Jaane de mujhe

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng


Wo chaand sa lamha tha,
tanha aur apna tha.
Us jaisi hi khubsoorat adaayein thi,
usme yaadein aur judaai thi.
Ek or tujh se milne ki khwaaish,
Dusri aur Tera ab mere na rehne ki gunjaaish.
Ek pal mujhe tere dhokebaaz hone ka ehsaas dilata,
To dusri ghadi teri masoomiyat ki yaad karata.
Us wakt ye pata chalna ki tu kisi aur ki hone hai jaa rahi,
Tab Meri tere liye saari khwaaishein yaad aa rahi.
Tere liye Mera pagal sa hone,
Par wo sab fir yaad kar ke rone.
Kyu dimag keh raha hai aankhon dekha maan loon,
Par Dil sunaata hai ab bhi teri har baatein jaan loon.
Wo hamare sunehre pal mujhe aaye yaad,
Jiske baad jaise sab ho gaya barbad.
Tera wo mujhse ek satrangi tareeke se milna,
Jiske baad tujhe dekhkar jaise mera chehra khilna.
Pata hi nahi Chala kab wo ladai dosti me badal gai,
Do dushmano si rooh ek dusre ki jaan ban gai.
Tera har roz mere ghar me aana,
Aur mera tere liye intezaar khatam kar jaana.
Fir tera un sab ke liye chahita banna,
Aur mera tujh se jaan pujhkar chidhna.
Tu har samay Meri baaho me gir aati,
Mujhe kuch ajnabi se ehsaas dilaati.
Fir meri zindagi ki sabse badi musibat aayi,
Usne hame har tareeke se alag karna chaahi.
Par wo ho gai nakaam,
Aur Tere mere rishte ko Mila ek Naya naam.
Par musibato ka silsila na hua khatam,
Zindagi ne laakar saamne khada kar Diya ek aur gam.
Hamari sacchi dosti par lagne lage ilzaam,
Par wo bhi galat sabit kar hamne le liya waapis wo naam.
Wo wo samay tha jab tera kisi aur se judne ka faisla liya Gaya,
Par mujhse wo hargiz bhi nahi dekha gaya,
Isliye maine than liya tha ki wo anhoni nahi hone dunga,
Tu jaise sirf meri hi amaanat hai jise mai waapas le lunga.
Maine tujhe khub samjhana chaha,
Par tune Meri ek na maana.
Tu kehti rahi tujhe mujh par vishwaas nahi hai,
Mai Jo keh raha hu aisi koi baat nahi hai.
Kahin na kahin tu bhi karti thi mujh par yakeen,
Par dusro ki Khushi ke liye tune Sach jaana hi nahi.
Meri zindagi tujhse judne lagi,
Meri har musibate tujhe apni lagne lagi.
Tune har mod par Mera saath nibhaaya,
Saari pareshaniyo ko daawat dekar bulaaya.
In Sab ke bich bhi hamne kabhi haar nahi maani,
Ek sacchi dosti Kya hoti hai, yeh hamaari rooh ne jaani.
Na jaane kyu ye khuda ka yeh niyaam bhi hai,
Jo milte hai wo bichadte bhi hai.
Kismat ne hame har mod par azmaaya,
Hamne bhi us wakt ek dusre ko saath paaya.
Kaun jaanta tha wo toofan aayega,
Jisme jaise sab bikhar jaayega.
Mai jaise bilkul bhi bachta nahi,
Par tu bhi thi haar maanti nahi.
Sab ke khilaaf jaakar bhi tune mujhe hi bachaaya,
Sab waapas fir simat aaya.
Usi tarah zindagi badi hi khubsoorati se jaa rahi thi,
Par kise pata that bohot badi anhoni aa rahi thi.
Maine jo dekha usi ko Sach maana,
Jaise Tere har asli rang mere saamne aana.
Us wakt mujhe tujhse nafrat hui,
Phir bhi tu mere saath hi rahi.
Maine ek aisa kadam uthaaya,
Tune khud ko mujh se juda paaya.
Tu bhi taaro ko dekhkar khub royi,
Uske baad Teri aankhe hamesha nam hi rahi.
Maine kuch aisa apne aap ko samjhaaya,
Khud hi khud ko tujhe bhulaane
Ke liye uksaaya.
Aakhir wo din aa hi Gaya, jisme main kaamyaab hua,
Par Jo socha bhi na tha wo hua.
Mujhe Teri begunaahi ka har ek saboot Mila,
Maine kosa khud ko ki Teri sacchai ka maine Diya tujhe ye sila.
Kitna galat tha main, yeh pata Chala mujhe sacchai jaankar,
Par tu ruthi hi hogi, isliye liya peeche kadam ye maankar.
Nahi hu kaabil Tere ye ehsaas hua mujhe,
Khuda se yehi dua hai saare jahaan ki khushiyaan mile tujhe,
Jaane de mujhe.
Mujh par koi nahi hai hak tujhe,
Ab jaane de mujhe.
Aaj dekh raha hu aakhri baar tujhe,
Jaane de mujhe.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro