CHAPTER 82

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

The sages came forward and took their seats on the ground of the stadium. With Vasisth, Vamdev and Jabali on their forefront, they all began questioning Rameshwari to test her knowledge of Paramarth, reality and truth.

"Rajkumari, yeh sansaar kisse bana hai ?" Vasisth asked.

"Maya se." Rameshwari said.

"Maya kya hai ?" Vasisth asked.

"Prapanch." She said.

"Prapanch kya hai ?" Vasisth asked.

"Jo kuch dikhayi deta hai, woh prapanch hai." Rameshwari said.

"Rajkumari, 'Jo kuch dikhayi deta hai' ka arth ?" Jabali asked.

"Jo drishtigochar hai, man aur indriyo ka vishaye hai, jo dekha ja sakta hai woh Drishya hai." Rameshwari said.

"Drishta ko kaun janta hai ? Swayam ko kaun dekhta hai ?" Vamdev asked.

"Vyakti swayam. Jis prakar Surya ko prakash dene hetu deepak ki awashyakta nahi hoti kyuki woh swayam prakash-maan hai uss prakar Aatma ko dekhne hetu kisi anya ki sahayata ki awashyakta nahi hoti." Rameshwari said.

"Yeh sansaar kaha se aur kaise aya ?" Jabali asked.

"Yeh sansaar keval usse aur sirf usse aya hai. Wahi jo Ishwar hai, wahi jo Brahm hai. Wahi apni Maya se sansaar ko rachta hai. Wahi rachnakaar hai, wahi palanhaar aur wahi sangharak." Rameshwari said.

"Jeev kya hai ?" Jabali asked.

"Jeev woh aatma hai jo swayam nirvikaar hai parantu avidya ke prabhaav mei aake swayam ko man aur tan samajh leta hai. Iss liye woh iss sansaar ka anubhav karta hai." Rameshwari said.

"Avidya kya hai ?" Vamdev asked.

"Anatma ko aatma samajhna, nirvikar ko vikaar-yukt samajhna, aur iss sansaar ko hi satya samajhna Avidya hai." Rameshwari said.

"Toh Vidya kya hai ?" Vamdev asked.

"Sa Vidya, ya vimuktaye. Vidya woh hai jo hume saare peedao, dukho, bandhano, agyaan, pratiyogita, bhram aur bhramik kalpano se mukt kare. Aatma ka gyaan vidya hai. Jo dvait arthat 'tum aur mai' ki bhaavna se mukt kare woh Vidya hai. Vidya woh drishti deti hai jisse manushya apne Brahm-roop ko dekh aur pehechaan sake." Rameshwari said.

"Saadho ! Saadho ! Saadho !" The sages praised.

Rameshwari bowed to the sages as they left blessing her. The crowd burst into cheers, never did they ever heard anyone accept their king, speak with such sweet voice and clear tone of voice.

Now came the ministers ready to question her about politics. Having the knowledge of ultimate truth was important, but being a princess it was even more important for her to have the knowledge of statecraft.

The ministers took their seats on the stadium ground with Sumant and Siddarth in their forefront, ready to throw their questions at her.

"Rajkumari, ek Rajya ki suraksha hetu bal ati avashyak hota hai, kintu buddhi bhi utni hi avashyak hoti hai. Toh batayiye, Raja ko apne paas kya rakhna chahiye ? 1000 balshali murkh ? Ya ek vidyavaan ?" Sumant asked.

"Ek vidyavaan. Kyuki arth-sankat ke samaye mei woh mahan-kalyaan kar sakta hai." Rameshwari said.

"Kintu Arth-sankat ke samaye, balshaali toh Raja ko apaar dhan dila sakta hai ?" Sumant countered to trick her.

"Nahi Mantrivar. Raja apne paas 1000 ya 10,000 murkh bhi kyu na rakhle, samaye aane par unse koi uchit sahayata nahi milti. Parantu yadi ek mantri bhi medhavi, shurveer, chatur ya nitagya ho, toh woh Raja ko bahut apaar samapti dila sakta hai." Rameshwari said.

"Yadi ek uttam mantri itna awashyak hai, toh bataye Mantri-parishad mei kitne mantri hone chahiye ?" Siddharth asked.

"Manu ki niti ke anusaar mantriparishad mei 12 mantri hone chahiye. Brihaspati ke anusar 16 aur Shukra ke anusaar 20 mantri hone chahiye." Rameshwari said.

"Aur aapke anusaar ?" Siddharth asked to test whether her knowledge is mugged up or is it learned.

"Mere samajh ke anusaar mantriyo ki sankhya, mantriyo ke karya karne ke samarthya par taiye karni chahiye." Rameshwari said.

"Saadho ! Saadho !" The ministers said.

"Senapati kaisa hona chahiye ?" Sumant asked.

"Jo sada santusht rahe, jo shurveer, dhairyavaan, Buddhimaan, pavitra, kuleen ho aur Raja ke prati anuraag rakhne wale taksh purusho ko hi senapati banana chahiye." Rameshwari said.

"Raja sena ka palan kaise kare ?" Siddharth asked.

"Raja ko samaye par seniko ko unka vetan dena chahiye, anyatha senik Raja se krodhit ho uska virodh kar sakte hai, aur anhoni ho sakti hai. Jo senik shurveer, shaktishali aur yudh-niti mei kushal ho, jinhone apne shaurya ka pramaan diya hai, Raja ko unhe samaan aur puruskar dena chahiye." Rameshwari said.

"Saadho ! Saadho !" The ministers praised.

The citizens began cheering for their pricness once again, for she had not only proven her knowledge of ultimate truth but also her mastery over politics.

Even Shri Ram seemed extremely pleased with not only her knowledge of both truth and statecraft but also her eloquence, her words flowed like Ganga, they were precise, clear and without an 'err'. Even her tone was medium, not too high not too low, just perfect.

Her way of speaking proved that she was well-versed in Samved and mastered Vyakaran. Shri Ram had expected no less from Hanuman.

And seeing the way the citizens praised their princess, both Maharaj Ram and Pita Ram became elated.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Chalo.... Shaashtraath toh khatam huya.... Ab shaurya ka pradarshan hoga 🌝✨

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro