Dosti

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Is faani duniya ne dhoke ke alaawa kuch nahi sikhaayi,
Par phir bhi Dil ne ek hi raah dikhaayi.

Jise dekh zindagi saare Gam bhulati hai,
Wohi hame sabse khushnaseeb hone ka ehsaas dilaati hai.

'Dosti' Jo kehne ko to bas ek rishta hai,
Par iske alaawa sab kuch ek sauda sasta hai.

Jahaan me Maine jab apne aap ko akela paaya,
Dost hi wo insaan tha jisne mujhe hasna sikhaaya.

Kitni dafa zindagi ki manzil andhero se ghiri thi,
Par dost ke saath wohi zindagi ki raahe phulo see bichi thi.

'Dosti' jisne mujhe jeena sikhaaya,
'Dosti' jisne zindagi me aage badhna sikhaaya.

Khubsoorat Safar ban gaya har din us dost ke saath rehkar,
'Na rahega tu udaas mere hota' usne har kadam par saath Diya yehi kehkar.

Kiska shukriya karu, us khuda ka Jo dost ke Roop ma aaya,
Ya phir us dost ka jisne khud ke Roop me mujhe khuda dikhaaya.

Meri har musibato ko apne naam karwaata hai,
Wo dost kehlaata hai.

Haar kar bhi wo Meri dosti jeet jaata hai,
Wo dost kehlaata hai.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro