Part 3

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Ase hi din gujar te hai Neil Avni ki bare me soch rehta hai or Juhi Vidyut usse tease karte hai.

One day

Juhi: dada mujhe na boudi ki tasveer nahi mil rahi hai tune dekha hai kya?

Neil: aa ab mu mujhe kio puch rahi hai acche se dhund mil jaye gi. Mein kya tujhe chor dikhta hu..

Vidyut smile

Vidyut: sale sahab ho ne wali biwi ki tasveer rakhne se koi chor thodi na hota hai.

Neil: ki kis kisne bola ki unki tasveer mere pass hai.

Juhi: wah bhai wah.. Unki???

Neil: haa haa to.

Vidyut: kuch nahi sale sahab.

Juhi: asse tasveer kaha gayi..

Neil: dusre kamro me dhundh. Yaha kuch nahi hai.

Juhi: dekh leti hu na dekhne me kya jata hai.

Neil: mujhe padna hai. Kal se pariksha hai meri. Padne de mujhe. Ja yaha se.

Vidyut: sale sahab padai me aap ka maan lage ga?

Neil: ha kio nahi?

Vidyut: nahi mein soch raha tha ki aj kal maan kahi or hi hoga.

Neil: jija ji. Aap dono aab jaiye yaha se.

Neil dono ko bahar nika deta hai or door band kar deta hai. Phir Neil ak kitab leta hai or kholta hai. Uss kitab mein Avni ka tasveer hota hai.

Neil: tumhari tasveer jab se dekha hai hamesha sirf tumhari tasveer dekhne ka maan karta hai. Issi liye to baba ki kamre se tumhari tasveer chupa ke laya hu. Neil ab yhe sab chor or padai pe dhiyan de. Ager pariksha kharab huya to puri umar tasveer hi dekh na pare ga. Shadi bhi vul jana pare ga.

Phir Neil dusre kitab leke padai karne lagta hai.

Dusri taraf

Preeti: aj ki khana tumhe banani hai, Misri(Avni ka nick name)

Avni: kio boudi(bhabhi)

Neela: kio ki kuchi dino me tumhari shadi hai.

Avni: par maa baba ne to bola tha ki mujhe jada tar yaha hi rehna hai. To phir??

Neela: haa Avni. Par shadi ho rahi hai to khana banana to ana chahiye na.

Avni: par maa mujhe meri saheli se milne jana hai.

Preeti: aj tumhe khana banana shikhna hai. Baad me chali jana.

Avni:thik hai.

Preeti Avni ko mashala dal sare chij ki pehchan karati hai.

Preeti: Avni chal ab khana banana start kar.

Avni: mein kaise?

Preeti: mein bolungi tu banaye gi iss se tujhe sab yaad rahe gi or baad me khana banane me aasani hogi.

Avni: thik hai.

Preeti batati hai or Avni khana banati hai.

Avni: uuffff. Ho gayi. Ab mein jati hu apni saheli se milne.

Preeti: misri ruk too..

Avni dour k chali jati hai.

Preeti: yhe ladki bhi na.

Neela: Preeti misri kaha hai?

Preeti: or kaha saheli se milne gayi.

Neela: or khana?

Preeti: khana bana liya ussne.

Neela: shukar hai kam se kam khana to bana liya..

Kuch der baad Avni aati hai.

Khane ki time

Neela: aj ka khana misri ne banayi hai.

Ashish: sach me bitto.

Avni: haa baba pata hai kitna mehnat kiya hai aj meine...

Ashish: mera bitto kit na kam karne lagi hai.

Neela: aap or aap ki bitto...

Phir sab log khana khate hai.

Avni ki kamre me.

Avni: boudi(bhabhi) aap ko pata hai dulha kesa dikhta hai?

Preeti: haa. Par kio?

Avni: meri saheli puch rahi thi.

Preeti: oo too saheli se ab yhe sab baatein hoti hai.

Avni: boudi(bhabhi) boliye na.

Preeti: teri dada ne tasveer dikhaya tha. Ladka dekhne me bohat sunder hai. Or pandit ji bhi bol rahe the ki ladka bohat accha hai.

Avni: too thik hai. Warna meri saheli mujhe bohat chirathi(tease).

Preeti: too bhi na. Ab thoda aaram kar le.

Avni: thik hai.

Preeti chali jati hai. Or Avni thodi der aaram karti hai.

Agle din.

Sham

Prakash: Neil tumhara pariksha kasa raha?

Neil: bohat accha baba.

Prakash: hmm dhiyan se padai karna.

Neil: ji baba

Shweeta: mera tillu kitna thak gaya hai. Jaa tu kamre me jaa. Mein Juhi se bolti hu tujhe khane ko kuch de degi

Neil: thik hai maa. Mein ja raha hu.

Juhi Neil ki khane liye jalpan(snacks) lati hai.

Juhi: dada pariksha me maan betha tha ki nahi?

Neil: tu jati hai ya maa ko bulau..

Juhi: ja rahi hu. Bas ak ber boudi (bhabhi) aa jaye phir tujhe bataungi.

Neil: ha ha ja.

Juhi chali jati hai Neil blush karti hai.

Din gujar te hai...

Asse hi Avni ghar ka kam shikhti hai or Neil ka pariksha hota hai. Shadi ki 5 din pehle Neil ka pariksha khatam hota hai.

😇😇😇
Here is the another part
Please ignore mistake

Take care
Stay safe
Thank you
❣️







25th August 2020

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro