*Ehbaab* kaa deewanawaar pyar❣️

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Bismillah....

"Being in love means being totally , unconsciously, head to toe crazy"-iqra 's saying ❤️

Pta hai ... I always want to crazy with himm...like khatarnaak wali pagalo ki harkate karni hai mujhe unke saath....bina sandals ke road par bhaagna... Car ki roof par charna... traffic signal par dance karna... Golgappe competition karna.... Yaani bilkul bewakufi karna...please please allahpaak wo mujhe na sirf yeh sab Karne ki permission de balki Mera saath bhi de... Aur enjoy bhi Kare...ameen....💕

Ab aate hai ehbaab par...👇👇👇👇👇

Wo to soch rahi thi... romantic kahaniyo ki heroine kis tarah sharmati hai par ghabrahat ka yeh aalam tha ki rati ratayii kahaniyaa bhi yaad nahi aarahi thi phir laga sehar ki kaun si duae thi..

Jo ghabrahat mein padhne ko kehti thi...  kasam khuda ki ek bhi yaad nahii aarahi...

Aankhein band kiye bed se perr latkayee rabab bethi thi ki kisi ke saamne khade hone ka ehsaas hua toh ammi ka jumla yaad aaya

"Saamne aate hi sir jhukae bethh salaam karna hai!!"

Isme bhi do cheezein bhuli thii ki aahista se salaam karna hai aur sir halke se jhukana hai...

Toh phatt se jitna ho saka utna sir jhukaya aur awaaz e buland salaam Kara gya...

Itne mein dulha sahab dekh dekh deewane ho chuke the...

Bole "yeh aapka gift ...anghuti (ring)"

Yeh kehkar saath mein bethgaye...

Toh yaad aaya ek drame mein dekha tha jab hero yu ring deta hai toh heroine haath aage karti hai...

Yaha bhi nazakat bhuli thi...itna tezz haath aage Kara Gaya ki sir ka dupatta neeche bed par tha ...khud aankhein band kiye bethi thi toh yeh ilm hi nahi hua ki dupatta kaha hai aur dulha kaha hai???

Wo dekh has hi raha tha ki yeh apne students ka Kya haal karti hogii.            

.toh haath pakadkar apni taraf kiya toh ungli mein anghuti pehnayii jispar ek aankh kholkar dekha Gaya ...saamne na paakar side mein betha paya.....

Phir dulhesahab bole "relax rabab!!!"

Rabab ko relax kaha sirf rabab sunayii Diya tha ...Dil hi Dil kuch hone laga toh ajeeb ajeeb shakalein bnakar kaha ...

"Paani chahiye ...mujhe "

Do glass pani piya gya phir araam se bethi ab toh yeh jhelna hi hai toh hasi khushii jhelugii toh dimaag se saare khayal udhgaye ....

Dupatta wapis pehna Gaya araam se betha Gaya phir wo bola " ab theek hai toh dusra gift du!!!"

Jhat se direct "haa" bola...

Ek box pakdaya Gaya jisme makhmal ki jootiyaa thi jispar sone ka kaam tha....

Bahutt pasand aayi toh ...saamne ehteshaam sir rabab ke ghutno par Kar khada tha bola "jahapana... Jooti bhi aapki hai aur sir bhi Baja dijiye..."

Pari ki mangni Wala incident yaad aaya jab jooti sir par bajane ki dhamki di thii... Toh samjh nahi aaya ab ISS baat par hasu yaa maafi manguu phir laga... Nahi,pati hai maafi waala option sahi hai ..

Boli "please sorry.. aap toh apne showroom jaate the... Mujhe galatfehmi hui thi .. pari ne bataya mujhe ...uthein please..."

Toh sir uthakar wahi zameen par ghutno ke bal betha tha "agar main yeh bolu ..ke pari ko sirf utna bataya jitna munasib tha baat toh bahut badi thi..."

Confused expressions se dekh rahi thi ..

Khud hi bola " bataun aapko"

"Jii"

"Aapki car ko toh aate jaate dekha tha par uss din jab aapko yaha quran ki tilawat thi kisi lady ke peeche khajoor..Dene bhaagi thi toh pehli baar dekha phir khud ko notice karane ke liye usi waqt par aana jaana shuru Kara tha... Jab aap aati jaati thi..."

Baat kaatkar boli " par aapne mujhe toh kuch kaha hii nahii??"

Muskuraya" kaha toh tha jab khoon peene wali baat kehkar yeh bataya tha ki ladkiyo ki ek kism rabab wali bhi hoti hai jisme sirf akeli rabab hai"

Jispar tezz hasi phir aage bola "jooti sir par maarne wali baat kehkar toh mujhe challenge Kara tha laga ki Jo ladki aachhe khaase ladke ke sir par maarne wali baat keh sakti hai ... Wo Kya kuch nahi karskti toh laga biwi toh aap hi hogi Meri..."

Wo samjhdaaro ki tarah boli "achha ... Maine toh aapko darane ke liye bola tha aur pta hai mujhe laga bhi tha jab Tak Maine aapka photo nahi dekha kii rishte wale aaye hai..."

Wo sirf dekh raha tha ki isse pyaar ki baat karna yaani paani ko aag se bhujana par wo toh ruk hi nahi rahi thi

"Pta hai din tarikh ke baad toh Roz aapko dekhti thi par aap dikhte hi nahi aur jab aap Ghar aakar react nahi karte the na toh mujhe bahut tezz gussa aata tha..."

Wo haath Chala Chala Kar bolrhi thi ...wo sirf haath ki banawat dekh raha tha aur chudiyo ki jhankar sunn raha tha ...

"Pta hai ... Humari love story kaunsi novel ki tarah hai Jo saquib Bhai ne peechli eid par laakar di thi ...uska naam btao?"

Bola "Jo bhi ho par uska hero heroine ka bachpana dekh mujhsa deewana nahi hua hoga ..."

Yeh baat sunte hi uski tezz hasi chuti thi ki dulhemiya ko laga ab ise raah par laane par ek hi tareeka hai...

Jhat se uth bed par Chara aur haath pakad khicha phir kamar mein haath daalkar pehle peshani chumi aur bazuo ka dumm dikha Kar tezz se jakadkar wo toh sakte mein aagayi thi kuch bol hi nahi payii...
..

Khud ke chehre ke saamne uska chehra Kar bola "aaj Chand bhi sharmaya hoga iss chocolaty lehenge mein dekh aapko..."

Wo hairat se dekhrahi thii phir dobara peshani par muh tikakar bola "yeh btae bholi biwi pati ki romantic baato ka yuh nadano Wala jawab kaun deta hai ...bolo..."

Wo kuch bol hi nahi payii phir bola "yu itni baatein. Kari iska Kya maksad tha biwi ...yeh toh hargiz nahi tha ki main aapki novel ki list sunu...bolo..""

ISS baar wo himmat karke boli " woh.. ehteshaam Maine kabhi aisi baatein na suni na Kari mujhe pta nahi Kya karna hota hai"

Wo muskuraya " rabab aisi baato par sabse pehle sharmaya jaata hai..."

"Par ehteshaam ... Mujhse sharmana nahi aata hai Maine koshish Kari seekhne ki par nahi hua..."

Wo masoomiyat par fida the...
"Aap phir mujhe challenge Kar rahi hai.. chaliye main bhi dekhta hu aap sharmati kese nahi hai...."
Yeh kehkar masoomiyat ki dukan ko karib karliyaaa

❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️

Tingting chap no 24...with 1070 words..

Howazzat..

One word for ehbaab

Many words for author sahiba

One song for rabab's innocent love for ehteshaam

Ur favorite pal

Ur favorite dialogue...

Kuch aur.... Kuch bhi...

Inn sabhi questions ka answer karna compulsory hai..

Allahpaak sabhi ki duae qubool Kare..

Allah Hafiz 😇

Take care♥️




Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro