mere rabb ke faisle!!

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Bismillah....

Hope you guys doing well... N please remember peace for people of Delhi in your prayers.....peace🙏...

Enjoy reading... I felt blessed when you guys smile while reading my story....❣️#smile is most pleasant thing u can give to others ...

Subah Allah ka naam lekaraur ammi ki aankho se bachhkar  jogging par Jaya Gaya...

Waha saquib Bhai se pucha "Bhai Kya pareshani hai... Bataye na aap aajkl bahut khamosh hai?"

Sarfaraz aur chote chacha (sehar ke papa ) bhi saath the...

Saquib bola " tujhe pta toh hai ...mujhe Shaadi karni hai sab ki horhi hai bas Meri nahii... Phir yeh bhi sochta hu love marriage hai gharwale aur aane wali ek dusre ke saath adjust kese karpaege...toh Kya Kya hoga?..."

Wo pataaak se boli " arey Chachu saath hai toh inse puche Chachu ki bhi toh love marriage hui hai..."

Saquib bola " ha.. Chachu btae na..."

Chachu bole "Meri baat Mano toh chiro pyar mohabbat ki baatein kuch nhi rakkha inn baato mein..."

Saquib bola "Chachu aaap aise haare hue sipahi ki tarah toh baat naa Kare na... Mujhe lagta hai rishte sabke ek jaise hote hai bus do logo ka sath inhe mamuli aur gerr mamuli banate hai....aapne kabhi khud shadi mein pehel Karne ki koshish ki ?"

Chachu bole "yeh toh aurat ka kaam hota hna..."

Saquib bola "par Chachu pyar toh aapne bhi kiya tha naa ..jaante toh Chachi Kya chahti hai?"

Sarfaraz ne bhi toka "mamu mujhe bhi aisa lagta hai aur pta hai ISS baat ka sabse bada nuksaan Kya hua hai sehar mein aitmaad ki kami..uska self confidence nil hogya hai bilkl"

Saquib bola" sehar sirf inn teeno se bolti hai ..mujhe darr hai inn teeno ki shadi ke baad uska Kya hoga ?..."

Jispar Chachu tham Kar khade hogye ..yeh dekh pari pass aayi aur boli haath thaam boli " aisa nahi hai Chachu.. sehar se koi pyaar nahi karta par usko aapke pyar ki sabse zyda zarurat hai main jaanti hu aap usse bahut pyaar karte hai..."

Wo bole" mjhe ehsaas hai itne saalo se la- parwaahh rehkar Maine sabse zyda nuksaan usi ka kiya hai... Par ab main Kya Karu??..."

Pari phir boli "Chachu uske mustakbil ka behetreen faisla kariye jisse wo na sabse Durr ho naa hii pareshan kyuki agar wo sabse Durr jaegii yaa dadiammi se Durr jaegii toh ghabrati darti hi Zindagi guzaregii ... Ehtmaad aitbaar se wo Ghar mein hi reh sakti hai..."

Yeh sunn chachu khamosh rehgye ... Toh phir chedna sahi nahi laga ...Ghar pahuchkar bhi chup rahe ....

------------------------------*-----------------------------

Naashte waashte ke baad jab pari chatt par beth college ka padhrhi thi toh sarfaraz bhaag Kar upar aaya aur chatt ka darwaza band karke jhat se paas aaya ...

Wo hairaan thi ...bola "bahut badi baat hogyi.."

Wo pareshan hui to bola "Nana Abba ne sehar aur daim ki baat Karne ko dono mamuo ko kamre mein bulaya hai..."

Jis par pari ki cheekh nikli wo bola "araaaaam se!!!"

"Yeh sab itni tezi se kaam karege nahi PTA tha ab Kya hoga sarfaraz..."

Wo mobile dikhakar bola "dekho, Maine phone milakar Nanu ke paas rakhdiya ..."

Saamne se awaaz aayi "bethiye aap dono ..."

"Jee babajaan"

Sarfaraz phone thaame betha tha jabki pari sir thaame...

Phir awaaz aayi "aap dono ko sehar ke mustakbil ke baare mein sochne ke liye bulaya hai... Aap jaante hi hai saada si beti hai humari...... Toh aapki ammi aur hum use Durr bhejna nahi chahte .. toh daim ka khyaal Kar rahe hai... Lekin aapke bachhe hai aakhiri faisla aap dono ka hoga..."

Jispar chote Chachu ki awaaz aayi "abbajaan main aapka aur Amma ka bahut shukrguzaar hu... Aap dono ka haqq zyda hai .. uspar .... Babajaan main abhi bolta hu main raazi hu..."

"Par bahu!!!"

"Unhe choriye bhaisahab aap btae "

Iss lamhe mein pari ki Saas ruki thi boli " papa please ...aaccha faisla kariye please papa..."

Phir awaaz aayi "ha shadab aap soch lijiye phir ..."

"Abbajaan , main toh khud aapse baat Karne Wala tha mehar(pari ki ammi) aur Maine ...sehar ko hii daim ke liye chun rakha tha... Par aapne bhi iss par ittefaaq Kara toh Khushi hui... Daim bhi raazi hai..."

Iss baat par sarfaraz ne pari ko dekha toh dimaag iss mudde se hatkar uske chehre par thehra tha... Jo aankhein band kiye thi jabki aanso gaalo ko Chum rahe the...

Phir awaaz aayi "abbajaan main chahta hu Ghar ki aur bachhiyo ke saath hi Meri bachhi ki bhi shadi ho taaki wo akeli na rehjae..."

" Haa main samjh raha hu ...bolo Bhai shadab..."

"Abbajaan jab sehar daim ki amanat hai toh wo aaj aaye ya Kal koi alag baat nahi hai.."

"Theek hai tumhari Amma se kehta hu wo sehar se puchti hai agar sehar beti ko pareshaani na hui toh phir chaaro ki in Sha allah saath shadi hogii..."

Isspar pari ne aankhein band kiye ghehri saas ki "chup hojao partner ... assignment successfully done..."

Usne aankhein kholi toh khudse itna khoobsurat manzar dekha naa gya... Aankhein jhukalii... Socha jazbo par kaabu paane se hii yeh rishta uss Roop mein hasil ho sakta hai JAisa main chahta hu...paak saare haqq ke saath...

Khada hua bola "daim ko btata hu..."

Peeche se awaaz lgayii "suniyee..."

Bola bina mude " nahi waada yaad hai mujhe , agli baat teen mahine baad.."

Kehkar wo to neeche aagya ... Jabki pari ke Dil par dhakka laga par khamosh wapis padhne mein laggyi...

--------------------------*----------------------------------

Neeche daim betha tha jaha sehar ko mulazim apne Dil ki baatein Bata rahi thi toh wo bhii uske dukh main shamil hokar sabr ki Saleh derhi thi... Daim khamosh uski taraf dekhrha tha rabb se dua karte hue ... Jo peet mode khadi thi... Wo jab kitchen mein badi toh wo kamre mein aakar letgya...

--------------------------------*----------------------------
Kuch derr baad sarfaraz aaya toh wo tab bhi Leta tha

Bola "saale chal ab uth Kar Beth..."

Wo uthkar muskuraya "acha yaani Meri behan ko lekar jaarha hai toh ab mujhe yehi bolega ab tu..."

Baal sudhaarkar bola "nahi tu bhi bol sakta hai yeh mujhe kyuki tu bhi Meri behan ko laarha hai ... "

"Kyaa Matlab??"

Uske itmenaan par choka...

Phir sarfaraz bola "bhayii iss Ghar mein ek hii behan hai Meri , gudiya Meri"

Hasa "bahut acche ... Tu bhi chida mujhe pari ki tarah haina ... Btadiya usne tujhe bhi .."

Bola "nahi toh nanajaan ne wakaii Tera aur sehar ka rishta teh Kara hai... Teri bhi shadi sabke saath ho.^^^abey ufff itni tezzz aaaaaaa"

Yeh pura bhi nahi bola ki daim ne sarfaraz ko gira Diya wo haste haste kehraha tha ... "Abey chorrr"
  

Jabki daim haste hue saale saale hii kehrha thaa...

-----------------------------*-----------------------------

Jab wo kitchen mein pahuchi

" Mubarak ho badi bhabhi main toh bahutt Khush hu humari sehar hii humari sabse badi bahu banegii"

"Haa, mashallah daim ke abbu ke Dil mein toh pehle se tha. Par aaj aabbajaan ne bhi inse aur wasil se baat Karli.. bas in Sha Allah sehar ha bolde toh teen nahi chaar shadiyaa hogi saath mein"

Iss baat par rote hue dadiammi ke kamre mein aaya gya par wo waha nahi thi toh kuch derr Roya gya phir unhii ki baat par Amal kiya

"Jab koi sunne Wala na ho toh Allah ko sunao ....faisla behtar hoga tumhare liye humesha...."

Jainamaz bechayii gyi aur namaz padhi gyii jabki daim bhi abhi aaya tha dadiammi ka shukriya kehne.... Andar aakar peeche khada sunn raha tha aur dekhrha tha...

"Allahmiya aap toh jaante hai naa bachpan se mujhe kitni mehromiyaa rahi ..ammi papa ki barbaad shadi  ka boj sirf Maine uthaya ...tezz hasne bolne se bhi darr lagta hai... Dadiammi kehti thi Tera shohar itna achha hoga ki wo weham bhul jaegii mujhe bhi unpar aihtbaar tha ... Par aaj unhone daim Bhai ko mere liye chuna Jo itne khudsar hai ki kisi ki na sunte hai ... Itne khudpasand ki aaine ke saamne se nahi hilte... Jo shaks khud mein jeeta ho wo Meri Kya sunega... Maine aapse bas ek nek Humsafar hi toh chaha tha... Allahpaak reham plz... mujhe pta hai dadiammi puchegii toh main Mana nahi Kar paungii....main Kya karu samjh nahi aarha ...allahpaak ..please sunlijiye...."yeh kehte kehte hichkiyaaan bangyii  aur naa bola gyaa toh bs roti hi rahii....

Yeh sunn wo wapis sarfaraz ke paas gya aur Puri baat btaii to usne kaha" kuch teh Karne se pehle bas itna sochle Jo sehar chahti hai tu waisa bann paega??? Takhat hai Teri mohabbat mein itni "

Toh faisla karliya gya tha....

------------------------------*------------------------------
Waha dadiammi ke puchne par kaha "aap JAisa chahe dadiammi ammi aap sabse behtar faisla karegii..."

Dadiammi samjh toh Puri baat gayii par Socha sehar ki tarah wo to nadaan nahi hai ki jhat faisla badal dein ... Wo jaanti thii yeh sabse behtar faisla hai ...

Sehar ki ammi ko pta lga toh unhone yu jataya jaise pados mein kisi ka rishta hua hai...

Wo sab mehsoos karrahi thii par chup thi... Laga exams zyda zaruri hai par din-ba-din khamosh hoti jaarhi thii......

Yoyoyo chap 20 tingting with 2000words....

Howazzat...

Your favorite dialogue

Your favorite scene

C'mon it is a long chap...


Achha please help for aage ke chapters...

Jaise virat+Anushka =virushka

Waise::::

1.ana +Shehryaar=??

2.pari+sarfaraz=??

3.rabab+ehteshaam=???

4.daim +sehar=???

Btado warna main apni creativity dikhaogii toh narazz na honaaaa.....

Love love ...

Remember me n my family n my place in your dua

Something about chapter

Take care

Allah Hafiz






Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro