PART 31🖤

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

HAPPY READING

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

So the next scene starts from a new morning in rathore mansion kartik was the first one to wokeup he got freshen up and was combing his hairs in front of mirror his eyes were all red naira's sleep broke and she sat on bed she was about to talk to kartik when there was a knock on door she grabbed her dupatta and kept on head and kartik opened the door it was swarna and manish

Kartik:maa papa aaplog itni subah subah yaha
Manish:kyu hum apne bete ke kamre mein nahi aa sakte
Kartik:nahi papa aisa kuch nahi hai aaiye

Manish and swarna sat on couch

Manish:kartik beta kuch puchna chahte hai
Kartik:ji papa puchiye
Swarna:kartik tumhe koi tension hai kya beta koi takleef kuch bhi
Kartik:nahi maa aisa kuch nahi hai par aap aise kyu puch rahi hai
Manish:chalo jyada nahi ghumata hu sidha puchta hu beta tumne kal drink kyu kiya tum toh kabhi drink nahi karte shubham ko bhi dat te ho drink karne par toh kal achanak se tumne drink kiya beta sab thik toh haina
Kartik:haa papa sab thik hai aur vo toh main kal bas trykar raha tha drink
Swarna:drink bhi koi try karne wali chizz hai beta pata hai kal rat hum sab kitna pareshan hogaye the khas karke naira beta aage se aisa kuch bhi try mat karna samjhe
Kartik:pareshan par kyu maa maine kuch tamasha kiya kya maa
Manish:nahi tum tamasha karne ki halat mein nahi the bukhar se tap rahe the doctor ne injection diya aur bataya ki tumhe drink se allergy hai so ab aage se chuna bhi mat
Kartik:injection mujhe
Swarna:ha aage se please aisa kuch mat karna beta please apna dhyan rakha karo
Kartik:ji maa
Manish:acha swarna hame chalna chahiye
Swarna:jii naira beta tumbhi jaldi fresh hojao aur nich aajao
Naira:ji maa

Then swarna left the room kartik was also about to leave the room but naira stopped him

Naira:kartikji rukiye mujhe apse kuch bat karni hai
Kartik:bolo
Naira:ye konsa tarika tha kartik ji aapne drink kyu kiya aapne maa se jhooth bol diya par mujhe pata hai iska reason main hu kyu nahi bataya aapne unhe kyu jhootha dikhawa kar rahe hai meri care karne ka mujhe protect karne ka jab ki mann mein toh aisa kich hai hi nahi bas bacha milne wala hai isliye aise pesh aa rahe haina
Kartik:naira!! bolne se pehle socho toh sahi kya bol rahi ho aur tum aisa kyu sochti ho ki main ye sab bache keliye kar raha hu mera care karna koi dikhawa nahi hai ek galti kardi maine tumhare sath bohot bura kiya par tum aise nahi bol sakti ki main bache keliye aise pesh aaraha hu arey main toh kabse tumhe mana raha hu jab iss bache ki aane ki new bhi nahi thi tabse mana raha hu bol raha hu galti hogayi maaf kardo nahi samajh aaraha tha uss waqt par jab akal aayi main apni galti sundharna chahta hu par tum manna hi nahi chahti
Naira:kaise karlu aapki baaton pe bharosa kartik ji ki aap sach mein badal gaye ho kaise main nahi karna chahti aapko hurt nahi dena chahti takleef kyuki main aapke jaisi heartless nahi hu par fir bhi main aapko maaf nahi kar pa rahi hu dar lagta hai har waqt ki agar aapko maaf kardiya aur aap fir badal gaye toh main kya karungi kartik ji
Kartik:(holding her from arms soflty)bharosa karti ho mujhe pe
Naira:(crying)karna chahti hu par nahi kar pa rahi
Kartik:(teary eyes)pehli aur aakhri bar karlo mujh pe bharosa please naira ek pehli aur akhri baar main wada karta hu koi shikayat ka mauka nahi dunga,main tumhe main sach mein gayu ke dhokhe mein pagal hogaya tha sahi galat kuch nahi samajh pa raha tha main please
Naira:aur agar ye bharosa tut gaya toh kartik ji tab kya karenge hum dono
Kartik:nahi tutega naira main nahi tutne dunga please ek bar maaf kardo please
Naira:maine aapko maaf kiya kartikji please mera ye bharosa mat todiyega warna main tut jaungi firse aur dubara jud nahi paungi
Kartik:main wada karta hu main apna wada jabhi nahi todunga main hamesha tumhara aur hamare bache ka sath dunga kya tum mere sath apni nayi zindagi start karogi naira
Naira:ji
Kartik:toh hum iss naye rishte ki shuruwat kaha se kare
Naira:dosti se
Kartik:dosti se
Naira:dosti se bharose ki neev banti hai kartik ji aur jab hame hamara rishta majbut banana ho toh hame uski neev bhi majbut banani padti hai aur dosti se badi bharose ki koi neev nahi hai
Kartik:thik hai fir aaj se kartik rathore aur naira rathore pati patni hone se pehle ek ache dost hai jo ek dusre ke har gam har takleef mein sath honge bhale khushi mein shaamil ho na ho
Naira:ji ye dosti jay aur veeru jaisi hogi aap jay aur main veeru atoot dosti
Kartik:hamari dosti!! 

And they hugged each other and screen frozed on thier happy faces

•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○•○

So how was this chapter guys i know it was quite boring

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

Precap:kaira's happy 1st trimester journey starts!!

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

Do read vote n comment!!!

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro