Kaash, Kaash tum yeh samajh pati..

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Jis din aakho se rubaru kara,
jism tak tumhari mene tumke ek pal mei jaan liya.
Roz tumhe yoo taakte,
Kar paya tha sirf tumhare husn ka didar.
Par jab tumhe mere saamne aate dekha,
Uss din samajha ki uss didar mei utni takt na thi,
Ki uss didar mei utni takt na tha
Jitni tumhari rooh ke jaadu mei jhupi thi.

Uss din, tumne apna haath badhya,
Mera raat ka sapna hakikat banne ko aaya.
Par jab tumhe pehli baar apne dil ki nazro se dekha,

Vo mooti se saji hui muskurahat,
Vo gulab ki laali se bhi zyada makhmali hoot,
Vo heere jesi neeli aankhei,
Vo chandani raat mei raat ki rani ki jesi khushboo,
Vo silk se bhi reshmi kaale bal,
Vo chashni se dubi hui koyal se bhi zyada meethi awaaz,
Vo tumhari moor ke pankh jesi aankho ki palke,
Vo tumhari balkhati hasi.

Tumhari sundarta pe to kabse tha etbaar mujhe,
Par do lavz ki baat jismei esa laga ki mera aur tumhara nata tha sadiyo ka, Mene jana,
Hussn ki khubsurti se apaar tha tumhara sondariye.
Esa laga mano uss alah ne duniya ka beshumar heera tarasha ho!
Jiske aantarik khubsurati ki chamak se koi bhi mohit ho jata.
Par moh ek bahut chota shabd hai.
Mei tumhare moh mei nhi tha,
Tumhe mohabbat karta tha, pyaar karta tha.
Pyaar jo shabdo mei tarasha na ja sake,
Pyaar jiski koi seema na ho,
Pyaar jo mene tumse kiya, bakiyo ki tarah tumhare husn se nhi.

Kaash, Kaash tum yeh samajh pati....




Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro