Chapter 6

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Param was still with Abhay and Piya.

Ab~kya socha? Kaise Naina se peechha chhurana hai?

P~I don't know, pata nahi kiun mujhe ab ek ajeeb si feeling aa rahi hai Naina ko le kar. Jaise... jaise maine ye sab kar ke bohat bari galti ki, mujhe aisa nahi karna chahiye tha. I know wo aisi harkatein kar rahi thi lekin.. Lekin us ka background... us ki khud ki maa ne usay sari zindagi zanjeero'n mein kaid rakha, toh aisi maa ki maut se fark kisay paray ga bhala?

Piya~ye tum kya keh rahay ho? Maa toh maa hoti hai nq

P~aur wo pehli maa ho gi jis ne aise kiya ho ga

His phone rang, he picked it.

"Hallo, wo larki meri kaid se chhoot gayi hai, aur ab wo tumhare he pas aa rahi hai, dekho satark rehna, wo kya hai wo tum dekh chukay ho, lekin wo kis maksad se tumhare pas aa rahi hai, ye nahi pata."

Call disconnected.

P~Naina kaid se aazad ho gayi, wo yaheen aa rahi hai

Lights went off before they could react. Param heard someone lighting a matchstick and his eyes went on the lit candle, it was Naina who had lit it.

N~you can hide, but you can't run, my dear love Param

He flinched seeing her as she approached him and stopped.

N~kya laga tha? Ke bhaag kar yahan aa jao gay? Mujh se bach jao gay? Nahi hoon main insaan. Lekin meri maa ek insaan thi. Koi apni marzi se aisa paida nahi hota, koi aise jeena nahi chahta Param, zindagi udaas thi, kuchh nahi tha zindagi mein, koi nahi tha bas ek maa thi. Aur phir tum meri zindagi mein aye, mujhe laga main tumhe apna dost maan sakti hoon...

P~dost? Agar sirf dost maan'na tha, toh kiun ek raat guzari mere saath?

N~maine bas wo 3 shabd kahay, shurwaat tum se hui thi Param, tum se hui thi. Main maanti hoon, maine apni sachaai chhupai tum se, ke... ke main ek ifreet hoon

P~mujhe nahi pata tha toh kya hua? Tumhe toh pata tha na Naina? Agar maine jaan bhooj kar ye sab kiya hai na toh tum ne bhi jaan bhooj kar kiya hai, tum ne mujh par jaan bhooj kar jaan leva hamla bhi kiya hai, tum ne sab jaan kar he kiya hai Naina

N~haan! Kiya hai! Lekin ab jo jaan kar kiya hai, us ka parinaam sun lo, (she began to near him, he got scared as she sat near him, Abhay and Piya looked on as she held his hand softly and placed it on her tummy while he looked on clueless) tumhe mehsoos hua? (she smiled at him) Tum samjhay? Mere garbh mein bacha hai Param, humara bacha, (they all were shocked, then she got angry) aur agar is mor par mera haath chhora na Param, toh mujh se bura koi nahi ho ga, koi nahi

He startled as she hugged him.

Later at night, Param was sitting by Naina's side gazing at her as she slept, her words echoed in his ears. Abhay and Piya watched them from outside the room and walked off from there. The duo went to the rooftop and sat beside each other surrounded by the twinkling stars. The moonlight bathed them in gentle glow.

Ab~I think... Param ko Naina se peechha chhurana he nahi hai, us ke dil mein us ke liye kuchh feelings hain

Piya~kaisi feelings?

Ab~humdardi hai usay. Dekha nahi kaise dekh raha tha usay? Wo laakh Naina se nafrat kar le lekin apne bachay se nafrat nahi kar paaye ga

Piya~I don't think aisa kuchh bhi hai Abhay. Param ki family hai, wo yahan parhta bhi hai, job bhi karta hai, I don't think ke Naina pregnant ho gi, I don't think ke agar Naina pregnant ho gi bhi toh Param us bachay ko accept karay ga, kiun ke wo us ifreet ka bacha hai, kisi mamooli insaan ka nahi, Param khud bhi toh normal insaan nahi hai na? Aur chalo agar wo us bachay ko accept kar bhi le, toh apni family ko kaise bataye ga ke wo bacha us ka hai, aur ye ke Naina ek ifreet hai? Sab bohat complicated hai.

Ab~I think, Naina ko he nahi bachna chahiye, jab Naina he nahi rahay gi, toh wo bacha bhi nahi rahay ga, aur Param ki problems bhi...

Piya~we can't decide for him. Hum bas usay advise de saktay hain, wo bacha us ka hai, us ki marzi ke wo usay accept karay ya na karay

Abhay nodded.

Ab~you know mujhe is insaani dunia mein aane ke baad kisi insaan se dosti ki umeed nahi thi, kisi ko khone ka darr nahi tha, koi khwab nahi thay. Lekin jab se tum aai, toh ek khubsurat ahsaas hai jo dosti aur pyaar dono ka hai, (she looked at him), tumhe khone ka darr bhi hai, aur kuchh khwab bhi, yahi ke hum dono humesha aise he saath rahein bhalay he chahay dost ki tarah rahein

She smiled.

Piya~mujhe bhi na is insaani dunia se koi umeed hai he nahi, haan bas ek Param mera dost hai, nevla dost, (they chuckled) tum mere vampire dost, toh koi bhi is dunia koi nahi tum dono mein se. Maine humesha se chaha ke jo ye andhere ke ghannay baadal mujh par chha gaye hain wo hatt jaein, lekin aaj wohi andhera mujhe sukoon deta hai. Mujhe bhi tumhe khone ka darr hai Abhay, zindagi jaise ek incomplete jigsaw puzzle jaisi thi, jis mein bohat kuchh missing tha, lekin ab lagta hai wo missing piece mujhe mil gaya ho jaise, aur dil karta hai us ek tukde ko baaki sab tukdo'n ke sab se beech mein jod doon kuchh is tarah ke wo juda he na ho paaye. Meri in aankho'n ne toh sapne dekhna he chhor diye thay jaise, sapno'n se ek ajeeb si anban thi, jo ab sulajh gayi hai, ab sab theek hai, and I hope sab aisa he rahay.

They shared a hug.

Bela and Ranav roamed in the night together. Their hands brushed against each other's hands which gave goosebumps to both of them.

R~aise goosebumps rakshaso'n ko rarely aate hain, I am the lucky one, (she simply smiled) waise ab tumhe mere saath darr toh nahi lagta?

B~darr? Kaisa darr? Ke main thar thar kaanpun? Ya toot kar bikhar jaun?

She giggled.

R~dono

B~nahi lagta, tum darne wali cheez nahi ho

R~yeah, right. Waise jaanti ho kya? Rakshaso'n ko pyaar bhi rarely he hota hai, us hisaab se bhi main lucky he hoon

B~lekin kya hai na Ranav, ke pyaar karna kuchh nahi hota. Haan agar koi aap se pyaar karay, toh wo zaroor kuchh hota hai, aur agar aap kisi ko pyaar karo aur wo bhi aap se palat kar pyaar karay na, toh wo sab kuchh hota hai

He nodded.

R~toh kya mera pyaar tumhare liye kuchh hai?

B~haan hai toh sahi, tumhe chance bhi toh diya hai na maine

R~haan, wo toh hai.

B~mujhe kabhi nahi pata tha, ke tum rakshas, ek myth hote huay bhi sach hotay ho. Mujhe toh ye bhi nahi pata tha ke koi rakshas mujh se pyaar karay ga aur main usay chance doon gi. Aur ye sab jaan'ne ke bawajood maine tumhe hug kiya, that's shocking for me too.

R~Shocking toh mere liye bhi hai. Koi nahi jaanta ke kis kadam par kya ho jaaye, mujhe pyaar hua, ye bhi toh suddenly hua. Par mujhe bohat achha laga ke tum ne mujhe hug kiya, koi aur hota toh mujhe kabhi hug na karta. Humein pyaar feel he nahi karaya jaata toh pyaar kaise ho ga batao? (she looked at him as his words struck her) humari dunia mein koi nahi jaanta ke pyaar kis chidiya ka naam hai seriously. Hum immortal zaroor hotay hain, lekin phir hum tab marr bhi jaatay hain jab bekaboo ho jaatay hain. Hum he khud ko khud maut de saktay hain. Maine humesha us andheri dunia mein reh kar ek akelapan mehsoos kiya hai, kuchh missing sa lagta tha, jo shayad ab missing nahi hai

She kept on looking at him and stopped, he too stopped, they both had an emotional eye lock. They took steps towards each other while still gazing into each other's eyes. She rested her hand on his chest and slowly her arm lingered around his neck, she placed her head on his shoulder engulfing him in a hug. He hugged her back.


Hulchul kaheen dhadkan nahi

Ye hai galat ya sahi

Saansein meri bas mein nahi

Bas ho raha hoon

Bekaboo... bekaboo

Karti hai mujhe tu aise kiun

Bekaboo... karti hai mujhe tu aise kiun

B~hum insaano'n mein na Ranav, hum jis se bhi pyaar karein, usay khone ka darr humein jeene nahi deta, ek insecurity si dil mein hoti hai ke pata nahi kab wo chhor jaaye ga. Har doosra insaan vishwas ghaat nikalta hai, trust ke kaabil toh bohat kam hote hain.

R~lekin agar tum is rakshas par bharosa karo gi na, toh ye rakshas kabhi vishwas ghaat nahi karay ga, kabhi chhor kar nahi jaaye ga, pyaar bhi toot kar karay ga, khud bhalay he andhere se taaluk rakhay, kabhi tumhe andhero'n ki taraf nahi dhakele ga

B~jaanti hoon, trust bhi toh karti hoon na, jabhi hug kiya hua hai, warna kaatne ka darr hota toh kiun hug karti? Aur zaroori nahi ke andhera humesha daraye aur roshni sukoon de, agar roshni bhi hadh se ziada ho toh aankhein mich jaati hain, aur phir andhera he un aankho'n ko sukoon deta hai. Aur agar andhera darata hai na, toh us andhere mein ek roshni ki kiran kaafi hoti hai bas sirf. Lekin pata nahi kiun aaj ye ghanera andhera mujhe sukoon de raha hai, aaj is andhere se pyaar sa ho raha hai, dil kar raha hai kabhi suraj na ugay, kabhi is raat ki subah na ho.

They remained in the hug both feeling peace.

 Raghuveer sat near a lake under the glow of a full moon. He hummed to himself. Even though it was near midnight, he felt that place to be extremely peaceful.

R~Tere sang pyaar mein nahi todna.

 Ho tere sang pyaar mein nahi todna.

 Chaahe tere pichhe jag pade chhodna

Ho tere sang pyaar mein nahi todna

OhTere sang pyaar mein nahi todna

 Chaahe tere pichhe Jag pade chhodna

Ho tere sang pyaar mein nahi todna

Prarthana passed by the same lake and got mesmerized hearing him sing and followed the voice. Even she began to sing. Their harmonious serenade filled the night.

Pr~ye raat apna bhi ho ga milan

Pyaar ki hum likhein gay kahani

Bas yahi soch ke dil dhadakne laga

Ho gi madhosh dono jawani

Dono jawani

Tere pyaar ke rang mein ang rang rangna

Ho tere sang pyaar mein nahi todna

Ho tere sang pyaar mein nahi todna

Chahe tere pichhe jag pade chhodna

Tere sang pyaar mein nahi todna

 

Raghuveer and Prarthana came face to face and both smiled seeing a connection between them.

Pr~humare beech ye naag naagin walay connection ke ilawa bhi shayad aur kuchh hai Raghuveer

R~hai na, yahi ke hum dono ek doosre ki awaz se attract hote hain, ek doosre ko respond karte hain, is se bara aur kya connection ho sakta hai

Pr~wo toh main bhi nahi samajh pa rahi, lekin agar kismat humein baar baar paas laati hai, toh kismat connection ho ga

R~awaz connection bhi

Pr~aaj tum yahan akele baith kar gaana ga rahay thay, lekin phir main aai aur maine bhi gaaya tumhare saath, toh bohat achha feel hua

R~achha toh mujhe bhi lag raha hai Prarthana, ye raat ek khubsurat ahsaas dila rahi hai, hawao'n ka rukh kuchh aur he keh raha hai

Pr~kisi taraf ishara kar raha hai, hawaein bekaboo ho rahi hain

R~hawao'n mein ek alag khushbu hai

Pr~ye toh baarish ki khushbu lag rahi hai

R~haan

Suddenly it began raining and they both got drenched. They enjoyed in the rain.

Maang meri shabnam

Ne moti bhare

Aur najaaro ne

Mehandi lagaayi

Maang meri shabnam

Ne moti bhare

Aur najaaro ne

Mehandi lagaayi

Naache bin hi payaliya

Chhanakane lagi

Bin hawa ke hi

Chunari lehraayi

Chunari lehraayi

Aaj dil se hain

Dil aa jodana

Tere sang pyaar

Mai nahi todana

Ho tere sang pyaar

Mai nahi todana

 

 

Aankh banke tujhe

Dekhati hi rahu

Pyaar ki aaisi tasvir ban ja

Aankh banke tujhe

Dekhati hi rahu

Pyaar ki aaisi tasvir ban ja

Teri baaho ki

Chaanv se lipati rahu

Meri saanso ki

Takdir ban ja

Takdir ban ja

Tere saath vada

Kiya nahi todana

Ho tere sang pyaar

Mai nahi todana

Ho tere sang pyaar

Mai nahi todana.

 

 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro