Pachtaogey Zaroor Tum

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Maine kaha tha na ki tum ek din pachtaogey zaroor.

Anubhav's Voice over

Karma ke baare mein suna bahut tha, par hote hue kabhi dekha nahi tha.

Isliye vishwaas bhi nahi karta tha ki jo jaisa karta hai woh waisa ek na ek din bharta zaroor hai, jo jitni takleefein deta hai, khuda uski zindagi mein ussey zyada takleefein likh deta hai.

Roz marra ki zindagi jee raha tha, dosto ke saath mauj masti karna, career ki tension lena, memes idhar udhar forward karna aur sara din bas feeds scroll karte rehna.

Ek din ek ladki se mila, sach kahu toh naam aur surat se toh sahi mai Haseena thi.  Meri zindagi mein pehle bhi kayi ladkiya rahi hain, kuch dost ban kar, toh kuch dost se zyada, lekin, woh kuch alag thi. Aur kaho toh beauty with brains.

Uske andar ek ajeeb si baat thi, jo mera dhyaan kheech leti thi, aisa nahi hai woh kuch karti thi jaan buj ke, par woh hota hai na, ki kuch logo ka swabhaav hi aisa hota hai, unka presence hi aisa hota hai, jo woh dusro ka dhyaan kheech lete hain.

Normal baat cheet hona shuru hui, numbers exchange hue, calls pe baat hona shuru hui, dheere dheere main usey jaanne laga, usey samajhne laga, woh apni life ke baare mein batati, main jitna usey janta gaya, utna usme khota gaya.

Shuruwaat dosti se hi hui thi, par ab main uske kareeb aur woh mere kareeb itni aa gayi thi ki hum ek dusre ke saath zyada waqt bitane lage the, calls par hi, par pehle se zyada.

Mujhe aksar aisa lagta tha ki woh kabhi kabhi mujhse jhoot bolti hai, pata nahi kyu bas lagta tha ki woh mujhse kuch chupati hai, kuch aisa jo woh chahti nahi ki mujhe pata chale.

Main janne ki koshish toh karta par mujhe kabhi pata nahi chal paya, khair baatein aagey badhi, mujhe us par bharosa hone laga, kahi na kahi mere mann mein uske liye feelings bhi aane lagi thi.

Wahi baat hai na, hum dost tab tak rehte hain, jab tak door door se aur kam kam baatein hoti ho, lekin jab koi insaan kareeb aane lage, zyada waqt bitane lage, humein aadat lag jati hai us shaqs ki, uske saath rehne ki, uske kareeb aane ki, Aur koi sirf jism ke kareeb nahi aata, humare mann ke kareeb bhi aata hai saath hi saath.

Humne ab tak confess nahi kiya tha lekin main uske liye possessive hone laga tha, thodi insecurity hoti thi jab usey kisi aur se zyada baat karte dekhta tha, aur yeh insecurity mere mann mein usko khone ka darr badhati thi.

Mujhe ek din ehsaas hua ki main uske baare mein kuch zyada hi sochne laga hoon, zyada hi zikr karne laga hoon apno se uske baare mein, main jab jab ussey baat nahi kar raha hota tha, tab tak usi ke baare mein soch raha tha, sara time ki woh kya kar rahi hogi kiske saath hogi, kya soch rahi hogi etc etc...

Cheezein karne laga tha jo usey pasand hain, usko khush rakhne ke liye kuch na kuch karta tha, aur woh nahi kehti thi, khud se hi mann karta tha ki main kuch karu uske liye, kyunki usey khush dekhne me mujhe bahut sukoon milta tha.

Woh bhi mere liye efforts karti thi, bas kabhi kabhi uska ignore karna mujhe bahut khata tha aur aksar ladai bhi humari isi baat par hoti thi.

Woh zyada rooth jaati thi, mujhse dekha nahi jata tha aur main usey manane chala jata tha bina soche ki main yeh kar ke sahi kar raha hu ya nahi.

Main usey bahut zyada time dene laga tha, apne saare kaam chhod ke ussey baat karne ke liye wait karta tha, usey jis cheez ki zarurat hoti thi, main woh har cheez usey deta tha, jo manga wo bhi, aur jo nahi manga wo bhi.

8 mahine ho chuke the humein ek dusre se mile hue jaane hue, aur mujhe yakeen tha ki main ussey pyaar karne laga hoon, aur mujhe uske action mein bhi dikhta tha ki woh bhi pyaar karti hai.

Aur phir maine yahi socha ki agar hum dono hi ek dusre se pyaar karte hain, toh kyun hum dost hain, hum kyun is rishte ko aagey nahi badha rahe.

Aur jab mujhe laga ki humein badhana chahiye toh maine apne pyaar ka izhaar kar diya.

Usne jawaab mein kaha ki woh sure nahi hai, jo ki mujhe ajeeb laga, mujhe uske actions aur baato dono mein hi aisa nahi laga ki woh mujhse pyaar nahi karti. Toh phir surety kyun nahi thi?

Khair maine jaldbazi ya zid nahi ki, maine usey waqt lene ke liye kaha, aur usne waqt liya bhi.

Main uski khushi chahta tha, main chahta tha ki woh khushi se mujhe apnaye, zor zabardasti karke nahi, toh maine bas intezaar kiya.

Usne kuch din liye lekin aakhir mein woh jis jawaab ke saath aayi, woh "Haan" hi tha, shayad woh din meri zindagi ka sabse haseen din tha, Kyunki mere pyaar ne mujhe apnaya tha, aur yeh baat kisi bhi aashiq ke liye sabse badi baat hoti hai, khaaskar tab, jab us "Haan" ke peeche struggle bahut ho.

Shuruwaat ek nayi zindagi ki ho chuki thi, humara milna, baatein karna, ek dusre ke saath pyaar karna, din raat ek dusre mein ghul jana puri tarah, matlab jaise kehte hain na ki, meri boring life mein jaise happy days aa gaye the, jaise rang bhar diye ho kisi ne meri zindagi mein.

Shuruwaat relationship ki aisi thi jaise cherry on top, sab kuch perfect, har ek cheez jaise perfect, saari zaruratein puri hona, saari khwaishein puri hona, saari responsibilities main puri karta hua chalta tha.

Matlab jaise is rishte mein maine khud ko jhok diya tha, 1000% deta tha usko khush rakhne ke liye, usko wanted aur important feel karane ke liye, uski value ko upar rakhta tha, uske hisaab se dhalta tha, usey priority bana liya tha.

Sab kuch ek fairy tale jaisa tha, lekin, zyada din tak nahi.

Woh jo ignorance wali baat thi na, woh badhti thi, relationship ki shuruwaat mein toh sab sahi tha, lekin kuch mahino baad, uska ignore karna badhta gaya.

Humari ladaiya pehle se zyada hone lagi thi, aur jab solve karne ki baat aati thi toh woh to meri zimmedari hoti thi, uskey aagey jhuku, maafi maangu, aur usey manau, aur usey is cheez ki aadat lag chuki thi, aur daali bhi maine hi thi.

Mere liye zaroori sirf wo thi aur har baar yahi soch kar jhuk jaya karta tha ki mere liye is rishte ko bachana har haal mein zaroori hai.

Saalo tak main uske is behaviour ke aagey kamzor padhta ja raha tha, aur yeh sab mujhe bardaash nahi ho raha tha.

Maine usey itna pyaar diya itna pyaar diya itna zyada pyaar diya ki woh pyaar ab uske sar par chadh gaya tha, aur usey aisa lagne laga tha ki pyaar kya hai? Yeh toh har kisi ko mil jata hai, efforts toh har koi kar sakta hai isme kaunsi badi baat ho gayi...

Woh mujhe itna granted lene lagi thi ki na meri daant ka uspe asar hota tha, na mere aansuo ka, mere rone ka, aur na hi mere chillane ka.

In fact, agar humari kisi baat par ladai ho jaye aur main usey msg na karu call na karu toh majaal hai jo woh apni taraf se ek msg bhar ka bhi effort kar le...

Usey ehsaas nahi tha ki woh jis direction mein ja rahi hai woh direction hum dono ko humesha ke liye alag kar dega. Par kamaal ki baat to ye thi ki usey koi fark bhi nahi padta tha is baat se.

Main kayi baar uske aagey rota gidgidata, baar baar puchta ki woh kyu badal gayi par afsos mujhe kabhi koi jawaab nahi milta. Woh har baar mujhe blame kar deti thi ki, jo bhi uska behaviour hai wo meri wajah se hai.

Main har din khuda se puchta ki kya kisi ko pyaar dena ek wajah ban sakta hai bure vyavahar ki? Kisi ko chahna kisi ki parwah karna itna bura hota hai kya ki koi aapke saath bilkul jaanwar jaisa sulook karne lagein.

Vishwaas karna mushkil ho gaya tha mere liye ki woh shaqs woh raha hi nahi jissey main 3 saal pehle mila tha.

In 3 saalo mein maine sab kuch dekh liya tha aur iske bawajood bhi main uske saath khada rehna chahta tha, kyunki, pyaar uska kam hua tha, mera thodi, mere andar toh zindagi bhar ki mohabbat baaki thi.

Baat bigadte bigadte itni bigad gayi ki naubat yeh aa gayi ki ab uska waqt bhi milna mushkil ho gaya tha.

Meri value girte girte itni gir gayi ki usne ek din mujhe apni zindagi se nikaal feka.

Usey aisa laga ki woh mujhse behtar deserve karti hai, yeh baat mujhe teer ki tarah chubhi, Kyunki, meri zindagi thi wo, Maine usey beintehaan mohabbat di aur, woh bhi kam pad gayi.

Woh kehte hain na, kabhi kabhi beintehaan mohabbat bhi, thodi reh jaati hai.

Meri mohabbat bhi thodi reh gayi, aur mere laakh rokne par bhi woh na ruki na thami, bas chalti chali gayi.

Kabhi kabhi tum kitna hi pyaar kar lo kisi ko, tum bhale hi kitne hi sahi ho, jaane wale log bahane se chale jaate hain tumhein tumhari kamiya gina kar.

Woh bhi chali gayi, jaate jaate bas maine ussey ek hi baat kahi. "Ek din, pachtaogi zaroor tum."

Kuch din beete mahine beete aur saal bhi beetne lage, main abhi tak struggle kar raha tha ki kaise main ab move on karu.

Aisa nahi hai ki main move on kar nahi paya tha ab tak, par koi na koi baat thi, koi na koi cheez thi mere mann mein jo mujhe puri tarah se thik nahi kar paayi thi ab tak.

Maine uske jaane ke baad ussey kayi baar contact karne ki koshish kari par mujhe humesha ek hi cheez mili ussey, “Ignorance".

Aur woh Ignorance mujhe jeene nahi deta tha, mujhe takleef hui, bahut takleef hui, par kya karta main? Option hi kya tha mere paas zindagi mein aagey badhne ke alawa.

Bahut baar khayaal aaya ki jaan de du, par ussey bhi kya hota? Itna buzdil bhi nahi tha main jo main kisi ke dhoka dene par khud ko aur apne parivaar walo ko saza deta.

Main aagey badhta chala gaya, na ruka na thama aur na hi peeche mud kar dekha, Yaadon ke sahare hi sahi, par meri zindagi ruki nahi uske liye, na maine phir intezaar kuya uska.

Ek din main yuhi baitha tha, kisi se baat kar raha tha phone par, tabhi peeche se ek call aane lagi mere paas.

Number unknown tha toh mujhe pata nahi chala ki kaun hai, maine call pick kari toh samne se awaaz jo aayi woh Kaafi jaani pehchaani thi.

Mujhe samajh mein nahi aya main kya bolu, par maine baat ki toh dekha ki bada hi normal sound kar rahi thi woh, jaise roz baat karti ho mujhse.

Mujhe yeh dekh ke bahut uljhan hui, usne pehle mujhse mere haal chaal liye, fir mujhse yeh bhi pucha main kya kar raha hu, kiske saath hu aaj kal, aur phir baat karte karte usne....

Jo rona shuru kiya hai, woh kaafi zyada surprising tha, Woh rote rote batane lagi ki usey kitna pachtava hai apne kiye ka, usey ehsaas hua ki woh kitna galat thi...

Jis pyaar ke liye uski soch yeh ban gayi thi ki yeh to har koi de sakta hai, aaj usi pyaar ke liye tadap rahi thi woh...

Mere mann mein uske liye koi feelings nahi thi, mujhe bura zarur lag raha tha usko is halat mein dekh kar, par main khud ko saunp nahi sakta tha galat haatho mein ek aur baar.

Usne zyada kuch nahi manga, Bas meri dosti maangi, aur main khamosh reh gaya is baat ko sun kar, kyunki mujhe samajh nahi aa raha tha main haan bolu ya na.

Main janta hu ek insaan ko apni galti ka ehsaas ho jaye issey badi koi baat nahi hoti duniya mein, aur aise logo ko maaf kar dena chahiye.

Maine kuch der socha, aur phir jawaab diya.. "Sorry, ab yeh nahi ho sakta!".....

Main tumhein tumhare kiye ke liye maaf kar sakta hu, mera dil todne ke liye maaf kar sakta hu, us duniya ki har galti ke liye maaf kar sakta hu jo tumne ki hai par...

Mujhse kabhi mauke ki umeed mat karna, kyunki woh main tumhein nahi de sakta. Main tumhein ek aur mauka nahi de sakta ki tum mera dil phir todo, ek aur baar tum par bharosa bhi nahi kar sakta main ab.

Mujhpe jo beeti thi, woh sirf main hi janta hu aur mera khuda janta hai. Main ek aur baar nahi pighal sakta aur na koshish karna mujhe pighlane ki apni care dikha kar. Sach kahu toh mujhe ab koi fark nahi padta.

Aur agar padta bhi hoga toh main usey apni kamzori nahi bana sakta tumhare aagey jhukne ki, tumhein apnane ki.

Itna kehte hi maine phone rakh diya, us raat ke baad us number se kabhi koi na call aaya aur na hi text msg.

Mujhe nahi pata maine galat kiya ya sahi, par maine shayad itne saalo mein pehli baar khud ko choose kiya, khud ki self respect ko choose kiya, apni rooh ke baare mein socha, apne tute dil ke baare mein socha.

Jo ki hum bahut kam karte hain. Humesha dusro ko aagey rakhna, humesha dusro ke baare me sochna, humesha dusro ko priority dena, Zaahir si baat hai, Agar tum dusro ke haath mein apni zindagi ka, khushiyo ka remote control rakh dogey, toh tum expect bhi kaise kar sakte ho ki tum humesha khush rahogey.

Na insaano pe depend ho apni khushiyo ko lekar, aur na hi unhein apni kamzori banao.

Chahein kitne hi saal purana rishta kyun na ho, tut ta hai toh berehmi si tut ta hai aur sab kuch tod ke chala jata hai.

Yeh uska karma tha, jo uske saath bhi wahi hua jo usne mere saath bhi kiya, bas isiliye mujhe vishwaas ho gaya ki, apne karm sahi karo, baaki jo dusro ko karna hoga woh har haal mein kar lenge.

Tum bas kisi ko apni self respect se upar mat rakhna.

So that's all for today guys...
I hope you liked my new story...
Don't forget to shower ur love to the story and tell me how is the story....
And do check out my friend's story "Secret Romance" by anuseenaxmoran19... and follow her too for more stories by her...
See u in the new story...
Bye bye...

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro