ImIsh: Dil ne jise apna kaha 😍

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Bismillah ❣️

"Har rishte main ..har galti maaf honi chahiye"-iqra's saying

Nadamat ki maafi Dil se maango.. Dil se rishta nibhao.. maaf karo... Jab allahpaak humari hazaro galtiyo ke baad bhi maaf kardete hai ...toh hum hote kaun hai kisi se naraaz hone wale...wo bhi apne pyaro se ..apne apno se...aur wse bhi kuch log toh Dil main nahi Dil ki jagah rehte hai....

How ..let's find out... I know 'ImIsh':daim+seharish... Naam change hai .. but I love it more❤️...toh aap kuch nahii Kar sakte....

❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️

Abhi wo soch hi rahi thi ki uske saath Kya hua aur Kya hone Wala hai...

Tabhi bed par aakar betha toh khud khadi hogyi ..

Tabhi singaar mezz(dressing table) ki kursi layaa aur bola

" Sehar bed par bethiye.."

Aur khud kursi par betha ...usne ghunghat Kar rakha tha... Kuch derr ghunghat hi dekhta raha naa jaane kyu ek aankh se aanso nikal Kar baha tha ... Magar aansu saaf karke Socha aaj baat saaf honi chahiye toh jazbaati nahi hona..

Phir himmat karke bola "aap mujhse Shaadi nahi karna chahti thi na?" saamne sehar ne naa mein gardan hilayi..

Phir bola " aapko main achha nahi lagta na ?" ispar bhi naa mein gardan hilayii...

"Aap ISS waqt mujhse baat bhi nahi karna chahti?"ispar bhhi naa Mein gardan hilayii...

Bola "dekhiye, mujhe Khushi hai aapne mujhse Sach bola... Lekin mujhe toh aapse baat karni hai toh sabse pehle aap nadamaton ki saza sunaye...baaki baatein baad mein hogii..."

Jispar khamosh rahii ... Toh bola "nahi saza sunanii.." toh naa mein gardan hilayii....

" Thik hai... Toh main khudko saza sunata hu..phir..."

Utha aur kaan pakadkar uthak aur bethtak shuru kardiii...

Wo kuchh pal sir jhukae bethh rahii.. phir sir uthakar dekha toh hairaan reh gayii...

Pehle wahii se Mana karti rahii... Phir ghunghat kholkar kareeb gyii... " Daim ...please chaliye bethiye waha par .. "

Par usko kaha Sunni thi ....wo uthak bethak karta rha kaan pakadkar...

Phir boli "please daimm... Allahpaak mujhse naraz hojaege..."

"Nahi, Allahpaak mujhse naraz hoge agar aaj Maine aapko apni baat nahii kahi toh..."

"Main tayyar hu baat sunne ke liye please bas Kare"

Yeh kehkar wo ruk gya wo singaar mezz ki kursi wapis jagah par rakhkar aayii aur bed ki aur ishaara Kar boli "chliye"

Daim ki nazar ab uske chehre par padi toh khoobsurati dekhkar ... Ruka..tehra... Gehri saas li... Aur phir kuch sochkar nazre jhukali...

Wo bethi toh khud Durr jaakar bethgyii....

"Dekho sehar Jo hua kyu hua pta nahi.. par main chahta hu ab ISS rishte khalisghi ho jiska sirf ek tareeka hai ki hum bole aur Sach bole taaki yeh waqt naa beeth jae warna beech ki deewar bahut mazboot hojaegii ISS rishte mein kuch nahi bachega ..toh btae Sach bolegi naa.."

Wo use ghurr rahi thii sir haa mein hilaya

Bola " yeh toh main jaanta hu aap mujhse shadi nahii karna chahti thi par kyu nahi karna chahti thi yeh btae?"

Sochkar boli "kyuki aapka gussa.. gussa karna haraam hai.. aap kisi se bhi itni tezz awaaz mein baat karte hai humesha sirf yeh dekhte aapko Kya pasand hai yeh nahii dekhte saamne ... Wala Kya chahta haii.."

"Main gusse par kaabu Karne ki koshish karuga.. tezz awaaz isliye nikalti kyuki galat baat bardasht nahi hai ...ha main khudsir , khudpasand aur battameez hu(jispar sehar ne dhyaan se dekha yeh toh wahi alfaaz the Jo wo aksar daim ke liye istemaal karti ..aur isko yeh baat pta hai yaani yeh jaante hai aur phir bhii mujhse shadii ki )....par main. Khudko badalne ki Puri koshish karuga.."

"Inn sabki Kya zarurat hai ..jab aapne yeh shadi hi kisi dawaab (pressure) main Kari hai.."

Muskuraya "dawaab mein toh Kari hai ..magar khudke Dil me dawaab main.."

Tesh mein aakar boli " yeh saari baatein rehne dein ... Maine khud aapko ladkiyo se phone par baat karte suna hai.."

Phir muskuraya aur bola "jii main maanta hu ..Meri kayi female friends thi..par kisi ko biwi ke hukook thodi diye the... Phir jab aap par nazar thehri toh yu thehrii ki kisi par uth hi naa paayi..."

Gusse se pucha" achha.... Aisa Kya dekhliya mujhme"

Use sehar ke gusse par hasi aayi ..jise chupane ke liye nazre jhukai...

Bola "qurbaani Dene ki salayat... Jo chote chote rishto par qurbaan ho sakti hai , wo ISS sabse bade rishte par qurbaan ho sakegii.."

Yeh wahi daim tha jisko khudke aage kisi ka bolna bardasht nahii hota tha aur yeh wahi sehar thi Jo kisi se gila nahi karti...

Par aaj dono apne kirdaaro se hatkar aamne saamne the...

Sehar boli "toh aap yeh kehrhe hai aap usko chahege Jo aapke liye qurbaan ho sake.."
..

"Jii aur Jo mujhse ISS mukaam par laade ki main khudsir aur khudpasand hone ki jagah qurbaan ho sakuu ..jiss mukaam par aap mujhe la chuki hain,..."

Ghura aur boli " yeh aap aaj itni baatein Jo karrhe hai ...pehle toh kabhi mujhse nahi bole..."

Aankho mein dekhkar bola " jinn logo ke liye ..aankho main ehtraam hota hai unke saamne zabaan Kam khulti hai... Yeh sab main shadi se pehle bhi keh sakta tha par jab bhii saamne jaata toh aansuo main dubi hui naraaz aankhein dikhti ...toh laga Sach batakar apna banane se achha hai ..apna banakar Sach btaunga.."

Jispar wo khamosh rahii ..kuch derr dekhta rha ...phir bola "shayad ab nadamatein kuch Kam hui hai baaki mujhe apni Mohabbat par pura yakeen hai waqt ke saath sab thik hojaega.. bas ek akhiri baat sunn lijiye ..Jo hayat' khandaan ke mard sirf ek aurat se kehte hai ki aap Meri Zindagi mein wo mukaam rakhti hai ki agar khuda aur bado ke baad yeh sir kisi ke aage jhukega ..toh wo aap hi hogi "

Sehar ki aankho mein yeh baat sunnkar aansu aagye ...

Yeh dekh wo muskuraya bola " aapki aankho mein Jo aansu hai wo ISS baat ka sabut hai kii aapko ISS Sach par ehtbaar hai .. in Sha allah mujhe yakeen hai aapko bht jald Meri mohabbat par bhi yakeen hoga jiske baad aap bhi mujhse mohabbat karegii... Usse pehle mujhe aapse kuch nahi chahiye ..araam kariye ab"

Yeh kehkar wo utha aur khidki (window) ke paas jaakar khada hogaya...

Yaha yeh bethi rahii aur socha yaani daim ki mohabbat mere alawa sab jaan Gaye the ... Ana, rabab ,pari , sarfaraz Bhai, bade papa, badi ammi , dadiammi ,dadajaan aur yeh sab yeh bhi jaan Gaye.. the...isne behtar insaan mere liye.. koi nahi ho sakta aur main bewakuf galat par galat hi sochti rahii par ab Maine ehtraaf nahi Kara toh waqaai beech ki deewar bahut pakki ho jaegii...

Wahi duae padhi Jo dadiammi mushkil ke waqt padhti thi... Aur himmat karke
Peeche jaakar khadi hogyi

Boli " daim sune, ek Sach rehgya..."

Wo peeche palta aur bola "kaunsa?"

Gehri saas li" yeh ki agar Meri shaadii kisi aur se hoti toh shayad wo insaan mere mayaro par toh utartha par Meri mohabbat na hota ..."

---------------------cliffhanger------------------------
















..















-------------------------------------------------------------
Authors note: Maine yehi Socha tha but phir mujhe lga pyare readers ko cliffhangers ka jhatka naa diyaa jae... Aur continue kiya jae... Aur ImIsh ka bhi ek hi chapter hona chhiye baaki ki tarah ...what say???

So enjoy rest of the chapter......

--------------------------------------------------------------

Jispar daim ki sawaliya nighae uthi phir boli

"Aapko pta hai class 9th mein jab humari classfellows aayi thi ..unn logo ne aapko dekhte hi pasand kiya tha Maine school khatam hogya par unse baat nahi kii baar baar puchne par bhi nahi bataya tha ki wo Meri bachpan ki mohabbat ko pasand Karne Ka haqq nahi rakhtii... Phir jab aap sabse bolte mujhse nahi toh mujhe lagta ki aap Meri ammi ki tarah mujhe samjhte hai ... Mujhe toh yaad bhi nahi kitni duao mein Maine aapko maanga hai .. par ek din aapke kamre ke paas se guzar rahi thi toh kisi ladki se baat karte suna toh laga jaise main har rishte mein badnaseeb nikli mohabbat mein bhi peeche rehgyi ...aapke gusse se darr lagta ..lagta Jo shaks khudme itna magan ho wo mujhe Kya samjhega ..toh allahpaak se aapko maangne ki jagah aapki bhalayi maangne lagii ...jab bhi pari mujhe chidati toh lagta Meri Zindagi toh wse hii itni mushkil hai aapse Shaadi hogyi toh aapka saamna kese karugii... Aaj jjab aap yeh sab bolrhe hai toh lagrha hai dadiammi ki saari duae Jo mere achhe naseebo ke liye maangti thi wo qubool hogyi.. allahpaak ne mere liye aapke Dil mein narm jazbein paida kardiye mujhe yakeen bhi nahi horha aur agar aisa naa bhi hota aap waise hi hote JAisa Maine Socha tha tab bhi main iss rishte ko qubool karleti kyuki yeh Meri Zindagi ka pehla faisla hai Jo papa ne kiya hai..."

Yeh kehkar wo khamosh hogyii ki ab himmat nahii aankhein uthakar dekhne ki tabhi daim paas aaya aur haath aage badaya... Muskurayi ki ab bhi haqq nahi samjh rahe ijazat le rahe hai..toh haath thaam liyaa...

Usne deewar se lagakar khada kardiya dono baazu dono taraf phelakar deewaar par hatheliyaa jamadi... Aur palke neeche kiye khadi sehar ko dekhkar bola " itni saada, itni sachhi , itni masoom , itni pyari hi toh Meri Zindagi ki sehar ho sakti hai.. Jo Khush hote hue bhi darti hai, Jo khushiyo mein roti hai .. Jo haste hue ghabrati hai ..Jo gussa karti hai toh uski yeh chotu si naak tamatar ki laal hojaati hai(wo muskurayii thi ISS ilzaam par), Jo Ghar ke mulazimo ka bhi dukh baatthi hai... Jo shohar ki aankho mein dekhte hue bhi shayad sharmati hai yaa ghabrati hai samjh nahi aarha sehar Zara dekhna Meri taraf.."

Jispar aankhein uthakar dekha toh bharpur muskura rahe the bola "khabardaar Jo ab aankhein neeche ki "

Uska gala sukh RHA tha boli "jiiii"

"Jo shohar ka hukm maanti hai chahe shohar mazak karrrha ho..."

Jispar muskurakar dekhti rahi..............

bola "main waada karta hu ab se Meri zimmedari aapko hasna , Khush hona sikhana , ab ISS sanjeedgii ki Kya wajah samjhu biwi Kya Socha jaarha hai.."

Boli "daim akhiri sawal ..."

"Jii huzoor"

" Aapne yeh kab teh kiya ki mujhse shadi karni hai ..?"

Wo hasa aur bola "jab raaste mein khade hokar dhuadhaar Roya jaarha tha ki please dadiammi ke paas le Chalo .. Maine Socha yeh ladki Chand minute dadiammi ke bina nahi paegii toh Puri zindgi kaise rhegi Agar koi aur legya... Socha dadiammi ka laadla pauta hone ke naate yeh qurbaani Deni padegii ki shadi karleta hu..."

Hairat se boli "dadiammi wajah thi daim!"

Jispar wo hasa aur gaud mein uthaya dulhano ki tarah(he carries her bridal way) aur bed ki taraf bada " nahii... Mujhse chipatkar Jo mujhe sannato mein le aayi thi na wo wajah thi... "

Jispar wo sharmayii thi phir bed par bethaya phir bola "ek pareshani hai"

."Kya"

"Wo yeh ki mujhe toh aapke khule Baal achhe lagte hai jabki dadiammi ko band ab aap Kya karegii..."

Isspar wo sochne lagii ... Jabki wo dilchaspi se unka sochna dekh muskurarahe the...

Halke se boli "koi baat nahi main kabhi kabhi dadiammi ki daat khalugii"

Usne haath pakda aur bola "yeh kehkar aapne saabit kiya hai ki main aapki bachpan ki mohabbat hu.."

Jispar wo hasi thi aur khud biwi ke haath ko ghuma ghumakar dekhrha tha puchne par bataya "dekhrha hu aaj bhi waxing hui hai. ...utna hi dard hua hai aaj bhi ..?...."

Hootho ko beechkar patni ko dekha jiske muh se besaakta nikla "haa........ Par utna nahii"

Jispar daim ka tezz thahaka nikla ki wo bed par letkar tezz hasne laga ..

Wo hairaan pareshaan dekhti rahii phir shohar ke muh par haath rakha
" daimm....araam se koi sunn na le.."

Jispar haath chumkar Jeb se sone ke kade pehnaye... Aur khichkar apne upar karliya....

❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️

Wakai ...kismat wale hai wo log jinhe nikah JAisa saath Naseeb hua hai..aur duae mein wo takhat hai Jo har namumkin ko mumkin karde.. toh jab bhi dua Kare apne achhe Naseeb aur khair ki zaroor Kare .. allahpaak sabko nikah jaisi nehmat se nawaze khair ,izzat ,wafa aur mohabbat ke saath
Ameen.
️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️

Tingting longest chapter ever with 2040words...

Howazzat..

Howz the twist

Daim's emotions

Sehar 's confession

The name ImIsh

One song for them

Their chemistry

Best pal

Best dialogue

My writing

Bla bla bla...

Yr vote n comment

With lots of love

Take care

Allah Hafiz 😇

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro