12.Achha chalta hu🤗

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Bismillah 💕

Par use kya pta tha agli subah naya rang lekar aarahi hai jaha judaai hogi ...jaha duri hogiii...

Wo murshid sahab ke saamne betha tha unhone sakhti se kaha tha sirf jazib se baat karni hai..

Use dekh ek aankh se aansu bhegaya .. Jise dekhkar wo tarap gaya ..yeh wahii abbu the jo yaha bolte toh awaaz pure ghar mein gunjti aur bebas lachaar...

"Abbu nahii jab main hu toh koi pareshaani nahii.."

Muskuraye "beta kal jo phone aaya tha..."

Haath chume "kaun sa phone?"

"Beta jo sunn mere dil mein dard hua tha.."

"Kyaa abbu?"

"Beta ..mill mein aag laggayii tera baap khade khade sadak par aagaya.. Sambhalle beta apne baap ko sambhaalle..."

Iss par dang reh gayaa phir sambhalkar muskuraya

"Abbu jab main hu toh darr ki koi baat nahii ..sab sahii karduga yeh waada hai mera.. "

Wo muskuraaye khud pyaar karta hua bahar nikal gaya..

Aur bahar aakar kisi ko naa dekha kone mein jaakar tezz rodiyaa phir sambhla ..

Phone nikala " hello usama bhai ... Main bahut pareshan hu main aapse milna chahta hu..."

Aur udhar usama jaha bhi zaruri kaam mein tha ..sab chorr jazib ke saamne tha puri baat sunn dono mill gaye jaha pta laga bohot badi rakam lagegi ...

Dono pareshaan bahar aae ..

Usama bola "iskeliye loan lelete hai..."

"Aur loan utarega kaun?"

Wo muskurakar bola "main aur kaun?"

Usne haath thaame " nahii bhaiii... Aapne yeh kehdiya kaafi hai..."

Muskuraayaa " yaar yeh naa bhulo ... Abbu ke do bete hai "

Muskuraya "nahii bhai ...aap wakai bade bete hai... Par hum haqeeqat se muh nahii mod sakte ..aap farzana aunty ke iklote bete hai upar se nabiya aur ab ibaad bhii ..main jaanta huu aap uff bhi nahii karege sab khud par jhel lege par ab yeh waqt hai main kuch karu... Abbu se maine waada kara hai bhaii.. "

Kaandhe par haath rakhkar puchaa "phir kyaaa karoge??"

"Bhai pata nahi ...koshish... MBA job lagne mein abhi waqt lgega .. Iss naukri se toh mahine ka pura kharch bhi nahi hota loan kya utrega.  ..ghar ke alwa koi property bhi nahi hai.. Abbu ko tension nahii de sakta.. Par main apni saari takhat lagakar puri koshish karugaaaa..."

Wo muskurayaa" main tumhare saath hu ... Filhal main loan ke liye apply karta hu ..mill ka kaam nahi rukna chahiye.. Aage allah malik hai.."

Haa mein sir hilakr gale laggaya toh wo bhi sir thapakta raha...

>>>>>>>>>>>>>>>>>°<<<<<<<<<<<<<<<<<

Ghar pahuchkar ek minute ko chain nahii tha.. Har taraf se naa umeedi aarahii thii...

Wo dil se allah ki madad maang raha tha aur uss pal allah ne sunlii...

Jab uska phone baja..........

"Hello...ahmed!!!"

" haa yaarr jazib maine goodnews dene ke liye call kii hai..mom.dad ko unki bahu bahut pasand aayii hai ab in sha allah next month shadi..."

"Thats good..."

"Thats good ke bachhe ...tu aaraha hai abu dhabi.."

" nahii ahmed yeh possible nahii hai...".

Chauka " kyuuuuuu???"

" baat darasal yeh hai..ki.............."

Purii baat bata deta hai.......

"Relax jazib B tu definitely abu dhabi aaraha hai.  .."

Jhallaya " kyaa??"

"Haa maine tujhe pehle bhi offer diya tha.... Ab bhi deraha hu meri firm mein tujh jaise sharp minded logo ki bahut zaroorat hai.. Rehne ki fikr na kar mera ghar tera ghar ... Mera office tera office...
Phir yehii se MBA job ke liye try karta rahiyo ... Jo rakm tu bataraha hai uske liye 6-7 lagege ..par agar tune behadd mehnat ki to 4-5 mein bhi kaam hsakta hai... Phir wapis chala jaio i know tere gharwale tujhse durr nahii reh sakte ... "..

Wo muskurata raha " thankyou ...yaar tune mujhe raasta dikha diyaa..."

"Ooo...cmon.  ...tune mujhe meri wife dikha dii..tit for tat ...visa ki fikr naa kar sirf ek hafta de sab intezamat karaduga..."

Pashemaan tha " yaar itna naa kar..."

"Shut up...abbu ke liye tere liye nahiii..."

Isspar muskurakar khuda hafiz kaha ...

Phone rakha aur yeh muskurahat khatam thi saamne benny ko dekhkar ...

Kyuuki isse duri ka khayal hii tang karne ke liye kaafi tha..

Par dil pakka karke bola " idhar aao.."

Muskurate hue paas aayi " kya hua ae jii?"

Yeh ae ji sunn pehli martaba hasa tha...

Phir tezz thaam sine se lagaliyaaa...

Boli " itne dino baad tune mujhe gake lagaya hai khud se..."

Bola muskurakar " dekho ab pichli buri yaadein bhuljaate hai...thik hai.."

Muskuraayii " thik hai.."

"Benafsha ek baat suno......"

Wo isi ko pehle puri baat batata hai...socha naraaz hogi ..pareshan hogii lekin wo khush thii....

Wo dang rehgaya uska reaction.dekh ...

Wo kehrahii thi...bahar jaakar log tarakki karte hai.. Aur wo uski tarakki mein sabse zyada khush hogii...toh itmenaan hogayaaa...

Nimra ne toh saaf inkaar kardiyaa jispar baat kholnii padii toh khamosh roti hui namaz padhne ke liye uth gayii...

Murshid sahab ne sir par haath phera aur khali ankho se dekhne lagee... Yeh wahii abbu the jo 8baje ke baad ghar se bahar nahi nikalne dete the aur aaj...."

Phir wo faiza ke paas gaya toh aankho mein aansu liye dekhti rahii " bete jo mere saath hua wo apni beti ke saath hota hua main nahii dekh paugii...."

" nahi chachi main benny ke alawa kisi aur se shadi karne ka tasawwur bhi nahii karsakta.. Aap yakeen rakhe jaise jaa raha hu lautuga bhi waise hii..."

"Beta mujhe aap par pura yakeen hai.. Par maa huna... Sirf isliye.. Lekin.  mujhe pta hai jazib shehzaad ki tarah behiss nahii hosakta aur naa hii benafsha meri yarah kam naseeb hogii.."

Wo muskuradiya aur unko seene se lagaliyaaa...

>>>>>>>>>>>>>>>>°<<<<<<<<<<<≤<<<<

Nimra  jaate jaate gale lagakar khoob royi... Nabiya bhi rorahi thi par faiza damaad ko jaata dekh bilkul khamosh thi....bilkul gumsum unme himmat j
Hi nahi thi aur dukh jhelne kii jazib samjh raha tha par wo kuch bhi toh nahii kehsakta tha...

Murshid sahab wheelchair par bethkar bete ko jaata dekh rahe the chupchap.. Jab jazib jaane se pehle aage jhuka toh sir par haath rakhkar phut phutkar rodiye...

Kaan ne bole " shehzaad ko roliya mujhe pta hai jazib ko nahi rounga.."

Toh pehli baar baap ki peshani chumli jii abbu kehkar...

Usama aur benafsha airport chorne pahuche the...

Usama documents ka kaam karane gaya..aur benafsha jo haath mein burger liye lautii ...

Toh ek behadd haseen ladki jazib ke gale lagii khadi thii...

Wo kuchh durri par rukh saamne ka manzar uljhan mein dekhne lagii thii...

Jazib ne benny ko dekh kar batana chaha "malika suno..."

Itlakar boli "nahii jazib ... Mujhe late horaha hai .. Aaraha hu na abu dhabi peeche peeche ... Jab baat karege ... Abhi bye take care.."

Muskuraaya "okay..bye.  malika ..jaldi aao bhayii dulhan bhi banna hai tumhe... "

Iss par haste hue chali gayii...

Benafsha jo uska yu gale lagna ..hasna dekhrahii thii.. Jame hue...

Jazib paas aaya uska cap sahi kiya " kyaa hua?"

"Yeh kaun hai?"

Muskuraya "dost thi... Office mein kaam karti thi mere..."

Bura muh banaya "ajeeb dost thi ..itna toh koi bhi nahi lipatta..."

Wo do minute dekhta hai .. Yeh ehsaas pehli baar saaamne se aaya tha par jaanta tha wo khud bekhabar hai ...

Narmi se bola "yeh nabiya ki tarah hai benny..."

"Hmmm... Wakaaii.. Nabiyaa ki tarah haseen hai.."

Wo samjhane ki koshish karta jabhi usama ne awaaz lagayii ...

Jazib bola " main abhi aaya ...tu kha.."

Wo bethkar khaane lagi....wapis aaya toh wo apna toh kha chuki thii ... Jazib ka bhi aadha nimta chuki thi...

Dekh muskuraya boli masoom bann..

" bahut tasty tha... Le aadha tu khaale ..."

Tezzz hasa "khaale ... Main khaluga yeh bhi itna ehsaan na karo benny..."

Bura muh banaya " main kehraha huna khaale...badiammi kehtii hai jhutha khaane se pyaar badta hai..hum dono ko khaanaa chaahiye ek dusre ka jhutha.."

Usne muskurahat chupayii kii jis baat ki akhal khud ko nahii hai wo kitni asaani se bol jaati hai...socha ki ladkii inn baato se kuch aur nahi mera jaanaa hii mushkil karrahi ho jabkii khud bekhabar ho... Kyaa bole jaarhi ho...

Jhatt se aadhaa khakar benafshaa ke muh mein rakhdiyaaa..

"Tumhara bhi pyaar badna chahiyeeee..."

Toh muskuraadii hasdiyaaa kee khudko kuch samjh nahii aya...

Phir haath thaam kar bethaaa " suno benafsha..."

Aankho mein dekha "haa ae ji bol"

Muskuraaya " jo ab main kehne jaaraha huu... Shayad tumhe samjh naa aae .. Par phir bhi sunlo..."

Muskuraayii " thik hai..."

"Sabse pehle toh waada karo chahe mujhe jitna bhi waqt lage waha .. Tum mujhse kisi bhi tarah se raabta nahi rakhogii..."

Shocked thi ekdum khadi hogyii " kyaaa..nahi main to roz phone karoongaa.."

" benafsha...mere liye bahut mushkil hojaega waha rehna agar hum roz baat karege..."

"Magar kyuu?""

Muskurakar bethaya" wo aakar batauga ... Abhi promise karo ki yeh baat manogi aur koi bhi mujhse tumhara zikr naa kare dekho please...."

Haath par haath rakha " yeh kesi ajeeb baatein karraha hai...par bachpan se aaj tak koi baat nahi taali jo yeh talugaa.."

Muskuraya " jo baat main kehne jaaraha huu uska shayad tum matlab naa samjh pao ...lekin sunn lo ...main jaise jaarha hu waise hii lautugaa tumhare liyee... Main kabhi daga nhi duga...allah ne humara saath likhdiya hai .. Jise main wafadaari se nibhauga...kabhi waswasa naa paalna dil mein..."

Wo pal mein aankhein jhukagyii ..dil mein koi drum bajaraha tha...aur iss drum mein tezi jab aayi jab jazib ne peshaani chumi..
"I m gonna miss you... Main aaunga benafsha bahut jald ...apna bahut khayal rakhna... Tum mujhe utna yaad nhi karogii ...jitna main karooga i know..par jab bhi yaad aae meri kamyaabi ki aur humare milne ki dua krna...i misss you"

Yeh kehkar gale se lagaliyaaa... Tabhi usama aaya " sorry to disturb you par announcement hogyi.jazib  ...its time to go..."

"Jee bhai.."

Muskurakar benny ka haath thama " achha ji chalte hai.."

Wo yuhii khadi rahi sir jhukae ..khud ne haath chora...usama ke gale laga..benny ke sir par haath phera..aur bina ek pal zaya kiye...imtehaan ki taraf chaldiyaaa...

Bina peeche mude...wo apne dil ko uss kamzor lamhe ki chapet mein nahii aane dena chhata tha...

FLasHbAcK ends Here
................  ....................💗.................... ...........

Wo yaado kii rail mein hii betha thaaankhein.band kiye..ki jhatka kyuki aeroplane land karraha tha...wo pure paanch saal baad apne watan apno ke beech pahuch gaya tha... Apne dil ke paas.....



Howazzat

So jazib is back

Ur favorite lamha of this chappy..

Ur favorite dialogue ..

Particularly kuch aur...

Xoxo

Take care..

Allah hafiz

Iqraf💕








Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro