Shot#6: Who Sent The Letter?

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Karan proceeded with reading the letter which said:

"Karan, my love, I need your love, much like the air that we need to survive, for you are the one single person who breathes fresh life into my being and makes me feel whole again. I know that there can never be another like you and just having you by my side makes me feel so alive. There could have never been another for me, I know that and maybe you would also know it when you fall for me as well and stay by my side. For love makes everything seem so beautiful. I love you and I know that a lifetime with you would give me the greatest happiness that one could desire of. Here's a special song dedicated by this secret admirer of yours, hope you like it:

khwabon ko ankhon mein jagata koi
seene se needein laga ke
raaton ko dhire se sulata koi
chahat ki thapki dila ke

tooti padi hai badan me mere, mohabbat ki kitni angdaiyi
aanken khule aur chule mujhe, chahta hai dil ye ruswaiya
khwabon ko ankhon me jagata koi, seene se needein laga ke

Your secret admirer"

K: wow, mujhe toh ye first time love letter mila hai, woh bhi ek billi ke haatho'n, ab of course ye billi ne toh likha nahi ho ga na apnay billay ko, Karan toh insaan ka naam hota hai, aray main he Karan hoon, kya ho gaya hai mujhe, khair, ye jo koi bhi hai isne naam toh likha nahi na apna, kaise pata karoon ga, kal Rishab aaye ga waise he, aur kal mom ke saath office bhi toh jaana hai na cabin dikhane, tabhi koi plan kar loon ga saath mein us ke

He slept.

At morning, after breakfast, Karan took Rakhi to the office with Rishab who had replaced the real name plate with Karan's name plate to cover up his lie. Rakhi was impressed and so she went blessing him.

K: thanks Rishab, ab main chalta hoon, cricket ke liye. Tu shaam ko aana, koi baat hai jo batani hai. Okay, chal bye

He left in the elevator meanwhile Rishab went away to a meeting correcting the name plate. Karan received Preeta's message about the promise he made to show her his cabin and he had reached the cricket ground but then took a u turn to pick Preeta and then take her to the office. So Preeta came and sat in his car and they drove off to the office, the duo walked towards the cabin not knowing what's waiting for them. Just as they entered the cabin, it was empty but of course Karan didn't know about the replaced name plate on the desk. Preeta looked around the cabin happily and dreamily and just as her eyes fell on the name plate, her smile dropped.

Pr: ye kya Karan?

K: kya?

She picked the desk name plate and showed it to him.

Pr: ye! Rishab Malhotra.

Rishab returned and didn't know what was happening. Karan got tensed.

Pr: ye tumhara nahi Rishab ka cabin hai? Tum owner ho he nahi yahan ke? Tum toh kaam he nahi kartay yahan? Yahan ka owner Rishab hai?

She asked placing the name plate back.

R: haan dar asal, Karan ko cover up karna tha lekin I promise ye sab bas ek baar ke liye tha, Karan toh Rakhi aunty ko sach batanay wala hai

Pr: achha? Lekin un ki feelings ke saath aisay kaisay khel saktay ho tum dono? Dekho, ye karna galat tha Karan, aur Rishab tum? Tum ne bhi...

R: maine bhi kaha ke bata do, lekin ab toh ho gaya na jo hona tha

Preeta held her ears.

Pr: sorry Rishab, mujhe nahi pata tha ke company ke owner aap ho Karan nahi, main aap ke cabin mein uninformed aa gayi

R: toh is mein sorry ki kya baat? Hum toh friends hain na? Aur Karan ka kya hai na ke Karan ghabra raha hai sach batane mein, lekin woh bata de ga

K: mujhe bas thora support chahiye, nothing else

Pr: that explains ke tum itna achha cricket kaise khelte ho, hai na? Tum cricketer ho na?

Karan nodded.

K: haan, cricketer hoon

Pr: chalo toh phir theek hai, main apni friends se baat karti hoon, okay? Hum sab saath kharay rahein gay tumharay, aur tum sach bata dena aaj he

K: ok

Preeta walked towards the exit of the cabin and waved at Rishab.

Pr: bye

R: bye

They smiled at each other and Preeta left. Rishab sat on the chair.

K: Rishab, sun na yaar, 2 minute de sakta hai apni?

R: haan haan

Karan sat in front of him and showed him the love letter, Rishab read it.

K: kal raat ko... Tu believe nahi karay ga... Ek ginger cat ne aa kar ye diya hai mujhe

R: ginger cat? Really?

K: haan

Rishab laughed.

R: kiun mazak kar raha hai?

K: aray sachi, abhi bhi woh billi room mein hai meray

R: aur ye letter bhi anonymous hai (Karan nodded) bas toh ye larki bhi unhi larkiyo'n mein se ek hai, aur woh billi bhi usi ki hai, shaam mein hai na aaun ga main, aur hum woh billi un larkiyo'n ke paas bhejain gay, dekhein gay ke sab se ziada us billi ko pamper kaun karta hai

K: yeah, nice idea, okay, see you soon, bye

R: bye

Karan left.

R: yahan Karan ko love letter mila woh bhi anonymously, aur mera dil aisay dhadak raha hai jaise abhi bahar aa jaye ga, I just hope woh Preeta na ho, jo hoti hai ho, Preeta na ho bas, because I like Preeta

Later at evening, Karan had returned home and Rishab was yet to come, he saw all the girls on the garden swing.

K: ab kaisay ek saath baith gaye, kal photo li toh kaise larr rahay thay sab, God they are impossible

He was about to go inside.

Pr: Karannnn

He turned and Preeta stood up and came running to him.

Pr: sach batana hai abhi isi waqt, yaad hai na? Maine friends se baat kar li

K: okay I know

Preeta smiled and walked back to her friends. He went inside. Rishab came.

Pr: Rishab! Abhi batana hai kya sach?

R: nahi... Mera matlab hai haan, chalo

He said and all the girls stood up and accompanied him inside, Karan was seated inside. Rakhi was also there.

R: namaste Rakhi aunty

Rk: namaste beta

Rishab signed Karan and he stood up and walked to Rakhi and then looked at Rishab who assured him with his eyes.

K: maa woh mujhe kuchh kehna tha

Rk: haan bol na

K: darasal woh jo cabin aap ne dekha woh mera nahi Rishab ka tha, us ne bas cover up kiya mere liye mere kehne par, main koi business nahi karta, main cricketer hoon

Rakhi was quiet for a minute but then spoke up.

R: toh is mein itna hichkicha kiun raha tha? Aur jhoot bolne ki kya zaroorat parr gayi? Dekh tu bhi toh humari itni baatein maanta raha hai, bachpan se toh sunta he hai, college tak humari pasand ki thi, aur University bhi, jahan tak hum ne kaha woh sab tu ne suna aur maana, tu ne koshish bhi ki business samajhne ki, lekin agar tujh se nahi ho raha tha aur tu keh deta toh hum bhi tujhe support kartay, tera saath detay, aur ab bhi main dukhi nahi hoon, khush hoon, ke mera beta itna bahadur hai ke woh sach bol sakta hai aur sada ke liye jhoot par nahi arra rehta, tu ne chhupaya lekin phir bataya bhi. Aur phir tu ab kya kaam karta hai?

K: maa main cricketer hoon

Rk: cricketer?

K: haan, sab mujhe jaantay hain, Karan Luthra the cricketer he naam hai ab mera

Rk: beta main tujh se bohat khush hoon, bas ainda mujh se kuchh na chhupana

Karan smiled. Rakhi went. Girls and Rishab came to him.

R: dekha, faaltu mein darr raha tha, aunty toh tujhe itna support karti hain

Pr: ab is ka naam Karan Luthra the cricketer nahi Karan Luthra the phattu hona chahiye

The girls laughed.

Dv: woh toh sach hai, kaajal ka teeka nazar battu hai, Karan Luthra phattu hai

Pr: oyeee wah kya shayari hai teri

The duo had a high five and laughed.

Si: aray bas, abhi kitna chirao gay

Pr: waise toh har cheez mein mere saath khari ho jaati hai, ab kya hua?

Dv: haan na Simar madam ab kya hua?

Si: hona kya hai, kuchh nahi

Su: waise thanks toh keh do, hum sab tumhare support mein thay

K: aisay chup reh kar?

Pr: aur nahi toh kya? Humari presence bohat honi chahiye na.

R: baat toh theek hai Preeta, I second you

K: okay girls thanks

Sh: you're welcome, mazay he aa gaye aunty ka pyaar bhara gyaan sun kar

She said laughingly and he too smiled.

Pr: chalo yaar, garden mein dobara, mujhe bora ho raha hai yahan par

Sh: haan chalo

The girls walked off to the garden.

R: abhi he time hai, use kar apna trump card

K: kaun trump card

R: aray beta woh billi meri jaan, jis ke haathon love letter aya tha anonymously, dhoodna kya hai woh toh pata hai na? Jisse dhoondta hai tu har kaheen, jo kabhi mili tujhe yaheen kaheen, tujhe jis ke pyaar pe hai yakeen woh larki hai kahan

Rishab sung teasing him.

K: oh achha tu gaata bhi hai? U r surely in love, hai na? Jo tere khwaabon mein hai basi, woh haseen murti pyaar ki, milegi tujhe kabhi na kabhi, zara dekho yahan wahan, Chalo dhoondte hain hum tum kahin, Woh pari woh hoor woh naazneen, Jisse dekho to kaho tum vahi, Arre yeh to hain yahan

R: (blushing) oh oh mere bhai, mujhe baad mein chirana, us billi ko garden mein bhej aur dekh kaun hai woh larki

K: hmm

He went to his room and got the cat out of there, it ran to the garden. Suhana's attention went to it and she picked it and pampered it. Rishab and Karan went to the garden to catch the girl and saw Suhana with the cat.

R: ye hai?

K: haan, lag toh aisa he raha hai

Devanshi came to her and took the cat and played with it along with Suhana.

R: 2 2 larkiyaan?

K: nahi koi ek honi chahiye na

R: par yahan 2 larkiyaan khel rahi hain us billi ke saath

They watched as Devanshi played with the cat and Suhana settled.

K: kaheen Devanshi toh nahi?

R: shayad

They watched as Devanshi pampered the cat endlessly and as she stood up, the cat too stood on its two feet, Devanshi smiled. Preeta too came and took the cat from her, Devanshi gave it with a smile, Preeta sat on the grass playing with the cat.



K: dekh ab Preeta bhi same wohi cheez kar rahi hai, matlab in 3 larkiyo'n mein se he koi hai

R: haan

Simar came and sat with Preeta and then took the cat away, Simar caresses the cat's head as it looked down and kissed its head and smiled.

K: lo, ab ye bhi aa gayi, bachi Shivani

Rishab nodded. Shivani too came running and took the cat away making Simar laugh, Shivani sat near a wall and made the cat lie on her lap, the cat also liked it and eventually slept in her lap.

R: gayi bhains paani mein, matlab ye trick he fuzool thi na bilkul, ab is ke ilawa kya tareeka bacha? Kaise pata karay ga tu?

K: tu bhool gaya? Preeta kya boli thi? Ke ek party bhi nahi ki hum ne jab se yahan aaye hain, toh chal ek party kartay hain na kal, party mein ek contest ho ga jis mein main 2 lines gaun ga uss gaane ki jo love letter mein thi, jo baaki ki gaaye ga prize us ka aur isi bahanay pata bhi chal jaaye ga ke woh larki kaun hai

R: okay, done

Later that night, Rishab was out of his house for late night drive and saw Preeta walking towards the sea side and stopped the car near her gaining her attention.

R: Preeta jee, aap is waqt yahan?

Pr: mujhe ye weird si feeling ho rahi thi ke seaside jaun

R: par last time toh aap khud mujhe boli aur phir khud wapis bhi...

Pr: Rishab, ab agar aap aur jee kaha na main baat he nahi karoon gi

She said and pouted which automatically made him smile.

R: okay, andar toh aao, baith jao

She opened the door of the passenger seat and sat inside beside him and closed the door and he drove off.

Pr: seaside haan, waheen le kar jaana

R: okay, I wonder kya ho gaya aap... Mera matlab tum ko, seaside kiun jaana hai jab crabs se darr lagta hai toh?

Pr: yaar tum woh sab chhoro na, just mujhe le kar chalo

He drove in silence and stopped at the beach. She got out before him and stood near the waves. He too got out and stood beside her.

R: Preeta, all okay?

Pr: m fine, lekin tum raat mein bahar kya kar rahay thay?

R: aray main toh bas late night drive ke liye bahar tha

Pr: hmm okay

She said and sat down near the waves, he too sat beside her. She looked at the moon for several minutes with an awkward silence between them.

R: kya soch rahi ho itni der se? What's on your mind Preeta?

She turned her head towards him and then pointed at the moon.

Pr: ye dekho

R: I don't understand, kya dekhoon?

Pr: moon, dekho kitna pyaara hai, beautiful na? Kaash ke ye chaand kaanch ka hota, is par main uss apnay ki parchaai dekh kar tassalli mein rehti ke hain toh hum dono ek he dunia mein chahay jo bhi hai

She said and turned her head to the moon again gazing at it.

R:kaun apna?

Pr: hai koi? Jo dil ke bohat kareeb hai lekin aankhon se door hai

Rishab didn't say anything and remained quiet.

Pr: pata hai, main aur woh humesha seaside aa jaatay thay wahan mere hometown mein, saath mein lehro'n se khelte thay, ghoomtay thay, bohat maza aata tha

R: tum wapis jao gi toh us se mil he lo gi na waise bhi, woh din door kahan hai

Pr: yeah right, woh din door nahi hai, jab main usay dobara miloon gi

R: you know what? College mein na main rap artist tha, larkiyaan machharo'n ki tarha aas paas bhinbhinati thi

Preeta chuckled.

Pr: what?

R: haan seriously, abhi ga kar dikhaun ke rap song?

Pr: haan, gaana he hai toh Shankar Mahadevan ka Breathless ga kar dikhao na, tab maanoon gi tumhe ke sach mein tum us waqt rap artist thay

R: hmm theek hai, Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha Jaise meri saari duniya main geeton ki rut Aur rangon ki barkha hai khushbu ki aandhi hai Mehki hui si ab saari fizaayen hain Behki hui si ab saari hawaayen hain Khoyi hui si ab saari dishaayen hain Badli hui se ab saari adaayen hain
Jaagi ummengein hain, dhadak raha hai dil Sanson main toofaan hain, hoton pe nagme hain Aakhon main sapne hain, sapnon main beete hue Saare vo lamhe hain Jab koi aaya tha, nazron pe chhaya tha Dil main samaya tha, kaise main bataun tumhe Kaise use paaya tha, pyaar ke chehre pe bikhri jo julphen To aisa lagta tha jaise kohre ke peechhe Ek os main dhula hua phool khila hai jaise Badal main ik chaand chhupa hai Aur jhaank raha hai jaise raat ke parde main Ek savera hai roshan roshan aakhon main Sapnon ka saagar jismain

He stopped and began to breathe heavily, Preeta laughed.

Pr: kya hua? Thakk gaye?

R: aray? Itna ga liya na ganeemat samjho, pagal

Preeta continued to laugh.












Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro