CHAPTER 23

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Hello friends...

I'm back with the next update...

Enjoy reading...

FATE TWISTED BY LOVE

CHAPTER 23

The familiar voice rang warning bells in Shreya's ears & she stood rooted to her spot. The girls who had accompanied her halted too with the arrival of the new intruder. Naina met his gaze & her lips curled upwards in a small smile & his name escaped from her mouth on her own accord, "Sameer..."

Shreya gulped in fear knowing very well that he must've heard what Preeti had said to her earlier. Sameer stood beside Naina & slipped his hand around her waist possessively. Naina shuddered with that sudden gesture while Shreya's eyes bulged out seeing the open display of affection.

Naina didn't know what to say so she remained quiet while Sameer was glaring at Shreya with a dangerous look. "Kya baat hai Shreya? Aaj naa hii naa hello... kuch nahi?" She gulped in fear some more after hearing his cold tone, even Naina glanced at him once before looking back at her. "Ummm... Sameer... hume chalna chahiye... Late ho raha hai. Nanaji lunch ke liye wait kar rahe honge."

"Itni bhi kya jaldi hai Naina... Ruko naa... Mujhe zara Shreya se baat karni hai. Waise toh hamesha mujhe dekhte hi iska bolna shuru ho jaata hai, par aaj yeh mujhe dekhkar aise chup kyun ho gayi?" He turned to Shreya, "Bolo Shreya... Kya hua, aaj tumhari bolti kyun band hai? Yaa main aise poochun ki kisne tumhari bolti band ki hai?"

Sameer gritted his teeth in anger while Shreya shivered a little with his tone. He had heard everything, every damn word she uttered. Since morning, he was feeling restless, especially after he had dropped his wife at the college's entrance. Preeti hadn't attended college for the last two days & Naina wasn't happy with that. He didn't know why but he decided to pick her up that afternoon.

Sameer stood waiting at the entrance for a few minutes but couldn't find Naina. So, he entered the college & saw Preeti standing behind the pillar. He picked up his speed & reached her. Before he could call her out, he heard Shreya's voice & that was it. He himself wanted to go inside & slap that girl but he waited as he saw Preeti fisting her hands in anger.

Sameer heard each & every word that girl had uttered to his wife & his eyes saw red. But before he could do anything, Preeti had walked to her & slapped her twice. He sighed in relief watching Preeti taking a stand for his wife & her best friend. Even though Preeti wasn't talking to Naina, he was happy to see her siding with her best friend.

When Preeti walked off, he saw Shreya taking a step towards his wife & without wasting any more time, he called her out, stopping that girl in her track. Even if Preeti had taught her a good lesson, Sameer wanted to do something. And he knew what he had to do.

"Tumhe pataa hai Shreya, kuch dino pehle hi kuch ladkon ne Naina ke saath badtameezi ki thi aur Kabir ne unn ladkon ko police ke hawaale kar diya tha. Mujhe tab pataa chala ki Naina ne unn dono ko ek rod se bohot maara tha. Main jaanta tha ki police ne bhi unhe bohot maara hoga, par fir bhi mere dil ko sukoon nahi mila. Main unhe apne style mein punish karna chaahta tha, kyunki unhone Naina ko haath lagaane ki gustaakhi ki thi. Tum jaanna chahogi ki maine kya kiya???"

Shreya was sweating so much that Sameer was happy seeing the effect of his words. He couldn't slap her, infact he didn't even want to touch her. He pulled his wife near him & continued talking, "Maine fir dusre din police commissioner ko call kiya aur kahaa ki mujhe unn dono se akele mein milna hai. Aur commissioner uncle toh mujhe bohot acche se jaante hai, isliye unhone mujhe bulaa liya. Jaanti ho maine kya kiya unn dono ke saath???"

Shreya shook her head in a trance & he continued, "Maine unn dono ladkon ko itna electric current diya ki wohh almost mar jaate, agar time par mujhe commissioner uncle ne nahi roka hota toh. Waise mujhe koi farak nahi padta agar wohh mar bhi jaate toh, kyunki unhone meri Naina ko chune ki koshish ki thi. Toh ab tum khud samaj jao, ki agar koi meri Naina ko thodi si bhi taklif dega toh main uska kya hashar karunga?"

Shreya shuddered with the thought that what would Sameer do to her but she remained quiet & met Naina's gaze who was already looking at her with a faint smile. Naina had somehow understood that her hot husband had heard everything & he was just warning her off from never repeating it again. She was enjoying watching Shreya squirming before her eyes.

Sameer took a step ahead alongwith Naina & spoke dangerously, "Shreya... tumhe samaj toh aa gaya hoga ki maine yeh sab kyun kahaa. Waise toh Preeti ne tumhe do thappad maare na, wohh bhi mujhe kamm hi lage. Agar tum ladki nahi hoti na toh main tumhe zaroor bataata ki main tumhe kya sazaa deta tumhari unn faltu baaton ke liye. Preeti ne sirf tumhara chehre ka naksha bigaadne ki baat kahi, par main tumhara kya kya bigaad sakta hun yeh tum soch bhi nahi sakti Shreya... Agar aaj ke baad maine tumhe Naina ke aaspaas bhi dekha naa toh main tumhara wohh haal karunga ki tum kabhi khud ko pehchaan bhi nahi paaogi. Aur haannn... Mehta uncle ko bhi main personally bohot acche se jaanta hun aur agar tum apni khairiyat chaahti ho, toh meri Naina se durr hi rehna... Samjhi tum???"

Before Sameer could say more, Shreya ran away from there towards the washroom while her so called friends laughed seeing her condition. Sameer wasn't finished yet, he turned to the other girls who were laughing on Shreya now, "Main Sameer Maheshwari hun, aur aaj ke baad kisine bhi Naina ko kuch bhi ulta seedha bola toh mujhse bura koi nahi hoga... Samaj rahi ho tum sab???" The other girls too sauntered away from there leaving the couple alone.

Sameer turned to his smiling wife & glared, "Wohh ghatiya ladki tumhe itna kuch sunaa rahi thi, aur tum chupchaap sunn rahi thi. Kis mitti ki bani ho Naina??? Tum ek shabd se nahi boli kuch, kitna kuch bol gayi wohhh tumhe... Sach mein aaj agar wohh mujhse bachi hai na toh wohh sirf Nanu ke sanskaaron ki wajah se, warna aaj mera bhi haath uth hi gaya hota usspar."

Naina was still smiling looking at him & he was more furious. Unknown to both of them, two pairs of eyes were still standing there & watching them. Naina held his arm & said, "Ab baaki ka ghar chalkar daant lijiyega. Abhi mujhe bhook lagi hai... Please... ghar chalein ab..." Sameer rolled his eyes & they left towards their car. The siblings came out from their hideout & drove back home.

In the car, Sameer was confused looking at his wife's happy face. He asked, "Aisa kya hua hai, jo tum kabse mann hi mann muskuraaye jaa rahi ho?" The smile still intact on her face, Naina replied, "Aapne dekha na, mujhse naaraaz hone ke bawajood bhi Preeti ne Shreya ko thappad maara aur kitna kuch sunaaya. Mujhe lagta hai ki Preeti jald hi mann jaayegi, mujhe maaf kar degi aur mujhse baat karegi. Aapko kya lagta hai Sameer???"

Sameer too had the same feeling, "Haannn... maine bhi dekha. Lekin mujhe lagta hai Naina ki tumhe Preeti se ek baar akele mein baat kar leni chahiye. Main jaanta hun ki tum ek baar Preeti ko acche se sab samjha dogi na, toh wohh zaroor maan jaayegi." Naina agreed, "Aap sahi keh rahe hai Sameer, mujhe Preeti se uske ghar milne jaana chahiye. Sameer... Main aaj hi jaaun kya? Chaar din se usse baat nahi ki hai toh mujhe accha nahi lag raha."

Sameer agreed happily, "Thik hai... Pehle lunch kar lete hai, fir main office jaate waqt tumhe Preeti ke ghar drop kar dunga." She smiled widely, "Haannn... yahi sahi rahega." They reached home in the next ten minutes & joined Nanu for lunch. After freshening up, Sameer left the house with Naina to drop her at Preeti's place. When they had informed Nanu about this sudden visit, he had smiled knowingly, understanding that the friends finally wanted to talk.

After Preeti left Shreya's hand in the college's corridor, she walked towards the parking lot. She had hoped that Naina would follow her again, but she didn't see her. So, she turned towards the college again but someone tapped on her shoulder & his brother stood there with a frown. "Waapis college mein kyun jaa rahi ho Preeti???", Kabir asked. She didn't reply & dragged him towards the corridor to find Sameer already standing next to Naina.

The siblings didn't miss the way Sameer had held Naina close to him. They were stunned to know what Sameer had done to those goons, though Kabir was aware of it, yet he was surprised to see that he had said it in front of everyone & tried to scare that Shreya girl. He didn't know what was going on but somehow, he understood that Shreya had mistreated Naina & Sameer was giving that girl a tough time. Kabir was even more surprised when he came to know that his sister had slapped that girl twice & even threatened her.

When Sameer & Naina had left from there, they too left in their car. "Preeti... tumne Shreya ko thappad maara... matlab seriously... wohh bhi Naina ke liye... Jahaan tak mujhe yaad hai tum toh Naina se naaraaz ho aur usse baat bhi nahi kar rahi, aur fir Shreya toh tumhari school friend hai. Toh fir yeh sab kyun kiya?", Kabir was curious to get all the details.

Preeti narrated the whole scene that happened in the college & her brother heard it attentively. His hands on the steering wheel tightened, "Uss Shreya ki itni himmat ki usne Naina se yeh sab kahaa? Agli baar milne do, main bhi usse thodi baat karna chahunga." Preeti chuckled, "Bhai... mujhe nahi lagta ki meri dhamki aur khaaskar ke Sameer ki dhamki ke baad Shreya Naina ki taraf aankh uthaakar bhi dekhegi. Dekha naa aapne kaise bhaag gayi thi baad mein..." The siblings laughed out heartily remembering the frightened look on Shreya's face.

Sameer stopped his car in front of Preeti's house. When Naina stepped out of the car, he too came out & stood beside her, "Dekho Naina... Jo bhi karna dil se karna, I'm sure Preeti tumhara point of view samjhegi. Aur... aur..." She stared at her stuttering husband & asked, "Aur kya Sameer?"

Sameer closed his eyes for a second & then met her gaze, "Tum chaaho toh Preeti ko sab bataa sakti ho hamari shaadi ke baare mein. I mean ki tum usse hamare agreements ke baare mein bhi bataa sakti ho. Naina... agar tum yeh sab nahi bataaogi toh Preeti tumhe maaf nahi karegi aur main nahi chaahta ki hamare agreements ki wajah se tum dono ki dosti toote... tum samaj rahi ho na Naina?"

Naina's eyes misted instantly, "Aap sach mein chaahte hai ki main Preeti ko sab bataaun?" He nodded, "Jab mere best friends ko sab pataa hai toh tumhari best friend ko bhi sab pataa hona chahiye na?" Naina couldn't believe that he himself was allowing her to talk about their marriage & agreements to Preeti. Even she knew that this time she would've to confess everything to her best friend. But somewhere she wasn't sure if she could do it because of his conditions. Now, Sameer himself had given her permission to disclose everything to her best friend & she was happy with it.

Without thinking much, she hugged him, "Thank you Sameer... aapne meri problem solve kardi. Main khud Preeti ko sab sach bataana chaahti thi par aapki conditions ki wajah se main thoda sehem gayi thi. Thank you so much Sameer, aaj aapki wajah se shaayad main apni khaas dost ko waapis paa sakungi, Preeti ko vishwas dila paaungi ki wohh meri liye kya maayne rakhti hai."

Sameer held her close to himself & was lost in her fragrance. "Ab itna bhi thank you mat bolo warna main tumhe aise hi pakadkar rakhunga aur apni friend ke paas nahi jaane dunga." Naina chuckled at her cute husband's not so cute threat, "Ab aap office jaaiye, main andar jaati hun."

He called her out, "Naina... Main kab lene aaun tumhe?" "Uski zarurat nahi hai Sameer. Main khud chali jaaungi. Aap fikar mat kijiye, ghar pohonchkar main aapko message kar dungi." He nodded & when she turned to walk ahead, he called out again, "Achaa suno, dhyaan se ghar jaana, thik hai." She nodded & turned but again he called out, "Agar andar Kabir ho toh usse bilkul baat karne ki zarurat nahi hai, chupchaap jisse milne aayi ho sirf ussise milna. Thik hai..." Naina nodded again but couldn't hold onto her laughter

Sameer was again lost in her as she moved too close to him, "Kahin kuch jal raha hai kya???" This statement broke his trance & before he could get hold of her, she ran away towards the main door. He muttered, "Tum ghar aao, fir batata hun, kya jal raha hai..." Naina stopped right in front of the door & turned to see her dashing husband still standing near the car & looking at her with a mischievous smile. She knew she had entered a dangerous territory & teased him. She had no idea what was going to happen at night when they would be alone in their room. She waved at him & he left winking at her. She turned to the door with a smile & pressed the doorbell.

The siblings finished their lunch & Kabir was heading towards his study to finish some work when the doorbell rang. "Iss waqt kaun aaya hoga?", he mumbled & went to open the door. The moment he opened the door, he froze seeing Naina standing in front of him. She looked at him & asked, "Kya Preeti ghar par hai? Mujhe usse akele mein baat karni hai."

Kabir opened the door widely & Naina walked in. "Ummmm... Preeti uske kamre mein hai. Upar jaakar second room to your right." When she took a step ahead, he asked, "Tum kuch logi Naina? Chai, coffee ya soft drink?" She just shook her head, "Mujhe kuch nahi chahiye, main sirf Preeti se baat karne aayi hun?"

Without turning back, Naina took the stairs & walked towards her best friend's room. Naina stood in front of the door for a while. Taking a deep breath, she knocked on the door. Preeti's reply came in an instant, "Bhai... aa jaaiye andar." She assumed that it was her brother.

Naina opened the door & saw Preeti sitting on her bed with books scattered all around. "Dekho na Bhai, mujhe kuch samaj nahi aa raha. Aap mujhe..." She couldn't complete her sentence as she saw her best friend standing in front of her. Naina turned & locked the door. She didn't want any disturbance today; she had come here to seek her forgiveness & she would get it.

"Tum yahaan kyun aayi ho Naina? Mujhe tumse baat nahi karni, tum jao yahaan se.", Preeti said dragging her notebook on her lap. Naina didn't move from her place, "Main yahaan tumhe thank you bolne aayi hun." Without looking at her best friend, Preeti replied, "Bol diya na thank you, ab jao..."

Mustering up some courage, Naina asked, "Preeti... please meri baat ek baar sunn lo na. Uske baad bhi agar tum mujhe baat nahi karna chaahogi, toh main sach mein kabhi tumhare raaste mein nahi aaungi, tumhe disturb nahi karungi. Bas ek baar meri poori baat toh sunn lo Preeti..."

Preeti looked up at her, "Thik hai. Main tumhe paanch minute de rahi ho, jo bolna hai jaldi bolo." Naina sighed in relief, she was happy that at least Preeti didn't deny her outright & agreed to hear her out.

Naina started pacing the room slowly while Preeti closed her book & looked at her friend. "Preeti... tum toh jaanti hi ho ki meri family mein sirf Nanaji the aur unke guzarne ke baad Sameer ke Nanaji mujhe unke ghar le gaye. Jab main unke saath uss ghar mein rehne lagi toh main apne puraane dard bhoolne lagi thi, maine ek Nanaji ko toh hamesha ke liye kho diya tha, par bhagwaanji ne mujhe dusre Nanaji de diye."

"Dheere dheere main khush rehne lagi. Jab main Nanaji ke ghar rehne gayi toh Sameer nahi the ghar mein, London gaye the aur Nanaji ne mujhe unn dinon mein Sameer ke baare mein bohot kuch bataaya tha. Fir ek din achaanak hum aamne saamne aaye aur uske baad meri zindagi badal gayi."

Naina didn't tell her best friend that she had already started liking Sameer. She deliberately didn't mention how they both had met in his room. She didn't want her friend to know that she had fallen for him even before meeting him. This little secret was going to be with her forever, she won't ever share this with anyone, not even Preeti.

Naina continued, "Thode din guzar ne ke baad Nanaji ne hume bataaya ki unhone meri Nanaji se waada kiya tha ki wohh meri aur Sameer ki shaadi karvaayenge. Unhone shaadi ka faisla hum par choda tha, par aisi kuch cheezen hui thi jisse Sameer ko lagaa ki main unse sirf paison ke liye shaadi kar rahi hun, unke Nanaji ke saath acche banne ka naatak kar rahi hun. Sameer ne toh mere character par bhi ungli uthaa li thi. Mujhse yeh sab suna nahi gaya aur jo harkat unhone tab karni chaahi, uske baad maine Sameer ko kasskar thappad maar diya tha aur fir ussi raat maine uss shaadi se inkaar kar diya."

Naina remembered that day & tears rolled down her eyes. Preeti didn't move, she wanted to hear what happened next, "Fir tum dono ki shaadi kaise huyi Naina?" Naina wiped her tears & continued, "Fir ussi raat Nanaji ko heart attack aaya aur hum unhe hospital le gaye. Unki haalat humse dekhi nahi jaa rahi thi. Unke hosh aane ke baad bhi unhone hamari shaadi ki baat nikaali aur tab maine decide kar liya tha ki bhale meri zindagi kharaab ho jaaye, par main mere dono Nanaji ka vaada poora karungi."

"Jis raat Nanaji ko hospital se discharge mila, ussi raat Sameer ne mujhe unke kamre mein bulaaya. Tab humne decide kiya ki hum shaadi karenge, sirf wohh vaada poora karne ke liye. Par..." And she stopped, the tears still flowing from her eyes, but this time she wasn't the only one who was crying, her best friend's eyes had turned misty too.

"Par kya Naina???" Naina met her friend's wet gaze, "Sameer ne kahaa ki shaadi se pehle mujhe kuch agreements sign karne honge." Preeti got up from her bed & stood in front of her friend, "Kaise agreements Naina???" "Unhone tab mujhe yahi kahaa tha ki mujhe prenuptial agreement par sign karna hai."

Preeti held her best friend's shoulder, "Tune 'agreements' bola pehle Naina." Naina continued holding her gaze, "Shaadi se pehle unhone mujhse teen agreements par sign karvaaye. Pehla toh prenuptial agreement hi tha, dusra agreement hamare divorce papers the."

Preeti gasped, "Shaadi hone se pehle hi divorce papers kaun banvaata hai yaar???" Naina continued, "Hamari shaadi ek contract marriage hai Preeti, ek saal ki shaadi. Ek saal khatam aur yeh shaadi bhi khatam." Naina tried controlling her sobs while Preeti's heart broke seeing her friend in this way.

Preeti wanted to hear it all now, "Aur... aur teesra agreement?", her voice choked at the end, but she didn't care anymore about it. Naina wiped her tears & then looked at her best friend who was also accompanying her in crying. She wiped her tears too. "Teesra agreement toh unhone iss liye banaaya tha kyunki maine unhe thappad maara tha. Unn mein kuch conditions the, jaise ki main hamari shaadi ke baare mein kisiko nahi bataungi, hum hamari marriage consummate nahi karenge, Sameer ke sab kaam main hi karungi aur divorce ke baad main kisise koi rishta nahi rakhungi, hamesha ke liye sab se durr chali jaungi."

Preeti lost her control & she pulled her best friend in a hug, "Naina... yaar... tu kis mitti ki bani hai, itna sab hone ke baad bhi tune Sameer se shaadi ki? Tere paas dil hai bhi yaa nahi Naina? Aise kaise tune apni zindagi barbaad kar di. Ek vaada poora karne ke liye, tumne tumhari life kharaab kar di Naina? Divorce ke baad kya karegi Naina tu, kahaan rahegi, kuch socha hai kya tune?"

Naina rubbed her back & replied, "Iska jawaab toh mujhe bhi nahi pataa Preeti, uss waqt jo mujhe sahi lagaa wohh maine kiya. Maine tere café mein job bhi isiliye li thi ki thode paise jod sakun khud ke liye jisse ek saal baad main at least mere liye hostel mein ek room rent kar sakun."

"Iska matlab hai ki tu Sameer se yaa Nanaji se paise nahi leti?" Preeti pulled out of her hug & Naina nodded in a no. "Agar maine unse paise liye toh Sameer ki kahi hui baat sahi ho jaati ki maine unse shaadi unke paison aur aish-o-aaraam ke liye ki hai, jo main nahi hone de sakti. Mujhe college mein admission toh scholarship par hi mila hai aur baaki ke kharche main khud manage kar leti hun."

Preeti felt bad for her best friend & was damn angry on her so-called husband. "I am sorry Preeti... Main jaanti hun ki yeh sab mujhe tumhe pehle hi bataa dena chaahiye tha, par Sameer ki conditions hi aisi thi ki main tumhe chaahkar bhi sach nahi bataa saki. I'm sorry Preeti, I'm very very sorry..."

Preeti slapped her on her shoulder, "Tune Maine Pyaar Kiya nahi dekhi???" Naina hit her forehead slightly, "Main bhool gayi ki friendship mein no sorry no thank you." Preeti joined her in finishing that famous dialogue & hugged her tightly. "Main promise karti hun Naina, aaj ke baad hamare beech, hamari dosti ke beech main kisiko nahi aane dungi, naa uss Sameer ko aur naa hi Bhai ko."

Naina continued, "Haan... main bhi promise karti hun Preeti ki aaj ke baad koi baat tumse nahi chupaungi." Preeti asked, "Acchaaa... aisi baat hai toh yeh bataa, aisa kya hua tha tere aur Sameer ke beech jiski wajah se tune usko thappad maara tha." Naina knew that she couldn't escape her friend's sharp mind & eyes & she complied.

Preeti heard each & every word that Naina said with amusement. She told her everything that happened since she entered Maheshwari Mansion, leaving out the details about her collision with Sameer in just a towel. Preeti understood that her best friend was already in love with her so-called husband. But she didn't voice it out. When Naina finished speaking, Preeti fumed, "Uss Sameer ki itni himmat ki usne tujhe kiss karne ki koshish ki, tum par itne saare ghatiya ilzaam lagaaye. Milne do usse, chodungi nahi Sameer ko."

Naina instantly defended her husband, "Preeti... Jo bhi hua wohh shaadi ke pehle ki baat hai aur main khud sab bhool chuki hun, toh please tu iska zikar Sameer ke saamne kabhi nahi karegi." Preeti frowned, "Main teri ek baat nahi sunungi Naina. Main Sameer ko chodungi nahi. Usko toh main..."

Naina covered her best friend's mouth, "Tumhe meri kasam agar tumne Sameer ko kuch bhi kahaa toh..." Preeti widened her eyes after hearing her words. Naina moved her hand away & Preeti screamed, "Naina... tune yeh sahi nahi kiya, tune mujhe aisi kasam kyun di? Mujhe Sameer par itna gussa aa raha hai ki pooch mat aur ab tune yeh kasam dekar mujhe baandh diya yaar. Pataa nahi Sameer ko dekhkar main apna gussa kaise control kar paaungi?"

Naina chuckled watching her best friend getting agitated towards her husband. She had expected this. She knew once the truth will be out, Preeti would react this way only. But now when everything was going good with her husband, she didn't want to spoil it. She wanted to make memories with him, so that once she left the Maheshwari Mansion, she would live with those memories & cherish them forever.

Naina pulled Preeti down on her bed & asked, "Ab yeh bataa tujhe kya samajh nahi aa raha tha? Main samjha deti hun." Preeti kept the books away & said, "Ruk abhi baat khatam nahi hui hai. Ye bataa ki jab tu Sameer ki sab conditions maan rahi hai toh aaj mujhe sab sach kaisa bataa diya?"

Naina didn't meet her gaze & replied, "Wohh... wohhh... Sameer ne hi mujhe kahaa ki main tumhe sab bataa sakti hun." Her best friend couldn't believe it, "Are you serious Naina? Tumhe Sameer ne kahaa mujhe sab bataane ke liye? Main maan hi nahi sakti yeh, it is impossible."

Naina smiled, "Par yahi sach hai Preeti, jab Sameer mujhe yahaan chodne aaye tabhi unhone mujhse kahaa ki main tumhe hamari shaadi ka sach bataa dun. Jaise unke best friends ko sab pataa hai, vaise hi wohh chaahte hai ki meri best friend ko bhi sab pataa ho. Sameer nahi chaahte the ki agreements aur conditions ki wajah se hamari dosti toote."

Preeti didn't react & Naina kept staring at her, but her best friend remained mum. "Ab aur kuch jaanna hai tumhe?", Naina asked raising her eyebrows. Preeti nodded, "Kya fir se Sameer ne tumhe kiss karne ki koshish ki hai?" This time Naina's eye went wide & she answered, "Nahi..." She didn't want to share what happened in the green room with her, that was their private moment which she didn't want to discuss with anyone, not even with her best friend.

Preeti sighed in relief & said, "Agar aisa waisa kuch karne ki koshish bhi kare naa toh mujhe bataa dena, main dekh lungi uss Sameer ke bacche ko." Naina chuckled listening to her best friend's threat while Preeti glared at her. "Chal ab thodi padhai kar le?" Preeti reluctantly agreed & they started studying.

Kabir who had come with a tray of coffees & snacks for the best friends stood rooted to his place outside the door. And unknown to both the friends, he had heard everything. He too was annoyed on Sameer. How could he treat Naina like that? How could he make such agreements & put those stupid conditions on her? But then he also remembered how Sameer was treating her now. Did he realize his mistakes? The changed behavior of Sameer confused Kabir more but he decided to pay a visit to his friend. He wanted some answers & he went back downstairs.

Keeping the tray back on the table, he collected his cars keys & left towards Maheshwari Industries...


How was the update?

I wanted to write more but two confrontations in the same update wasn't feasible.😜

What do you think will Kabir be able to confront Sameer after what happened between them after the freshers party?

Let me know your reviews.

Ignore the mistakes...

With Lots of Love,

Daksha...❤

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro