CHAPTER 16

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Hello friends...

I'm back with the next part...

Enjoy reading the update...


FATE TWISTED BY LOVE

CHAPTER 16


That night one person slept with a smile on his face whereas the other one had made a strong resolve of staying away. When Sameer woke up the next morning, Naina wasn't in the room. He looked at the clock & it was already seven in the morning. He rubbed his eyes to check if he had seen the wrong time in his sleep, but to his dismay, it was really seven a.m.

He cursed under his breath as he remembered that he had forgotten to set the alarm at night. He rushed to the washroom & was ready in a super jet speed. When he came out after his bath, he saw that Naina had as usual taken out his clothes for the day. He looked at the suit & all the other things kept next to it.

When did she come in the room to arrange all this? He hadn't heard any sound. He looked around to see that his bed too was neatly arranged. He was now beyond frustrated. He got ready fast & left downstairs to see Nanu already sitting at the dining table waiting for him.

"Kya baat hai barkhurdaar? Aaj late kaise ho gaye? Kisike sapne dekh rahe the ki aankh hi nahi khuli?", Nanu teased a little which doubled his frustration, but he remained quiet. Nanu could see through his expressions that he was pissed. But why, was the main question.

Nanu glanced at the girl who was making his grandson's favorite coffee. When the aroma of his favorite coffee hit Sameer's nostrils, some of his anger subsided. Ramdhari walked out to serve them the breakfast of upma. Naina as usual followed him out carrying a tray with two cups of tea & one of coffee.

Ramdhari placed the cups on the table while Naina sat down next to Sameer. He quietly finished his breakfast without uttering a word. Naina stole few glances of the angry Sameer Maheshwari. Nanu too remained silent throughout sensing some tension between the couple.

When it was time to leave, Naina went to their room to collect her bag & Sameer followed her. Nanu looked at his angry grandson & prayed to God, "Hey bhagwaan... kal raat tak toh sab thik tha, ek raat mein aisa kya ho gaya ki mera naati itna badal gaya? Itne gusse mein upar gaya hai, pataa nahi kya karega? Naina ki raksha karna bhagwaan..."

The moment Naina picked up her bag, she heard the door slammed shut behind her. She knew he would come behind her, she had expected it. She waited for some time, but nothing happened. The room was silent. She didn't want to get late for the college so she turned & stood rooted to her place seeing her husband leaning on the closed door, staring at her.

He held her stare for some more time. When she didn't say anything or try to move, he took deliberate steps towards her. He stood in front of her & she looked on, waiting for his outburst. She knew why he was pissed. She knew what was to come ahead & was already prepared to face the storm.

"Tumne mujhe subah kyun nahi jagaaya Naina???" His cold voice made her shiver but she stood strong. She took a step ahead & met his gaze, "Maine aapko do baar hi aawaaz laagayi thi, par aap uthe hi nahi. Uske baad main ready hokar neeche chali gayi." He took a step ahead & closed the distance between them.

"Tumne mujhe sirf aawaaz lagaayi? Agar main nahi uth raha tha toh peechli baar ki tarah baaju mein alarm nahi lagaa sakti thi? Pataa hai maine aaj mera workout miss kar diya. Agar tum mujhe time se uthaa deti toh mera routine miss nahi hota." She lowered her eyes, "Agli baar se yaad rakhungi. Ab chale? Mujhe college ke liye aur aapko office ke liye late ho raha hai."

Sameer didn't move & kept looking at her. He didn't like the way she was behaving with him since morning. Last night, he himself had seen her kissing that clip with which he had pinned her hair. And suddenly since morning she is behaving like a stranger. He wasn't liking this unexpected change.

"Naina... tum shaayad kuch bhool rahi ho, toh main firse tumhe yaad dila deta hun. Maine jo conditions agreement mein add ki thi uss mein saaf saaf likha tha ki tumhe mera har ek chote se chota kaam karna hoga aur main subah se dekh raha hun ki tum wohh nahi kar rahi ho. Aaj tumne mujhe time par nahi uthaaya, bhale hi tumne meri coffee banaayi thi, par usse mujhe nahi di, Ramdhari ne rakkha wohh cup mere saamne. Naina aaj main yeh aakhri baar tumse keh raha hun ki tumhe mera har kaam khud karna hoga. Samjhi tum???"

She nodded, "Main unn agreements aur wohh conditions kaise bhool sakti hun, wohi toh hamari so called shaadi ki neev hai. Mujhe bohot acche se sab yaad hai Mr Sameer Maheshwari, mujhe sab yaad hai aur aage bhi hamesha yaad rakhungi. Aap fikar mat kijiye, main aapki banaayi hui koi bhi condition nahi bhooli hun aur naa hi wohh divorce papers. Mujhe yaad hai ki mera time iss ghar mein sirf ek saal ka hai. Main aapko aage se kabhi shikaayat ka koi mauka nahi dungi Mr Maheshwari."

He could feel his heart constrict with her words. He could read the pain in her eyes when she said all that. His heart ached yet again. He just wanted to make her realize that he is her husband & she has to treat him as her priority.

When he hadn't seen her in the room first thing in the morning, his mood dampened. When he checked the time, he was angry that she didn't even wake him up on time. He didn't care about his workout or any routine, he just wanted her there in their room when he got up. But how could he tell her all this directly? Nooo... So, he used the conditions of his agreement as his weapon.

But he didn't realize that he had touched a raw nerve. He didn't expect her to talk about the agreements, especially about the divorce papers. He could see through her expressions. He could see the pain in her eyes clearly now. He cursed himself for bringing up the conditions & the agreements.

Naina held his gaze confidently & asked, "Ab chale yaa aur kuch yaad dilaana baaki hai?" Without waiting for his reply, she moved past him & went downstairs, leaving the hurt Sameer Maheshwari in their room. He somehow controlled his emotions & left. When he reached in the living room, he saw Naina already waiting for him at the entrance.

Nanu looked at both of them & bid them goodbye. Sameer drove towards her college & Naina was lost in her thoughts. "Maine aaj pehli baar Sameer se jhooth bola. Bhagwaanji mujhe maaf karna please. Aap bhi jaante hai na ki maine yeh sab kyun kiya. Sameer ki nazdeekiyon se ab darr lagne lagaa hai. Main unke saamne, mere feelings ke saamne kamzor nahi padna chaahti. Aaj subah jab maine unhe sote hue dekha toh mann hi nahi kiya unhe uthaane ka. Unke chehre par jo muskuraahat dekhi subah, uske baad main khud unn mein kho gayi thi, itna kho gayi ki mujhe khud ko time ka ehsaas nahi hua. Agar main unhe chookar uthaati toh shaayad mera dil hi mere kaaboo mein na rehta."

"Bhagwaanji mujhe mere jazbaaton se hi darr lagne lagaa hai. Mujhe Sameer ki aadat hone lagi hai, mujhe unke saath rehna accha lagne lagaa hai, jab wohh mujhe pyaar se dekhte hai toh main sab bhool jaati hun, jab main unke gale lagti hun toh apne saare gham, apne saare dard bhool jaati hun. Main Sameer se judne lagi hun, jo meri liye accha nahi hai, khaaskar tab, jab mujhe pataa hai ki unki zindagi mein mere liye koi jagah nahi hai."

A lone tear escaped her eyes & she wiped it off immediately before Sameer could notice. "Main kya karun bhagwaanji? Mujhe kuch samaj nahi aa raha. Agar main unke paas rahi toh unhe kabhi na kabhi mere feelings ke baare mein pataa chal hi jaayega. Main... main aisa nahi hone de sakti, mujhe... mujhe Sameer ke saath yeh ek saal guzaarna bohot mushkil lag raha hai ab. Mujhe Sameer se jyada khud se dar lag raha hai, kahin... kahin... main hi kuch aisa na kar dun jisse hamara yeh ek saal ki shaadiwala rishta ullaj jaaye. Bhagwaanji... please mujhe sahi raasta bataaiye."

The car stopped with a jerk at the entrance of her college & her thoughts broke. Before she could open the door, Sameer spoke, "Naina... Main do baje car bhej dunga, tumhe pick karne. Ummmm... Tumhe jahaan bhi interview ke liye jaana ho, car se hi jaana. I hope at least tum meri iss baat ka maan rakhogi."

"Thik hai...", she replied & came out of the car. Sameer too came out after seeing Kabir dropping Preeti near the entrance. The girls hugged each other & entered the college. Sameer & Kabir stood there waiting till the girls disappeared in the college building. Both the friends discussed about the café for a while & then moved in the opposite directions towards their offices.

As soon as Naina & Preeti entered the college, a girl called out, "Preeti..." She turned to find her school friend, "Arey Shreya... Tum yahaan???" They hugged each other & then Preeti made the introductions. "Shreya... yeh hai meri best friend, Naina aur Naina... yeh hai meri school friend, Shreya."

Preeti turned to her friend & asked again, "Shreya... Tum yahaan, iss college mein kya kar rahi ho?" She side hugged her & replied, "Preeti... Maine bhi iss college mein admission liya hai. Pehle din zara tabiyat thik nahi thi isliye nahi aa paayi, fir kal toh college band hi tha. Aur aaj tumhe yahaan dekhkar main bohot khush hun. Mujhe toh darr tha ki koi yahaan dost bhi banega yaa nahi, par accha hai tum hi mujhe yahaan mil gayi."

They hugged each other again & then Shreya asked, "Waise Preeti... maine abhi Kabir ko baahar dekha gate pe aur uske saath jo dusra ladka khada tha, wohh kaun hai? Bohot hi handsome tha yaar? Uski wohh udti hui zulfein, uski wohh hot si body aur..." Naina couldn't hear more & stopped her midsentence, "Hume class mein jaana chahiye ab, waise bhi late ho raha hai."

Her attempt to stop the praising for her husband didn't stop as even Preeti joined her friend. Naina cursed under her breath, "Sabko sirf Sameer hi pasand aata hai, saath mein Kabir bhi tha na? Usse dekh leit, par nahi... dekhna toh sirf Sameer ko hi hai. Main na kal se inko kehne waali hun ki mujhe college chodne hi mat aaya karo. Pataa nahi aur kitni saari ladkiyaan mere pati ko aise ghoorti hongi?"

Preeti couldn't hear what Naina was muttering under her breath but she was looking at her keenly to gauge her expressions & she had guessed it right. Naina was getting affected by their praises about Sameer. Preeti hadn't missed anything till now. She was very much sure now that Naina harbored some feelings for Sameer & it was definitely reciprocated too, as she had seen Sameer's behavior around Naina too.

The lectures finished at two & they left towards the gate to see their cars already waiting. Naina hadn't mentioned about her job interviews to Preeti as she didn't want to hurt her & also, she couldn't tell her the reason behind finding another job.

Once she was seated, she gave the address where her first interview was scheduled. The ride to the workplace was more than an hour or so. She too thought that the distance from her college was too far. But did she have a choice? She needed the job desperately.

Taking a deep breath, she entered the three floored building in front of her. She was stunned to see that there were already many candidates waiting for the part-time account's interview. She confirmed with the receptionist about her interview & was informed that her name would be announced when her turn would come up.

She sat there for more than one hour but her name wasn't announced. She waited for ten minutes more & her name was called. "Ms Naina Agarwal... You can go in." She knew which cabin she had to go for her interview & she walked in.

After fifteen minutes she walked out of that room only to be told that they would inform the results in the next few days. She looked at the watch & sighed. She had missed her second interview. With heavy steps, she left towards her car & informed the driver to take her home.

When she reached home, it was already six in the evening. She freshened up fast & searched for her diary which was kept hidden in her luggage. She softly caressed the cover & opened a fresh page. Within seconds she started writing,

Hiii diary...

Hum aaj bohot dino baad mil rahe hai, hai na?

Sorry... sorry... sorry...

Kya karun itna sab kuch ho gaya peechle kuch dino mein ki mujhe time hi nahi mila tumse baat karne ka...

Aaj na main bohot dukhi hun...

Jaanti ho kyun???

Aaj na main interview dene gayi thi ek nayi job ke liye par mujhe aisa intuition hai ki mujhe yeh job nahi milegi aur iske interview ke chakkar mein, mera dusra interview bhi miss ho gaya...

Arey maine tumhe bataaya hi nahi na ki mujhe nayi job ki zarurat kyun pad gayi achanak se.

Do din pehle na kuch terrorists ne Ahmedabad ke kuch jagahon par hamla kar diya tha aur usme Preeti ke café ko bhi kaafi nuksaan ho gaya. Ab toh pata nahi kitne mahine lagenge café ke renovations khatam hone mein, ab tab tak toh mujhe nayi job karni hi padegi na, warna apne kharche kaise nikaalungi, savings kaise karungi?

Mujhe waapis newspaper mein koi ads dekhne padenge.

Khair yeh sab main baad mein kar lungi.

Waise mujhe tujhse kuch personal bhi kehna tha... apne pati ke baare mein...

Kuch dinon se hum bohot kareeb aa haye hai emotionally, jisse mujhe ab darr lagne laga hai.

Jab bhi main unke gale lagi hun, mujhe sirf sukoon mila hai.

Jab unn kamino ne mujhe haath lagaaya tha toh bohot gandha lagaa tha.

Par jab jab Sameer ne mujhe chuaa hai, tab mujhe ek ajeeb sa ehsaas hua hai apnepan ka, jaise main unko bohot pehle se jaanti hun.

Aisa kabhi nahi hua mere saath.

Main jitna bhi unke saamne strong banti hun na, wohh sirf baahar se dikhta hai, par mere dil aur dimaag par unki nazdeekiyon ka kya asar hota hai, yeh toh sirf main hi jaanti hun.

Mujhe wohh pehli nazar mein hi pasand aa gaye the, fir shaadi ke pehle unhone mujhse sab agreements sign karvaake mera dil poori tarah tod diya.

Par fir bhi jab bhi wohh mere kareeb aate hai, mujhe apni taraf kheenchte hai, mujhe accha lagta hai.

Tumhe pataa hai unhone mujhe dresses, pens, notebooks aur ek nayi diary bhi gift ki college jaane ke ek raat pehle.

Mujhe nahi samaj aa raha ki kuch dinon se Sameer itna acche se kyun behave kar rahe hai mere saath.

Kal kitchen mein bhi unhone jo liya, uske baad main bataa nahi sakti ki kaise meri dhadkan ruk hi gayi thi.

Unka mere baalon ko yun choona, maano jaise unhone meri aatma ko hi choo liya ho.

Main jaanti hun tum mujhe paagal samaj rahi hogi, par main kya karun, mujhe khud unka bartaav samaj nahi aa raha.

Aur aaj maine unse jhooth bola ki maine unhe uthaane ki koshish ki thi aur wohh uthe nahi.

Main aaj unko dekhne mein itna kho gayi thi ki unhe uthaane ka mann hi nahi hua.

Aur aaj unhone mujhe issi baat par kitna kuch sunaaya.

Lekin accha hi hua, unhone mera bhram tod diya ki main kabhi unke kareeb unki patni ki tarah reh paaungi.

Aaj college mein meri ek nayi friend bani hai, Shreya, Preeti ki school friend hai.

Acchi hai, par mujhe aaj uss par aur Preeti par bhi gussa aa raha tha.

Wohh Sameer ki itni taarif kar rahe the ki poocho mat.

Mujhse nahi sunaa jaa raha tha wohh sab, taklif ho rahi thi mere dil mein.

Hasso mat tum... jaanti hum tum kyun hass rahi ho...

Haannn... haannn... thik hai... maanti hun ki unn dono ke mooh se mere pati ki taarif sunnkar mujhe jalan ho rahi thi.

Haannn... mujhe bohot jalan ho rahi thi kyunki main nahi chaahti ki koi mere pati ko aisi waisi nazron se dekhe.

Main na kal se unhe keh dungi ki mujhe college chodne naa aaya kare.

Pataa nahi aur kitni ladkiyaan unhe taadti hongi...

Tum na ab hassna band karo, warna main baat nahi karungi...

Thik hai... tum hassti raho... main jaa rahi hun...

Byeee...

On the other side, Sameer was restless the whole day. He didn't know why his loving wife was behaving so weird since morning. Munna & Pandit entered to see a pissed off Sameer Maheshwari who was shouting on his assistant for no reason. They wondered what was wrong with their friend. Without interrupting him, they came out of his cabin.

"Chenu.. Yaar isse kya hua hai? Subah subah aate hi aise hitler ki tarah daant raha hai? Bechara Aashish... Pataa nahi aaj apne boss ko kaise sambhalega?" Munna thought for a while & called up Nanu, "Hello... Nanaji... main Munna bol raha hun?" He took a pause & then asked, "Aaj ghar pe kuch hua hai kya? Subah se bechare Aashish ki band bajaa di hai Sameer ne, choti choti baaton par daant raha hai usse, bechare ki koi galti nahi hai fir bhi uski left aur right le raha hai. Nanaji... Boliye na kuch hua hai ghar pe???"

Nanu replied from the other end, "Mujhe kuch nahi pata Munna. Raat tak toh sab thik hi tha, pataa nahi subah se kis baat par itna gusse mein laal pila ho raha hai." Pandit asked, "Nanaji... Ummm... Kya Naina ke saath kuch hua hoga? Mera matlab koi nokjhok???" Nanu replied, "Mujhe bhi aisa hi kuch lag raha hai. Naina bhi subah se hi ekdum chup chaap si hai. Dekho... Sameer aur Naina dono bhi mujhe kuch nahi bataayenge. Tum dono Sameer se poochne ki koshish toh karo, shaayad tumhe bataa de."

"Thik hai Nanaji... Hum hi kuch karte hai. Chal Chenu... Ab iss jwalamukhi ko hume hi shaant karna padega." They disconnected the call & entered his cabin. Sameer was sitting on his desk, busy doing some work on his laptop. When none of them spoke, Sameer looked up & glared at them, "Tum dono ke mooh mein dahi jamm gaya hai kya? Agar koi baat nahi karni hai toh chale jao. Mujhe mere kaam mein disturb mat karo. Jao yahaan se..."

Munna & Pandit glared back & sat down across him. "Sameer... Aaj jab se aaya hai tab se bechare Aashish ki parade karaadi hai tune. Kis baat par itna gussa aa raha hai? Kya hua hai???" Pandit continued, "Bhai... Naina ke saath kuch hua hai kya??? Tune fir se kuch bol diya kya usse, yaa fir waapis koi agreement banana hai???"

Sameer got up from his chair in anger, "Haannn... haannn... Main hi bura hun na isliye maine hi kuch bol diya hoga Naina ko yaa fir main hi waapis koi agreement banvaane waala hun, kyun itna hi jaante ho tum dono mujhe? Itna gira hua dikhta hun main tum dono ko? Tum acche se sunn lo, maine kuch nahi kiya hai iss baar? Samjhe tum dono???"

"Accha... Tumne kuch nahi kiya huh??? Bol Sameer? Sach mein tune kuch nahi bola Naina ko? Hum tujhe aur ab toh Naina ko bhi acche se jaante hai. Jab tak tune kuch nahi kiya hoga na, tab tak Naina ne bhi kuch nahi kahaa hoga. Toh ab bataa... kya hua hai???", Munna also spoke in the same loud tone.

Sameer sat down again & told them whatever Nanu had told him earlier & how he was confused about all this. He skipped the part of the kitchen scene totally & told them how Naina was behaving with him since morning & their conversation in their room. Mundit heard him quietly.

Once he finished, they couldn't control their laughter & started laughing loudly which further angered their friend. "Haannn... haaannn... hass lo tum dono. Yeh nahi ki mujhe bataaye ki Naina kyun aisa behave kar rahi hai."

His best friends sobered down after few minutes to see their friend glaring at them. Pandit spoke, "Dekh raha hai Chenu... Hamara dost aaj ekdum wohh confused sa pati lag raha hai, jisse yeh nahi pataa ki uski biwi uski kis baat se naaraaz ho gayi hai."

Munna met his friend's glare & asked, "Sameer... Tujhe nahi lagta ki tune unn conditions ke baare mein aise achanak se Naina ko yaad nahi dilaana chahiye tha? Usne tujhe subah nahi uthaaya isliye tu usse yeh sab keh gaya? Socha hai Naina ko kaisa feel hua hoga? Accha... yeh bataa ki tu Naina ko apni biwi ka darja de raha hai? Usse uske biwi hone ke sabhi hakk diye hai kya tune? Toh fir tujhe bhi Naina se koi ummeed nahi rakhni chahiye?"

When Sameer didn't say anything, Pandit continued, "Munna bilkul sahi keh raha hai. Sameer... tune hi shaadi hone se phele yeh sab agreements ko beech mein laakar sab complicate kar diya hai. Bhale tune agreement mein koi bhi conditions rakkhi ho, par tujhe baar baar Naina ko uski yaad dilaane ki koi zarurat nahi hai. Wohhh bhi insaan hai yaar. Peechle kuch dinon se kya kuch nahi hua uski zindagi mein, aur fir bhi tujhe aise time par tere banaaye hue conditions yaad aa rahe hai? Sameer... zara khud ka dimaag chalaa. Khud ko uski jagah pe rakhkar dekh, Naina ko kaisa fele hota hoga, yeh tujhe samajh aa hi jaayega."

Munna was looking at his friend intently, "Sameer... Tu kya chaahta hai Naina se? Wohhh bechaari pehle se hi tooti hui hai, koi nahi hai uska aur tu usse kitna dard de raha hai, yeh tu kabhi soch bhi nahi sakega Sameer. Tune shaadi se pehle hi Naina se divorce papers sign karwa liye aur ab tu usse yeh ummeed kar raha hai ki wohh teri biwi hone ke saare farz poore kare? Kya tu uske pati hone ke saare farz poore kar raha hai? Kya tu Naina ko apni biwi maanta bhi hai?"

Sameer looked at him stunned at his question & Munna continued, "Mujhe aise mat dekh tu aur mujhe jawaab dene ki bhi koi zarurat nahi hai? Iska jawaab khud ko hi de dena, tab shaayad Naina ka dard samajh paaye tu. Chal Ponga... Sameer ko bohot kuch sochna hai ab. Usko kya chahiye hai Naina se? Khudko ek baar Naina ki jagah rakhkar sochna Sameer... Tujhe tere har sawaal ka jawaab mil jaayega."

Munna & Pandit left quietly. It was already one thirty in the afternoon & he called his driver to pick up Naina from the college & drop her wherever she wants to go. He kept thinking about what his friends had said.

Sameer got a call from the driver around four in the evening to inform him about Naina's whereabouts. Now he grew more nervous after knowing that she was indeed going through the interview. He started pacing his cabin, "Ab main kya karun? Nanu ne toh kahaa the wohh sab sambhaal lenge toh fir Naina wahaan interview dene gayi hi kyun? Lagta hai Nanu ne ab tak kuch baat nahi ki Naina se. Main aaj ghar jaate hi Nanu se waapis baat karta hun kyunki yeh ladki toh samajne se rahi."

Once the driver dropped Naina home, he again called Sameer to inform the same. He was still restless thinking about her behavior & her job interview. As the clock hit six in the evening, he left towards home. He was very much desperate to see his wife or rather wanted to know if she got that job.

On the way, he stopped at a shop for few minutes & then reached home soon. When he reached home, he saw Nanu watering the plants as usual whereas Naina wasn't visible to him in the kitchen. He kept the bags that he had brought in Nanu's room & ran upstairs to his room to find his wife.

When he entered, he saw her sitting on the couch & had winded up writing something in a diary. She looked up at him, "Aap fresh ho jaiye, tab tak main aapki coffee banaa deti hun." He just nodded in response & walked to his wardrobe to collect his clothes. "Ummm... Maine aapke kapde already washroom mein rakh diye hai.", Naina spoke & left their room with her diary.

Sameer stood shocked with her behavior yet again. Once he freshened up, he went downstairs to join Nanu, who was sipping his tea quietly. He sat beside him & asked, "Nanu... Mujhe aapse zaruri baat karni hai." "Itni kya zaruri baat hai Sameer?", he asked with a frown.

Before Sameer could say anything, Naina appeared with his coffee. He sipped it quietly, looking at her in between. She sat next to Nanu & started talking about her college & Preeti, skipping the part of Shreya altogether. Sameer couldn't wait any longer & asked, "Interview kaisa tha Naina? Tumhe koi problem toh nahi hui na wahaan pohonchne mein?"

She met his gaze, "Problem kyun hogi? Main car se hi toh gayi thi. Aur interview bhi thik hi tha." Nanu asked, "Thik hi tha matlab???" "Nanaji... wahaan pehle se hi bohot candidates the, toh mujhe nahi lagta ki mere koi chances bhi hai." Sameer asked again though he knew the answer, "Aur dusra interview???"

"Wohhh... main wahaan jaa hi nahi paayi. Pehle interview mein hi bohot late ho gaya tha." Sameer remained quiet whereas Nanu caressed her head, "Koi baat nahi Naina. Jo hota hai wohh acche ke liye hi hota hai. Shaayad tumhari kismat mein kahin aur job karna likha hai." Sameer glanced at his Nanu thinking, "Nanu ne zarur kuch soch liya hai Naina ke liye."

Naina went back to kitchen & helped Ramdhari in preparing the dinner. Nanu called out, "Naina... Zara khaana jyada banana koi ghar pe aanewala hai." She replied from kitchen, "Ji Nanaji..." "Kaun aa raha hai Nanu???" He turned to his grandson, "Wohhh waise bhi baad mein pataa chal hi jaayega. Tu bataa... Tujhe kya zaruri baat karni thi?"

Sameer glanced once at his wife & said, "Aapke kamre mein baat karen?" Nanu was surprised, yet he walked up to his room & Sameer followed him. He closed the door behind him & picked up the bags, he had brought. "Ummmm... Nanu... wohhh... main... main yeh Naina ke liye laaya tha. Kya... kya yeh aap usse de denge???"

Nanu raised his eyebrows, "Aur main kyun dun??? Tu pati hai uska, jab tu laaya hai yeh sab, toh tujhe hi dena chahiye." Sameer refused, "Nahi Nanu... Agar maine diya toh wohh nahi legi. Nanu please aap dijiye naa, main jaanta hun ki Naina aapko manaa nahi kar paayegi." Nanu looked at the contents in the bags. He exhaled, "Main yeh nahi de sakta Naina ko. Yeh tujhe hi dena padega Sameer, mujhse koi ummeed mat kar." He walked out of his room while Sameer sat there for a while. He somehow had an idea that Nanu won't help him in this.

Sameer collected the bags & left towards his room. He kept the bags in his wardrobe & came back downstairs for dinner. Nanu was sitting in the living room & Sameer joined him. After few minutes, Naina too joined them. "Aa baith... Mujhe tujhse zaruri baat karni hai." She sat down next to him & he started, "Naina... Agar tu bura na maane toh meri nazar mein ek job hai tere liye. Jiske liye tujhe kahin jaane ki zarurat bhi nahi padegi, tu yahin ghar se kaam kar sakti hai."

Naina was excited, "Arey waah Nanaji... yeh toh bohot acchi baat hai. Bataiye... kya job hai?" "Naina... Tum Munshiji ko toh jaanti hi ho naa, unse mile bhi thi na tum?" She agreed, "Haannn... Yaad hai. Main mili hun unse ek do baar." Nanu smiled & continued, "Maine tab bataaya tha na ki hum ek NGO bhi chalaate hai. Toh bas tujhe ussi NGO ke accounts ka kaam ghar baithe hi sambhaalna hai. Bas hafte mein ek yaa do baar hi tujhe NGO ke office jaana hoga, aur hamare partner ko report karna hoga."

Sameer sighed in relief when he heard the job that Nanu was offering her. She asked, "Aapka partner kaun hai Nanaji?" She looked at Sameer, assuming it to be him while Sameer looked shocked to hear that Nanu had some partner in his NGO.

Nanu smiled looking at the door & said, "Lo aa gaya mera partner..."



How was the update???


Batao... batao... Partner kaun hai???

Aur saath mein yeh batao ki Sameer kya laaya hai apni Naina ke liye???


Next update on Sunday...


With Lots of Love,

Daksha...❤

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro