Ek dusre se karte hai pyaar hum2

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Bismillah ❣️

As you all know ... Aaj last chapter Maine galti se incomplete print kardiya... So here's maafi :second update of the day....👇👇👇 enjoyyy ❤️

Pari boli " kahi nahi ... Kyuki hum apni research mein unn logo ki shamil nahi karte Jo humari soch ko ehmekana therakar humari beizzati karte hai... Rabab aur main toh beizzati jhel bhi le par saquib Bhai ki beizzati nahi jhel sakte ..."

Sabhi hasrhe the... Rabab naak phulakar boli " aur kyaa..aur beizzati bhi aisi waisi nahi Chand lafzo mein beizzati ...ana kitaab ke piche se jhaakkar chashma upar karke kehtii 'shutup ' aur sehar jainamaz par se ek hi lafz bolti 'battameez'..."

Sab hi tezz hasrhe the lekin rabab ki rail kaha tham rahi thi...

"Meri humdardi dono jeeju ke saath hai khair daim Bhai ko toh bahut sabr ki zarurat hai (jispar daim ne sehar ko koni maari wahi wo Sharma Sharma ke marrahi thi) par Shehryaar jeeju aapke liye ek Rai hai ...Allah ke shukr se ana ne apna jaan se pyara chashma to tyyag Diya hai par kitaabein... Haa kitaabein...toh jab bhi isse koi baat karni hoto humari tarah iski kitaabein chipadena ..."

Jispar Shehryaar ne has Kar haami bhari ...

Wahi ana ne bhawe uchkakar pucha " aapka apne baare mein Kya khayal hai rabab.."

"Bahut hi achha ana..."

Sarfaraz ne pucha "areyy ..par research Kya thi?..."

Rabab aankhein choti. Karke bolii. "dadajaan jiinki sab sunte hai. Wo dadiammi ki. Kyuu sunnte hai .... Dadiammi aiisa karrtti kyaa haaii......???."

Sab hase aur Shehryaar ne pucha "toh saalisahiba aap llog kis nateeje par pahuche phir...?"

Parii bolii "arey humare jeeju ne farmaish ki hai iss baat par tooh demo bbanta hai...tayyyar.....!!"

Saquib aur rabab dono saath bole "tayyar..."

Pari ne chamcha Mike sa pakda ... "Toh bhhaiyo aur behno auur mere pati...(jispar sarfaraz hasa) hum teeno Bhai behan jis research par bachpan se kaam karrhe hai... Uska nateeja aachuka hai.. toh ab parda utne jaarha hai ki dadiammi aisa Kya karti hai ki dadajaan inki saari baatein maante hai .. toh presenting saquib Bhai Jo bahut hi bure actor hai as a dadiammi aur rabab Jo apni bhaagne ki sahalayat ki wajah se humesha dadiammi se bachti aayi hai as a dadajaan...taliyaaa"

Sabne taaliya bajaii... Rabab ne jhat se ehteshaam ki shirt se sunn glasses nikale... Nazar k chashme ki tarah pehne wo to biwi ki yeh harkat dekhta rehgaya...

Phir haath mein akhbaar pakda Jo akhbaar kahi tha hi nahi... Dadajaan si bhari awaaz karke boli " zamroon main sochrha hu yeh kaam karliya jae yaa nahi Kya kehti ho...?"

Saquib bhi full role main aaye.. apne rumaal ko dupatta banaya muh me sharmakar phasaya... Dadiammi ki tarah gardan jhukakar sharmaya aur nazakat se bola "jii waise toh JAisa aap chahe.. par agar karlete toh achha rehta..."

Rabab ne akhbaar Jo kahi nahi tha rakhha uski taraf dekha .. Chand minute muskurayii aur dadajaan ki tarah boli " theek hai zamroon .. JAisa tum chaho .. Malika e hayat'"

Pari boli "taaliyaaaaaaaa"

Sabne taaliya bajayii...rabab shukriya shukriya hi karrhi thi...chashma utarkar haath mein liye...

Dadiammi chillayii "nalayako.........."

Jispar rabab tezz boli " pari chup... Dadiammi ka aaj ka sharafat ka Kota pura hogya.. ninja technique ke saath chappal aaegi.."

Teeno ke chipne par .. sab haste haste lot pot the ..dadiammi boli haskar "mere Ghar ki raunake ..Meri chiddiyaaa"

Sab hi muskuraye.. wo chaaro ek dusre ko dekh rahi thi..

Pari ne sab normal Karne ke liye boli "toh Shehryaar jeeju kesa laga demo...?"

Bola "jitni nayaab Meri saaliya utna hi nayaab.."

Jispar ana sharmayii ..jawab aaya " jeeju aap bhi humare liye bahut khaas hai .. aakhir aap humare officially first jjeeju hai... "

Hasa "achha..aur unofficially..."

Sehar jawab jaanti thi isliye sir pakda... Pari boli "unn mohtarma ke shohar Jo sir thaame bethi hai... "

Daim dabi hasi hasa... Phir pari boli "aaj bhi sehar tu nahi hasi humare demo par waise..."

Rabab jhat boli "areyy ... Pari kaise hastiii side mein dekh maazi ki ustaad dadiammi aur mustakbil ke ustaad daim Bhai bethe haii..."

Jispar pari rabab ke saaath ana bhi hasi thij

Daim ne toka "koi Meri biwi ko kuch nahi bolega ..."jispar teeno ko tezz khadi Hui sehar ghurti rahi sahelio ko...

Saquib bola "sehar yeh umeed tujhse nahii thi.. tune humare Sher ko chuha banadiyaa..."

Sehar ghabrayii "nahi saquib Bhai wo main..."

Daim ne kalayii dabaii biwi ki " mujhe koi pareshaani nahi hai chuha banne mein ... Aap log yeh chahte haina sehar bole toh main huna... Haa toh ehteshaam aapka first time tha... aapko humare yaha ka drama school kaisa laga jisme main artist aapki mankuhaa thii..."

Ehteshaam ne jawab Diya "bhayii zabardast.. main toh pehle hii fan tha ab toh super fan hogya.."

Ana ne rabab ko koni maari toh khud hi pachtayii kyuki wo khikhi .. karke hasi ..

Sarfaraz bola "good rabab"

Toh unhone victory sign dikhaya... sarfaraz jhep Gaye bholapan dekh...

Saquib bola " arey yeh ho







Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro