Aap na-mehram hai!!!!

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Bismillah ❣️

" jii ..jiii" dari sehmi hui awaaz aayi toh abuzar ne gusse se ghura " jii .. jii.. kyaaa gungi ho?"

" jii nahi main ayat"

Itna tehra hua jawab aaya toh do minute baad bola " kaun ayat?"

" ji aaina ki phuphi "

Zabd karke bola ghumte sir ke saath " kaun aaina?"

" aapki behen huda ki saheli ....aap noman haina aur yeh ...yeh shelter home haina"

Wo dari hui awaaz mein boli toh woh dahaara " main kisi noman huda aaina ko. Nahi jaata yeh koi shelter home nahi hai ... yeh mera ghar hai niklo abhiii foran ....."

Yeh sunna tha ki ayat ke pero take zameen khisak gayii wo tezz rone lagii

Wo gusse se na wakif manzar ko dekhta raha phir dapat kar bola " aee chup .... Bilkul"

Jispar usne apne muh par dono haath rakhe kaap kar ... use reham aaya laga thodi narmi baratni chahiye " dekho aap kaun hai mere ghar mein iss waqt kya karrhi hai" use khud hairat hui ki wo itni tehzeeb se bola kaise jabki ayat ke rone mein koi kami nahi aayi wo dil bardashta hue dekhta rha mood saara off hogya tha bola " andar aayie aap .."

Wo yuhi khadi rahi phir dobara bola araam se " aaiye please "

Phir wo saath saath chali andar sofe par bethi toh durr jake bethi khud ne paani nikalkar diya toh larazte haatho ko dekh bola " pilijiye yeh naaqaab hatakar "

Wo bina harkat kiye yuhi bethi rahi sur jhukae bola " pijiye "

Boli " main aapko apna chehra nahi dikha sakti... aap naa-mehram hai "

Iss baat par khud ba khud khada hogya aur yeh kesi ajeeb baat kahi thi uss ladki ne yeh naa mehram kya bala hai samjh nahi aaya .. samjh toh yeh bhi nahi aarha tha ki uski apni aankhein uss doshiza par uthne par inkaar kyu karrrhi thi " main change karne jaraha hu agar aapko sahi lage toh batana aap yaha kaise pahuchi warna darwaza khula hai '

Palat gaya sochte hue yeh kaisa yakeen kar paraha hu ispar mere liye toh ladki lafz ki alag hi tareef hai phir ...

Wo change karke aaya toh woh yuhi sir jhukae bethi thi paani ka glass khali tha yaani wo paani pee chuki thi ...

Khud saamne sofe par betha " jii kahe "

" dekhiye main sirf yeh sochkar yaha ruki hu ki main yeh sochkar apne ghar se nikli thi ki meri manzil mera allah teh karega aur mujhe mere allah ne aapke saamne lakar khada kar diya hai beshak aap behadd humdard aur nek sharif shaks hai "

Iss baat par wo yu tha ki kaanto toh khoon nahi is tarah ki tareef toh wo apne wehmo gumaan mein bhi nahi soch sakta tha ki koi ladki karegi uski wo toh ladkiyo mein " The player " ke naam se mashhoor rha tha ...

Bola himmat se " hmmm... aapke saath hua kya hai ?"

Waise hi sir jhuka hua tha " mere abbu ka inteqaal mere paida hone se pehle hi hogaya tha toh meri anmi ko akela dekh unke mama ne apna beta ammi ko dediya ki wo unka mehram bane beta bane "

Iss baat par pta chala mehram yaani beta toh obviously main iska beta kaise hosakta hu yeh toh mujhse choti lagrhi hai khair aage bola " phir'

" ammi ne bhai afshaan ko beto ki tarah pala lekin unn baap beto ki nazar humare ghar par thi dekhte dekhte unn dono ne hume ghar se nikal kar ek kotri mein pahuchadiya ammi ki maut bhi bhai bhabhi ke zulm sehte sehte hogayi ...

Phir rone lagi use laga yeh main puraane daur ki film sunn raha hu bola " rona bandd bhi kare aage kya hua ?"

Wo sambhli " uss ghar mein mera jeena bhuhaal tha unnlogo ne mujhe dibai ke sheikh ko bechdiya kal mera usse nikah hai phir ek haram se dusre haram isiliye hi aaina ne mujhe ghar se bhaga diya "

Toka " kaun aaina ??"


"Bhai afshaan ki beti uss ghar mein ek wahi toh thi mere jeene ka sabab .. hum main market ke road par aae ek safed rang ki gaadi mein bethe jo huda jo aaina ki dost hai uske bhai ki thi par shelter home jaane ke liye par yeh yaha aagayi "

Usko hasi aane ko hui do minute luft lekar dekhta rha phir bola normal se andaaz mein " zaheerii si baat hai kyuki wo gaadi meri thi aur aapki gaaadi waha pahuch nahi paayi aur galatafehemi ke tehet aap yaha hai iss waqt "

Wo rone lagi " allah madad kar .... Ab main kya karu ?"

Wo tehar gaya bola " pehle toh roiye nahi "

" dekhiye main ek bahut sharif ladki hu meri ammi kehti thi aaj ke zamane mein bhi achhe log hai aap unhi logo mein se hai mujhe yakeen hai "

Abuzar ka dimaag bhinna gya yeh lafz sunn phur boli " maine kabhi apne ghar ke bahar kadam nahi nikala aapko allah ka waasta hai mujhe mehfooz jagah pahuchade "

Khamosh betha raha sochta raha kis kadr kamakhal ladki hai mujhse madad maang rahi hai ....

Phir bola " dekhiye kisi shelter hone mein aapko bhejne ka matlab hai uss dubai ke sheikh ka aap tak pahuchna"

Uski ispar subki nikli woh tehra sunn " aap chahe toh mere ghar mein itmenaan se reh sakti hai yaha aap bilkul safe hai "

Wo dekhkar boli " allah aapko saari nehmaton se nawaze "

Wo bas burkhe mein kaid wajood ko dekhta raha boli " par main bahut khuddar ladki hu aap bahut bhale insaan hai "

Usne sir pakda tha " aap mujhe yaha rehne ki ijazat derahe hai par mere paas paise nahi hai aapko kiraya dene ke liye "

Wo uski khudhaari par muskuraya tha " kiraaye ki zaroorat nahi "

" nahi meri ammi ne mujhe mazboot usolo ke saath paala hai main aise toh nahi reh sakti "

Wo maathe par haath chalata hua soch raha tha yeh kya mataalba hua bola " phir"

" main ghar ke saare kaam karugi aap mujhe batae kitchen kaha par hai ? Jhaadu pocha kaha hai ? Aur mujhe rehna kaha hai?"

Wo confused tha " dekhiye main yaha kisi kaam ke silsile mein hu yaha main permanently nahi rehta"

Pehli baar jhuuth bolte hue itna thithka tha " mujhe andaaza nahi hai aap kya puchna chahrhi hai aap kal iss ghar ke caretaker se puchlijiyega aur aap jis kamre mein rehna chahti hai waha rehlijiye ... as you wish ...mera kamra wo left wala hai "

Boli " jii shukriya "

" ok main jaaraha hu shayad subah ya kal dopahar lautu "

Sir hilaya " allah aapko kamyaab karein "

Use gairat ka yeh alam yeh tha ki wo has bhi na paya wo uthi aur right m jo kamra tha usme badh gyi ..

Wo ghar se nikla toh hairat m tha main ek ajnabi ke haath apna pura ghar karke jaaraha hai wo bhi kaun ek ladki ?

Kya kabhi aisa ho sakta hai ki ' abuzar sartaj peerzada' kisi ladki ko akela chorde wo bhi apne ghar ......

''''—————————————————————————

Ghar se bahar nikla toh waseem ko phone kara neend mein dubee hui awaaz aayi

" hello "

Seedha pucha " waseem na-mehram ka matlab kya hota hai?"

Wo neend mein hasa " yeh parayi duniya ki zubaan kyu bolraha hai mere bhai?"

" waseem i am serious !!"

" what!!! I never see you in this mood ...is everything alright?"

" waseem tu bataega??"

"Hmmm ... ek momin aurat ki zindagi mein chaar rishte hote hai mehram ke jo iski izzat ki hifazat karte hai aur jiske saamne be parda aa sakti hai "

Socha " ohh... wo momeeen hai"

Bola " wait .. momeen matlab"

Hasa " momeen nahi momin yaani nek hayadaar musalman aurat "

Muskuraya " ohh"

Socha tabhi baat shuru aur khatam allah par karti hai

"Kaun 4 rishte waseem?"

"Baap , bhAi , shohar aur beta "

Khulkar hasdiya " sorry waseem"

" i hope abuzar tu iss baar jisse takraya hai tere dimaag thikane par le aaye !!"

Phir hasa " impossible "

Wo bhi hasa " chal bye "

"Bye"

'———————————————————————————

Wo birthday party mein pahucha khoob tezz shor tha muskuraya

Mueez mila " kaha rehgaya tha ...?"

Muskuraya haath se chup rehne ka ishaara kara aur andar badh gaya

Jaakar jab nazar uspar padi jiska shikaar karne aaya tha toh zaleel muskurahat hontho par khelgyi wo jism se chipki choti si dress jiska girebaan chaak tha use pehen aur ladkiyo ke beech khade jaam ke gash lerahi thi ....

Paas jaakar phool aage karein " these not so beautiful roses for the most beautiful birthday girl..."

Saath ki ladkiyan dilkash muskrahat liye abuzar ko dekhrahi thi wahi wo palti khaas itlaakar boli " thanks!!"

Phool lekar wahi rakhein aur kaandhe par haath rakha abuzar ki gardan mein akar thi muskuraya aur kamar mein haath daalkar bola " lets go ...!"

Wo bhi hasi tabhi peeche se awaazein uchi hui " bye saisha ... have fun!!!"

Wo haste hue bahar nikal gye

Bahar mueez mila jo pheli aankhon se dekh raha tha

Abuzar kaan mein bola " muh bandh kar !!"

Aur nikal gaya ...

Gaadi laakar bethaya wo iski baaton par itla ithlakar hasti jaa rahi thi .. wo bhi shauk horaha tha ..

Phir kuch derr baad ice cream palour ke paas gaadi roki " wait...main laya..."

Haath thama " please main bhi chalugi you know na... raat ko hum ladkiyon ko akele mein darr lagta hai "

Saari muskurahat gayab thi socha wo bhi hhar mein akeli hai!!!!!

Raftaar se gaadi wapis modi aur jald se jald usi party ke main gate par roki

Saisha shocked thi " what???"

" saisha i am sorry but uthro mujhe bahut zarori kaam se jaana hai "

Wo toh gusse se pagal hogyi " are you joking?"

" no saisha ...please try and understand... baad mein phone par baat karege..."

Wo yu dekh rahi thi jaise abuzar ko kachha chaba degi

" abuzar you insult me!!"

Dekha " please!!"

Dhar se utri  aur gate par laat maari cheekhi " go............"

Muskurana hi behtar laga " thankyou !!"

Kehkar raftaar se gaadi bhagakar le gaya aur jab apne kamre dhakhil hokar bed par leta wo use kahi nahi dikhi thi sochrha tha " yeh kya kiya maine!!!"

Par kuch sochkar mutmaeen sogaya!!!!

———————————————————————————

Agli subah wo chaukar utha————-

So howAzzT

Ayat ' s story

Abuzar 's concern

Anything else

Take good care of yourself

Take care

Allah hafiz 🧡

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro