"Episode 07"

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

The guest were arrived from the Pasha house, After sometime, Mimi also leaves for her home, all the family members present in the launch, sitting on the sofa.

"Umeed, tum batao tumhe Saim kesa laga?" Pasha Sahab asked.

"Baba, Saim bht acha larka hai lekin" Umeed replied but got nervous.

"Lekin kya?" Hilal Pasha asked.

"Chachu, wo kisi aur ko pasand karta hai" Umeed told them.

"Kya, ye kya mazak hai pehle wo rishta lekar aya aur ab tum kehrahi ho ke wo kisi aur ko pasand karta hai" Zeenat Ji said irritatingly.

"Chachi, wo rishta lekar apni ami aur abu ki marzi se aya tha, jab ham dono baat karahe the to isne mujhe sab kuch sach batadia" Umeed responded.

"Ye to bht achi baat hai ke Saim ne tumhe sach batadia" Haya continued.

"Baba, wo Maryam ko pasand karta hai, wese bhi apko pata hai ke Farjaad aur Reena ka rishta paka hogaya hai" Umeed told them.

"Beta wo larka bht acha hai, isne sach kaha hamare liye yahi bht hai" Pasha sahab said meekly.

"Han, agar wo tumhari dost ko pasand karta hai to is mein harj kya hai, tumhare liye rishto ki kami thori hai" Hilal Pasha said.

"Han aur meinay Saim se promise kia hai ke mein iski help karongi, ham dono ne dosti karli hai" Umeed told them happily.

"Lekin isne ye baat apne ghar walo ko batayi hai?" Zeenat Ji asked.

"Chachi, wo khud bata dega aur phir ye mamla khatam hojaiga, lekin ham sab ko Saim ki khushi mein khush hona chaiye" Umeed said confidently.

"Han beta, tum sahi kehrahi ho" Pasha Sahab said, agreed with her.

********

"Beta, agar tumhe Farjaad ki bhen Maryam mein interest hai to tum hamai pehle bata dete" Farooq Sahab said softly to Saim.

Saim and his parents were discussing while sitting in the launch.

"Baba, mein apko kal batane wala tha lekin ap ne sab ke samne Umeed ke ghar jane ki annocement kardi thi aur jab mujhe ye pata chala ke Maryam Umeed ki dost hai to meinay socha ke mein Umeed se directly baat karlun" Saim responded with smile.

"Beta, Umeed ko bura nahi laga hoga ke tum ise reject karahe ho?" Saima jee asked in concern.

"Nahi mama, infact wo to bht khush hogai thi aur mujh se promise kia hai ke Mimi ko convince karegi" Saim replied confidently.

"Ye to achi baat hai, to theek hai Reena aur Farjaad ki engagement par ham tumhare liye Maryam ka rishta bhi maang lenge" Farooq sahab said smilingly and agreed.

"Thank you baba" Saim said happily.

Reena came there and sat on the sofa.

"Sorry baba lekin mein nahi chahti ke Mimi is ghar mein aye" Reena interuppted annoyingly.

"Kyu, tumhe kya masla hai?" Saim asked.

"Mujhe Mimi aur Umeed dono pasand nahi hain, Umeed ke liye mein isliye maan gai thi kyuke wo bht masoom aur simple hai, wo aram se ap logo se dab jaigi lekin Mimi wo bht tez hai, mein nahi chahti ke wo is ghar mein aye aur ap sab ka dimag kharab karde" Reena explained them attitudely.

"Ham kisi ko dabane ke liye Saim ki shaadi nahi karahe hain, agar tum apni marzi se shaadi karsakti ho to Saim kyu nahi?" Saima Jee scolded her.

"Ek minute mom, Umeed aur Mimi dono bht hi decent aur samjhdar hain, isliye tum apne dimag se nikal do ke mein tumhari wajah se peeche hat jaonga" Saim said, threatened Reena.

"Theek hai, shaadi ke baad tumhe pachtana parega, baad mein shikayat nahi karna" Reena said confidently, stood up and leaves from there.

"Beta, tum kyu ise irritate karahe ho" Farooq Sahab supported her daughternmu.

"Apka bewajah laad pyaar ne ise bigad dia hai baba" Saim said and leaves from there.

*******

Umeed and Haya enters in the room relaxingly, sat on the bed.

"Umeed, mein ek baat kahun?" Haya asked.

"Hmm, kaho?" Umeed replied softly.

"Tum bht achi ho, infact tum sab se achi ho, tum dusron ki khushiyon ke bare mein kitna sochti ho, tumne jo Mimi ke liye kia hai wo shayad koi aur kisi ke liye nahi kar sakta" Haya said emotionally, appreciated her.

"Haya, meinay sirf Saim ki khushi ke liye is rishte se mana kia hai warna shayad mein haan kardeti aur dusri baat ye ke tum sab se achi ho" Umeed said softly.

"Umeed, jo log dusron ke liye acha sochte hain na to inke sath bhi hamesha acha hota hai, tum dekhna tumhari zindagi mein bht khushiyan aingi" Haya said lovingly, did a side hugged.

"Pata nahi, lekin kuch log apke dil se kahin dur nahi jate" Umeed said desperately.

"Umeed, tum Farjaad ko duon mein maangti ho?" Haya asked.

"Maangti thi, lekin ab sirf dua karti hun ke wo hamesha khush rahein, inhe wo sab kuch mile jo wo deserve karte hain, inke haq mein jo bhetar hai wo inhe miljai" Umeed replied with soft smile.

"Chahe wo Reena hi kyu na ho?" Haya asked surprisely.

"Han" Umeed replied confidently and smiled.

"Tum jitni mohabbat Farjaad se karti ho na itni koi nahi karsakta, mujhe to ye mohabbat nahi lagti, ise to ishq kehte hain" Haya said, held her hands tightly.

"Han, kyuke mohabbat to waqt ke sath khatam hojati hai lekin ishq hamesha rehta hai, chahe wo apka ho ya na ho" Umeed replied in soft tone.

"Tum dekhna, tumhe tumhari sachi mohabbat ka phal zaror milega" Haya said softly, Umeed hugged her tightly and she closed her eyes.

"Acha Haya, tum ab sojao sare mehmaano ke liye prepartions tumne hi ki thi, thak gai hogi" Umeed
said while broking the hug.

"Han, tum bhi sojao" Haya said, they both smiled. Umeed stood up and went towards her bed. Haya laying down, turned off the lamp and slept.

Umeed peacefully leaned her head against the bed She took out her diary from the drawer, took the pen from the pencil holder and started writing.

"Meri zindagi mein na jaane kitne log aye aur chale gaye, lekin koi bhi mere dil mein nahi utar paya, Saim bhi aya aur chala gaya lekin mein bht khush hun ke mujhe ek aisa dost mil gaya hai jise mein iski khushi dila sakti hun"

Lekin Farjaad meri zindagi ka wo khas aur gumshuda hissa hai jise koi pora nahi kar sakta, Farjaad ki Reena se baat paki hogai hai, maangni bhi hojaigi aur phir shaadi bhi hojaigi lekin mere dil mein inki mohabbat hamesha rahegi"

"Mujhe Farjaad ko khone ka afsos nahi hai lekin sirf is baat ka afsos hai ke kaash mein inhe gale laga kar apne dil ki baat bata pati, inhe kareeb se dekh sakti lekin shayad ab ye mumkin nahi hai, na mein ab inhe gale lagasakti hun aur na inhe dekh sakti hun"

"Haya ne kaha ke mein Farjaad se mohabbat nahi, ishq karti hun, shayad Haya ne sahi kaha hai kyuke mohabbat to waqt ke sath khatam hojati hai lekin ishq hamesha rehta hai"

"Shayad mein haar gayi hun, meri mohabbat har gayi hai, lekin mujhe aisa kyu lagta hai ke mein jeet jaongi, kese jeetongi pata nahi. Log kehte hain ke mohabbat sachi ho to miljati hai lekin kya meri mohabbat mein kami hai?"

Umeed closed her diary, again kept it inside the drawer. She closed her eyes, the tears were started falling from her eyes.

"Tu jaane naa,
Tu jaane naa,
Tu jaane naa,
Tu jaane naa...."

********

Next Day, the Bahadur house was decorated with flowers and fancy lights, today was the engagement day of Farjaad and Reena. The whole house was shining and lighting.

Umeed reached inside the Bahadur house, met with Niggo Ji and Shujaat Sahab, greeted them. She went to Mimi's room and saw that Mimi was getting ready, Mimi got excited and happy to saw Umeed, they hugged each other.

"Umeed, aj tum kitni pyaari lagrahi ho" Umeed appreciated happily, Umeed smiled.

Mimi was makeover in white lehanga, she was looking so beautiful and attractive.

"Thank you lekin aj ap bhi afat lagrahi hain, kahin Saim tumhe dekh kar behosh hi na hojaye" Umeed said jokingly, Mimi got shocked.

"Tum na thori sharam karlo, rishta tumhara aya tha, mera nahi" Mimi said, changed the compliment.

"Han to wo ab rishta khatam hogaya na, ham dono life partners to nahi lekin best friends ban gaye hain" Umeed told her softly.

"Matlab?"

"Matlab ye ke wo Saim tumhe pasand karta hai" Umeed said.

"Kya?" Mimi asked, got hell shocked.

"Jee han, wo apko pasand karta hai aur shayad aj apka rishta bhi maang lia jaye" Umeed said, smiled widely.

"Nahi nahi, ye tum kya kehrahi ho" Mimi said nervously.

"Mimi, is duniya mein mohabbat karne walon ki qadar ki jati hai, meinay Saim ki ankhon mein tumhare liye mohabbat dekhi hai" Umeed explained, tried to convinced her.

"Umeed, isne mujhe sirf pehli baar dekha tha aur ise mohabbat bhi hogai?" Mimi asked, still in the shocked.

"Han, mohabbat to pehli nazar mein hi hoti hai" Umeed said, again lost in her thoughts.

"Jese tumhe bhai se hui thi" Mimi said lovingly.

Umeed just nodded her head and smiled softly.

Lekin Mimi, tum Saim ke rishte ke liye haan kardena" Umeed advised her.

"Sochongi" Mimi replied softly.

Umeed started helping Mimi to get ready. Farjaad enters in the room, he was ready in white kurta shalwar, Umeed turned towards him and their eyes met for a minute.

"Bhai, ap tayar hogaye?" Mimi asked.

"Han, mein yahan tumse apna button lagwane aya tha, mere kurte ka button tut gaya hai" Farjaad said tensely.

"Bhai, ye kaam Umeed kar sakti hai, kyuke mujhe button lagana nahi ata" Mimi replied.

"Umeed, please button lagado" Farjaad requested to her with a puppy face.

Umeed smilingly nodded her head, went towards him. He extended his hand, Umeed took the button and started fixing it.

"Farjaad, ye button to kharab hai, koi dusra button nahi hai?" Umeed asked softly.

"Please tum ise fix kardo na" Farjaad said like a baby.

"Umeed, tum ek kaam karo meri drawer mein se dhaga nikal kar fix kardo" Umeed said while applied makeup.

Umeed went towards the drawer and took the thread, she again went to Farjaad and started fixing her button with the help of thread, Farjaad was lost in her for a second. Umeed looked at him, their eyes met. Umeed was focusely tried to fixed his button and finally she did.

"Hogaya" Umeed said happily.

"Thank you so much" Farjaad said softly, leaves from the room.

"Kal hi meinay socha tha ke kaash mein Farjaad ko kareeb se dekh sakti aur aj meri ye dua bhi qabool hogai" Umeed thought in her mind, got confused.

********

The guests were arrived in the Bahadur house, everyone were present in the lawn. Farjaad and Reena were sitting on the sofa happily. Umeed went to the stage and happily greeted Reena, Reena was normally met with her, they hugged each other.

"Congratulations Farjaad and Reena" Umeed said softly.

"Thank you Umeed, ab i hope ke tumhe bhi wohi miljaye jise tum mohabbat karti ho" Reena replied softly.

Umeed smiled softly, Mimi called her name and Umeed went to her.

"Umeed, ye Saim ka dimag kharab hogaya hai?" Mimi complained.

"Kyu, is bechare ne kya kardia?" Umeed asked.

"Mere liye gajrey lekar aya tha" Mimi replied, controlled her blushing.

"Ufff, how romantic" Umeed said and chuckled, Mimi slightly slapped on her arm.

"Ye tum kesi fuzool batein karahi ho" Mimi said angrily.

"Acha to tum gajrey phen leti na, wo tumhare peeche deewana hogaya hai" Umeed said meekly.

"Theek hai mein manti hun lekin ise kaho ke abhi to filhal lihaz karle" Mimi complained.

"Acha, theek hai mein ise jakar seedha kardeti hun, don't worry" Umeed said confidently.

Saim came there, "kise seedha karne ki batein horahi hain?" He asked in sarcastic way.

"Agar tumhe apni hadiyan nahi tudwani to meri dost ko tang nahi karo" Umeed warned him.

"Yaar, meinay to sirf gajrey diye the" Saim said, make a puppy face.

Mimi lightly blushed, went towards the stage.

"Tum Mimi ko tang nahi karo to zyada bhetar hai" Umeed said with smile.

"Acha sab choro ye batao ke ab tumhari shaadi kab hogi?" Saim asked frankly.

"Pata nahi" Umeed replied, lowered her glaze.

"Umeed, sach sach batao, kisi se mohabbat karti ho?" Saim asked normally.

"Meinay tumhe bataya tha, mein jise chahti thi wo ab mujh se bht dur ja chuka hai" Umeed replied, looked at him. Then, she looked towards the stage, the smiling face of Farjaad. She lowered her glaze desperately.

"Umeed, tumhari ankhon ne sab batadia hai" Saim said, got shocked.

"Kya?" Umeed said, looked at him.

"Tum Farjaad ko pasand karti ho?" Saim asked slowly.

"Kya bakwas karahe ho" Umeed said nervously, rolling her eyes.

"Ek minute, tum mujhe bacha samjhti ho tumhari ankhon mein wo mohabbat nazar arahi hai" Saim said meekly.

"Please chup hojao, bas kardo yaar" Umeed said tensely.

Saim was about to spoke but Saima Jee called him, he went from there.

"To Be Continued🫶"

What if Reena and Farjaad will married???

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro