BALUMAHI

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Unchahey rastey pe, unchahey waqt pe usey mohabbat hoi thi...

Balu's POV:

Mere liy zindagi hamesha se hi ek sawal rahi hai..! Zindagi khoobsurat hai,ek haseen khawab aur na janey kia kia..Aesi bhut si baten sun rakhi thi men ne aur hamesha ki trah in baton ne mjh par koi asar nahi kia tha. Yh baten meri nazdeek afsanwi baton se zyada kuch nhi thi. Men hamesha haqeqat pasandi par amada raha hoon aur kion na men amada hoon??. Zindagi ne mjhey dya hai kia hai takleef ke elawa. 5 saal ki choti se umer mn baap ka saya chin jana,Maa ka raton ko jag kar kam krna ke ksi trah hum apni zindagi guzar saken aur Maa ki wo mjhe parha lkha kar bara insaan bnaney ki zid. Men kabhi bhi nhi samajh pata tha unhen. Phr 18 saal ki umer mn jab phli khushi mjhey mili, Mein ne apne ziley(District) men phli position hasil ki thi. Yh sab meri maa ki mehnat ka nateeja tha lkin us waqt bhi zindagi ne mjhe kia dia? Dukh? Takleef? Sab kuch cheen liya.! Meri maa chin li mjh se. Mjhe yad hai men sari raat roya tha apni maa ki shafqat bhari ankhon ko dkhney ke ly lkin kuch nazar na aya sab kuch dhundla gya aur Subha ho gay. Wo tareek subha thi mere ly men us gaon ko chor kar a gya jis ne mera sab kuch lelya. Na janey kis trah mn lahore pohncha ya pohncha dya gya mjhe nhi maloom mjhe wo shaks dobara na mila. Phr wahi zindagi, dar dar ki thokaren. Men ek chotey se dhabey men kam krta tha jab wo shaks us dhabey men aya. Wo apney huliy se aur apne rawiy se muhazabana shaks maloom hota tha. Men apna order le kar jab lout rha tha to wo shaks english men ksi se phone pe bat kr rha tha aur shayad sath hi kuch dhondney ki koshish. Mjhe un ki kursi ke kareeb ek cheez chamakti hoy dkhi.Its there beside your chair, na janey kion men ne wo bat angrezi men kh di.

Us shaks ne mjhe baghor dkha us cheez ko uthaya aur meri traf aya. Mere barey men poocha aur shayad mjh par tras khaya ya ek aam se nokar ko heran ho kar dkha. Par jo us ke bad hoa wo mere ly heran kun tha. Aj men is mulk ka safhey awal ka business man hoon aur wo sab us insan ki meherbani hain jis ne meri mehnat ko dkha na key mjh pe taras kha key. Lkin aj wo bhi merey sath nhi. Men ek aesa insan ban gya tha jo bas ek kam krni wali machine tha aur kuch nahi. Lkin tab tak jab tak men mahi se nhi mila tha. Zindagi ko us ke nazary se nhi dkha tha. Zindagi us ki trah nahi jiya tha. Us ne mjhe jeena sikha dya tha ek unchahey rastey pe ek unchahey waqt pe mjhey us se mohabbat hoy thi.2 YEARS BACK:

THIRD PERSON POV:

Wo haseen subha thi, soorab abhi nikla nahi tha. Yh fajar ka waqt tha bhut pursukoon aur khoobsurat. Rastey sunsan they aese men wo sunsan sarak pe un pahari wadiyon ke beech paidal chal rha tha. Wo thaka hoa maloom hota tha. Wo ek pahar ke kareeb rukey kuch sochney par majboor hoa tha. Aur kuch der bad hi wo us pahara par charney laga tha. Ke achana mausam ne karwat li thi aur barish barasney lagi thi. Wo ab toh aur bhi ukta gya tha.

Mjhe yahan nahi ana chahy tha
I hate rains. Aur meri gadi ko bhi abhi kharab hona tha. Damn.!Wo gussey men barbara raha tha..Tabhi us ne ek massom si hansi ki awaz suni thi. Wo heran hoa tha aur dkhna chah rha tha ke wahan koi moujood to nahi. Awaz ke taqqub men wo wadi ki traf chal dya tha. Aur wahan pohunch kar jo us ne dkha tha wo ek khoobsurat khawab se kam na tha.

Balu's POV:

Wo ek aam si larki lag rahi thi. Bilkul masoom si ksi bachey ki trah ek masoom muskurahat. Wo wahan bachon ke sath khel rahi thi. Aur barish ko mehsoos kr rhi thi. Ankhen band kiy apni hi duniya men magan wo muskara rahi thi. Kia koi itna khush ho skta hai zindagi se? Mere sawal ne mjhey hi mushkil men dal dya tha. Aesa lgta tha ke mano us ki zindagi men koi gham hi na ho.  Mjhey us ek pal men hi us se mohabbat ho gay thi.
Men nhi janta tha ke wo kon hai kahan se ay hai bas me janta tha to itna ke mjhey us se mohabbat ho gay. Phli bat afsanwi baten sach lagi thi. Kia aesa ho skta tha?PRESENT:

Woh hospital ki lobby men betha hoa tha.
Tabhi kamrey ke darwazey ka khulna usey apney kahaylon se nikalney pe majboor kardeta hai.

Dr..? How's she now, mahi theek to hai,wo bari mushkil se khud ko sambhalta yh sawal puch paya tha haqeeqat janney ke bawajood.

Realx..!! Mr. Bilal she is better now but as usual her body is not responding to treatements and i will not give you any false hopes. I am sorry.!,yh khtey hi doctor agey chal di thi

Aur wo phr se ek bar toot gya tha wo bhut mushkil se mazboot rhney ki nakam koshish krta tha aut har bar toot jata tha tha,us ki umeed us ka hosla sab kuch toot jata tha sab kuch aj phir wahi hoa tha jo pochley 6 mahinon se hota a rha tha. Us din mahi ko wahan dkhney ke bad us ne us ke barey mn sab kuch jaan liya tha. Maa baap ki ekloti beti thi woh ek chotey se khandan se taluq rakhti thi. Wo us ka hath mangney chala gaya tha akeley kis ke sath jata aur kis ko le kar jata?Mahinke maa bap ko yaqeen dilaney men bhut waqt laga tha lkin shayad mahi us ke naseeb mn lkh di gay thi jo unki shadi ho gay. Wo bhut khush tha us din us ne khud se wada kia tha mahi ko khush rakhney ka us se mohabbat karney ka us ki izzat karney ka. Aur wo apna hara wada nibha rha tha. Mahi ko bhi us se mohabbat ho gau thi. Us ne mahi ke dhang se zindagi jeena shuru ki thi . Mahi ko apney maazi ka gawah banaya tha wo bhut roya tha us raat lkin mahi ki bahon ne usey sakoon dia tha. Us ne bhi ek aam zinfagi guzarana shuru ki thi ALLAH pe dobara bharosa kia tha aur us bar wo bharosa pukhta tha jo kabhi na tutney wala tha. Sab kuch sahi tha jab 6 mahiney phley us ne mahi ko behosh paya tha. Aur hospital aney par uspey yh haqeeqat afshan hoy thinke mahi Cancer ka shikar tha. Wo toot gaya tha. Lkin us ka bharosa nahi toota tha aur na uska yaqeen. Har bar har doctor aur treatement ka ek hi jawab hota tha. HER BODY IS NOT RESPONDING

Aj bhi wahi jawab tha wo aney waley toofan ki bhanak thi shayad. Wo apney ap ko sambhalta andar dakhil hoa tha jahan par us ki mohabbat aj bhi muskra kar uska intizar kar rahi thi. Wo kesi kar leti thi yh sab..?

Tum ne to mjhe dara dya tha mahi

Maaf kardo ab kabhi nahi daron gi,balu tum kahan they men tmhara kab se intizar kar thi thi

Wo naraz honey ka dkhawa kar gay thi

Men yahin tha bas wo doctor se bat kr rha tha. Tmhen pta hai doctor ne kha hai ke tum bhut jald theek ho jay gi.

Balu plz apney sath aesa mat karo,plz yh zulm na karo tum jantey ho sachai kia hai.Mahiii..!! Nahi mn koi sachai nahi janta tum theek ho jao gi bas. Tmhey theek hona hi hoga

Wo bas kh gaya tha ansoo dono ki ankhon mn a gay they...
Wo usey bed pe letey hoy galey laga gya tha.

Balu promise me..!! Tum bilkul bhi nahi roo ge aur bilkul bhu puraney waley walu balu nahi bano ge wada karo mjh se

Nahi men koi wada nahi kr rha,tum kahin nahi ja rahi...Men tmhey janey nahi doon ga.Wo ro gaya tha, shayad ab bardasht nahi krskta tha wo darad jo na janey kab se chupa kar rkha tha.

Balu plz aesa mat karo yh mere ly aur mushkil mat bnao. Tum jantey ho men tum se bhut mohabbat krti hoon yad rkhna mn kabhi tum door nahi hon gi. Men hamesha tmharey dil ke kareen hon gi tum hamesha mjhe apney pas pao ge.

Mahi plzz aesa mat karo..plzz

Wo iltija kar gaya tha aur aoni grift ko mahi ki gird aur bhi mazboot kar gya tha.

Balu yad hai wo box jo tum Oman se mere ly lay they. Wo meri fav book ke barabar mn rkha hai us men tmharey ly kuch hai. Jab mn tmharey pas nahi hon gi toh tum usko kholna.

Mahi plz.. i will die without you..Dont go..!! I cant live without you.
No balu.! You have to live for me. For us. Balu always trust on ALLAH. I LOVE YOU AND WILL ALWAYS LOVE YOU .

Us ne apni akhri sans men bhi us ke ly apni mohabbat ka izhar hi zaroori samjha tha. Wo chali gay thi par apna sab kuch us ko de kar gay thi. Wo apney janey ke bad bhi us ke ly apni mohabbat chorey gay thi.Wo chilaya tha wo janta tha apni mohabbat ka whaan khadi nurse bhi ansoo baha gay. Us ne us ke uper safed kapra dal dya tha. Wo chilaya tha jese manna na cahta hoa

MAHI..MAHI..MAHIII
AFTER 1 WEEK:

Wo roya tha us ke ly liy lkin Wo himmat nahi hara tha is bar us ne zindagi par koi ilzam nahi tahraya tha. Wo usey mehsoos krskta tha.

Wo us ki library ki traf barh rha tha. Us ki fav book ke pas hi usey wo box mil gaya tha. Wo kitab mahi ke ly sab kuch thi wo khti thi yh meri tmharey ly mohabbat ko byan krti hai. ME BEFORE YOU. Wo bhut larta tha us se aesi khanian prhne par.
Wo khat us box me rkha hoa tha.
Us ne prhna shuru kia tha

Balu, tum jantey ho mjhey tum se phli bar mohabbat kab hoy thi..

Wo sar na men hila gaya tha jese wo usnke samney khari hoJab tum baba ko apni mohabbat ka yaqeen dila rahey the. Men ne kabhi bhi nahi socha tha ke koi mjhe se itni mohabbat karey ga ke mjhey khud par rashk hoga. Tum wo phley aur akhri shaks ho jo meri zindagi men ay ho.
Jab yh khat tum parho ge to men tum se bhut door ja chuki hon he par yad rkhna men hamesha tmharey pas hon har jaga har moqey par. Bas jab bhi meri yad ay apney dil par hath rkh lena tum mjhey wahin paon ge. Tmharey pas. Tmharey ly.
Merey janey ke bad mohabbat krna mat chorna apni mohabbat ko ksi aur ko dedena aur Men har faisley mn tmharey sath rahon gi....
Tumhari mahi..❤

AFTER 10 YEARS:

Smander ke kinarey wo un do logon ko smajha raha tha kuch. Aur bilakhir wo man gay they.

Wo khush tha aj wo apney dil par hath rakhey shayad mahi ko mehsos kr rha tha

Mahi men nahi roya men nahi toota. Aj men ne ek aur rishta jod dya unhen alag honey se bacha lya. Tum ne mjhey apni mohabbat ksi aur ko deney ka kha tha men ne wahi kia. Men apni mohabbat har Alag hotey hoy humasafar ko dedeta hoon. Aur apni mohabbat ko aur badhta hoa mehsos krta hoon. Mere dil men tmhari jaga koi nahi le skta kou nhi. Tum hamesha meri raho gi aur men tmhara. Maut ne humen alag zaroor kia hai par hum milengey...wahan jahan mauat ka bhi bas nahi chalta. I LOVE YOU MAHI. I WILL ALWAYS LOVE YOU.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro