issiliye mai tumhare saath chalungi aur issi bahane meri puri documentary bhi complete ho jayegi

Deep: Tum pagal ho kya aise waqt mein bhi tumhe yeh documentary ki pari hai, tum kahi nahi jaogi aur yahi rahogi

Aarohi: Nahi mai tumhare saath jaungi and don't worry mujhe kuch nahi hoga

Deep: Woh mujhe pata hain, ki tum jiske saath bhi rahogi lekin hoga samne wale ke saath hi, tumhare saath nahi

Arohi: I hate u

She sat with a pout and sat in the car.

Deep: Aarohi

Officer: Sir hume derr ho rahi hai

Deep looked at his watch then an pouting arohi and let out a sigh. He was driving the car where Aarohi was looking outside, rest of the officers followed in other cars.

Deep: Dekho arohi please be careful aur idhar udhar math bhatakna

Aarohi: Offo deep! Tum toh aise bol rahe ho jaise ki mai koi baachi hoon aur tum mujhe school chod ne aaye ho

Deep: Mazak nahi hai arohi, tum

Aarohi suddenly gave a peck on his lips leaving him stunned.

Deep: Aarohi

Aarohi: Tumhe chup karaneka yahi ek tarika hain mere paas

Deep: Aarohi, drive karte waqt nahi

Aarohi: OK

Aarohi again looked out of the window, deep smiled recalling the kiss.

After some more time they reached the location it was like an not very old though a big bungalow............
They all got down his fellow officers joined him.

Deep: Aarohi tum ander nahi aaogi, bungalow yaha se thori duri par hain tum yaha vishal aur loveleen ke saath ruko gi samjhi

Aarohi nodded yes. While deep started moving with his team with earpiece in their ears to communicate to each other and guns in their hands.
And as they entered carefully firing started taking place, a goon came to hit deep while he punched him hard such that the goon fell on the ground bleeding from his mouth.

And slowly as it had started two or three politicians tried escaping while deep and one more officer caught them.

Politician: Dekho Acp hume jaane do, choro hume

Deep: Chorne hi toh aaya hoon, upar

Deep pointed gun at them while they got scared.

Deep: Jo paise garib baacho ko parhane ke liye diye jaate hain unhe aaplog bohot aachi tarah istemaal kar rahe hain

Politician2: Dekho ACP tum yeh galat kar rahe ho

Suddenly he snatched the other officers gun keeping him at gun point and laughing madly.

Politician: Aab kya karoge hume maroge yah iss inspector ko bachaoge

Deep: Encounter karunga, tum logo ka

The politicians smile vanished he shot at the inspector, but the gun turned out to be empty........... They got shocked. Deep smiled. The inspector caught them.

Inspector: Sir aapka idea kaam kar gaya

Deep: Mujhe pata tha tumlog kuch aisa hi karoge, issiliye maine suhash ko pehle se ek khaali gun deke rakha tha, toh kal ka headline suno ek inspector ko marne ke chakkar mein do corrupt neta maare gaye

Saying this deep shot them both. Their was continues firing going on when deep suddenly got a call.

Deep: Aarohi tum pagal ho kya, iss waqt kyu phone kar rahi ho

Shera: Teri laila mere kabjhe mein hain aagar aapni laila ko zinda dekhna chahta hain toh chup chap garage aaja

Deep: Shera

Shera: Sahi pehchana

Deep: Dekh aagar Arohi ko kuch bhi hua toh

Shera: Nahi hoga, agar tu aagle dus minute ke ander yaha aayega toh

Aarohi: (screams, crying) Deep, de

Shera: Chup

Aarohi: Aaahhh

Deep: Shera! Aagar tune usse haath bhi lagaya na toh haath tor dunga

Shera: Dekhte hai

Deep hurriedly went outside to find vishal and loveleen lying unconscious. He hurriedly reached garage, being careful and searching for Aarohi.
Suddenly his eyes felt on Aarohi who had her back faced towards him, she was standing all OK.

Deep: Aarohi

She turned to him but her expression was as if she already knew he was here.

Deep: Aarohi maine mana kia tha na tumhe yaha aane se phir bhi tum

Aarohi: Lekin tumhe yaha nahi aana chahiye tha deep

Deep: (confused) Kya. Kya matlab

Suddenly someone hits deep's head very hard from behind, he holds his head in pain, he turns back and finds Shera with Minister RamKishan (who is shera's father) standing with more goons. Aarohi looks at deep relaxed.

Deep: Aahhh

Ramkishan holds deep by his collar.

Ram: Dard ho raha hai, mujhe bhi hua tha, mujhe bhi hua tha jab tune........... tune mere bete ka encounter kia tha, beta mera beta Boss

Deep looks at him but at Aarohi confused.

Ram: Kuch yaad aaya

Shera: Usski taraf kya dekh raha hai, oh kahi tu yeh toh nahi soch raha ki yeh aise kyu hai, aabe woh toh kidnap huyi bhi nahi thi, woh toh tujhe yaha bulane ke liye humne ek chota sa natak kia baas

Deep looks at Arohi shocked, who smiles.

Ram: Kya hua yakin nahi ho raha hai, aacha thik hai ussi ke muh se sun le. Batao

Aarohi bend to deep who was lying in the ground.

Aarohi: Yeh sahi keh rahe hai deep, sorry lekin mai koi discovery channel se nahi aayi hoon, aur nahi mujhe koi documentary banana hain, mujhe toh inn logo ne veja tha taaki tumhare upar 24/7 nazar rakh saaku aur tumhare mission ke updates inko deti rahu

Deep looked at her shocked.

Shera: Haan aur jaanta hain humne iss larki ko kyu chuna, kyuki gazab ki sundar hain yaar, aur hume pata tha ki tu jaisa hain yeh jaisi hain, tujhe phasane ke liye zada waqt nahi lagega iss, (laughs) aur sala aisa hi hua, pyaar mein pargaya yeh. Isske liye bhaagta hua aagaya

They all laugh, deep looks at arohi who too smirks.

Deep: Aarohi yeh sab, yeh sab jhooth haina, tum kisi ke kehne par majboori mein yeh sab kar rahi hona, bolo arohi

Aarohi: Nahi deep, trust me. Mai bilkul aapne hosh aur aawaz mein yeh sab keh rahi hoon aur woh vishal aur loveleen ko bhi maine hi behosh kia tha

Shera: Aae bohot ho gaya re, maaro issko

They all circle deep and starts hitting him, deep too fights back but he was too weak, first he got hurt in his head, second aarohi had betrayed him which he was finding very difficult to believe.

Deep: Aarohi please kaho ki aisa kuch nahi hai, please. Aarohi jo waqt humne bitaye the woh sab jhooth nahi tha, haina please, kaho Arohi

Arohi looked at him relaxed he was not even able to stand properly, he was bleeding from his head, nose, mouth.............. Finally deep fell down.
Ram squeezed his hair.

Ram: Dekha kitna dard hota hain, mujhe bhi hua jab mere bete ki jaan gayi

Deep: Woh ek criminal tha, tu bhi hai

Ram: Chup. Khatam hogi teri kahani, aabhi

Shera and Ram takes guns but stops.

Ram: Agar hum isse marenge toh isse zada dard nahi hoga, lekin agar isski laila isse aapne hi haath se maaro toh

Shera gives a gun to Aarohi.

Shera: Chal aakhri goli teri hogi

Deep looks at aarohi with teary eyes while she points the gun at him.

Ram: Sun seedha seedha dil mein goli utarna, hahaha, mujhe tab shaanti milega

First Ram shoots at Deep in his leg, then shera in his stomach, blood comes out from his mouth. And last Aarohi points at him near his heart.
Deep looks at Aarohi with tears coming out from his eyes.

Deep: Aarohi

Aarohi: Bye deep

And with that she fires and all his shirt becomes red, he falls there lifeless. Ram and Shera shout and scream in happiness.

Ram: Dekha mujhse ulazne ka ilzaam teri baab ka bhi yahi haal hua tha seedha upar gaya tha woh. Aur tu bhi

Shera: Good job

Arohi smiles and they all leave the place with deep's body there.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro