3.His loneliness....

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Bismillah hir rahman irrahim

Assallam o Alaikum.....beautiful people😀

Enjoy the story
.....................................
Aaid's prov....

Aaid jab us larki ko chor kr kuch age hi gaya tha k uska chehra uski nazrun k samne aya. Use laga tha k wo koi pagl larki hai jis ne use dekha tha our baat krne ka bahana kiya tha yeh ...kiu k aksr pagl dimag ki larkiyan apni izzat ka soche bagair aisa krti hain.Magr jb wo dara sehma chehra uske samne aya tha jis ki ankhe uski ankhun ki tab na la sakne pr juk gayin thin use bata gaya k wo galat hai.

Wo is se age kuch sochna nahi chahta tha our meeting room ki taraf brhta raha meeting achi guzri thi our usne eik announcement ki jo sab k chehrun ko khushgawar hairat bakhsh gayi.

Aaid ne announce kiya k students kuch freshment k liye trip pr jain gain our wo sab ehrajat khud kre ga.....

Use jis cheez ki kami apni student life main lagi thi wo aaj k students ki zindagi se wo khatam krna chahta tha magr wo kami jo uski zaati zindagi main thi wo na apni khatam kr paya tha na kisi ki zindagi main se us kami ko pura kr sakt tha

Meeting k baad uska apne sir .Abdul jamil se milne ka irada tha uska unke sath acha talluq tha wo eik bright student tha is liye aaj tk use uske bohut se teachers na bhoole the.

Sir ko koi kaam tha is liye wo chale gaye our jate jate use milne ka ishara kr gaye the k un se mile begair na jaye.

Wo unke office main ja kr unka intazar krne laga our kuch deir baad wo agaye

Wo unke liye ehtaraman khara huwa uske labun pr hamehsa ki tarah halki si muskurahat hi ayi thi

Sir us se garamjoshi se mile

Sir-Assallam o Alaikum...

Aaid-walaikum salam ...kaise hain aap?

Sir-well my boy abhi tk toh Allah k fazal se thk hoon magr lagta hai ummer k sath bohut jald zayeef ho jaon ga

Aaid-Allah na kre

Sir- toh kiya tum ne Deen dari ki taraf dehan dena shuru kiya...

Unhone use ankhen sukerte huwe dekh kr sawal kiya

Aaid ne apni grdan khujayi our zameen pr dekha hr bar ki tarah. our wo samj gaye

Sir-betho

Wo phir unke samne wali kursi pr betha

Sir-Ammi se milne jate ho?

Wo hamosh raha our wo matlab samj gaye

Sir-kitne arse se?

Aaid-kafi arse se

Wo hlki si awaz main bola janta tha k unko sari habr hai phir bhi poch rahen hain Azam Mamo se wo uske bare main pochte rehte hain sir Abdul Jamil unke karibi dost the

Sir-kiu?

Aaid-Aap batain apki job kaisi ja rahi hai?

Sir-topic na badlo Aaid....

Wo hamosh raha unke tokne pr. uske paas unke sawal ka koi jawab na tha

Sir-Suleman ne bataya k tum ne unki habr bhi nahi li kabhi yeh mt bholo k wo tumhari ma hain.

Aaid- nahi wo meri ma nahi hain.

Uski ankhun main unhe wo nana sa 6 saal ka bacha dikh raha tha jo zindagi main kayin dafa unhone haqeeqat main dekha tha jab aaid 6 saal ka tha our uske baad uski ankhun main hi nazr aya tha unhe wo bhi sirf chand ek bar wo apne andr ki guntan se us bache ko mar dena chahta tha our wo bacha abhi bara isliye nahi huwa tha kiu k use uski gaza nahi mili thi

Sir- wo hain.... tum is haqeeqat ko badl nahi sakte unka tum pr haq hai.

Aaid -us Maa ka bhi to tha na...

Sir hamosh rahe is ka jawab wo de kr uske dil main kisi ke liye nafrat nahi the paida krna chahte...

Aaid-bolen na.

Sir-Toh kiya tum dusri Maa ka bhi haq chien lena chahte ho tum jante ho wo tum se kitni muhabat krti hain? Tum unse milne jao ge...

Wo hukmiyan andaaz main bole unhe dil main umeed thi k wo unhe na nahi kre ga kiu k bohut kam the aise lag jo uske dil k karib the our wo un main se eik the

Aaid ne sir asbaat main hila diya our uth khara ho gaya jane k liye kiu k uske purane zahm taza ho rahe the

Sir-beth jao kuch dier our...

Aaid-nahi Client wait kr rahen hain unhe our wait nahi krwa sakta

Sir-hun ...kabhi Azam k sath dinner pr aoun na wese bhi tum dinner k waqt toh in masrufuyat main nahi hote...

Wo use gaira dal rahe the k wo haan keh deh our usne keh di

Wo office se nikla toh uski ankhun main eik bache ka aks tha jo cheekh cheekh kr keh raha tha k koi bachaye. us bache ko is gutan se... bohut takleef hoti thi our waqt k sath sath yeh uska nasha ban gaya tha.... magr waqt k sath sath kisi apne k hone ki hawahish bi janam le rahi thi uske dil main magr wo usko jatak deta.

Wo office pohuncha toh uske Clients ne us se zara si narazgi ka izhar kiya tha uske late hone pr our us waqt Aliya ka dil kiya ya toh zameen phat jaye our wo us main dafan ho jaye ya use asmaan kha jaye magr aisa hona nahi ...wo janti thi

Clients k jane k baad jab usne Aliya ko bulaya toh Aliya uske office k manzr se pehle se wakif thi uske kuch employs ko unki sarsari si galti pr itni dant pri hogi k pahar bhi dr k mare apne apko zameen main chupa jaye uska gussa teaz hi itna tha wo jab kisi ko dekhta toh samne wala kabhi tab nahi tha la pata uski nazrun ki tapash ki.uske employs uske office main jane se acha qabr main jana samjte the kiu k unke liye uske office main jana aisa hai jaise eik zinda insan ko shamshal ghat main zinda jilaya jaye our phir chor diya jaye

Aliya ne knock kiya our uske yes kehne pr wo andr ayi

Andr teen employs the 2 larke the our eik larki thi

Aliyah ko dilasa huwa k wo akeli larki nahi hogi jo bezat ki jaye gi

Aaid-oh Miss Aliyah ..aiye aiye aap hi ka intizar tha...

Aliyah-g?

Wo drte drte boli kiu k hamosh rehne pr is se bhi bura hal hona tha

Aaid-batayen gin mujhe k main apko kis cheez ka pay krta hun?

Wo sidha mudeh pr aya...

Wo charun eik kitar main khare the our wo unke samne...

Aliya-main yahan job krti hun

Aaid- our apki job kiya hai?

Wo tahmul se poch raha tha toufan k ane se pehle ki hamoshi... usne dua ki k kash Aaid waqai main itne tahamul mazaj ka hota

Aliyah-aap jo kahe wo kaam krna....

Aaid-kiya apne kiya Miss Aliyah ..maine apko kaha tha k clients ki taraf se koi shikayat nahi milni chaiye...

Is bar uski awaaz unchi hui thi

Aliyah-but sir....

Aaid-shut up Miss Aliyah...

Wo takriban dara tha our wo seham gayi

Use uska bezat knre pr bhi use Miss Aliyah kehna samj main na aya tha

Wo dhara tha our office k bahir mojud wajud bhi laraz gaye the aaj uske zahm ko tazgi jo mili thi

Office main mojud dusri larki ko bhi kisi wajah se dant pari thi our uska dil dehla huwa tha uske dharne pr wo dono bhi buri tarah sehmi thi

Achanak se drwaza khula our eik larki dahil hui Aaid ne use dekha our uska sara gussa hawa ho gaya wo sehmi hui thi kuch shak nahi tha k wo uske dharne pr sehmi thi our wo use takleef nahi tha pohunchna chahta uske galat timing pr ane pr use gussa toh aya tha magr wo kiya us masoom si jan pr gussa kr sakta tha

Aaid- get...

Wo bolte bolte ruka

Aaid-tum sab ja sakte ho

Usne abhi bhi uspr se nazren na hatain thi najane wo kitne arse baad use dekh raha tha our wo use hafa nazrun se dekh rahi thi .sab k jane k baad wo us tk ayi

Larki-Assallam o Alaikum...

Wo jo lafz uski zuban se sun'na chahta tha wo usne kaha hi nahi tha use apna dil hali hali sa mehsos huwa

Aaid-walaikum assallam....tum idr?

Uska gussa kahin gum ho chuka tha our wo be hab nrmi se pouch raha tha...

Larki-wapis chali jati hun ...

Use pata tha k wo use zarur roke ga our usne roka bhi

Aaid-nahi ao betho

Wo foran se bola

Us Larki ki ankhen nam hui ur Aaid Sukeman ko yeh katan bardasht na tha....wo janta tha k wo shikwa krne ayi hai k wo kabhi nahi aya.Aaid ne use gale se laga liya

Aaid-am sorry Rabia...

Rabia- no bahi hum apke hain kon jinhe aap sorry keh rahe hain apka koi hai toh bussiness hai na....

Aaid-nahi mera koi hai toh eik behn

Rabia-apki malumat k liye apke do adad bahi our eik Ammi jan bhi hain

Uski narazgi usi waqt chali gayi thi jab usne use gale lagaya tha

Aaid-haan mujhe malum hai ....kis k sath ayi ho?

Rabia-ibad bahi k sath

Aaid-kidr hai wo?

Rabia-Call receive krne gaye hai koi

Our usi waqt wo drwaze se andr aya

Ibad-Dracula ne mujhe yaad kiya?

Wo googles utaarte bola undono bahyin ki shakhsiyat dikhne main bilkul Aaid jaisi thi magr wo dil k narm the Aaid k mukable main...

Aaid-bakwas na kro

Wo usko aaj bhi isi naam se bulata tha kiu k use Aaid ko gussa chirhana acha lagta tha

Ibad-Assallam o Aalikum...

Wo phir uski taraf aya

Aaid-walaikum musallam

Ibad- kaise ho bro?

Wo use gale milta bola

Aaid-thk ..tum sunao

Ibad-like always...Allah ka shukr

Wo log couch pr bethe

Aaid-kuch lena pasand karo gai...

Ibad-nahi

Rabia-Mango juice two glass

Uska matlab tha k Aaid uske sath Mango juice hi piye ga

Wo muskura diya our phir order diya

Aaid-ane ki koi haas wajah?

Rabia-Apse milna

Ibad-mujhe nahi....is ne milna tha warna... I am damn sure k yeh employs bhi tumhare paas bagair kisi majboori k nahi ate hon gain...main toh Apne bahi se milne aya hun...

Wo apni puri batisi dikhate masoomiyat se bolaOur pehle toh yeh sun kr Aaid asab tan gaye the magr wahin eik lamhe main us ke tasrat badl gaye ..pata nahi kiu magr use acha laga tha ..wo toh bhool chuka tha k uske paas abhi bhi khubsurat rishte hain....wo muskura diya our uski mukurahat undono se chupi nai rahi thi

Ibad ne uske kande ko sehlaya usne Aaid ko bohut lambe arse baad muskurate dekha tha our janta tha k uogon k bagair wo kabhi muskuraya na ho ga.Aaid ne uske chere ko dekha toh wo nam ankhun se muskura raha tha kiu k wo janta tha us aziyat ko jis se wo aaj bhi guzr raha tha kiu k mazi ne sab se zayda Aaid hi ko barbad kiya tha us se jine ki khawahish cheen li thi

Aaid jawab main muskura diya our uski muskurahat main eik iltija thi k plz aisa na kro...use bohut takleef hoti thi jab uski takleef se uske bahi behno ko takleef hoti thi

Wo dil ka bohut acha tha bs uske mazi ne use bura bana diya tha

Rabiya-Aap itna gussa kiu kr rahe the apne employs pr?

Aaid-kiu k unhone kaam nahi tha theek kiya...

Wo use bachun jaise muhatib kr raha tha jo use bilkul na pasand aya

Rabia-bahi!!! Ab main bari ho chuki hun

Ibad-oh acha! Kitni? Dadi toh ban chuki ho gi na?

Aaid- agr ban bhi jaye tab bhi choti hi raho gi...

Wo halki si muskurahat k sath bola

Rabia-wese agr main koi kaam thk se na krti toh tab aap kiya krte?

Aaid- toh main use khud dubara krta

Wo kisi se itni mubahat krta hoga wo ise khud ko bhi nahi pata tha

Ibad-but honestly! I think I will slap you as hard as I can..dont test me ever

Wo use drata huwa bola our jab wo waqai main dr gayi wo dono bahi eik sath hans diye

Rabiya- apse kisi ne pocha hai?

Ibad-mgr mujhe laga k mujhe bhi apni raye deni chahiye

Rabiya-apni raye apne paas rakhen...

Wo hafgi se moun more boli

Aaid-kia tum log hr waqt isi tarah lrte ho?

Ibad- ofcourse behn bahi our kis liye hote hain...eik dusre ki zindagi ko jahnum banane k liye hi toh hote hain

Rabiya-plz aap wapis aa jayen na

Wo nam ankhun se boli our wo forun se sidha ho kr uski taraf moun more betha

Aaid-Rabiya plz samjo ...main nahi aa sakte ..main...main zindagi main bohut age nil chuka hun...

Rabiya-itna k tanhayi se muhabat kr bethe hain ....wo sab se khabees cheez hai ...hain na?

Usne uska jumle mukamal kiya our uski nam ankhun se ansun niklne shuru ho gaye the jo un dono bahiyun ko hi pasand nahi aye the our Aaid Rabiya ki baat se sehmat tha Magr wo khabees cheez uska nasha bi ban chuka tha

Ibad- Rabiya!!

Usne uske lafzun pr use tanbih kiya tha kiu k wo janta tha k wo kis dr ki wajah se tanahi ko pasand krta tha wo phir se apne kisi piyare ko khona nahi chahta tha ...wo janta tha k Aaid ko shaq hai k wo la'anti insan aaj bhi duniya k kisi kone main zinda hai

Magr haqeeqat ka pata sirf chand logun ko hi hai k w la'anti insan aaj bhi is duniya main kisi srzameen main sanse leta hai bohut se logun ki sanse haram kr k our bohut se logun ki sanse cheen kr ...magr yeh haqeeqat wo kabhi bhi Aaid ko nahi bata sakta tha balke koi bhi nahi bata sakta tha ...kiu k wo jante the k natija unki soch se bohut zyada na haq our khufnak hoga ...is sab se behtr sirf hamoshi thi

Tabhi eik dam se drwaza khula our eik admi hath main eik bottle liye andr dahil huwa our sab k chere pr hairat ayi jab k wo un sab k tasraat ko nazr andaaz krta office ka jaiza lene laga our jab use sab thk thak sa laga toh wo unki taraf matwajah huwa...

Admi-Assalam o alaikum.to all

Wo hath hilata bola our Aaid ki taraf aya Aaid uske ehtaram main khara huwa jaise k wo uska bara bahi tha ''Ehsan" wo us se teen saal barha tha matlab 27 our ibad uske jitna tha ur Rabiya us se 4 saal choti thi matlab 2o ki

Aaid-walaikum assalam....

Wo gale mile our phir wo kuch kehne laga tha k uski nazr rabiya pr gayi jo kuch deir pehle ro rahi thi our ab uski ankhen khush surh ho chuki thi Ehsan k chehre pr hairat o fikr ayi

Ehsan-guriya! kia huwa hai?

Rabiya-kuch ni wese hi...

Wo muskurate huwe boli Ehsan bhi samaj gaya k Aaid se itne arse baad mil rahi hai isi liye...

Ehsan ka dehan bottle pr gaya jo usne pakri hui thi

Ehsan-oh haan!! Yeh lo tumhari sting...

Usne puri batisi nikal kr bottle uski taraf barhayi our Rabiya k tasrat eik dam se gusse main badl gaye the kl raat k waqiye ko yaad kr k jab k Ibad buri tarah hansne laga huwa tha our Ehsan bamushkil hansi zabt kiye huwe tha

Rabiya ne uske hath se taqriban cheeni thi

Aaid-Ooo!!! Valcano garam kiu hai?

Usne yeh Ibad se sargoshi main hi pochna behtr samja Rabiya k gusse ko dekh kr

Ibad- Rabiya roz sting mangawati hai bahi se raat ko hum ise itna mana krte hai na piya kro magr yeh mana nahi hoti toh bahi aksar uske saath kuch na kuch mazak kr dete hai our raat ko bahi ne jo kiya uff

Wo hansne laga

Ibad-bahi ne sting main red ink mila di thi...kash tum us waqt hote jab Rabiya ne wo pi thi...eik hi gunth main uska bura hal ho gaya tha

Aaid- I think Sting se zayada harmful Ink hui

Ehsan- I know

Rabiya chori chori sting ka cap khul rahi thi magr Ehsan ki nazr usi pr thi our jab usne cap khul liya our wo moun main dalne lagi Ehsan ne us se le li

Ehsan-thank you

Usne sanjida tone main bola our bottle ko moun laga liya our wo aag bagula ho gayi

Aaid- tumhe yeh nahi pini chahiye its not god for your health

Wo sanjidgi se bola use samjate huwe

Rabiya-jo bhi hai

Wo hafgi se boli

Ibad-Mama ko nahi pata abhi tk pata lage toh eik hi din main mar mar kr thk na kr dein

Rabiya- bahi!! Ab main bari ho gayin hoon

Ehsan- oh so where are your grandchildren?

Rabiya-bahi!!!

Ibad-pehle khud k toh ho lene do

Wo hansta bola

Aaid -guys tum logo ki baatun se lag raha hai k tum log shadi wadi ka plan bana rahe ho

Wo boring si tone main bola

Ibad- haan tum ne sahi guess kiya?

Ehsan-tumhe yaad hai tumhari classfellows Sidra our Arzoo

Aaid ko wo kaise bhool saktin thin use undono ke bechargi se use hi dekhte chehre aaj bhi yaad the our wo muskura diya apne bahiyun k paglpan pr our haan kabhi kabhi wo bhi unke is paglpan main uske sath shamil ho jata tha

Ibad- I think yaad hi hon gi...akhir is ne unke sath itna bura jo kiya tha our wo aaj tk Aaid ka kiya bogat rahi hain....

Aaid-kiya matlab?

Use fikr hui k kiya uski us bewaqufi ki wajah se unki zindagi main koi bari mushkil toh nahi aa gayi

FLASHBACK

Aaid tb colleg main tha our uske bahi bhi .itifaq se uske dono bahiyun ko Aaid our Ibad ki classfellow pr zour dar crush huwa tha our wo pehli our ekhiri bar hi tha kiu k aaj tk un dono ko dilun main wahin larkiyan thi jo hijab kiye huwe haya se nigahe niche kiye chalti thin

Ibad our Ehsan dono hi hansmukh se the us waqt

Undono ne un larkiyun se apne dil ki baat keh dali our wo larkiyan best friends thi .wo hr waqt inhe dekh kr sehm jati our yeh unke piche rehte k eik dafa wo dono
keh dein k unhe inki muhabat pr yakeen hai ....our eik din unhone zabrdasti Aaid ko unke ghar beij diya letters rakhne our use bazahir toh aise samajaya k kiya krna hai k kahin pakre na jaiye magr unhone yeh sab pakre jane k liye hi kiya tha k wo letters unke ghar walon k hath lag jaye shayd tab unhe jawab mil jaye

Our Aaid ko krne k baad pata chala k use kis baat k liye use kiya gaya hai

Us din Aaid ne hatake Ehsan pr bhi bohut gussa kiya tha

Sidra our Arzun ki maoun ko hi yeh baat pata lagi thi our unhone daba di our unke colleges bhi change kr diye wo kisi bhi tarah unse mil nahi sakte our ta#tha k unhe ani muhabat ko hasil krna hai kuch ban kr

Our aaj unki shakhsiyat k roub se wo dono larkiyan bhi gabra gayin thi wo Achanak se aye the Sidra k ghar bagair bataye our usi din jis din un dono ki families akathin thi

Unhone pure eitmad k sath unke baap se unka hath manga tha k wo kuch deir k liye bool na paye the magr phir unhone baap unhone k farz se unse sawalaat kiye the chunke k wo puri tyari se aye the undono k ghar wale kuch had tk satisfy the our jate waqt Sidra our Arzoo ne unki jalak hi dekhi thi our wo yakeen nahi kr pa rahi thin yeh wahi bahiyn hain jo unke piche pare rehte the .baki baat Azam mamo ne sambhali thi our unki baat paki ho gayi Azam mamo ne jab undono se khud baat ki toh unhe samjaya k unhone apne mazi ko baad main samja tha unki maa thin jo unhe is cheez se hamesha bachaye rakhe thi magr pir wo jab khud samjhe toh pehle jaise na reh paye tha mazi insan pr bohut asr andaaz krta hai kon hai jo apne mazi ko chor kr age barh sakta hai mazi bura ho ya acha wo hamare wajood main dafan rehta hai bs humain uska apne aap pr bura asr nahi dlne dena chahiye

Our ab unki official engagement party rakhwayi hai

..............

Ehsan-hamari rishta teh ho gaya hai

Ibad-chalo mubarik baad do hamain

Aaid-kia?

Use hairat ka shadid jatka laga tha

Aaid-kab huwa?

Ehsan-2 mah pehle

Aaid-our muje batana zaruri bhi nahi samja

Usne shikwa kia toh wo teeno yaktak use dekhte rahe kuch deir ko our use bhi dier se ehsas huwa k usne kiya bola hai un teeno k chehrun pr muskurahat ayi thi kiu k Aaid apni muhabat our apne ehsasat apne tk hi rakhne walun main se tha

Aaid- Mera matlab k main unse maffi mang leta akhir unhe aaj bhi mera kiya bugatne pr raha hai

Use apni safayi main our kuch na sija toh usne yahi keh diya

Ibad- ab hum itne bhi bure nhi hain ..

Wo moun bana k bola

Ehsan-wese tum engagement pr unse mafi mang lena

Aaid-kia Matlab

Ibad-matlab yeh k tum undono k engagement pr ja rahe ho larkun walun ki taraf se

Aaid-bilkul nhi

Usne saaf jawab dediya

Ibad-Ammi chahti hain k tum ao

Aaid ne mana krne k liye moun khula magr uska dil na kiya k wo unhe mana kre

Aaid-theek hai

Rabiya-that's my good brother

Wo use dayin taraf se gale lagati boli khushi se

Aaid muskura diya

Our pir itifaq se unteeno bahiyun ne drayan main pari meez pr eik sath hi couch pr neem draz hote huwe poun rakhe our wo teno eik dusre o dekhne lage our phir chor hans diye albata Aaid hi hansi halki si hi thi

Kuch dier baad drwaze pr knock huwe our Aaid ne come in keh diya bagair soche k pehle sidha ho kr beth jaye our jaise hi thora sa drwaza khula toh wo Aliyah thi our teeno eik dam se sidhe ho kr beth gaye

Aliyah unko nasamji se dekhne lagi k kiya huwa hai kiu k usne unhe nahi dekha tha our Rabiya hans di

Aaid-bolain....

Wo spat lehje main bola

Aliyah zara harbarayi kiu k wo uske bahiyun ko nahi janti thi our wo undono k samne usse itne bure lehje main baat kr raha tha use thora bura laga

Aliyah-apko yeh file check krwani thi

Wo ahista awaz main hi bol payi uski taraf file barhate

Aaid-fine..ab aap ja sakti hain...

Wo sir hila kr chali gayi

Ibad our Ehsan ne eik dusre ko afsoos se dekha k kuch khushi k lamho k baad phir wo wesa hi hogaya

Ibad-oye dracula

Usne use masnuyi gusse se muhatib kiya

Aaid ne gusse se use dekha

Ibad- mana k wo tumhare under kaam krti hai tum uspr hukam chala sakte ho magr itni buri tarah zara toh use izzat diya kro

Wo use samjata bula

Aaid-oh itni fikr ...

Wo spat lehje main uski baat ka asr liye bagair bola toh ehsa ne afsos se sir jatka our Rabiya ko Aaid se dr laga tha

Ehsan- tumhari behn se agr koi aise baat kre t....

Wo jumla mukamal krta us se pehle hi Aaid bola

Aaid- us se pehle hi wo apni qabr main hoga....

Ibad- tum apni taqat k balbote pr keh rahe ho our agr yeh na hota toh

Aaid kuch kehta us se pehle hi Ehsan bol utha kiu k Aaid k bolne r chayid mahul main grmi paida hojati wo janta tha

Ehsan-toh wo hr mumkin koshsih krta apni behn ki hifazat ki

Aaid ne sir takreen asbat main jatka hi tha

Ibad- uske chehre ki sharmindagi dekh kr mujhe sharmindagi mehsos ho gayi thi k main idhr kiya kr raha hun

Aaid- ibad baat ko brhao nahi

Usne is liye bola kiu k wo usko apne lehje k mutabik izzat deta tha us se age wo nahi de sakta tha uska rawaiya hi aisa tha warna wo apni hadud main rehta tha our usko kabhi sirf uske naam se nahi pukarta tha

Ehsan-acha tum log ab mahul ko garam toh na kro

Rabiya-nahi nahi larne de dekhe toh sahi kitna jahilpan hai in main

Wo gusse se boli thi

Wo uth khari hui thi jane k liye

Aaid-Rabiya...

Wo use rokte us se pehle hi wo office se nikl gayi thi our wo forun se uth kr uske piche gaya

Wo teez chal kr ap ghari k paas aa chuki thi our tabhi wo us tk pohuncha

Aaid- am sorry

Rabiya-bahi...

Wo iltijayia andaaz main boli ..wo janta tha use bohut si cheezin ki iltijah hai us se

Tabhi eik ghari aa kr ruki our dono e uski tarah dekha our uske andr se eik laki nikli thi our rabiya ka gussa our zayada ho gaya

Us larki ne jeans k sath green shirt our lether black jacket pehni thi

Usne ghari se uter kr apni ponytail ko sahi kiya our apne googles utare our andr chali gayi us lakri ne indono ko nahi dekha tha wo khubsurati main bemasal si thi

Rabiya-bahi?

Use yakeen nahi tha aa raha k wo larki waqai main Aaid se milne ati hai

Aaid- Rabiya wo...

Wo uska kiya samjaye use samaj nahi aa raha tha kiu k wo janta tha ko wo uski baat samje gi nahi

Rabiya- yeh larki apke office main kiya kr rahi hai

Aaid-Azam mamu ne kisi kaam se bheja hoga

Usne safayi se jhooth bola

Rabiya-acha thk hai magr aap is se udhur raha kren uski attentions bilkul nahi achi apke liye apko pata hi hoga

Aaid muskura diya uske lahje pr

Aaid -acha theek hai

Itne main wo dono bahi bhi gaye

........

Jab wo larki Aaid k office main dahil hui toh use hairat ka jatka laga kiu k wo unse kafi arse baad mil rahi thi our janti thi k Aaid bhi kafi arse se unse dour hai

Ehsan our Ibad dono ka halq tak krwa hogaya tha usko Aaid k office main dekh kr

Larki-Aap log?

Ibad-haan hum ...tum idr kia kr rahi ho.tumhara idr kiya kaam hai

Wo dant pista bola our tabi Ehsan ne use roka

Ehsan-Tania...Assalam o Alaikum...kaisi ho?

Tania-walaikum assalam ..fine

Ehsan- kuch kaam tha tumhe?

Tania-wo drasal bahi....

Wo apna lab kat'te boli kiu k wo unki izzat krti thi Ibad us se batamzi krta tha our dono hi eik dusre k eik number k jani dushman bhi bachpan k the

Ehsan ne sir jatka kiu k jawab lafzun se diya hi nahi ja sakta tha wo janta tha

Ehsan-chalo betho tum,hum bs ja hi rahe the Aaid abhi aa jaye ga

Wo keh kr uth khare huwe our jate jate Tania our Ibad eik dusre ko kha jane wali nazrun se dekhna nahi bhule the

................................

Ibad- oh hello Mr.Aaid..apki jan apka apke hijre main intizar kr rahi hain

Ehsan-behtr hoga k tum us masum hasina ko intizar na krwao

Ibad-our chi'ta jawab uske moun pr maro k tumhare dil main uski koi jagah nahi hai

Ehsan-bilkul

Aaid ne undono ko gusse se dekha

Aaid- Rabiya!car main betho

Rabiya hafgi se kuch kehne hi wali thi k ehsan ne use nara sakhti se ishara ki k car main bethe our Ibad k tasraat bhi kuch asie the wo chun kiye bagair car main beth gayi

Our phir wo teeno zara fasle pr gaye

Ehsan-kiya kehna chahte ho

Ab wo teeno hi sanjida the

Aaid- Main..main usko mana nahi kr sakta

Ehsan-kiya matlab?

Dono ne hi use shaki nazrun se dekha

Aaid- aisa kuch nahi hai

Usne unhe ghourte huwe wazahat di

Ibad-toh kiya baat hai?

Aaid ne gehri sans li

Aaid- Azam mamo aisa nahi chahte wo chahte hain k main...

Age ki baat bagair bole hi wo samaj gaye the k Azam Mamo Tania ki shadi Aaid se krwana chahte hain

Aaid-agr main na kr dun toh wo samje gain k mujhe unke mujh pr kiye huwe ehsanu ki qadr nahi hai

Wo udaasi se bola

Ibad-magr eik dafa baat toh kr k dekho unse wo tumhe bhi tih samje gain tum our Tania bohut alag ho

Aaid-nahi main nahi kr sakta

Usne haar man li wese bhi wo apni zindagi k bache kuche rangun ko bhi hatam krna chahta tha our aisa kr k wo apni zindagi main hr taraf andhera kr sakta tha .our Azam sahab wo wahid shaks the jin k age wo chun krna bhi gunnah samajta tha

Aaid- acha ab tum log jao

Ehsan-wese bhi wo masoom hasina tumhara intizar kr rahi hai

Aaid- bs kr do ab tum log

Wo chale gayen our wo office gaya uska koi mode na tha wo abhi Tania ki fazool batain sune our uske fazool sawalun ka jawab de

Wo office main dahil huwa toh Tania uske dekh kr eik dam se khari ho gayi uska dil eik hi lamhe main teaz chalne laga tha uske chehre ki muskurahat use our khubsurat bana gayi thi

Aaid- kais ho?

Tania-theek hun...tum?

Aaid- pata nahi

Tania ne hlka a sir hila diya

Aaid- kuch kaam tha kia?

Tanai -nahi bs socha kafi dino se nahi mile toh aa gayi

Aaid- exect din bhi bata sakti thi

Wo janta tha k use exect dino ka bhi pata hai wo din ginti rehti hai k kab mile the our kitne din pehle mile the wo janta tha

Tania-22 din

Usne udaasi se bola our Aaid ko hairat hui k kia waqai main wo itne din use tang kiye bagair reh payi thi

Aaid-hmm ghar main sab kaise hain?

Tania-theek hain ...

Usne apne bag main se eik choti si dabi nikali our ehsita se uski taraf barhayi

Aaid ne use nasamji se dekha jab k Tania udaas nazrun se use dekh rahi thi iski do wajah thin eik yeh k jab wo use bataye gi k yeh kiya hai toh uska reaction soch kr our dusri yeh k wo chahti thi k wo forun yeh use de de kisi haq se

Tania-yeh..yeh mama ne di hai phopho ki ring hai yeh....

Our Aaid k chehre pr beyakeeni thi usne kanpate hathun se wo box liya us se

Aaid ne use chuwa hi tha k uska sara mazi uski ankhun k samne aa gaya our usi k sath us se sans lena bhi mushkil hojata tha

Tania-Aaid...

Wo udaasi se use dekh rahi thi kiu k wo uske liye kuch nahi thi kr sakti

Aaid ne forun hi apne aapko sambhal liya our us box ko khul k ring ko dekha wo ring ko dekh raha tha our use apni maa yaad ayi our achanak hi uske dimag main Tania k hayal aya our usne uski taraf dekha our uski umeed k mutabik wo apni ankhun main wo sapna sajaye huwe thi jo Aaid k liye mushkil tha pura krna

Magr jab eik na eik din aisa hona hi hai toh kiu wo use abhi dukhi kre wo apni jaga se utha toh

Wo larki jis k ansu bs ankhun se niklne hi wale the kisi umeed se usko dekha

Our wo usi ki taraf aya tha our uske samne aa khara huwa toh eik taraf uski umeed our barh gayi our eik taraf use uski umeed k tut jane ka khouf huwa our ansu uski ankhu se nikl hi aye

Aaid ne wo anguthi hath main pakri hui thi Aaid ne us nazuk si dikhne wali larki ka hath ahista se pakra our use apne barabr khara kiya wo us se umer main kafi choti thi magr kabhi undono ko hi umer ka yeh fasla mehsos huwa tha

Wo ab ankhun main umeed ki shama jalaye use hi dekh rahi thi our wo un kanch si ankhun main khouf dekh sakta tha.Wo halka sa muskura diya

Aaid ne uske hath ko samne kiya our uski ungli main Apni maa ki anguthi dal di

Tania k chehre pr muskurahat ab khul kr ayi thi wo bohut khush huwi thi k itni kabhi nahi hui thi jis rishte k use kl tk koi imkanat nazr nahi aa rahe the aaj Aaid ne usi rishte ko kayim kre k liye aaj use kachi magr pehli siri pr chrha diya tha

Wo beyakini se apne mun pr hath rakh kr rone lagi thi wo khush thi bohut khush...wo muskura diya uski khushi dekh kr ya us bache ko jo azadi jo shama muyasr thi usko cheen kr

Kia koi hai jo uski ankhun ko bamp jaye....kia koi hai jo uske ilawa us bache ko dekh sake...jo uski is aziyat ko us se dour kr jaye use achi zindagi jeene ki umeed dilaye use muskurane pr majboor kre jis se wo apna drd bila jijak bante jo uske gam ko sun'ne k baad use samjane k bajaye use apna kanda de.Koi aisa jo use kahe k haan main sirf tumhare liye hoon uske duh ko samjne wala ...kiu k use zindagi main sab k liye koi na koi dikha tha hr kisi k paas aisa tha jo use toot kr chahta tha our agr koi akela tha toh wo eik hi tha ...Aaid Suleman ....

Us se our na ruka gaya wo ab akela rehna chahta tha

Aaid-Tania maine tumhe mara toh ni hai....

Wo bohjal awaaz main ahista se bola use aise lag raha tha jaise wo kisi gekre kuwen se bol raha ho

Tania-no Aaid

Wo forun khushi se boli

Aaid-phir tum itna ro kiu rahi ho...

Use apni awaaz se aise laga jaise wo koi mareez hai...haan wo mareez tha ...mareez ishq nahi jis pr ishq ka rog tha our wo us se azad hona bhi chahta hai our us main mubtala bhi rehna chahta hai wo mareez tanhai tha wo us tanhai se niklna bhi chahta tha our us main reh kr apne aap ko usi main fana kr dena chahta tha

Taniaz-plz Aaid aise mat raho...dekho hum eik eik achi zindagi guzare gain na jis main sirf achi yade hoon gin ..Ibad our Ehsan bahi bhi toh hain na

Our usi waqt uski ankhun main jo chingariyan jali thin Tania uski gawah ta qayamt thi k wo kitni chowla war thin wo sehm kr piche hati

Aaid - wo Aurat jis ne itni takleef sahi thi wo aurat jise berehmi se mara gaya tha wo meri maa thin meri maa.Our wo bacha jo apne baap se minat kr raha tha

uski maa ko chor de..wo bacha jis ki maa ko uske samne darindun ki tarah mara gaya tha ...jise uske baap

Wo ruka

Aaid-jise eik darinde ko rukne pr siryun se niche dikha de diya gaya tha wo main tha Tania wo main tha na k Ibad na Ehsan tha magr iska matlab hr giz nahi k unka drd kaam hai unka drd tum ne kabhi mehsos mahi kiya kiu unhone chupa rakha hai janti ho eik darnde ka naam apne naam k sath lagne pr roz kitni takleef milti hai ...nahi tum nahi jan sakti Tania unka drd hr giz kam nahi hai

Tania-magr wo zinda toh hain na

Aaid-sirf isliye k unhone kisi ko unki maa pr hath uthate nahi dekha unhone kabhi kisi ko qatl hote nahi dekha ..kisi ka khoon se bara jism nahi dekha...kia tum ne kabhi khoon ki nadhi dekhi hai Tania

Our wo udr hi sakin ho gayi thi our Aaid ne jo kaha uske zehn ne use bataya toh wo bhi hamosh hogaya kiu k wo jan gaya tha k Tania wo baat janti hai our Usne Tania se jo saloon pehle jhooth bola tha pakra gaya hai

Tania ne larazte hathun se uska gireban pakra

Tanai-Aaid wo CD jo...us ca..case..main us qat..qatil ka...ka proof thi..wi tumne nahi ..tori thi na

Wo jumla mukamal krne k baad ankhe meinch gayin

Aaid hamosh raha our wo uska jawab janti thi

Tania ne use gireban se jatka

Tania-jhoothe admi kiu....kui? tum kiu us CD ko tor nahi dete

Aaid- Tania..

Usne use tanbih kiya kiu k wo had se age barh rahi thi

Tania-Aaid Suleman...

Wo unchi awaz main boli thi uska gussa uski takleef uski ankhun main zahir thi

Tania-wo meri bhi kuch thi Aaid ..phopho hona koi choti baat nahi koi dour ka rishta nahi mera unse

Aaid- tumhe ghar jane ki zarurat hai

Use uski halat harab hoti dikh rahi thi

Tania-main baba ko bata dun gin k wo us din CD tum ne bahi se le li thi jhooth bol kr ..main unhe sab sach bata dun gi

Aaid- tum aisa kuch nahi kro gi wrna khud bhi phans jao gi

Tania-Nahi is baar nahi Aaid tum hamesha mujhe apni baatun main phasa lete ho magr aaj nahi

Aaid use office se bahir le gaya

Aaid- baad main driver se keh kr ghari manguwa lena our ainda akele mat niklna

Wo use apni ghari main bathata bola

Aaid-yeh lo apna moun saaf kron

WO driving krte bola

Aaid-Tania...plz aisa na kro ...main unhe kho dun ga

Tania-tum ne unka barosa tora hai Aaid...

Wo use yaad dila rahi thi our usne sharmindagi se sir jatak diya

Tania-eik shart pr

Wo kuch deir baad boli

Aaid-haan bolo

Wo forun se bola

Tania-wo CD tum mere samne toro ge

Use apne apnko aziyat dena khuch had tk ab acha lagta tha our wo CD uski bohut madad krti thi magr Aab use majbori main torna tha

Usne forun car mori our ghar ki taraf le gaya

Our kuch deir baad ghari eik bare our khubsurat se ghar mian dahil hui

Wo dono andr gaye our Aaid forun se wo CD laya our uske samne torne hi wala tha k usne use roka

Tania-pehle mujhe dikhao k is main hai kia

Aaid -nahi bilkul nahi

Wo janta tha k wo yeh sab brdasjt nahi kr paye gi wo uski eik jalak bhi nahi bardasht kr sakti thi

Tania-main intizar kr rahi hun

Usne apna sir jatka our us video ki eik jalak hi use dikhane k faisla kiya

Our jaise hi usne lagayi thi Tania ne halka sa dekha our usne CD wais nikal li our usi waqat baba raheem ne Aaid ko gusse se pukara

Aaid jahan tha wahin khara reh gaya wo uski ka'ri nighrani krte the our uske bawajud unhe yeh na pata chala k usne paas yeh CD majud hai

Wo us tk aye Tania bhi jahan thi wahin sakin ho gayi

Baba raheem ne use eik zour dar thapr rasid kiya unhone kabhi aisa nahi kiya tha uski kisi bhi galti pr yaha zinda rehne bawazud zindagi our moot ka sawal tha wo jab bhi yeh dekhta tha hl pl marta tha

Baba raheem ne use eik our thapr rasid kiya our krte gaye our wo sir jukaye khara raha Mohsin our faizan forun se lounge main aye our manzr dekh kr unhe shadid jtka laga our unhone forun se unhe roka wo ro rahe the wo mazbut dil ka malik tha magr case k doran yeh video unhone bhi dekhi thi jab wo nahi bardasht kr paye the toh wo bacha kaise kr sakta tha

Baba -Aaid tumhare paas yeh kahan se ayi

Wo gusse se poch rahe the

Wo hamosh raha

Baba-sab galti Azam sahab ki hai unhe is CD ki hifazat krni chahye thi

Our wo forun se Azam sahab ko call krne lage the

Aaid-plz baba aisa na kre ekhe main ne yeh tour di hai

Usne usi waqt tour di our wo ruke

Baba-tumne yeh sambhali hi kiu thi ..bache ab zindagi main age barh jao

Aaid-yeh dekhe ...main ab aghe barh raha hun

Usne jaldi se Tania k hath aghe kiya

Baba-kia?

Aaid-maine mama ki anguthi Tania ko pehna di hai

Wo zabrdasti muskurata bola

Our wo ro pare wo uski muskurahat ko jante the wo is waqt wahid shakhs tha duniya main jo reham ka haqdar tha

Aaid-baba kiya huwa?

Baba-kuch nahi Tania tumhe ab ghar jana chahiye

Wo kuch keh kr Tania ka dil nahi the tourna chahte

Tania-driver ko le jaoun?

Wo dekh sakti thi k Aaid is halat main nahi k wo use leja sake

Aaid-haan

Wo mur gayi

Baba-tum apne kamre main araam kro hum baad main zarur bat kren gain

Aaid ne sir hila diya our kamre main chala gaya

Usne wahan ki har cheeze tour dali thi yeh nayi baat nahi thi

Our Mohsin wo wahid shakhs tha jo uske dr k bawajud apne aap ko rok nahi pata tha our uske kamre main use kuch deir baad dekhne chale jata tha our uske zahmi hathun ki dressing krta tha us se do teen mu'qe khane k bawajud

Mohsin kuch deir baad uske kamre main aya toh kamra hr bar ki tarah andhere main duba huwa tha mohsin ne lights on ki toh wo zameen pr iztarabiyat lye betha tha

Mohsin k hath main first Aid box tha our wo hamoshi se uske paas zameen pr beth kr uski bandage krne laga

Aaid-AA gaye tum

Wo muksuraht liye bola ha our us muskurahat ka koi matlab nahi wo janta tha magr use andr aise mehsos ho raha tha jaise uska jigri yaar aya ho wo hr bar deethun ki tarah jo aa jata tha koi dost hi aisa krta hai

Wo aise bola jaise nache main tha kiu k uski tanhayi k rog us pr charh chuka tha

Mohsin-g

Wo itna hi bol paya dr k mare our us se nazren milane ki galti wo hr jiz nahi kr raha tha kiu k agr wo dekhta toh use aise mehsos hota jaise bokhe sher k sath use eik pinjare main band kr diya gaya hai

Aaid dire se uske kaan kr karib huwa our bola

Aaid-bhabhi kaisi lagin?

Mohsin ne forun se nazren uha kr use dekha kiu k uska andaaz aisa tha jaise koi dost apne dost ko kehta ho use laga shayd usne zindagi main pehli bar pi hi li hai magr use un cheezon se nafrat thi wo ache se janta tha wo uske karib huwa our sunga

Aaid-tumhe lagta hai k maine pi hai?

Wo masoom si udaas hansi hasa

Mohsin-nahi

Aaid-phir batao bhabhi kaisi lagi?

Use waqai main koi dost chahiye tha jis se wo batain kr sake our wo hosh mai nahi tha wo hosh kho chuka tha

Mohsin-ach hain magr baba keh rahe hain k wo apke liye theek nahi hain...

Aaid-kiu ? baba kia chahte hai phir?

Wo bachun ki tarah hafgi se pohuch raha tha

Mohsin-wo keh rahe the k aap k liye koi masoom si nazuk si larki honi chahiye

Aaid- Tania aisi hi hai....

Mohsin-eik baat bolun ?

Wo drte drte bola ..aaj pehli baar aisa huwa tha k wo apni raye dene laga tha sirf is liye k use Aaid ki fikr thi our baba ne jo us se batain ki thin usne achi tarah samji thin

Aaid-bolo nahi marta...

Wo uske chehre pr dr dekh sakta tha

Mohsin- Tania achi hai magr wo aap ke liye theek nahi hai ....aba keh rahe the jis ki aapko zarurat hai wo gulab ki tarah honi chahiye k aapne rangun se apki hazan ko khatam kr de

Aaid- Our Tanai?

Mohsin-wo apki hazan main shamil ho jaye gi magr use khatam nai kr paye gi ..aap pr uski masoomiyat ka koi asr nahi hai Baba ka kehna hai k aap uski zindagi bhi brbad kr dein gain

Aaid-nahi wo bohut khush hai

Mohsin se sirf usko muskura kr dekha kiu k wo apne aap se jhooth bolne main kayiyab nahi ho pa raha tha wo dekh sakta tah wo masoom sa bacha lag raha tha jis jhooth bola nahi ata tha

Mohsin-good night...

Aaid- Baba keh rae the night

Wo saht nazrun se dekhta bachun wale gusse main bola jin k gusse ka koi asr nahi hota...use gussa aya tha k hr baat main baba keh rahe the laga gay hai k wo usko mar bhi nahi sakta

Mohsin pehle toh chunka phir use us bare se 6 saal k bache ki is harqat pr hansi toh ayi thi magr wo bache ga nahi iske baad isle jaldi se bahir nikl gaya

Our kuch dier baad wo bed pr ja kr let gaya usne spne ki koshish ki magr nakaam ab toh raat bhi ho chuki thi ...wo kafi deir leta raha magr ab wo sakht ukta gaya tha usne mobile dekh k Aliyah ka koi message our uske deir sae messages dekh kr use gussa aya

Usne home kr k screen pr gusse se ungliyan pheerni shuru kr di uska dehan kahin our hi tha jab uske mobile pr koi notification aya our wo ring kiya usne mobile dekha tour uski ankhun main hairat ayi

Usne jane anjane main Zaina uzair ko message kr diya tha our usne use Salaam kaha tha

Usne bagair soche forun se Sallam ka jawab diya...kiu? Use khud ko bhi nhai pata tha...

Wo use ignore bhi kr sakta tha magr shayd wo apna dehan hatana chahta tha zindagi main pehli baar

Maya- kaise hain aap?

Aaid- fine...and you?

Use nahi pata tha uski ungliyan khud hi chalne lagi thin

Maya-alhumdulillah!!

Maya abhi soch hi rahi thi k kia baat kre uska message aa gaya

Aaid- aap raat ko soti nahi?

Maya- soti hun..magr aaj neendh nahi aa rahi

Aaid-kiu?

Usne apni aqal pr matam kia k use kiya zarurat pochne ki...

Maya-aaj ka din kafi mushkil tha..shayad isi liye

Aaid-haam ..waqai hi aj ka din worst tha

Maya-nahi aise nahi kehna chahiye hr din main kayin mosam hote hain

Aaid ne uska message prha toh use dupher yaad ayi Ibad log yaad aye our wo uski baat se sehmat tha

Wo muskura diya

Aaid-thank u

Maya-kis liye?

Aaid-kuch samjane k liye...

Maya-ohh wellcome

Wo muskura di

Maya-Aap ka aaj ka din kaisa guzra ...business chalana mushkil kaam hota hai na

Aaid-haan ...kafi thakan bara tha

Dono ne hi note kiya k wo zara close batain kr rahe hain

Maya ko yaad aya k usne aaj use dekha tha our use phir se wo wo nahi lag raha tha

Aaid ko aaj ki announcement yaad ayi

Aaid- maine suna k aapke college ki trip ja rahi hai hai na

Announcement aaj hi hui thi magr use yakeen tha k uni k hr student ko habr mil chuki hogi

Maya-nahi

Use hairat hui k Zainab ne use kiu nahi bataya

Aaid- oh acha mujhe mere eik cousin ne bataya tha

Maya-mujhe nahi pata tha...

Aaid-toh aap jayen gin?

Use afsoss huwa k wo nahi ja paye gi kiu k uska toh tb samester bhi start naho huwa hoga

Maya-jagan agr pasand ayi toh jaoun gi our agr naye samester tk unhone wait kiya

Aaid-kiu?

Maya-kiu k meri behn bhi hai main uske bagair nahi jaun gin

Aaid- hmm...wese apko kaisi jagah pasand hai

Usne yeh sawal kiu pocha use nahi pata tha

Maya-banjosa lake

Aaid-Wow .good choice

Wo yahan ja chuka tha our use bhi wo jaga kuch had tak pasand thi

Maya-thank u..wese itna waqt ho gaya hai tumhe ab so jana chahiye

Usne socha hi tha k likh bhi diya our send k dene k baad uska dimmag kaam kiya our use sharmindagi hui

Aaid uska message parh kr hans diya tha jo cheez ise use kehni chahiye thi wo ise keh rahi thi

Aaid-hm but I think aap ko bhi is waqt so jana chahiye

Maya-hmm ..main bhi soch hi rahi thi

Aaid- so good night

Typing krte waqt uske labun pr muskurahat thi wo apni zindagi se bahir nikl aya huwa tha kuch dier k liye wo is muskuraht se be habr tha our is baat se bhi k usne zindagi main pehli baar good lafz istimal kiya hai

Maya-Allah hafiz

Our phir undono ne hi mobiles rakh diye our neendh ki wadi main chale gaye

.......................................

Dream....
Neem draz andhera tha hr taraf our wo bohut khoufzada tha our eik dam se khoon ki barish hui our eik khoufnak cheekh use sunayi di

Larza dene wali cheekh... us werani main insan ko ajiz kr dene wali cheekh

Wo sirhyan par kr k upperi manzil tk pohunchne hi wala tha k use uski maa nazr ayi khoon main latpat our wahin hr taraf andhera ho gaya ......
.....................................................
Our uski ankh khul gayi uska sara badan pasine main bigha huwa tha uski dil ki dharkan bohut teaz chl rahi thi k uska sir bhi chakra raha tha our jab wo kuch lamhun main sambala toh use uska hawab yaad aya our wo kisi murde ki taraf bedcrown se tek laga kr beth gaya

Wo bebas tha aaj pehli bar nahi tha jo usko aise hawab aye the

Usko bachpan se hi hr chand dino baad yeh buri yaadein tang krti thi or hr bar wo pehli dafa jitna ki khoufzada hota tha

Wo kuch dier aise hi betha raha phir use tahajud ki azaan ki hi halki si awaz sunai di yeh awaz use eil lambe arse se ati thi our wo janta tha k is ilake main sirf eik masjid hai our wahan tahujud ki azaane nahi hotin magr use kabhi samaj nahi ati thi k use yeh azaan kahan se sunai deti thi

Wo namazi na tha wo jummah ko our eid ko hi namaz parhta tha

wo kuch dier khali khali nazrun bed k samne wali diwar pr lage huwe shishe main apne aks ko dekhta raha our phir so gaya

wo our kuch kr bi nahi sakta tha wo mane mazi ko badl nahi tha sakta wo apni maa ko wapis nahi tha la sakta wo in yadun se bagh nahi tha sakta

.......................................................

Assalam o Alaikum....

I hope you all are enjoying your life with the blessings of ALLAH ALMIGHTY.......

I also hope you guys like my story....if not ...I hope so ,will...

And you probably like it or you want to appreciate this little girl,you can vote me and also don't don't ....don't forget to comment...

And and and you can follow me because sadly I have only 5.but I am glad ,atleast ,to have this

Hye, I also forget to tell you that Now, I also have insta account''mnk.writes'',if you follow me there I will be so glad

I have also my private account''mahnoorkapoor'' and if you are sweat little girl you can also follow me there .i will follow back...
I have wrote 8524 words

ALLAH HAFIZ....GUYS THOUGH IT'S NIGHT

GOOD NIGHT.........

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro