Papa

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Papa,
Aaj mei kehti hu,
jo kabhi nahi kaha.
Aaj mei sunati hu,
jo iss dunia ne nahi suna.
Maa ko to mil jata hai
vo darja,
par papa,
kya kabhi kisi ne tumhare sangharsh dekha?

Kya kisi ne dekhe hai aasoo kabhi,
unn aakhon mei,
jo shayad,
kuch raat se chain ki neend na soyi.
Kya dekha hai kabhi vo shikan bhara chehra,
jo humari khushiyo ko pura karte karte,
apne liye vakt nikaalna bhool gya.
Ya vo muskuraahat,
jo humari khushiyo ki parchai thi!

Aakhri baar aapko
apne liye,
khush hote kab dekha?
Yeh to yaad hi nhi.

Din bhar humari zaroorate puri karne ke liye
kaam karte ho,
Kya kabhi apne sukh-chain ko di hai tavajjo?
Ya,
raat ko mujhse sirr dabvake hi saara sukoon batoor lete ho?

Papa,
Aakhri baar tumne,
humari ichao se upar,
apni khushiyo ko kab rakha tha?

Shikaayte to bahut ki hai humne,
par tumne unhe door kardia.
Jo vakt aaram ka mila,
use bhi humari vajah se,
yuhi humare liye kurbaan kar diya.

Kabhi kaam ki sardardi.
Kabhi ghar mei hota koi tanaav.
Kabhi humari alg hi koi jhig-jhig.
Kya kabhi kisi ne tumhari mann ke kotahal ko samajhne ki koshish ki hai?

Papa,
Jo tha tumne hume sab diya.
Kya the tumhare sapne?
Pata nhi.
Par humare sapno ko pura kiya.
Mei kabhi itni laayak to nhi bann paungi
par,
ek din esa zaroor aaye,
jiss din tumhe mujhpe garv ho.

Papa,
Yuhi mene tumhe apna hero nhi maana.
Picturo mei to kayi hero hai,
par mere liye to tum hi number one.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro