DINNER AT KAILASH

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Mata Parvati had invited all the devtas along with Amarsri and Srinav for dinner. All had arrived except the couple.

"Swami, unhe aane mei itni der kyu ho rahi hai ?" Mata Parvati asked.

"Dhairya rakho Uma, woh aate hi honge." Mahadev said.

Suddenly the winds started harshly blowing, they both looked up and saw Amarsri and Srinav on Suvarchas. Parvati smiled seeing them finally.

As they got down, Srinav and Amarsri quickly ran towards Mata Parvati. Srinav touched her feet first and Amarsri sighed.

"Dev, yeh uchit nahi." Amarsri said.

"Priye, aapne pichli baar Pehle sparsh kiye the." Srinav said.

This had become their silly game, both Amarsri and Srinav, whenever they came to Kailash always competed as to who will touch the feet of Mata Parvati first.

"Tum dono atyant natkhat ho gaye ho, maine tumhe kab bulaya tha aur tum kab aa rahe ho ?" Mata Parvati said.

"Mata woh priye ko apna kajal nahi mil raha tha." Srinav said.

"Ha Mata, pata nahi kisne chhupa diya tha." Amarsri said looking at Srinav.

"Vilambh inke karan huya Mata." Srinav said.

"Haw ! Kaise mujh par aarop laga rahe hai yeh, Mata ab aap hi inhe samjhaye." Amarsri said.

Mata Parvati chuckled at their senseless bickering. Srinav and Amarsri looked at each other smirking.

"Accha bas karo. Chalo bhojan ban hi gaya hai." Mata Parvati said leaving.

"Chalo aaj bach gaye daat se. Anyatha aaj mujhe laga ki Mata humse atyant krodhit hogi." Srinav said.

"Yeh yukti sadev kaam karti hai dev." Amarsri chuckled.

"Yukti apnane se accha tum dono samaye par aajate." Mahadev said.

"Areey Pitashree, Chaitanya lok aur Prithvi ka samaye bhinn hai apetu Prithvi aur Kailash ka samaye bhi bhinn chalta hai." Amarsri said.

"Ha Mahadev, atyant uljhan wali baat hai. Humare lok se toh hum samaye par hi nikalte hai kintu yaha samaye par nahi aa pate." Srinav said.

"Aur samaye par aane ke liye hume karna padega granith jisko karne hetu humare paas samaye nahi." Amarsri said.

"Tum dono nahi sudhroge." Mahadev chuckled.

The three of them went for dinner and saw the devtas looking sad and gloomy as ever, even when having the delicious dinner, smile never appeared on their face.

"Kya huya devraj bhojan swadisht nahi laga ?" Mata Parvati asked.

"Aisi baat nahi hai Mata. Yeh bhojan toh vishwa ka sabse swadist aur pavitra bhojan hai." Indra said.

"Toh fir itne dukhi kaise lag rahe hai ?" She asked.

"Mata, swarg humse chhin liya gaya hai. Sahastra varsho se aise hi bhatak rahe hai, ab toh hume apni shakti bhi sheen hoti dikhayi de rahi hai. Har din, humare bhakt hume pukarte hai ki hum Asuro se unki raksha kare kintu kaise kare jab hum swayam asahaye hai ?" Indradev said.

"Koi bhi aapda jeevan bhar nahi rehti Indradev. Iska hal bhi awashya nikal jayega." Mata Parvati assured.

"Mata inn asuro ka annt karna asambhav hai." Indradev said.

"Jab Mahadev, Narayan, Harihareshwari aur Shreeshaktiswar aapke saath hai toh kya asambhav hai ? Unn Asuro ka annt awashya hoga." Mata Parvati said.

Listening to it Amarsri frowned and then leaned towards Mahadev to ask him a question.

"Mata ko abhi abhas nahi huya ?" She asked.

"Purn roop se nahi." Mahadev said. Amarsri nodded understanding.

After dinner, Amarsri requested Mata Parvati to take a stroll beside Mansarovar, to which she agreed.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

SOMETHINGS NEVER CHANGE, AND AMARSRI BEING LATE FOR MATA PARVATI'S DINNER IS ONE OF THEM.

The other day -

*Me opens my email in front of parents*

Papa - Beta, yeh Harihareshwari kya hai ?

Me - Perfection.

Papa - kya ?

Me - Kuch nahi Papa, pata nahi, hoga aise kuch south indian tourism ka.....

Twas a close call.

---

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro