"Episode 22"

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Mimi entered in the Farjaad's room, he was packing his bag and getting ready for visiting Landon. Mimi eyes widened, she was shocked to see him.

"Bhai! Ap waqai mein jaa rahe hain aur ap Umeed ko airport tak chorne nahi gaye" Mimi asked and complained, upset.

"Mimi! Mein jaa raha hun" Farjaad replied seriously.

"Bhai! Ap Umeed ko chorne kyu nahi gaye?" Mimi again asked, concerned.

"Bas Mimi! Wo khud jana chahti thi aur chali gayi" Farjaad replied normally, didn't explained.

"Acha! Iska matlab ap dil se raazi nahi hue" Mimi inquried sarcastically.

"Agar dil se razi nahi hota to ise rokta rehta aur milta bhi nahi" Farjaad replied confidently.

"Ap nahi mile wo ap se milkar gayi hai" Mimi stated.

Farjaad furrowed his eye brows, "jo bhi hai, agar chahta to shayad mein"

Farjaad was trying to spoke but Mimi interrupted, "Bhai! Mohabbat mein compromise hota hai, ap to zidd par utar aye hain" She said emotionally.

"Kya matlab?" Farjaad asked in heavy voice.

Farjaad sat on the bed, shook his head. Mimi sat beside him, kept her hand on his shoulder.

"Bhai! Umeed ziddi hai, pagal hai lekin ap to samjhdar hain naa, ap dil se razi hojate to shayad wo khushi khushi jati lekin ap ne sirf ise bye kehdia aur ise jane dia" Mimi tried to explained him.

"Meinay ise kitna roka, lekin wo nahi ruki, lekin meinay iske baad bhi compromise kia naa, aur meinay ise khud jane ki permission di hai" Farjaad replied, cleared himself.

"Bhai! Agar ap chahte to iske sath jaa sakte the lekin ap ne zid ki aur even sab ko is masle mein involve kardia, ap jab mohabbat karte hain to samne wale ki khushi mein khush hona bhi seekhen" Mimi scolded him in a bossy tone.

"Mimi!"

"Bhai! Umeed confess nahi karti lekin ap se pyaar to karti hai, zindagi mein mere Haya aur Sameer ke ilawa koi nahi hai jo ise support kare, jo iski baat ko samjhe lekin ap samjhte hain, isliye wo apke sath khush rehne lagi thi, mein janti hun ke ap Umeed ko apni mohabbat mein rok rahe hain, lekin ab khud bhi wohi kar rahe hain jo Umeed ne kia" Mimi complained.

"Meinay kya kia?"

"Ap bhi to jaa rahe hain aur wo bhi zyada time ke liye, jitna mushkil time ap yahan guzarenge, wo bhi apke jane baad utna tough time guzaregi, to ap mein aur is mein koi farq hi nahi raha, Umeed ne kuch galat nahi kia, ap khud soche agar apko apne office se related jana parta to kya ap nahi jate?"

"Jata lekin shayad wo rokti to ruk jata" Farjaad said confidently, closed his eyes.

"Rukjate ya apne sath leke jate?" Mimi questioned, tried to confused him.

"Han! Agar wo jana chahti to zaror lejata" Farjaad answered sadly.

"Oh! To ap Umeed ke sath jaana hi nahi chahte?" Mimi asked, smiled playfully.

"Mimi beta! Ap jo kehrahi ho wo mujhe samaj nahi araha" Farjaad said desperately.

"Bhai! Apka aur Umeed ka yahi masla hai, pehle ek dusre ke jaani dushman the to sahi se lar bhi nahi pate the aur ab jab ek dusre se mohabbat karte hain to nibhani bhi nahi ati" Mimi said, shook her head.

"Tum sahi kehrahi ho, mein khush nahi hun Umeed ke jane se aur na meinay permission di hai" Farjaad said worriedly, accepted his statement.

"Dekha! Pyaar karte hain to isliye chup chap jane diya, lekin jab pyaar karte hain to sath jana chaiye naa" Mimi advised him.

"Nahi! Mein nahi jaonga, teen mahine yun guzar jate hain" Farjaad took a decision.

"Acha! Nahi jana chahte fine, lekin atleast khushi khushi, best of luck keh kar ise jane ki permission to den" Mimi suggested meekly.

Farjaad glared at her with confusing look, the tears was filled in his eyes.

"Bhai! Wo shayad airport ke liye nikal gayi hogi, apke pass thora sa time hai sochne ka, dekhen bhai, agar ap Umeed se pyaar karte hain naa to koi farq nahi parhta ke ap kuch time ke liye alag rahen, kisi ko safar par naraz aur dukhi nahi bhejte, agar Allah na kare koi hadsa hogaya to sari zindagi ap khud ko maaf nahi kar paingay" Mimi stated nervously.

Farjaad eyes widened, this was the statement which made him startled for a second. His heart was beating on high speed when he heard her last lines.
"Agar Allah na kare koi hadsa hogaya to sari zindagi ap khud ko maaf nahi kar paingay"

"Bhai! Mein Umeed aur ap mein se kisi ko dukhi nahi dekh sakti, isliye ab ap faisla karen ke apko kya karna hai" Mimi advised, rushed out from the room.

***************

"Umeed! Tum dil se socho aur dimag se bhi ke kya tum Farjaad bhai ko naraz kiye bagair reh logi?" Haya asked meekly, wiped her tears.

"Nahi! Mein nahi reh sakti" Umeed said hesitantly and painfully, wiped her tears.

"Zindagi mein ham jise pyaar karte hain na to iski khushi mein khush bhi rehna chaiye, pehle apni baat manwane ke liye, samne wali ki baat ko mana parta hai" Haya advised and explained her.

"Han! Tum abhi chali to jaogi lekin sochlo, ye naa ho ke baad mein tum bht kuch khodo" Sameer added.

"To wo bhi saath nahi jaa rahe, mujhe rok rahe hain" Umeed whined like a baby.

"Kyuke wo tum se pyaar karte hain, tumhari fikar karte hain" Haya said smilingly.

"Umeed! Sochlo, tumhare pass abhi bhi waqt hai" Sameer added.

Umeed hugged Haya, Sameer hugged them both and tried to consoled her sister. He loves her so much no matter how they much roasting and fighting with each other.

**************

Farjaad immediately exit from the room and immediately walked towards the upstairs, Mimi glared at him and called him.

"Bhai ap!"' Mimi spoke gently.

"Mimi! Mein Umeed ke pass jaa raha hun" Farjaad said instantly.

Mimi smiled brightly, "Jaiye bhai! Agar wo chali bhi jaye naa to pehli flight pakar kar ap bhi dubai phonch jaiye ga" Mimi instructed like a boss.

Farjaad smiled and nodded his head, leaves from there.

****************

Farjaad sadly and depressingly came back to his home. Mimi was sitting in the longe, waiting for him. She quickly looked at him and stood up.

"Bhai! Ap Umeed se milen?" Mimi asked in curiosity.

"Nahi Mimi! Wo jaa chuki hai" Farjaad replied desperately, in dull voice.

"Bhai! Ap bas foran dubai ki flight book karwalen, ap bhi wahan phonch jaye" Mimi suggested.

"Han! Tum sahi kehrahi ho, mein dusri flight se foran niklonga aur apni Umeed ke pass jaonga" Farjaad agreed, walked up towards his room.

*************

He entered in the room, went for freshen up. He was feeling guilty and sad as he was missing her so much. He pouted, sat on the bed and started recalling their bunters.

He was regretting and blaming himself, he was realizing that he was wrong. He should supported her but now he decided to visit Dubai and surprised her, he loves her so much and missed her a lot.

He silently laid down, crossed his arms. Then he glared at their wedding photo which was hanged on the wall. He was thinking and smiling, he didn't knew when he fell asleep.

***************

The sky is absolutely breathtaking! The moon was shining as always, the stars were looking beautiful.

Farjaad was sleeping in uncomfortable poster and then he heard the knocking voices towards the window. He rubbed his eyes and stood up, he recalled the scenario when the robbers entered in their house.

He was alone but confidently walked towards the window, he opened the window and carefully rushed outside.

"Kon hai?" Farjaad shouted angrily.

There was full darkness in the lawn, suddenly the lights turned on. Farjaad startled, looked around. His eyes widened, legs were partially stopped working.

Yes! Umeed was here, she was smilingly raised her eye brows while leaning herself against the wall. She was holding a flower bouquet. She kept the bouquet on the table.

"Umeed! Tum yahan, tum gayi nahi?" Farjaad questioned surprisingly and shockingly.

Umeed came towards him, "Kese jati?" She replied innocently, pouted.

"Tumhare cafe ka kaam, wo deal?" Farjaad questioned, tried to spoke but he still can't believed that she is here.

"Meri koi bhi deal Farjaad khan bahadur se barh kar nahi hai" Umeed confessed meekly.

"Mujhe yaqeen nahi araha ke tum mere samne ho" Farjaad said, pouted.

"Itni selfish nahi hun ke apki feelings aur mohabbat ki qadar na kar sakun" Umeed explained him.

"Janta hun, isliye chahta tha je tum khud kaho" Farjaad said emotionally, tears were filled in his eyes.

"I am sorry Farjaad! Mein bht selfish hogayi thi, meinay apne khuwab ke liye apko bht naraz kia hai, mein to ye bhi nahi janti thi ke mere in dreams ko pora karne wale ap hain" Umeed expressed her feeling innocently.

Farjaad glared at her with confusingly.

"Mujhe pata hai, cafe ka arrangement apne kia tha, Haya ne sab kuch batadia" Umeed told meekly.

"Akhir tumhe pata chal bhi gaya" Farjaad said shockingly.

"Han! Lekin apne mujhe nahi bataya, ap chahte to apna ehsasn mujh par jata sakte the lekin ap ne aisa nahi kia, thora farz to mera bhi banta tha naa" Umeed expressed lovingly, wiped her tears.

Farjaad cupped her face, "Meinay koi ehsaan nahi kia, mein tumhare liye kuch bhi kar sakta hun" He promised lovingly.

"Wese! Ab ap bhi kahin nahi jaingay, mein apko Landon nahi jane dungi" Umeed commanded.

"Ab tumhe lagta hai ke mein tumhe chor kar jaonga?" Farjaad asked, tested her patience.

"Ap ka bharosa nahi hai" Umeed complained.

"Bharosa karlo, mein kahin nahi jaa raha" Farjaad promised.

Umeed smiled lightly, "ap mere har khuwab ka hissa hain, mujhe kuch bhi nahi chaiye, na koi deal, na koi cafe, mujhe sirf apka sath chaiye"

"Han! Wo to mein hun" Farjaad said, chuckled.

Umeed giggled, hugged him instantly. He hugged her back, more tightly wrapped his arms around her.

"Tum ho to sab kuch hai, tum se hi sab hai, tum nahi to kuch nahi" Farjaad confessed smilingly, dropped a soft forehead kiss.

"I am sorry!" Umeed apologized innocently.

He finally looked at her while broking their hug, "Kis liye?"

"Wo to pichle mahine time se meinay apka dimag kharab kardia tha" Umeed told.

"Pichle mahine se! Tumne to mere kab se dimag kharab kia hua hai" Farjaad teased her, controlled his smile miserably.

"Achaa!" Umeed narrowed her eyebrows, threatened him.

"Han! Wese acha hota ke tum chali jati, wese tum ruki kyu?" Farjaad added.

"Apki umar ka lihaz kia tha, ye na ho ke ap pagal hojaye, lekin ap ke sath lihaz karna hi nahi chaiye" Umeed scolded him.

She turned around, walked out towards the room. He shook his head joyfully, went behind her. She entered in her room, sat on the bed. They both finally glared at each other, Umeed gave an angry look and he pouted cutely.

"Agar mein chali jati naa, to at least apko ehsas hota"'

"Ehsaas hogaya hai, ek mahine jis tarah meinay guzara hai wo mein janta hun" Farjaad replied innocently.

"Bht filmy dialogue tha wese" Umeed teased him and chuckled.

"Mazak lag raha hai naa, ab mein bhi baat nahi karonga" Farjaad said in heavy voice.

He stood up and went towards the window, he crossed his arms and started looking outside, started pretending.

Umeed smilingly went towards him, hugged him from behind and wrapped her arms around his arms, kept her chest on his waist.

"Mazak mazak mein apki wajah se mere liye decision lena mushkil hogaya tha" Umeed said meekly.

Farjaad smiled, held her arms, "aur mujhe mazak mazak mein mohabbat hogayi" Farjaad confessed romantically.

"Mujhe bhi" Umeed replied.

Farjaad turned around, wrapped her in his arms.

"Lekin aj tak kaha to nahi" Farjaad complained like a baby.

"Kehne ki kya zarorat hai, mohabbat karne wale kabhi bhi aitraaf nahi karte" Umeed explained him cutely.

"Wese ek baat to mujhe samaj agayi hai"

"Kya?" Umeed questioned.

"Ke tumhare bagair mera guzara nahi hai" Farjaad told lovingly.

"Mera bhi!!" Umeed replied back, they smiled brightly.

He touched his forehead with her forehead, kissed softly and again hugged her tightly.

*****************

"To Be Continued🫶🏻"

***************

I don't want to end this suddenly so that's why, i will update epilogue🫶🏻

Also tell me, should i post epilogue on EID!

EID MUBARAK EVERY ONE❤️

May this eid bring happiness and prosperity in your life, stay happy and remember me in your prayers!

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro