jeeju or sir whatever 'Ana 'want !!! part2

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Actually this is a part of previous chapter....
Par uss din I was so tired kii main sogyi😆😆
Wo to Allah k shukr I publish that part warna😥😥😥😥😥

Anyways enjoyyyyyyyyyyyyy this part

And do comments.....dekho achha nhi hogaaaaaa🤭

Wo kabse saamne betha ana ko dekh raha tha ..muskura raha tha kyuki kabhi use aisa na dekha.. Socha bhi nahi tha... Sir par dupatta , chashma hatawa.. ek haath mein dusra haath thaame... Sir jhukae ... wo aisi bhi ho sakti hai?...

Ana ka yeh Roop mohabbat ka ikraar Kar warha thaa khud ke dil se ...yeh to bilkul alag thi.. bahut pyari si .. bahut khubsurat si..

Jo college ki bekhauf ana se bilkul alag thi... Phir himmat Kar khud hii bola " yaha kitabein toh hai nahii.. na hii yeh college haii.. toh Ghar ki baatein karlete hai... Yeh batae Kya pareshanii hai mere rishte se..??."

Yeh wo sawal tha Jo wo sunna nahi chahta tha jise wo sunna nahi chahti thii lekin phir phuphi ki baat yaad karke boli " dekhiye sir..." SIR sunn Kar wo hasa tha

"Main jaanti hu aapki ammi yeh rishta lekar aai hai... Aap bhi Meri tarah wabasta nahi hai... Aur yeh taaalluk munasib nahi hai .. aap mere teacher hai bas yehi baat hai.."

Wo muskuraya" dekhiye class mein aapka teacher hu class ke Bahar nahii .. aur munasib ghair munasib kuch nahi hota sirf sochne ka dangh hai... Aur agar aap yeh sochrhi haii ki log Kya sochege toh yeh galat baatt hai...dusri baat ammi rishta lekar gayi zarur thi par mere kehne par..."

______________________*____________________
Uss kamre ke darwaze se lagi dono khadi thii...

Rabab boli" arey!! Aankhein band karke kyu khadi hai dono sirf bethe hai...aankhein toh khol ...sunaii wese hii kuch nahi derha ..."

Pari boli gusse se" behuda insaan main aankhein band karke Allahpaak se dua karrhi huu.. allah paak ana ko akhal de"...

Rabab boli" ameen ameen ... Par dekh toh dekhne mein bahut maza aarha hai ..soch jab saquib Bhai ko bataege toh kitna maza aaega..."

Pari boli "haaA... Abey iska chashma kaha gaya..."

Rabab hasii aur boli" woh to Maine chipa Diya... Mana ke sir se Milne jaarhi thii ..par chashmu bankar jaati toh Kya achha lagta?.."

Jis par pari ne unhe shabashi dii "well done Sher puttar .... "

Itlakar boli"thank you ...thankyou ... Yaar kuch toh sunaii deta ... Soch yeh to nahi discuss karrhe hoge... Mahatma Gandhi me angrezo ko kaise bhagaya... Tha... "

Jispar dono taali maarkar hasi thii phir pari dobara boli" subah se itni tension hai ki main chakkar kha Kar gir bhi saktii hu chal ek kaam karte hai upar chalte hai achhe bachho ki tarah ... Sehar ki deeni baatein sunte hai kuch toh sukoon aaegaa..."

Jispar dono upar jaane ke liye mudi thii... Jabki sarfaraz Jo kabse unki baatein chipkar sunn rha tha ... Deewar ke piche hua tha...

______________________*____________________

Ana ne ISS baat par hairaani se dekha "kyaaa"

Iss harkat ne bolne layak kaha choda kyuki pehli baar yeh aankhein yu ghor se dekhi thii... Phir jazbo par kabu paakar bola " jii... Mene bheja tha kyuki kaafi waqt se ammi ko Meri shadi ki khwaish hai.. phir jab Maine Socha mujhe kaisi Humsafar chahiye.. toh Socha jisme aitmaad bharpur ho ,Jo kaam Kare pure dil se Kare.. Ghar aur gharwalo ki aihmiyat pta ho... Jo Zindagi ek goal k saath bitae.. inn mayaro par aap khari utri...isliye" wajah toh dusri thi par laga sahi waqt par batauga..

Wo yeh sab sunnkar hairaan thi "SIR mujhe apni Zindagi mein kuch bannna hai kisi ki biwi banne se pehle"

Wo phir sir sunnkar hasa tha" yeh toh bahut achhi baat hai.. mjhe Khushi hui.. par aap bahut kuch bann sakti hai shadi k baad bhi..."

Wo jhat se boli" nahi sir dadiammi kehti hai shadi k baad Ghar sabse zaruri hota hai.."

Wo phir hasa tha" aapki dadiammi sahi kehti hai par yeh baat adhuri hai.. mere hisaab se Puri baat yeh hai kii Ghar sabse zyda zaruri hota hai par usse bhi zyda zaruri hota hai rishto par aitbaar ,dusre ke sapne khud ke sapne banakar dekhna aur pura karna... Main apni Humsafar se yeh chahuga ki wo sapne dekhne ki himmat rakhe aur yakeenan mein uska saath duga"

Yeh sunn Kar bahut sukoon Mila tha ...wo pehli baar iss rishte k baare mein soch rhi thi.. muskurarhi thi.. yu sharmana dekh wo bhi bahut kuch samjh gya tha par halat Normal Karne ke liye bola" aap soch lijiye... College aana shuru Kare yeh sab cheezo se zyda aapki padai zaruri hai... Mjhe apni kabil student par pura bharosa hai.. wo bilkul thik faisla legii..."

Wo boli" jii...Main chalti hu.."
Uthi aur chaldii usne peeche se awaaz lgai "suniyee... Agar jawab haa mein ho to main chahuga aap class k Bahar Mera naam lein"

Yeh sunn jaldi jaldi kamra paar Kara aur darwaze k Bahar jaakr dil ki buri halat dekhkar aur shayad Khush bhi hui...kitchen main jaakar Pani piya kyuki halat dekhkar kisi ko bhi derr na lagti jawab jaanne main..."

__________________*______________________

Sarfaraz upar aaya sabko batane toh rabab ammi se baatein karti dikhi... Pari chupchaap sehar ki baatein sir jhukae sunn rahi thii" wo zor se bola "wo ana Bahar aagyii..."

Yeh sunn pari chilllaai "kyaaaaaa" ekdum uth kadi huii sehar ka haath pakad Kar khada Kara Jo bed se girte girte bachii...phir chillaaaii"chal rabab ...jaldi"rabab bhi neeche bhaagi thii..

Saath mein phuphi chillaii" ladkiyo araaam se"

Par ladkiyaa toh toofan ki tarah uss kamre mein ghusii thi jispar Shehryaar choka tha phir ana ko dhunddh pehle salaam kiya phir kuch baateinn...

Rabab harbarahat ki maari boli" yeh to batae aapko jeeju bole ya sir"??"

Jis par pari ki hasi nikli sehar ne aankhein dikhaiii...

Wo muskurakar bola" yeh toh aap apni behan se puchna.."

Piche se phuphi ne awaaz lgai.."Shehryaar beta.. aaiye Bahar ...Bahar aaraam se bethkar baatein karege" Jo sunn Kar wo Bahar nikal gya...

Pari nakhoon kaatte hue boli" yeh ana kaha margyi... Sehar"

Sarfaraz se yeh pareshanii sahi nahi gyi wo bola"wo kitchen mein hai"

Toh teeno haath pakad Kar kitchen ki taraf bhaaagii... Khud Bahar jaakr Shehryaar ke saath betha...

Wo teeno kitchen mein pahuchii toh ana mulazima me saath naashta lagwaarhi thi... Jab mulazima naashta legyi teeno kareeb gyi...

Sehar ne himmat karke pucha" kaisa rha?.."

Boli" theek"

Phir rabab boli "hum bhi mile.. bahut achhe hai.."

Jispar boli"achha"

Pari boli "humne unse pucha aapko jeeju kahe ya sir.. toh bole ana se pucho...toh Bata sir bole ya jeeju?"...

Kaam ke bahane usne peet modi aankhein band karke boli"jeeju!!"

Yeh sunkar rabab aur pari ki cheekhein nikli... Jispar sehan mein bethe sarfaraz aur phuphi bhi ana ka jawab jaan gye .. jabki Shehryaar idhar udhar dekh raha thaa...

Phuphi boli" beta daro mat... Yeh humare Ghar mein aam baat hai... Ab in Sha Allah aapko bhi adat hojaegii".. jispar sharam se usse muskuraya bhi nahi gaya...

Tabhi kitchen mein saare bartan gire the...phuphi boli"ya Allah yeh ladkiyaaa ... Jao sarfaraz kitchen mein ...jao samjhao inhe ..."

Waha pahucha toh ana ko saleb se chipkakar yu chipki thi ki saare bartan neeche the

Yeh dekh jaise hii wo andar bada haskar.. aur pari ki nazar ispar padii tezz chikhi"sarfaraz Bhai mubarakkkkkkkkkk ho!!!!!!!!!" Yeh kehkar yakeenan Khushi mein pagal pari sarfaraz ko gale lagati...

Par sehar Khushi mein uski tarah pagal nahi hui thi.. uska haath pakadkar khudke gale laga liya...

Yeh dekh wo khamosh Bahar aakar Beth gaya... Ki agar pari wo kardeti toh Mera Kya hota . ..

Phir sabne Shehryaar ko weeda kiya rabab ne ana ka jawab pahuchane ke liye bola "Allah Hafiz 'Jeeju'"...

Jeeju sunn muskurakar Bahar nikla ... Sarfaraz bhi bhar Tak chodne gya.....

Ting ting here chap 8

Aapka pata nahii ... Mujhe bada maza aaya likhne mein.....

Rishta+cousins=awesome 😍

Achha ... Have some reham n do comment....arey yeh toh rhyme hogya...

Anyways...

Fav scene...

Fav dialogue..

Ana Shehryaar yaa pari sarfaraz...

Btao ..btao..

Remember me in your prayers

Allah Hafiz .
Just smile
Take care

Be happy n healthy

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro