Chapter 1

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng


This story is dedicated to Jasminearun who wanted me to write a story on Param Laddoo from naagin 6 and also wanted Param to be an ichhadaari nevla. Rest of the couples are purely my choice.

Sun shone brightly and its rays fell on a boy in his late twenties, he hid his face in the pillow. But then his alarm rang, he switched it off and then gave up the urge to sleep. He sat up and yawned stretching his arms and sighed. He got off the bed and went to freshen up. He came back wiping his hair with a towel and then quickly dried his hair. He went to the kitchen and opened the fridge and sighed in disappointment finding nothing which he wanted to eat and closed the door. He turned and folded his arms on his chest and leaned to the fridge.

"Hum ichhadaari nevlo'n ko na, kabhi woh naashta jo humein khana hai, fridge mein rakha nahi milta, jungle mein usay lenay jaana parta hai, aur aaj bhi wahan jaana paray ga, saanpo'n ko laana paray ga, uff, kya zindagi hai, ichhadaari nevlay ki, magar abhi nahi jaun ga, job se jab waapsi aa raha houn ga na, tab jaun ga, abhi guzara kar loon ga bas. Chal Param, ye toh roz ka hai, hum khud kahan chuntay hain ke humein insaan ban'na hai ya janwar, magar insaan aur janwar dono ban'na hai, ye toh koi soch bhi nahi sakta."

He said to himself and made himself breakfast and then finished it and then left for job.

***********************************

A girl tied in chains struggled hard to make herself free. A woman came to her with a plate of food and then herself began to make her eat, the girl ate annoyingly and pouting at her. She sobbed, even her mother sobbed. The food was finished, her mother kissed her forehead.

"Naina, meri laddoo, samjha kar, woh log agar tujhe dhoond lengay na, toh tujhe maar dengay, main tujhe nahi kho sakti, tu insaan nahi hai ye baat kisi aur ko pata nahi chalne de sakti. Ye insaani dunia mein insaan tujhe jeene nahi dengay, maar dengay, poonam ke chaand ko humesha tujhe apna zeher chhorna hota hai, warna tu mar jaaye gi, agar tu bahar gayi, insaan ko kaata aur us mein apna zeher chhora, toh sab ko teri pehchaan pata chal jaaye gi, isliye toh main tujhe janwar la kar deti hoon, fikar mat kar. Tujhe mere hotay koi kuchh nahi kar sakta. Un sab bacho'n ki tarah main tujhe marne nahi doon gi."

Said her mother. Naina cried as she left.

************************************

A girl in dark room, where all the things were scattered and she was lying on the floor with the blanket wrapped around her and shivering badly, suddenly woke up and her tears were blackened with smudged kajal. Her phone rang and she startled. But the name flashing on it, calmed her a little, it was Param. She picked the call.

Param: Pia, hi, theek ho na?

Pia: haan main theek hoon

Param : bff se jhoot?

Pia: sach mujhse ab bhi bardaasht nahi Param

Param: isliye aaj appointment tha tumhara psychiatrist Dr.Abhay ke saath, yaad hai na?

Pia: (slapping her forehead) oh main toh bhool gayi, kab hai? Raat mein?

Param: haan jee raat mein, take care na Pia, kiun khud ko saza deti ho, main ab aur apni bff ko aisay nahi dekh sakta, mujhe meri purani hassti khelti Pia chahiye

Pia: woh Pia kabhi nahi lautay gi Param

Param: but I have a hope, kya pata Dr.Abhay help kar dein

Pia: meri help koi nahi kar sakta, magar haan, tumhare insistence par mil rahi hoon, yaad rakhna

Param: okay bubba, please kuchh kha lena, khud ko distract karo yaar

Pia: bahar jaati hoon toh log taanay maar maar ke maar daaltay hain, jeene nahi detay, ghar mein bhi dam ghut'ta hai, meri zindagi kaisi zindagi hai Param? Kaisi zindagi? Sorry. Tumhe main apne maslo'n mein...

Param: aray nahi, dost kis liye hotay hain? Chalo koi nahi, main chaloon ga raat mein, okay?

Pia: thanks Param, it means a lot, really

Param: dosto'n ko thanks nahi boltay, bye

Pia: bye

Call disconnected.

************************************

A man in doctor's clinic who himself was a doctor, the door opened and another person entered. The doctor turned to him, the duo smiled at each other.

"Aray Ranav? Tu? Baday log agaye is nacheez doctor Abhay se milne, kya baat hai, achha, target ka kya hua?"

R: target? Oh haan, total 100 logo'n ka khoon peena hai, abhi 96th target complete hua hai, matlab m 4 people away from being extremely powerful. Tu bata.

Ab: wah, main toh abhi 98th target par hoon, matlab 98 out of 100 completed

R: oh, chal good luck

Ab: same to you

Ranav left. Abhay smiled at his name plate on the desk and caressed it.

Ab: vampires ki dunia se hotay huay bhi seene mein dil rakhta hoon. Insaani dunia mein reh kar logo'n ki dimaagi bemaariyo'n ko door karta hoon. Bas main pyaar nahi kar sakta, jis din insaani dunia se pyaar kiya, usi din is vampire Abhay ka the end ho jaaye ga, mujhe ek din yahan se wapis bhi jaana hai. Magar phir bhi ye insaani dunia mujhe humesha Dr Abhay ke naam se yaad rakhay gi.

He sighed.

************************************

Two girls rushed outside the house hand in hand in excitement. They both stood before a brand new car and smiled.

"Wow Bela, BMW? Seriously yaar, tu ne na lawyer ban kar itna kamaya aur apnay parents ko un ki dream life de di, sach mein tumhare parents bohat lucky hain ke un ki tum jaisi beti hai."

B: woh toh hai, un ka combination hoon, toh un jaisa toh hona he tha na Prarthana, (the duo laughed and had a high five) achha sun, waise tum aur tumhari maa bhi toh naag lok ka combo pack ho na? Lookalikes

The duo laughed once again.

Pr: woh toh hai, magar yaar ye baat kisi ko batana mat jo tujhe pata hai, ke main naagin hoon

B: meri yaadaasht mita do meri jaan agar yakeen nahi toh. Yakeen karo Bela ke paas secrets bilkul safe rehte hain. Chal ab yaar meri brand new car hai, mujhe photos click karni hai. Ye le phone, click kar de.

She said giving Prarthna her phone and she clicked Bela's photos and showed it to her. They smiled.

B: achhi hain, thanks, chal meri sunehri naagin, waise toh tu kaheen bhi jaldi ja sakti hai, lekin meri first drive hai is car mein, toh tujhe toh chalna he ho ga, chalay gi na?

Pr: of course

They sat in the car. Bela drove for sometime and accidentally, Ranav's car crashed into hers, she gasped and unfastened her seatbelt and opened the door, Prarthana too got out of the car and so did Ranav. Bela stooped low to check her car and got angry seeing broken headlights.

B: hey Bhagwan meri new car. Satyanaash ho is gaari walay ka, dekh kar nahi chalatay, Goddd!

Ranav who stood behind her looked on.

R: oh madam, materialistic cheezo'n ki fikar na karo, woh phir bhi repair ho jaati hain, shukar manao aap ko kuchh nahi hua, by the way m sorry

Bela looked back and stood up placing her hands on her hips.

B: really? Its okay, lekin headlights ka tootna is not okay, dekh kar nahi chala saktay? You are right ke repair ho sakta hai, magar abhi mujhe ya meri friend ko lag jaati phir?

Ranav got attracted to her.

R: umm sorry madam, lekin lagi toh nahi na? By the way jo BMW afford kar sakay toh us ke liye repairing toh chewing gum khareedne jaisa ho ga, I hope you can afford that as well

B: achha? Ek toh takkad khud maartay ho? Upar se kiye gaye nuksaan ke paisay tak nahi de saktay? You know what? That's okay too, you are right, har koi afford nahi kar sakta. Car he toh hai.

Ranav smiled.

R: thanks for understanding madam, lekin kya hai na? I am deeply impressed by your kindness, so... (he pulled out a bundle of money and forwarded it to her) main ne aap ki car damage kar di, I know mehnat se aati hai, galti meri hai, mujhe dhyaan se chalani chahiye thi meri car, keep it

Bela gasped and slowly took the money, Ranav began to leave, she looked at Prarthana.

Pr: yaar chhor na, tu ne kindness dikhaai toh us ne bhi dikhaai, wapis kar de paisay, tu afford kar sakti hai, us ke kya haalat hain, us ka humein kya pata

Bela nodded and went after him.

B: excuse me, thehriye

Ranav turned.

B: even I am impressed by your kindness, but you are right, main of course repairing ke paise afford kar sakti hoon, toh is ki zaroorat nahi, ye aap ki mehnat ki kamaai hai, isay aap rakhiye

Ranav smiled.

R: thanks for understanding, but... Ek cheez jo main de doon na, wapis nahi leta, rakh lijiye, kya farak parta hai? Main bhi afford kar sakta hoon

B: paisay haatho'n ka mell nahi hota, usay yoon he nahi uraana chahiye. I was being rude m sorry, rakh lijiye na, jo cheez meri nahi woh main nahi leti, please le lijiye na

R: ab itne pyaar se bolay gaye shabdo'n ko main kaise taal sakta hoon? (he took the money, she looked down) aur haan, ainda dekh kar chalaun ga, aap bhi khayaal rakhna

He sat in the car and drove off. Prarthana shook Bela who was lost.

Pr: kya soch rahi hai? (Bela shook her head) Achha chal chalein

They sat in the car and drove off.

B: ajeeb nahi tha yaar woh aadmi? (Prarthana looked at her) pehle paise diye, phir itne aaram se le bhi liye... Not that I wanted that money, but still, woh mujhe bohat strange laga

Pr: kya hai ke is dunia mein bas sirf insaan he nahi basa kartay, example tere saath baithi hai, (Bela glanced at her) is dunia mein bohat si makhlook rehti hain, insaan, janwar, pishaach, vampires, rakshas aur... Bhoot

Bela stopped the car with a jerk and looked at her as she had startled.

B: bhoot? Really? Kya ho gaya hai tujhe? (Prarthna laughed) sab hotay hain I agree, khush?

She drove off.

************************************

At night, Param drove Piya to Dr Abhay's clinic and as the car braked, they heard a hissing sound.

Piya: kya tha ye Param?

Param: oh don't worry, wheel mein se awaz aati rehti hai

Piya: oh

Param: chalein?

She nodded and they got out of the car. Param gazed at the basket in the trunk.

He thought : sorry Piya, nahi bata sakta tha ke main ek ichhadaari nevla hoon aur ye awaz wheel ki nahi, in basket mein rakhay gaye saanpo'n ki hain jo ke meri khauraak hai

They walked inside and sat in the waiting room. After sometime, it was their turn. As promised, Param accompanied her inside. After the greetings took place, they sat to have a talk.

Ab: (looking at Piya) aap ka naam?

Piya: Piyali Dobriyal

Ab: family?

Piya: none, ye (pointing at Param) mera dost hai, Param

Ab: so... What's the matter?

Piya looked at Param who blinked her eyes in assurance.

Param: I will say, usay yahan force kar ke main he laaya hoon, she wanted my help so... (Abhay nodded) kuchh saal pehle, Piya ka ek dost hua karta tha, Armaan, jisay woh phir pyaar karne lagi thi, aur un dono'n ki shahdi bhi ho gayi thi. Phir...

Piya: (cuts him) aagay ka main batati hoon Param, thanks for your help

Param nodded and walked outside. Abhay looked at Piya questioningly.

Piya: phir us ne propose kiya ek din khud, shahdi ki, aur ek raat guzaar kar woh bhaag gaya. Us ne humari intimate photos viral kar di. Woh mujh se mila tha us ke baad. Us ne kaha tha ke tum jaisi anaath aur gareeb khud ki aukaat bhool jaati hain ameero'n se dosti kar ke, wohi aukaat tumhe yaad dilai main ne

Piya teared up and buried her face in her palms crying for sometime as he looked on and forwarded a glass of water. She sobbed and looked up and took the water gulping it down.

Piya: m sorry

Ab: no problem. Us ke baad kabhi mili us se?

Piya: no, lekin logo'n ne taanay de de kar maar daala. Galti meri he hai, koi guide karne wala tha nahi kabhi, jab kisi ke sarr maa baap ka saaya nahi rehta, us par dunia zaalim ho jaati hai, woh zamanay gaye jab log anaatho'n par taras khaaya kartay thay... Anyways, usi waqt se main depression mein hoon, main treatment se darrti hoon, its growing day by day. I tried several times to kill myself, maut aa kar bhi nahi aati. (she said showing her wrists which had several scars) kaise theek ho sakta hai sab? I have no hope.

Ab: look Piya, ye mera pehla case nahi hai, aur aisa nahi hai ke kuchh nahi ho sakta, I can help, isliye toh tum yahan aai ho, police ke paas nahi gayi?

Piya : kis munh se jaati? Sab mujhe blame kartay

Ab: evidence hai koi in sab baato'n ka?

Piya: yahi toh problem hai ke I have no evidence

Ab: koi nahi, ho sakta hai tum us ki akeli victim na ho, aur bhi log ho saktay hain. Anyways, tumhe antidepressants ki zaroorat hai, aur neend ka kya haal hai?

Piya: neend aati hai, but full of nightmares, wohi sab yaadein, logo'n ki baatein, taanay, not a peaceful sleep

Ab: then you need even sleeping pills, aaj se 3 weeks ka course karo, phir us ke baad medicines khatam honay par aana, hmm

She nodded with a little smile as he gave her the prescription and left. Param and Piya exited the clinic and sat in the car.

Param: kaisa raha sab?

Piya: I feel better, doctor achha hai

Param: (teasingly) interest develop ho raha hai? Haan?

Piya: (while chuckling) nahi nahi, kya tum bhi

Param: (smiled at her) lets go

He drove off and dropped her home, she entered inside and lied on the bed after having medicines and slept.

************************************

Param was driving home when he accidentally hit a woman who fell down injured. He got shocked and got out of the car and sat down to check her but she was dead. He called the police and then waited for them to arrive, people had gathered by now. She was Naina's mother. Police arrived and questioned Param and then people about her.

Param: main toh seedhe se gaari chala raha tha, andhera bohat tha dhyaan nahi gaya, un ko takkad lagi aur... (he looked down) in ki maut ho gayi

Person 1: sir, ye jungle ke andar ek chhota sa ghar hai udhar rehti hai, aksar laal chaand ki raat ko woh gali ke kuttay utha le jaati thi, isliye log isay kuttay wali aunty kaha kartay thay

"Aur kuchh jaantay ho?"

Person 2: in ke ghar ke paas kabhi koi nahi jaata, sab in se darrtay hain

"Kahan hai ghar in ka? Jungle ke kis taraf?"

The people told the location, they went there along with Param. They went inside the house and heard the sounds of chains. They followed the sound and then came to the room where Naina was tied.

Policeman: ye kya? Ye zanjeero'n mein jakri hui larki kaun hai? Jao ghar ki talaashi lo, aur bohat kuchh mil sakta hai

Rest of the team went meanwhile Naina was released. A police officer came back.

P.O: ye dekhiye, lagta hai woh aurat is ki maa thi

Policeman: phir aisay zanjeer mein kiun baandh rakha tha isay?

P.O: ye toh ye larki he bata sakti hai

Policeman: (to Naina) kya naam hai tumhara?

N: Naina

She stammered. They showed him the photograph of her mother.

N: maa

Policeman: ye maa thi tumhari?

N: thi? Hai, maa kahan? Kahan?

The team looked at each other, Naina was unknown to the outside world or the word death.

Policeman: I am sorry, woh mar gayi

Naina looked on confused.

Param: sir (policeman looked at him) mujhe lagta hai na isay bahar ki dunia ki khabar hai aur na kisi aur cheez ki

The policeman nodded.

Policeman: tumhari maa ko dekhne hospital jaana ho ga, chalo gi?

N: hospital? Woh kya hota hai?

Policeman: jahan beemar log rehte hain

N: maa beemar hain?

They felt sorry for her. Policewoman held her shoulders and took her out, the others followed and all of them sat in the police jeep, even Param was in. The jeep drove off and Naina looked at everything strangely as she was seeing everything for the first time. The jeep halted at the hospital. They got down and the policewoman took her in meanwhile the rest of them followed to the morgue room. Naina's mother's body was shown to her. She stood still.

N: maa so rahi hain? (everyone looked at her feeling extremely sorry) maa? Maa!

She said shaking her but moved back seeing her extremely cold and still. She was taken out of there.

Policewoman: maa ke ilawa aur koi hai tumhara?

Naina shook her head.

P.o: I think isay NGO mein admit karna chahiye, yahi theek rahay ga

They talked in different NGOs but Naina was too scared of people over there and refused to stay anywhere clinging to the policewoman.

Policewoman: ab kya karein? Isay toh kaheen chhorna theek nahi lagta? Ye har jagah darr rahi hai

Param: for the time being, if you don't mind, isay apni friend ke ghar rehne de sakta hoon. I ensure her safety.

They nodded, Param called Piya who came and upon many requests, she agreed for only one day, but then he would be the one to keep her, he agreed.

************************************

Prarthana was going back to her house after a walk and the red moon light fell on her, she quickly took her dupatta and covered herself and ran to her house and locked the door.

Pr: thank God main time pe ghar pohanch gayi, warna mera asli roop bahar aa jata

On the other side, a man was going to sit in his car when the red moonlight fell on him and he began to feel headache, breathing problem and skin allergy. Suddenly he transformed into a naag. He saw a kid about to get hit by a car. He stood up, ran towards him with windspeed and saved the kid. He transformed into human and then fainted.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro