CHAPTER 3

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Hello everyone...

I'm back with the next chapter...

I'm very much sorry for so much delay in updating this...


FATE TWISTED BY LOVE

CHAPTER 3

"Mujhe tum dono se important baat karni hai. Aur ab main jo bataane ja raha hun, usse shanti se sunna. Thik hai?" Sameer saw the nervousness on his grandfather's face & he knew that something major was going to happen. He knew his Nanu enough that he can gauge from his facial expressions that something important was going to be conversed today. On the other side, Naina grew nervous too thinking that why was she a part of their personal conversation.

Nanu drank a glass of water before speaking. He wasn't sure of the outcome, but he had to do it. It was now or never for him. "Sameer... Naina... Main abhi jo bhi kahunga isse tum dono ki zindagi mein bohot badaa badlaav hoga toh meri baat shanti se sunn lena pehle. Uske baad hi tum dono apna jawaab dena. Thik hai." They both looked at each other & then nodded whilst Nanu saw the silent exchange & mentally prepared himself for the inevitable.

"Main aur Jayantilal Parekh bachpan se bohot acche dost the. School aur college mein bhi hum saath hi padhe the. College khatam hone ke baad, Jayanti Baroda chala gaya. Uske Chachaji ne uske liye wahaan kaam dhoond rakha tha. Maine yahaan Bapuji ke saath apni dukaan mein kaam shuru kar diya. Thode saal baad, Jayanti aur meri shaadi ki baat chali. Aur hamare naseeb tab bhi saath hi rahe. Hamari shaadi bhi do best friends se hi hui, Jayanti ki shaadi Sharda se aur meri uski khaas dost, Jaanki se hui.

Jayanti apni patni ko lekar Baroda chala gaya aur hum yahin Ahmedabad mein rahe. Hamari zindagi acchi chal rahi thi. Do saal baad, Jayanti aur Sharda ko ek beti hui, Rama aur hume bhi bhagwaan ke ashirwaad se ek beti hui, Vishakha. Rama aur Vishakha hamari hi tarah acchi dost bani gayi thi.

Kabhi kabhi Jayanti uske parivaar ke saath yahaan aata aur kabhi hum wahaan chale jaate the. Bacche bade hone lage aur fir hum apni grahasthi mein itna vyast ho gaye ki dheere dheere milna julna kamm hone lagaa. Pehle hum har mahine milte the par fir wohh kamm hote hote saal mein ek baar hone lagaa. Hume isse koi shikaayat nahi thi kyunki hum jaante the ki kaam kaaj aur bacchon ki padhai bohot important thi.

Main aur Jayanti chahte the ki hamari dosti rishtedaari mein badal jaaye. Par aisa nahi ho sakta tha, kyunki hum dono ko betiyaan hi hui thi. College khatam hote hi Rama ko Rakesh pasand aa gaya aur usne yeh baat humko bataayi. Ussi darmiyaan, Vishakha ko bhi Vivek se pyaar ho gaya. Dono bacchon ne hamare aashirwaad se shaadi kar li. Rama Rakesh ke saath bohot khush thi aur fir chaar saal baad unhe Naina hui."

Nanu caressed her head lovingly with misty eyes. Naina had heard about her parent's love marriage from her Nanaji many times. Nanu controlled his tears & continued, "Par Vishakha ki zindagi mein kuch bhi thik nahi tha. Mujhe Vivek zara bhi pasand nahi tha. Maine Vishakha ko samjhaaya bhi par wohh nahi maani. Aur mujhe majboori mein dono ki shaadi karvaani padi. Shaadi ke baad wohh apne pati ke saath Surat rehne chali gayi thi. Ek saal baad unki zindagi mein Sameer aaya. Vishakha mujhe har hafte phone kiya karti thi. Maine kayi baar usse kahaa ki wohh Sameer ko lekar yahaan aa jaaye. Par wohh maani nahi. Saat saal baad, ek din achanak wohh Sameer ke saath yahaan aa gayi. Uske baad maine apni beti ko kabhi nahi dekha."

The tears didn't stop this time. All the three cried silently remembering their pasts. Nanu neither revealed anything about Naina's parent's death not did he mention anything about Sameer's parent's differences. He deliberately skipped that part as he wanted both of them to open up to each other, heal each other's wounds. Whatever lied in their pasts were their stories to tell, not his.

He continued, "Naina... Sameer... Tum dono kabhi nahi mile the. Par maine aur Jayanti ne ek vaada kar liya tha ek dusre se." Nanu took a deep breath & said finally, hoping that these kids would agree to their promise, "Maine aur Jayanti ne vaada kiya tha ki jab Sameer pachees saal ka ho jaayega tab hum uski shaadi Naina se karvayenge aur hamari dosti rishtedaari mein badal jaayegi. Aur ab main chahta hun ki tum dono ki shaadi ho jaaye." There he had said it loud & clear.

Nanu was more anxious now as none of them responded or reacted. Both were seated calmly with their tear-stained faces. He didn't understand what they were thinking. Finally, after waiting for five long minutes, he couldn't bear their silence. So, he asked, "Sameer... Kuch toh bolo?" He turned to Naina as well, "Naina... Tum bhi bol sakti ho ab." Still, he was greeted with silence.

"Mujhe sochne ke liye time chahiye Nanu.", saying this, Sameer left the study room. Naina was still sitting there with tears in her eyes. Nanu sat next to her, "Kya soch rahi ho tum, Naina?" She looked at him, "Nanaji... Aapne Sameer ko yeh kyun nahi bataaya ki main anaath hun? Aur kya aap mere Nanaji se yahi vaade ki baat kar rahe the hospital mein?"

He nodded, "Haannn... Yahi vaade ki baat kar rahe the hum. Aur tum anaath nahi ho Naina. Main hun na, tumhara Nanaji... Aage se kabhi khud ko anaath mat kehna. Samjhi. Tum dono ko apni peechli zindagi ke baare mein khudse kehna hoga, isliye maine kuch nahi kahaa." She just nodded but still fidgeted with the corner of her dress.

"Kya tum mere Sameer se shaadi karne ke liye taiyaar ho Naina?", he finally asked as it was getting too much. She looked at him, "Nanaji... Ek dusre ko jaane bina hum kaise shaadi kar sakte hai? Hum aaj hi toh mile hai. Ek din mein yeh faisla lena sahi nahi hoga." She closed her eyes & continued, "Main iss shaadi ka faisla Sameer par chodti hun Nanaji." She got up & left.

Nanu remained seated there as many thoughts crossed his mind. He questioned himself, "Kya maine aaj hi yeh baat bataa kar koi galti toh nahi kar di? Mujhe thode din aur rukna chahiye tha kya? Kahin dono ki zindagi mein koi aur toh nahi? Nahi... nahi... Aisa nahi ho sakta, aur agar aisa hota toh mujhe pataa hota. Sameer aur Naina me kabhi aisa kuch nahi kahaa."

Nanu didn't know if he had made the right decision by discussing his promise so early. But what can he do now? He just had to wait & let them take the call. He was worried now, especially because of Sameer's silence. He didn't say anything except he wanted time to think. Nanu knew his grandson & was now getting apprehensive.

It was time for lunch, when he saw Naina placing the dishes on the table. He asked Ramdhari to call Sameer. He arrived at the table & ate his lunch talking to Nanu about some meeting which needed his presence too. Nanu agreed immediately & was happy to see that he wasn't in a sour mood after whatever happened in the study room. He wanted to broach the topic but waited as he wanted to talk to him in Naina's absence.

Naina remained silent & distracted throughout. She didn't even eat properly. Nanu thought that even she was as anxious as him. They finished their lunch & Nanu informed that he would be visiting Munshiji's house in the evening for some work & would be back before dinner. Everyone retired to their rooms.

Once in the room, Naina sat down on her study table. She wanted to study but nothing registered in her mind as it was already distracted with HIS thoughts. She closed the book & kept it away with a thud. She got up & started pacing around her room. After few minutes, she lied down on the bed & thought, "Nanaji ne jo bhi kahaa, usse sunne ke baad mera dil itne zor se kyun dhadakne laga tha? Kya main Sameer se shaadi karne ke liye ready hun? Agar uski zindagi mein koi aur ladki hogi toh? Main kisi ke pyaar ke beech nahi aana chahti. Mujhe usse baat karni padegi. Ye faisla main akeli nahi le sakti. Waise bhi maine Nanaji ko yahi kahaa tha ki Sameer ka jo bhi faisla hoga wohhh mujhe manzoor hoga."

The moment she thought that Sameer would have some girl in his life, her heart ached without her knowledge. She smiled to herself remembering the morning encounter in HIS room. He had asked her, "Itne bade ghar mein tumhe sirf mera hi kamra mila nahaane ke liye?" She had very smartly replied, "Yahi mere bagal wala kamra tha. Isliye maine jyada socha nahi aur yahaan aa gayi."

This was the half-truth. She couldn't tell him that she liked coming to his room & talk to his picture. She had been in his room every day. She used to clean his room & then sit in front of his picture & talk about all the mundane things. She had started to feel this house as her own & his room as her own too. She knew she was attracted to him & that's the reason she wanted to know about him even more.

Neither Nanu nor Ramdhari knew that she spent her all afternoons in HIS room. This was her little secret that she never wanted anyone to know. Today, when Nanu talked about their marriage, she didn't believe it at all. She never thought in her dreams that she would be asked to marry him. She wanted to talk to Sameer & check if he had someone else in his life. Nanaji never mentioned about it, maybe he must not be aware about it, she thought & then a frown appeared on her face, "Agar Sameer ki koi girlfriend hogi toh hum dono ke Nanaji ka vaada kaise poora hoga?"

She kept tossing & turning on her bed. Sleep was far away from her that afternoon. She got hold of her diary & started writing. She had a habit of writing whenever she could. That day her mind & heart were at war & she needed to get it out. Writing gave her solace & today she needed it the most.

"Hiii... Dairy... Bohot din ho gaye na hume baat kiye hue. Aaj bohot se sawaal hai mann mein. Itne din se main yahaan hun par Nanaji ne kabhi iss vaade ka zikr nahi kiya mujhse. Shaayad wohh Sameer ke aane ka intezaar kar rahe the. Tum jaante ho hamare Nanaji ne kya vaada kiya tha? Main bataati hun, wohh chahte hai ki meri aur Sameer ki shaadi ho jaaye. Mujhe aisa lag raha hai jaise main koi sapna dekh rahi hun.

Tum toh jaante ho na ki mujhe Sameer pehli jhalak mein hi pasand aa gaya tha, isliye jab Nanaji ne yeh sab bataaya toh mera mann khushi se naach utha. Par iss khushi ke saath saath ek darr bhi hai. Pataa nahi kyun, Sameer ki chuppi se mujhe darr lag raha hai. Aaj jab subah uske room mein hum takraaye the, tab toh aisa lagaa jaise main unhe pasand aa gayi. Par fir uske baad se unhone kuch nahi kahaa.

Unhe meri haathon se banaayi hui coffee acchi lagi, aloo ke parathe bhi acche lage. Par taarif ke do shabd bhi nahi kahe. Khair mujhe toh pataa bhi nahi tha ki unhe aloo ke parathe pasand hai, wohh toh Pandit ne bataaya tab mujhe pataa chalaa. Aaj subah se sirf shock par shock hi mil rahe hai. Pehle Sameer se takraana fir Munna aur Pandit se baat karna aur fir yeh shaadi ki baat.

Maine Nanaji ko keh toh diya ki jo bhi Sameer faisla lenge wohh mujhe manzoor hoga. Ab pataa nahi unke dimaag mein kya chal rahaa hoga. Diary... Tumne hamesha meri baat suni hai aur mujhe pataa hai tum aage bhi sunogi. Dusron ki tarah tum mujhe kabhi nahi chodogi na? Pehle mummy-papa ka jaana fir mere Nanaji ka. Tumne har samay mera saath diya hai. Bas aage bhi aise hi dete rehna. Jaanti hun, tumhare siva mera koi friend nahi hai jo meri har baat sunega...

Abhi ke liye chalti hun... Baad mein bataungi aage kya kya hua...

Byeee... Jaldi milenge..."

The time passed soon for her.

When she came down, Ramdhari informed her that Nanaji had already left towards Munshiji's house. He added again, "Main bhi market jaa raha hun. Aapko kuch chahiye toh bataa dijiye. Main le aaunga." She replied with a smile, "Mujhe kuch nahi chahiye Bhaiya. Bas jo saamaan ki list banaayi thi, ussi hisaab se sab le aaiyega." He too left for the market.

She thought that she was alone in the house until she heard a throat clearing behind her. She turned swiftly & her eyes met the deep brown chocolaty eyes. He asked, "Mujhe tumse baat karni hai. Mere kamre mein aa sakti ho?" She nodded in a trance & followed him.

The moment she entered his room, her eyes landed on the bathroom door & she got all the flashbacks of the morning. She instantly looked away, when he spoke, "Naina... Tumhe pataa hoga ki maine tumhe yahaan kya baat karne bulaaya hai.", he came straight to the point. She replied nervously, "Wohhh... Wohhh... Main bhi aapse baat karna chahti hun."

He continued, "Toh pehle tum bolo. Kya bolna chahti ho tum?" She fidgeted with her dress & asked, "Ummmm... Kya aapke koi girlfriend hai?" He looked at her blankly, "Usse kya fark padta hai?" She was still fidgeting with her dress, "Fark toh padega na? Agar aapki zindagi mein koi aur hoga toh hamare Nanaji ne kiya hua vaada kaise poora hoga? Aur main nahi chaahti ki main kisi ke pyaar ke beech mein aaun."

Sameer kept looking at her with a straight face. "Aap... aap kuch bol kyun nahi rahe?" He took a step ahead whereas she didn't move. She was waiting for his answer. He started clapping suddenly. She stood confused & asked, "Aap... aap taaliyaan kyun bajaa rahe ho?" He moved around her in circle, still clapping loudly.

He stopped moving & stood in front of her, "Waahhh... Naina... Waaahhhh... Kya acting kar leti ho yaar tum. Maanna padega." He clapped again. "Yehh... yeh... aap kya keh rahe hai?", she stuttered. He laughed aloud, "Itni bholi shakal hai tumhari, koi bhi isse dekh kar pighal jaayega? Jaise mere Nanu pighal gaye." She was unable to understand why he was saying such things.

He continued, "Tum aaj subah jaan bujhkar aayi na mere kamre mein. Nal kharaab hona, fir mere kamre mein nahaane aana, yeh sab tumhara plan tha na mujhe fasaane ka? Tumhe yeh sab vaade ke baare mein pehle se pataa tha na??? Fir yeh sab naatak kyun kiya? Tumhe kya lagaa ki tum mere saamne towel mein aa jaaogi aur main tumhare pyaar mein paagal ho jaunga? Tumne jaan bujhkar mera favourite naashta banaaya, jisse tum mujhe impress kar sako. Mere doston se bhi isiliye acche se baat kar rahi thi na taaki mere saamne tumhara character accha banaa rahe. Miss Naina Agarwal... Maine tum jaisi bohot ladkiyan dekhi hai, jo aisi sab giri hui harkatein karke paisewaale ladkon ko fasaa leti hai."

"Nanu chahte hai ki hamari shaadi ho, unhone vaada jo kiya tha tumhare Nanaji se. Mujhse shaadi hone ke baad tumhari toh chaandi hi chaandi ho jaayegi na? Tumne kabhi sapne mein bhi nahi socha hoga na ki tumhari kismat aise chamak jaayegi. Tumne kabhi tumhare zindagi mein itna badaa ghar nahi dekha hoga. Hai na???"

Naina stood frozen to her place after hearing such toxic words for her. No one had ever spoken in such a harsh way with her. She couldn't believe her ears that the person she was falling for, thought about her in such a horrendous way. She never knew about the promise as her Nanaji had never spoken about it before. She came to know only when her Nanaji was on death bed, that too only about the promise, not the promise itself.

Her thoughts broke when he pulled her in his arms & tried to kiss her. That was it. She couldn't take anymore & pushed him away with all the strength she had. Sameer stumbled back a little & then his cheek felt numb when she slapped him hard on his right one. He stood rooted to his place, "How dare you Naina???"

Before Sameer could say more, she shouted, "How dare you Mr Sameer Maheshwari? Tumhari himmat kaise hui mujhe kiss karne ki. Samajte kya ho tum mujhe huh? Tum hoge koi bade CEO kisi company ke. Par usse mujhe koi fark nahi padta. Kya kahaa tumne? Ki main tumhe impress karne ke liye aur fasaane ke liye subah se naatak kar rahi hun. Toh Mr Sameer Maheshwari, apne kaan khol kar sunlo, main koi naatak nahi kar rahi hun. Main jaisi hun, waisi hi khush hun. Tumhare paison se yaa iss bade ghar se mujhe kuch lena dena nahi hai. Main toh sirf Nanaji ke wajah se iss ghar mein hun. Tumhare liye nahi, samjhe tum? Aur yeh jo ghamand hai na tumhe apne paison ka, wohh tum usse dikhao jise isse koi fark padta ho, mujhe nahi."

"Aur kya kahaa tumne, ki tumne bohot ladkiyaan dekhi hai jo tumhare paison ki wajah se tumhare aas paas mandaraati hai. Toh Mr Sameer Maheshwari, main unn ladkyon mein se nahi hun. Naa toh mujhe tumhare paison mein interest hai, naa toh tumhari shakal mein aur naa hi tum mein. Toh khud ko itna importance mat do. Aur rahi shaadi ki baat, toh mujhe tum jaise selfish, narrow minded & self-centered insaan mein koi interest nahi hai. Aur agar iske baad tum mere aas paas bhi dikhe na toh accha nahi hoga tumhare liye. Samjhe..."

Saying that, she left his room, leaving a stunned Sameer behind. He couldn't believe that this girl had dared to slap him & speak to him in such an insulting way. No one had the courage to slap him till now & this girl had the nerve to do that. He paced around his room to calm himself but that didn't work out. He took his bike keys from the drawer & left his house.

He called up Munna & Pandit on the way & asked them to meet at the office. His friends didn't dare to ask the reason hearing his stern voice & agreed to meet. When they entered his cabin, they were surprised to see the storm that had hit their friend's cabin. All the things were scattered around, some vases were broken & all the chairs were upside down.

"Kaunsa toofaan aaya tha yahaan?", Pandit asked looking around the cabin. Munna stood near the door & was watching his friend who stood silently looking out of the window. Mundit walked across the room where he was standing & patted his back, "Sameer... Kya hua?" He turned around to face his friends. One look at their best friend & they knew something was terribly wrong.

Pandit made him sit on the couch & Munna handed him a glass of water. "Ab shanti se bataa ki baat kya hai?", Munna asked him. Taking a deep breath, Sameer told them everything from the start. He even told them about his conversation with Nanu before he left for London. They heard him quietly trying to understand all. Once he was done, he looked at them, "Uss ladki ki itni himmat ki usne mujhe thappad maara. How dare she? Wohh jaanti nahi hai ki usne kisse pangaa liya hai."

Mundit couldn't control their laughter & started laughing loudly. "Sameer... Kaunse gaal pe thappad maara, zaraa bataa toh?", Pandit came forward & looked at his face closely, "Arey iss gaal pe maara hai. Dekh Munna, kaisa laal ho rakkhaa hai gaal." Munna too came forward & observed, "Arey haann... Right gaal par hi maara hai."

They started laughing again & Sameer cursed under his breath. "Tum dono ko hasi aa rahi hai? Uss ladki ne mujhe thappad maara aur tum log hass rahe ho?" Mundit calmed down & looked at him, "Ab tune jo kiyaa, wohh bhi sahi nahi tha Sameer. Agar usne tujhe thappad maara bhi toh kuch galat nahi kiya usne. Main bhi agar uski jagah hota toh wohi karta.", Pandit spoke his mind this time.

Munna added, "Hum Naina ko kuch dino se itna toh jaan gaye hai ki usse samaj sake. Tu hamara bhai hai, khaas dost hai, bachpan se jaante hai tujhe. Aur tune abhi jo kuch bhi kahaa, uske baad hum yahi kahenge ki tune galat kiya Sameer. Tune uske character par sawaal uthaaya, uski marzi ke bina tune usse kiss karna chaaha. Hamara dost aisa toh nahi tha. Tujhe usse shaadi nahi karni toh saaf saaf manaa kar deta. Tujhe Naina ke saath aisa behave nahi karna chahiye tha. Tu gusse mein kuch jyada hi aage badh gaya Sameer. Wohh ek ladki hai, abhi abhi uske Nanaji ka dehant hua hai. Kitna sunti wohh bhi. Uski bhi toh self-respect hai na?"

Sameer couldn't believe that his own friends were siding with that girl. He turned to them, "Waaahhhhh... Tum dono mere dost ho yaa uske?" Pandit spoke, "Dost toh hum tumhare hi hai Sameer. Isiliye hum tujhe sahi aur galat ka fark dikha rahe hai." Sameer closed his eyes, "Nanu chahte hai ki hum unka vaada poora kare. Par main kisi gold digger se shaadi nahi kar sakta. Aur Naina se toh bilkul nahi. Kya kahaa tha usne ki wohh mujhse shaadi nahi karegi? Samajhti kya hai khud ko, kisi film ki heroine hai kya?" Mundit rolled their eyes while Sameer kept talking.

On the other side, after leaving his room, Naina had ran to her room & locked it. She cried her heart out holding her Nanaji's photo frame, "Aisa kaise soch sakte hai wohh mere baare mein. Chiii... Itni ghatiya harkat kaise kar sakta hai koi. Dikhne mein toh ekdum hero hai, par harkatein sab ekdum villain jaisi. Agar Nanu ko pataa chala ki unhone aisa kuch kiya mere saath toh unhe kitna dukh hoga. Kahaan main yeh soch rahi thi ki wohh itne acche hai aur kahaan unki aisi harkaton ne mera dil tod diya. Unhe lagta hai ki maine subah se jo kuch bhi kiya wohh jaan bujhkar kiya taaki main unhe fasaa saku. Unhe main itni giri hui dikhti hun. Accha hua maine Nanaji ko apna faisla nahi bola tab. Main aise bigdail ladke se kabhi shaadi nahi karungi. Kabhi nahi..."

Her heart broke into pieces after seeing his behavior today. She had never imagined that the handsome face she was falling for had such a cold heart. She cried bitterly after replaying the whole conversation in her mind again. She had to do something, she couldn't stay in this house now, where she would've to face him every day. She had at least done a right thing by not taking the decision for marriage instantly & left it to Sameer. She knew after whatever happened today, he wouldn't agree to marry her.

She only felt bad for Nanaji as she won't be able to fulfil their promise. She closed her eyes & let her tears flow. She never thought that she would have to leave this house too. Once he denied the marriage, she decided to talk to Nanaji & inform him that she couldn't stay here & would look out for a girl's hostel room. She freshened up after an hour & headed downstairs. She asked Ramdhari to prepare the dinner & she left to her room again to do her packing.

It was already dinner time when Sameer reached home. Nanu had returned from Munshiji's house an hour ago. He wanted to talk to Sameer alone but he didn't find him home when he returned. He asked Ramdhari, who said that he had no idea where he was gone. As Sameer entered, he saw Nanu sitting in the living room hearing songs on his favorite radio.

Ramdhari asked if he should serve dinner. Sameer went to freshen up & joined Nanu at the dining table. He hadn't seen Naina since his arrival. Nanu asked Ramdhari to call Naina for dinner, who hesitantly told them that she wasn't hungry & would not join them. He also told them that she had refused the evening tea & snacks too.

Ramdhari spoke, "Nanaji... Mujhe lagta hai Naina didi ko apne Nanaji ki yaad aa rahi hogi. Maine unke rone ki awaaz suni thi." The spoon fell from Sameer's hand & Nanu looked at him suspiciously. Ramdhari left to the kitchen after serving them. Sameer ate silently while Nanu looked skeptically at him. He somewhere guessed that his grandson was the reason behind Naina's absence from the dinner. He didn't say anything & they finished their meal.

"Ramdhari... Ek plate laaga de. Main khud Naina ko khaana de kar aata hun." Sameer too heard his Nanu's instruction. He kept quiet & saw Nanu walking towards Naina's room upstairs. He knocked on her door, "Naina... Beti... Main hun. Darwaaza kholo." She opened the door instantly, "Arey Nanaji... Aap kyun aaye, mujhe awaaz lagaa dete, main neeche aa jaati." He smiled & entered the room. He kept the plate on the side table & asked, "Tumhari tabiyat toh thik hai na? Dinner ke liye neeche kyun nahi aayi? Ramdhari keh raha tha ki tumne shaam ko chai aur naashta bhi nahi kiya. Sab thik hai na beti? Kuch hua hai kya?"

She didn't want to lie to him but she had to. She couldn't tell him what had transpired in his absence. She strengthened her heart & spoke, "Nanaji... Meri tabiyat thik hai, bas mujhe mere Nanaji ki yaad aa rahi thi. Aur kuch khaane ka mann nahi tha, isliye kuch khaaya nahi maine. Aap fikar mat kijiye Nanaji, main subah tak thik ho jaungi."

Nothing had escaped from Nanu's eyes. He had seen her red puffy eyes which meant that she had cried whole evening. He even saw her packed bags that were kept behind the study table. He understood that his grandson had definitely said something to her & she was ready to leave. He knew his grandson enough. This is what he was afraid of. He shouldn't have gone to Munshiji's place in the evening. Something drastic had happened between the two or else Naina wouldn't have packed her luggage. He needed to talk to his grandson now. He knew Sameer didn't want to marry & his promise would lead to his marriage which he never wanted in the first place.

"Naina... Dekho main khaana laaya hun. Thoda khaa lo. Bhookhe pet nahi sote. Chalo thoda sa hi sahi par kuch toh khaa lo." Nanu fed her a little & then left her room. He knew she won't say anything so he had to ask his grandson. When he went to keep the plate in the kitchen, he saw Sameer sitting in the garden. He walked towards him & sat beside him. They sat there in silence for few minutes.

"Sameer... Tumhe kuch kehna hai hamare promise ke baare mein? Tumne dophar se kuch nahi kahaa mujhse. Main jaanta hun ki tum shaadi nahi karna chahte. Par yahi sahi umar hai Sameer. Aur Naina bhi bohot acchi ladki hai. Uska dil ekdum saaf hai. Koi chal kapat nahi hai uske mann mein. Meri buddhi aankhon ne itna toh dekha hai ki logon ko parakh sakun. Naina se acchi jeevan saathi tumhe nahi mil sakti Sameer. Bohot pyaari bacchi hai. Mujhe yakeen hai ki wohh tumhe hamesha khush rakhegi. Naina mein maine apni Jaanki ki parchaayi dekhi hai. Main tumhe shaadi ke liye force nahi karunga. Bas ummeed kar sakta hun ki tum dono mera kiya hua vaada poora kar sako."

"Nanu... Wohhh... wohhh... main...", Sameer stuttered& before he could say anything, they heard a voice from behind, "Nanaji... Mujhemaaf kar dijiyega. Par main yeh shaadi nahi kar sakti..."



How was the update?


What do you think?

Will Naina leave the house?

Will Samaina fulfil their grandfather's promise?


Do vote, comment & share if you liked the update...

Ignore the mistakes...


With Lots of Love,

Daksha...❤

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro