Icecream

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Preeta was standing near the gate of the office when it started drizzling.

Her mood cheered up and she was rubbing her shoulders because of the cold breeze.

Karan covered her with his jacket.

Karan: Kya kroga main tumhara Preeta...

Preeta: Mera tumhe kuch krne ki zaroorat nhi h chomu... Pehle toh apni yeh jacket hatao... Yaha koi movie nhi chl rhi h kii tum mujhe jacket donge aur piche se dancers aajayenge aur vo konsa music hota h... La.. La.. La..

Preeta gave him his jacket.

Karan: Kya kro main tumhara..

Preeta: Phir vohi sawaal... Ab puch hi rhe ho toh batadeti hu... Meri thodi tareef kro chomu..

Karan gave her an unbelievable look.

Preeta: Vse ek aur kaam bhi kr skte ho... Mujh pr thoda rehem khao... Aur yeh jo workplace abuse tum mere saath kr rhe ho na... Use band kro.. Mtlb mujh jaisi bholi ldki ko sataate ho... Sharam varam aati h yaa nhi..

Karan: Kitni badi nautanki ho na tum..

Preeta: Ha... Tumhe pta h meri na second job preference acting hi thi... Lekin shayad tumhari kismat achi h, jo main bollywood ki jagah tumhare iss sade se office m tumhe jhel rhi hun..

Karan was about to say something but she screamed...

Preeta: Chomu... Vo dekho..

She pointed towards an icecream truck.

Karan: Preeta baarish ho rhi h... Thand h..

Preeta: Iss vishesh suchna ke liye tumhara haardik dhanyavad... Par aankhein h mere paas... Mujhe dikh rha h..

Saying this, she ran towards the truck. Karan followed him.

Karan: Tum bahut badi psycho ho..

Preeta: Dekho bajarbattu... Mujhe underestimate mt kro... Yeh tumhari zindagi ki sbse badi galti hogi..

They reached the truck.

Karan placed the money on the counter.

Karan: One vanilla and one chocolate..

Karan: Meri treat... Aaj monisha ne tumhari insult kii... Uss ki apology smjhlo..

Preeta: Sach batau... Agar tum itne chomu nhi hote na toh tum typical husband material ho..

Karan(sarcasm) : Aur tum mein toh wife banne ki saari khoobiyan mujhe already dikh rhi h..

Preeta: Vohi toh... Yehi problem h... God ne mujhe perfect banadiya.. Issi perfection ki saza mil rhi h mujhe... Nhi toh mujh jaisi sundar susheel (karan widened his eyes) khubsurat ldki ko koi shaadi k liye na puche... Impossible..

Karan started laughing. Preeta smiled seeing him laugh.

Both of them didn't know that this was just the beginning of their journey.

Karan dropped Preeta to her apartment.

Next day,

Karan by mistake entered a wrong office.

Karan: Oh sorry...

But then he turned to look at Preeta standing at desk arranging some files.

Karan: Preeta.. Tum..

Preeta: Good morning Bajarbattu...

Karan: Tum yaha kya kr rhi ho..

Preeta: Tumhari company ki seva..

Karan(shocked) : Yeh mera office h..

Preeta nodded.

He looked at his office. The office that had only grey and white shades was now colourful with wall arts. His cabin was in mix shade of white and blue.

Karan: Preeta... Yeh tumne kya kiya..

Preeta: Tumhari zindagi.. I mean tumhare office m thode rang bhare h..

Karan: Tum ne yeh sb.. Kb..

Preeta: Mne kaha tha tumhe don't underestimate Preeta Arora, tumhari zindagi ka sbse bura decision hoga yeh... Aur yeh sb mne khud paint kiya h kal raat se aaj subah tk..

Karan: Par..

Then he saw her approaching a painting.

Karan : Preeta... Vo painting nhi..

Preeta: Kyu nhi... Tumne apne office m Mona Lisa ki painting lga rkhi h... Aur vo bhi centre m... Aisa lgta h kii ek maa apne shararti bacho p nazar rkh rhi h...

Karan: Mona lisa is an art piece.... Aur vo bahut expensive h... Original na hone ke bavjood...

Preeta: Tumhe art piece ki kya zarurat h... Duniya ka sbsa bda master piece toh tumhare saamne khada h... Preeta Arora... Aur vo bhi zinda aur original...

Karan slapped his forehead.

Preeta: Chomu... Trust me.. Tum yeh painting hata do... Phir dekhna tumhare office m kya super speed se kaam hota h...

Karan: Jo krna h karo...

He went to his cabin. He admired her choice. She really made his office look more lively and added a charm to it.

Karan(in mind) : Ye ldki bhi na... Pta nhi bhagwan ne kya sochke issko banadiya... Aur sbse badi baat meri life m bhi bhejdiya..

Preeta came to his cabin.

Preeta: Aur chomu... Ksi rhi tumhari subah...

Karan: Kya..

Preeta: Mne kuch aisa kaha kya, jo tumhe samajh nhi aaya.... Ruko.. Phir se kehti hu..

Preeta(shouting) : Tumhari...... Subah..... Ksi... Thi...

Karan: Miss Preeta Arora sun gya tha mujhe... Usually, koi mujhse aise sawal puchta nhi h na...

Preeta : Yeh mere sawal ka jawaab nhi h... Kher mne sab projects complete krdie h.....Files are on your table...

After sometime,

Karan was working when he got a call...

Karan: Hello, who is this?

Preeta: Chomu..

Karan: Preeta, tumhe mera personal no. Kse mila..

Preeta: Mandbhudi insan... Kitaabo se kuch nhi hoga... Common sense ki shortage nhi jayegi usse..

Karan: Ab bologi...

Preeta: Tum mujhe kis baat k paise dete ho...

Karan(shocked) : Tumne mera phone hack kiya....

Preeta: Jii nhi... Insta account hack kiya... Kher main tumhe yeh bata rhi hu kii apne storeroom m do teen workers bhejo... Iss room ka kabadkhana bana hua... Isse saaf krwao..

Karan: Okay....

He smiled at her antics.

Preeta: Chalo chomu ne smile toh kiya..

Karan: Toh..

Preeta: Thank u toh tum bologe nhi... Ego jo itni badi h... Main hi boldeti ho... Good job Preeta... Tune chomu ka mood thik krdia..

Karan: Tumhe kse pta... Mera mood kharab tha..

Preeta: Koi bhi ek simple se que ka jawab dene m itna time nhi lagata h... Jitna tumne mere... Tumhari subah ksi thi... Ka jawab dene m lga diya...

Preeta cut the call.

Preeta(in mind) : Kya main chomu ke saath flirt kr rhi thi.... Nhi... Preeta Arora.. Leave it..

She was coming to the ground floor when lift stopped.

She came out of the lift by calling her collaegues.

She immediately went to Karan's office..

Preeta: Chomu..

Karan: Yes babydoll..

Preeta: What... Babydoll..

Karan: Ha... Ab se jb jb tum mujhe chomu bulaogi... Main tumhe babydoll..

Preeta rolled her eyes.

Preeta : Whatever..

Preeta: Main tumhe yeh batane aayi thi kii... Apne mental status ke saath saath apni lifts bhi thik krao... Mujhe pehle bhi yeh baat bolni thi... Par vo naagin I mean Monisha apna sugarcoated muh uthake tumhare saamne aa gyi thi...

Karan: Preeta... Language..

Preeta: What language... Abhi toh mne kuch bola hi nhi... Aur tum pehle chup chap suno..

Preeta: Please apni in lifts ko thik krao... Mere paer dukh chuke h sidhiyaan chd chdke.. Tum na apna yeh workplace abuse band kro... Itna kaam krato h... Exercise ke naam p stairs chdwate ho... Aur toh aur lunch break ke time pr bhi mujhe aise ghurte rhte ho jse main na jaane kitna kha rhi hu... Yeh atyachaar band kro... Chomu... Band kro...

Karan: Okay babydoll...

He smiled. She was shocked, confused.

Precap

3 months leap

***********************
1200 words ka h appi ek baar kaam chla lo... Baaki ffs bhi likhni rhti h...
SyEdaZaiDii Sorry for short❤️💕💖💞

Comments kro... Vrna main nhi krti upload🤐

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro