With U

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Next morning,

Preeta woke up and found herself on bed. Karan was not in the room.

Preeta: Main bed pr kse aayi... Aur yeh Karan kaha gya...

She freshened up and moved outside and there he was paying someone and signing some documents.

She moved to him and patted her shoulder.

Karan: Uth gyi tum kumbhkaran..

Preeta: Kya mtlb..Aur main bed pr kse pahuchi...

Karan: Ek hawa ka jhoka aaya aur aap toh feather jsi h.. Ud ke pahuch gyi hogi....

Preeta : Tum sidha jawab nhi de skte kya..

Karan: Sidha jawab chahiye na.. Toh suno... Raat ko couch se gir gyi thi tum.. Par pta nhi konse ghode bechke soti ho.. Tb bhi neend nhi khuli madam kii.. Maine tumhe bed pr sulaaya.. Aur khud couch pr soya...

Preeta: Oh Thank u... (realised).. Wait a minute... Konse ghode bech ke soti ho.. Dekho Karan...

Karan: Dikhayiye...

Preeta(irritated) : Huh.. Mera mtlb h suno...

Karan(pointing towards his ears) : Nikalo bakwas...

Preeta : Tumne mujhe uthaya kyu.. Meri marzi ke bagair mujhe touch kiya...

Karan: Ahha.. Meri marzi ke bagair mujhe touch kiya (mimics her).. Toh kya zameen pr pade rhne deta.. Aur girls aur boys equal hote h.. Tumne bhi mujhe touch kiya tha bina marzi ke.. Ab hisaab barabaar...

Preeta: Mne kab tumhe touch kiya..

Karan: Ruko...

He rolled up his sleeves

Karan(showing her marks) : Yeh rhe nishaan.. Mere paas toh saboot bhi h..

Preeta: Okay... Tum ab yaha kya kr rhe ho...

Karan: Tumse picha chuda rha hu.. Bye Bye..

He sat in the car. Preeta sat beside him.

Karan(shocked) : Not again...

Preeta: Please.... Please.. Mujhe bhi tumhare saath Zurich jaana h...

Karan: Arre par kyun.. Tumhara vo so called boyfriend.. Kya naam tha uska..

Preeta : Mayank..

Karan: Ha vo mayank.. Vo toh geneva mein h na.. Toh tumhe mere saath Zurich kyu aana h...

Preeta: Kyunki yaha se koi raasta nhi h... Tum mujhe apne saath Zurich le chlo... Vaha se I will manage...

Karan(hitting his head on steering wheel) : Tumhe main hi milta ho kya har baar...

Preeta(puppy face) : Please na.. Ab toh hum friends bhi h... Please.. Aur yaha se mujhe flight leni pdegi... Aur tumhare bina flight mein pta nhi kya hoga...

Karan: Oh madam... Meri nhi apne boyfriend ki aadat daalo... Mujhse toh rho dur... Tumhare bina wali aayi badi...

Preeta: Tum uske paas le toh chlo pehle...

Karan(laughing) : Mne toh theka le rkha h na tumhara...

Preeta: Kse dost ho yrr... Arre indian team ke captain ho... Main ek indian ho.. Madad krdo na meri...

Karan(clapping) : Waah.. Kya logic h... Mtlb main saare indians ki madad krne ke liye free baitha hu yaha jaise..

Preeta: Tum gaadi chalaoge.. Ya aur thodi der ladna chahte ho mujhse...

Karan: Arre ladna toh dur main tumse milna bhi nhi chahta tha.. Par meri itni achi kismat kaha...

Preeta: Main bhi tumhare sath nhi Mayank ke saath jaane wali thi..Par meri itni achi kismat kaha..

Both turned their faces away from each other.

Karan : Ab tum maanogi toh nhi.. Jao apna saaman le aao...

Preeta(making faces) : Badi meherbani.. Huh..

She left.

Karan: Like seriously... Mujhe attitude... Arre maine iski itni madad kii... First meeting mein laga tha kitni masoom h.. Par nhi mujhse ladne ke liye toh special energy aa jati h jse...

Preeta came with two shopping bags and kept them at the backseat.

Karan: Tum sirf yeh laayi ho... Do shopping bag aur ek purse...

Preeta(sitting inside) : Ha..

Karan : Really?

Preeta : Actually main toh sirf purse ke saath aa jati... Mne last moment pr flight board kii h.. Shopping bags bhi Airport pr jo shopping kii vo h...

Karan (sighing) : Bahut badi wali pagal bevkof ho tum...

Preeta: Ab meri tareef krke hogya ho toh drive karo.. Zurich sahi salaamat pahucha dena mujhe bas...

Karan: Main tumhara driver nhi hu...

Preeta: Pata h.. Lekin driver hona bhi koi buri baat nhi h.. Koi kaam bada chota nhi hota..

Karan(cry baby) : Tum chup ho jao please.. Vohi bahut bada upkaar hoga mujh pr...

Preeta: Haww..

Karan glared her. She kept finger on her mouth.

Karan: Aise kitni khubsurat lg rhi ho... Aise hi rhna.. Pure raaste...

Preeta turned her face. Karan started driving.

Precap

Never ending journey and fight

******

Do leave reviews😊❤️

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro