part 94

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Omkara is sat in his room and thinking about gauri's words just then he got a text from gauri

G: help me i am in store room.....

Seeing her message he panicked and runs towards stors room he enter store room and find no one is there gauri enter store room and close the door he turned and see gauri is standing he goes towards her

O: iss message ka kya matlab hai.......tum tum toh bilkul theek ho ao yeh message..........

G: aapko yahaan bulaane ke liye jhootha message kiya tha.......

O: kyun......

G: kyun ki hamein aapse baat karni hai.......

O: par mujhe tumhari koi baat nahi sunni hai.......

G: i am sorry.......woh humne aapko itna kuch kahaa iaa liye i am sorry..........

Omkara is silent

G: kuch toh boliye......

O: maine tumhari baat sunn li ab main jaun......

G: par yeh toh bataiye aapne hamein maaf kiya yaa nahi......

O: yeh jaankar kya karogi.........

G: par hum jaanna chahte hain ki aapne maaf kiya yaa nahi......

O: agar main tumhe maaf nahi karoonga toh tumhe kya fark padega...........

G: sahi kahan aapne mujhe kyun fark padega.....fark toh aapki uss biwi ko padna chahiye svetlana ko.......

O:gauri she is not my wife.....

G: gar woh aapki wife nahi thi toh aapne media ke saamne kyun kahaa ki she is you wife.......

O: main majboor tha iss liye mujhe apni wife announced karna pada.........

G: kya matlab ki aap majboor the sacb bataiye aap hamein........

O:mujhe tumhe kuch nahi batana hai...........

Saying this he left from there

G (herself): innka kehne ka kya matlab tha.........anika bhabhi se poochte hain.......

She left from there and goes towards anika she enter her room and see anika sat in bed

G: bhabhi hamein aapse kuch baat karni thi.........

A: bolo......

G: bhabhi woh........

Before she could ask something she got a text from om

O: agar sach jaanan chahti ho gauri toh mujhe aaj raat 9 baje xyz caffe mein milo........

A: kya baat hai gauri........

G: kuch nahi bhabhi hum chalte hain........

Saying this she left from there

At night 9 pm

In xyz caffe

Gauri enter the caffe and see darkness there

G: omkaraji........omkaraji........

Just then light turn on and gauri see omkara he walk towards her......

O: guari i am sorry for everything.......

G: hamein aapki sorry nahi chahiye hamein woh sach bataiye jo batane ke liye aapne hamein yahaan bula liya hai.........hamein bataiye ki aisi aapki kya majboori thi jo aapne uss svetlana ko apni wife announced kiya tha.......

O: gauri svetlana mujhe blackmail kar rahi thi usske paas kuch pictures thi jisski wajah se main usski har baat maan raha tha.......

G: kaisi pictures..........

O: mr.oberoi aur uss svetlana ki intimate pictures............uss pictures ke thru woh mujhe blackmail rahi thi............guari i am sorry for everything.......

G: sorry......works when a mistake is made ,but not when trust is broken omkara ji and u always broke my trust...........haan main aapko maaf kar bhi doon because forgiving is easy but forgetting and trusting again is impossible sometimes........

O: gauri.......beshaq tumhe mujhpar gussa hone ka pura haq hain.......aur aage bhi hamesh hoga aur maine itni galtiyan ki hai ki shaayd koi maafi bhi nahi ho sakti par apni narazgi mein......kya tum ek last chance nahi de sakti ho....itna toh haq hai naa mera.......

Tears flow from gauri's eyes

O: jiss waqt tum meri zindagi mein aayi thi naa gauri....ta...tab aisa laga ki maine apni zindagi ka muqaam haasil kar liya......par i know hamari shaadi mein kuch complications aayi par jab gaurika huyi naa toh mujhe lagga ki mujhe meri life ki saari khushiyan mil gayi par maine uss waqt bhi galatiyan ki naa.........par ab mujhe meri saari galatiyon ka ehsaas ho gaya hai kya tum apne jattadhari ko ek last chance nahi de sakti ho gauri......aur agar phir main galati karu toh mujhe ek jhaap mein deewar se satta dena (he said with teary eyes)

G: itna asaan nahi hai hamare liye 10 saal beet gaye par hum kuch nahi bhula paaye naa aapko aur naa aapke diye huye zakhmo ko.......ai...aisa hi laggta hai jaise kal ki hi baat ho kaise humne itne lamhe saath guzaare the aur....aur kaise aapne hamein itna dara diya omkaraji jisse hum bhula nahi sakte.....hum sab kuch bhool jaana chahte the par aapne phir se hamari zindagi mein aakar puraane zakhmon ko kured diya hai
And she starts crying

G: kehne ko toh main khushi aur gaurika ke saath khush thi par hum andar hi andar ghut ghut kar til til kar mar rahe the.......kehne ko toh hamari saanse chal rahi thi par hum zinda nahi the omkara ji......har pal hamein aapke diye huye har aansu har dard yaad aata tha......zinda lash ban gaye the hum.....

O: gauri main jaanta hoon ki mujhse bahut badi galati huyi hai.....par in 10 saalon mein toh mein main bhi khush nahi tha gauri maine apni life ke sabse best persons ko kho diya.......gauri maine tumhe kho diya tha tum meri zindagi ho gauri.......main sabko yahi dikhaata tha ki mujhe koi fark nahi padta....i don't care gauri par mujhe fark padta tha in 10 saalon mein mere chegre par kabhi muskaan nahi aayi thi gauri......tumhe yeh maloom bhi tha ki kitna mushkil tha tumhare bina jeeena.....meri bewakoofi ki itni bada saza mili mujhe gauri tum aur mere bachche sab mujhse door ho gaye......

G: hum kaise maan le omkara ji ki aap hamein aur hamare bachchon ko koi dard nahi denge kaise maan le ki ab aap hum par yakeen karenge galatfehmiyan rakhna aapki pyraani aadat rahi hai jisse aap aaj tak nahi badal paaye.....kaise bharosa kar le aap par.....hum mein aur kuch sehne ki shakti nahi hai ab.....hum aapse bahut pyaar karte hain par hum uss pyaar ke liye apna aatamsamman toh nhi kho sakte naa....nahi ab hum aap par bharosa nahi kar sakte......nahi se sakte hain aapko aur mouka.....toot gaye hain hum ab.....aur nahi hoga humse ab....nahi hoga.....humse baatein chupaana bhi aapki aadat hai hum kabhi aapko iss laayak lage hi nahi ki aap humse apni problem share kar saken....kya guarantee hai ki aage yeh nahi hoga.....

O: kya aakhiri baat mujh par barosa nahi kar sakti ho......main jaanta hoon ki maine tumhara dil toda hai magar tumhare shankar ji ne hamara rishta banaya hai tum hi kehti thi naa......toh ab kaise tum hamara rishta kaise tod sakti ho......biwi ho tum aur yeh sach koi nahi badal sakta hai........jab tum nahi thi zindagi mein koi rang nahi tha tumne mujhe jeena sikhaaya.......pyaar karna sikhaaya meri life mein rang bhare......aur ab tum mujhe nahi chod sakti......

G: lekin omk(omkara cuts her between)

O: gauri meri baat suno.......jitna dard maine tumhe diya hai uss se kahi zyada dard mere dil ko hua hai.......main khadoos tha......main naa toh ek achcha pati ban saka aur naa achcha baap.......tum meri life mein naye rang laayi.......hamari shaadi meri marzi se nahi huyi thi phir bhi tumne apne saare farz nibhaaye.....mujhe samjha.....main ab phir se hamari zindagi ek naye sire se shuru karna chaahta hoon gauri......an meri zindagi tum se hi shuru aur tum se hi khatam.....main tumhare bina nahi reh sakta hoon.....nahi reh sakta gauri......

G: toh kya phir se nibhaayenge hamara saath......phir se thaamenge hamara haath.....hamein aap mein woh badlaav dikhta hai omkara ji par hum aapko yeh nahi batana chahte the ki hum par asar ho raha hai lekin hum aapse phir se pyaar karne lage hain omkara ji........hamein nahi pata lekin hamein achcha laggta hai jab aap hamare saath khade hote ho.....hamara saath dete ho.....hum jaante hain ki humne aapke saath bahut buri tarah se baat ki lekin hum kya karein hum unn zakhmon ko nahi bhula paaye the lekin aaj aapki baatein sunkar yeh yakeen ho gaya hai ki aap badal gaye ho......

O(happily): thank you so much gauri thank you so much

He pick her in his arms and kissed her forehead

O: tumhe pata bhi nahi hai gauri.....tumne aaj mujhe apni lifec ki bahut badi khushi di hai.......jab tum nahi thi zindagi jaise khaali si ho gayi thi.......kitna intezar kiya maine iss pal ka........man karta hai yeh lamha yahi tham jaaye.........main chahta hoon ki meri har khushi tumse shuru ho......main tumse pyaar karna chaahta hoon tum par bharosa karna chaahta hoon....... I LOVE YOU GAURI !!!!!

G: hum bhi aapse baahut pyaar karte hain.......par koshish ki aapse nafrat karne ki par yeh dil kabhi aapse nafrat nahi kar paaya........har pal humne aapse bepanaah mohabbat ki hai........ab hum thak chuke hain inn roz ki pareshaniyon se.......ab hum hamara har pal aapke saath bitaana chahte hain........zindagi phir se shuru karna chaahte hain denge naa aap hamare saath omkaraji......kya hum phir se aap par bharosa kar sakte hain.........

O: haan gauri main tumhara saath doonga khushi mein dukh mein tumhaare saat rahoonga........

He hugged gauri tightly

After 10 minutes they broke the hug omkara goes somewhere and after some time he come back

G: kahan gaye the aap.........

O: yeh lene gaya tha........

G: kya.....

He show her a vermilion box he took pinch of sindur and filled her maang  tears flow from her eyes omkara wipe her tears

O: gaurika kehti hai naa no rona dhona........

Gauri hugs him tightly 

O:gauri......

G: hmm.......

O: aise hi rehne ka iraada hai.......

G: hmmm.....

O: ghar nahi jaana hai kya......

G: nahi......

O: chalo gauri ghar jaana hai sabko batana bhi tih hai ki hamara dono phir se ek ho gaye hain.......

G: theek hain........

They left from there and after some time they reached oberoi masion and enter the hall and tell everyone about their patch-up all happy for them and hugs them gauri goes towards khushi and down in her knees

G: khushi beta aapke papa badal chule hain please give him one chance i am sure woh aapko hamesha happy rakhenge kya aap apni mamma ke liye unhe maaf kar skte ho......

K: ok mamma..........

Om: i am sorry khushi for everything jo maine aapki mamma aur di ke saath kiya i am sorry for that........

K: koi baat nahi mr.oberoi........

G: papa call him papa for me........

K:pa.....pa....papa.....

O: thanx khushi for calling me papa bachche i love you mere bachche.......

Om and khushi playing some games with each other after some time Sam enter there

Sa: kya ho raha hai sab bahut khush lagg rahe ho.........

Ru: khushi ki hi toh baat hai.........

Sa: achcha aisi kya baat hai mujhe bhi batao.......

Ru: gauri bhabhi aur O ka phr se patchup ho gaya hai........

Sa(shocked): what........

Kh: haan di papa is very nice.......

Sa: oh matlab tu bhi maan gayi tum aise kaise unse dad accept kar sakti ho.........

Kh: he is very nice di.......

Sa: sunn liya hai maine........

G: beta omkara ji badalgaye hain.......

Sa: yeh toh aapko pehle bhi lagga tha....par usske baad unhone kissi aur ko apni wife announced kiya.......

G: uss mein unnki majboori thi.......woh aurat omkara ji ko blackmail kar rahi thi.......

Sa: okay maan leti hoon majboori thi par pehle kya majboori thi......jab woh aapko respect nahi karte the aapse pyaar nahi karte the.........aapki beizzati karte the.......aapko maarte the......apne aap ko aap par force liya mujhe beti nahi maana mujhe thppad maara aapko thappad maara iss mein kya majboori thi innki.........

Gauri is silent

Sa: maanna padega aapko mr.oberoi 6 mahino ka kaam kuch dino mein hi kar diya........khushi bachchi hai jiss side mom kahengi wahi ho jaayegi kyun ki woh aapki asliyat nahi jaanti par main sab jaanti hoon iss liye mujhe aap bewakoof nahi bana sakte ho...........

O:beta meri ba......

Sa: nahi sunni aapki koi baat aaj aap meri baat suno jab aapka mann ho aap hamein apnao jab aapka mann ho aap hamein thukrao yeh nahi chalega sab kuch aapke hisaab se nahi hoga.......jaisa aap chahoge waisa nahi hoga samjhe aap.........

G: par gaurika.........

Sa: aaj koi nahi bolega aaj main bolungi aur yeh sunenge.......

G: gaurika tameez se baat karo yeh tumhare dad hain.........

Sa: nahi hai yeh mere dad........mere dad yeh kabhi the hi nahi naa unhone kabhie mujhe apni beti maana aur naa kabhi mujhe apnaaya toh yeh mere dad kaise huye..........main toh uss manhoos ghadi ko kossti hoon jiss din mujhe pata chala ki meri ragon mein innka khoon hai.......yeh insaan mera baap hai..........arrey yeh toh insaan kehlane le laayak nahi hai toh baap toh bahut door ki baat hai.........

Gauri slapped gaurika

G: kya yahi sikhaaya hai maine tujhe ki tu apno se badon ki disrespect kare.........

Sam:disrespect nahi ki sach bola hai aur sch hamesha kadva hi hota hai........

G: bass chup ho jao gaurika iss se pehle main tum par phir se haath uthaun............

Sa: uthaiye haath.......yeh jo aapne mujh par haath uthaay hain naa wob bhi issi insaan ki wajh se uthaaya hai jab se hamari life mein yeh aaye hain hamari zindagi barbaad kar di hai arrey aap mar.........

Gauri again slapped her she loose her balance and her head hit the pillar..........she goes towards om

Sa: aaj aapki wajah se meri maa ne mujh par haath uthaaya hai........

She left from there

(Precap: sam's conversation with mayur and neil)

----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Thank you sh_bulbul for you help

It's done if you like my update please do vote and comments

After 2 or 3 update i am end this book

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro