MEERAB KA TALENT ❣️

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Chapter -13

🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃

yeh lamhe, yeh pal ham barso yad karenge
yeh mausam chale gaye toh ham fariyad karenge
yeh lamhe, yeh pal ham barso yad karenge
yeh mausam chale gaye toh ham fariyad karenge

inn sapno kee tasviro se, inn yado kee janjiro se
apane dil ko kaise ham ajad karenge
yeh mausam chale gaye toh ham fariyad karenge
yeh lamhe, yeh pal ham barso yad karenge

yeh lamhe toh hai bahot hasin
inn lamho par kuchh likha nahee
yeh aabad karenge, ya barbad karenge
yeh mausam chale gaye toh ham fariyad karenge
yeh lamhe, yeh pal ham barso yad karenge

yeh lamhe, yeh pal ham barso yad karenge
yeh mausam chale gaye toh ham fariyad karenge

__________________________________ Meerab hanfta hua boli , " good morning."

Oriyan apni smart watch dekh Kar bola , " young madam , aap pura aadha ghanta late hain isliya aap ground ke 10 round lagayengi."

Yeh sunkar shahmeer aur Meerab dono ke hosh udh gaye .

Shahmeer bola , " iska matlab mujha bhi lagana padenga , main bhi toh 20 minute late tha ."

Oriyan bola , " chalo.."

Phir kya dono kya karta , voh dono daudhne laga . Un dono ka mann oriyan ko Pakad Kar peetna ka kar Raha tha .

Shahmeer mann hi mann main bola , " bhai main apse baat nahi karunga , aap bhut bura ho . Esa kon karta hai ? 10 round , esi punishment kyun ? Bacha tum , tumhein toh main phursat main dekhunga ."

Meerab mann main boli , " aap bhut bura ho sir , yeh toh sarasar nainsafi hai ."

Meerab ander hi ander ro Rahi thi , 10 rounds lagata - lagata oriyan ke pass pahunchna tak dono uska pairon main gir pade , dono ki halat bhut kharab ho gai thi .

Shahmeer Oriyan ke pair Pakad Kar bola , " please agali baar esa mat karna , dusri saza de dena esa 10-20 round lagane ke liya mat bolna . Kya tumhein hum do phool jaisa bacchon per taras nahi aata ? Tum narak se aaye hua Rakshas ho ."

Dono ko oriyan khoon chusne vala rakshas lag Raha tha , dono aaj Oriyan se bhut naraz the aur ek dusre ko isharon- isharon main usse maza chakhane ki planning kar rahe the . Oriyan ne dono ko pani diya aur phir towel diya , dono ne badi mushkil se pani piya aur towel se paseena ponchne laga . Phir voh log baki ki exercise karna gym main chala gaye . Breakfast time se ek ghanta pehla Meerab aur Shahmeer ne plan bana liya tha .

Meerab darta hua boli , " voh hume koi punishment toh nahi denga na ?"

Toh shahmeer bola , " bhabhi relax , aap itna kyun dar rahi ho ? Uska upar thanda pani hi toh dalna hai , don't worry main hoon na , koi kuch nahi kahega . Agar pakda bhi jata hain toh bol dena galti se gir Gaya , tab tak main bhi acha se bahana dhund lunga , don't worry kuch nahi hoga ."

Meerab boli , " main unki nahi murtasim sir ki baat kar Rahi hoon , voh hum dono ko maar dalenga ."

Toh shahmeer apna sar khujlata hua bola , " Arey Haan , yeh toh maine socha hi nahi , per don't worry bhai Mujhse bhut pyar karta hain , voh Aisa kuch nahi karenga , main unko kai baar bewacoof bana chuka hoon . Don't worry aap palace ke first floor per bani balcony main barf wala pani leker ready rehna , main kisi bahana se uss silver baalon vala , khoon choosna vala rakshas ko bhar leker aunga . Phir aap mauka dekh Kar uska upar pani daal dena jab thanda - thanda pani dimag per padega na , tab usse samajh main aayega ki torture kya hota hai aur hume maza Ayega ."

Aur high - figh karna ke liya haath upar uthaya .

Meerab ne mann hi mann bola , " agar saza mili toh ?"

Aur haath upar kiya , toh shahmeer ne usse high - figh Diya aur bola , " mission silver colour baalon vala rakshas ko maza chakhana ka , chaliya ."

Phir dono Ander aa gaye , shahmeer ne ek bucket main pani dala aur usme bhut sara ice cubes dala aur Meerab ko bucket de diya , Meerab voh bucket lekar uper chali gai , voh balcony main khadi ho gai .

First floor Balcony Area



Shahmeer oriyan ko bahana bana kar bahar le aaya aur balcony ke neecha ruk kar bola , " main kya keh Raha tha ?"


(Imagine this is balcony ke neecha ka area )

Oriyan bola , " Tum kuch nahi keh rahe the . Pata nahi tum Mujhse kya chahta ho , Uff ab bolo bhi mujha Pakad Kar Raha kyun laaye ho ? Ab chup kyun ho bataoga bhi ki esi konsi baat hai jo tum secretly batana chahta ho , jiske liya tum mujha bahar lekar aaye ho , aur sirf mujha hi bata sakta ho , Baki sab kya tumhein kha jayenga ?"

Shahmeer bola , " tum esa kyun keh rahe ho ? Baki sab iss baat ke layak nahi hai isliya hi toh sirf tumko Laya hoon . Tum bhi na ek dum bhai jaisa ho , jaisa unhein humesha lagta hai ki main ull- julul si baatein karta rehta hoon , rehna do , ab nahi batana mujha ."  Aur Shahmeer ne muh phula liya .

Meerab ne neecha jhank kar dekha , uska mann bilkul nahi kar raha tha oriyan per pani Dalana ka , per usne phir bhi thanda pani ka bucket uthaya aur aankhein band Kar li aur boli , " ya allah ! Yeh gussa na ho jayein."  Aur phir bina neecha dekha pani daal Diya . Tabhi oriyan ka phone bajna laga aur voh phone receive karne ke liya dusri side chala Gaya , yeh sab itni Jaldi hua ko shahmeer ko usse rokna ka mauka hi nhi mika , aur correct time per ussi jagh murtasim bahar se jogging karta hua aaya aur khada ho Gaya .

Aur bola , " Subha - subha yaha per kya Kar rahe ho ?"

Yeh kaha hi tha ki uper se thanda barfila pani uska uper aaker gira , pani bhut hi zayada thanda tha , voh sunn reh Gaya . Oriyan ne Jaldi se mudh kar dekha .

Shahmeer ab dar gaya , voh mann hi mann bola , " ya Allah , yeh kya ho Gaya , gadbad ho gai , yeh toh mera rakshas bhai ke uper pani daal dıya . Ab kya hoga mera sath - hum dono ke sath yeh kya karenga ab ?"

Meerab ne bhi dekha , uska toh hosh hi udh gaye , voh apna pairon ke neecha se zameen khisakti hui mehsoos kar Rahi thi . Uska haath se balti chut gai aur seedha murtasim ke sar per jaa giri . Balti ne uska sar ko dhak diya . Murtasim ko bhut gussa aa raha tha , shahmeer ka heart fail hona vala tha , uska ander hi ander nervous breakdown ho Raha tha , voh khud ko yamdoot ke samne apni zindagi ki bheekh mangta hua imagine Kar raha tha .

Murtasim na Jaldi se apna sar per se balti hatai aur gussa main tamtamata hua balti ko zor se phenk kar bola , " yeh kis bewacoof ne yeh harkat ki hai , esi Bachkani harkat karne ki kya saza ho sakti hai , kya usse nahi pata ?"

Aur uper dekha , uski choti gilhari dar se kampta hua khadi thi , esa lag Raha tha ki voh dar ke maare mar hi jayegi . Murtasim usse apni jaanleva nazron se dekhna laga , Jissa Meerab buri tarah dar gai aur uske pair ladhkhadana laga . Agar balcony ke dek per railing nahi hoti toh voh pakka se itni uper se gir kar mar hi jati .

Kuch der baad , shahmeer aur Meerab sar jhuka kar khada the , Murtasim dono ke samne sofa per baitha tha unhein ghur raha tha . Sab log apni apni jagh per baithe hua the , aur Meerab aur Shahmeer ke liya unhein bura bhi lag Raha tha .





Murtasim bola , " toh tum do namune oriyan ke upar pani dalna chahta the ? Usne esa kya kiya tha jo Tum esa karna chahta the ?"

Dono ne kuch nahi kaha , kyuki unhein pata tha murtasim aaj unn dono ki jaan laker hi chodega.

Oriyan Himmat karta hua bola , " boss jaane dijiya, bas mazak hi toh kar rahe the , aur pani hi toh dalna chahta thr ."

Murtasim ne usse ghur kar dekha toh Oriyan chup ho Gaya aur usne apna sar jhuka liya .



Murtasim bola , " mujha iss baat se farak nahi padhta ko yeh mazak tha ya nahi . Punishment toh inhein milkar rahegi aur punishment yeh hai ki aaj yeh dono din bhar aur raat bhar bhukhe rahenga , inhein khana nahi milaga aur upar se garden ka sara kaam bhi karenga ."

Yeh sunkar dono ne sar utha kar Murtasim ko dekha jo unhein jaan se maar dene wala look de raha tha , esa kam hi hota tha ki Murtasim muskurata tha , uska muskurata hua face dekhna ke liya ghor Tapasya karni padhti thi .

Shahmeer bola , " garden ka kaam karna toh theek hai , lekin isse khana ka kya matlab ? Hum bina khana khaye piya kaisa kaam kar sakta hain , yeh toh galat baat hai ."

Murtasim bola , " toh Mr khan kisi ke uper pani dalna bhi galat baat hai , mujha kuch nhi pata , yeh tum dono ki punishment hai aur tum sab bhi dhayan se suno , agar kisi ne inki help karna ki Sochi toh unki toh khair nahi , aur tüm logon ki bhi khair nahi hogi , yeh dono koi bache nahi hain , samjha ."

Sabne Haan main sar hilaya aur dono ko dekhna laga . Shahmeer ne muh bana liya tha . Voh naraz ho Gaya tha . Wahin Meerab ka muh latak Gaya tha . Dono chup chap garden main chala gaye the .

Garden ka sara kaam unhein karna tha , bhut sara naye paudhe laye gaye the , unhein lagana tha , phir ghaas bhi katni thi aur paudhon ko pani bhi dena tha aur toh aur paudhon ki katai bhi karni thi . Dono ek dusre ko nirasha se dekhna laga .

Shahmeer guilty feel karta hua bola , " I am really sorry bhabhi , meri wajh se yeh sab ho Gaya . Mujha kaha pata tha ki mera rakshas bhai aa jayega , agar voh nahi aata toh hum Oriyan ko sorry bol kar mamla nipta deta , lekin yeh mera rakshas bhai tha jo kuch zayada hi smart hai ."

Aur ghaas main baith Gaya . Shahmeer ek zıddi bacche ki tarah lag Raha tha .

Meerab boli , " main toh bina khaye piya bhi kaam kar lungi , lekin aap bina khana khaye kaisa reh payenga ?."

Shahmeer bola , " ab kya Kar sakta hain ?"

Phir dono ne pehla paudhon ki katai karna laga , kharab paudhon ko nikala aur phir naye paudhe laga diya usme un dono ko almost pura din lag Gaya kyuki garden bhut hi bada tha . Aur ab dono bhut thak gaye the per phir bhi dono ne thaan liya tha ki voh ab apna kaam pura kar ker hi saans lenga . Shaam ho gai thi Suraj bhi dhalna laga tha , they saw a beautiful shades of sunset . Phir dono ne ghaas katna ka kaam shuru kiya , shahmeer aur Meerab dono ghaas katna laga , ghaas katna ki machine se . Meerab ne dekha nahi aur usne galti se machine ki speed zayada karna wala button daba diya tha aur usne machine ko pakda hi tha ki , machine tazi se chalna lagi aur uske saath - saath Meerab bhi , usse kuch samajh nahi aa Raha tha .

Voh darkar chillana lagi , "yeh kya ho raha hai , kya main Marna wali hoon ? Main itni Jaldi Marna nahi chahti , please nahi mujha bachao."

Meerab ki aawaz sunkar jab shahmeer ne voh nazara dekha toh uska hosh hi udh gaye .

Voh ghabrakar chillaya , " bhabhiiiiiii ..."

Aur apni machine band karka Meerab ke peecha bhaga . Uss bada se garden main taalaab bhi tha .

Garden of khan palace ..

Garden ka taalaab



Machine ko control karna Meerab ko nahi aata tha . Meerab shahmeer se bhut aage thi , shahmeer agar meerab ko batata bhi , toh bhi voh machine ki itni tez aawaz se usse sunn nahi paati . Per ek kaam ache se ho raha tha , ghaas ki katai . Bhut der baad , machine ground main ek bada se patthar se takrai aur Meerab jo bhut dubli patli thi , aur machine uske haath se chut gai , aur voh kuch meter dur udhta hua taalaab main jaa giri , " CHAPAAAAKKK.."

Shahmeer aankhein phade yeh sab dekh raha tha , voh kaafi thak chuka tha jab usne Meerab ko hawa main udhta hua kuch meter dur taalaab main girta hua dekha .

Ek pal ke liya toh usse esa laga jaisi ki voh kişi movie ka scene dekh Raha ho , phir usse yaad ki uski bhabhi pani main gir gai hai , Meerab ko tairna bilkul nahi aata tha aur usse pani se dar bhi lagta tha kyuki bachpan main jab voh ghumne gai thi tab haya ne usse taalaab main dhakka de diya tha , aur voh Marta - marta bachi thi .

Usse esi jagahon per pani se dar lagta tha , yaha tak ki swimming pool se bhi dar lagta tha , usse esa lagta tha jaisa voh mar hi jayegi . Meerab pani ke ander doob Rahi thi , shahmeer Jaldi se taalaab main kud pada aur ussa bhar nikala .

Meerab behosh ho gai thi . Shahmeer ne usko pait se pani nikalna ke liya peecha palta aur peeth per badaav dalna laga , kuch der main Meerab ke muh se pani bhar nikalna laga aur voh khansta hua hosh main aai .

Shahmeer ne usse seedha kiya aur curious hota hua bola , " bhabhi aap theek toh hona ?"

Toh Meerab ne Haan main sar hilaya , Meerab boli , " agar unko pata chala ki yaha yeh sab hua hai , toh voh phir se hume saza denga ."

Toh shahmeer bola , " don't worry bhabhi unhein pata nahi chalega , per aap theek toh hona ?"

Toh Meerab boli , " Haan.."

Toh shahmeer bola , " chaliya ander , let's get ourselves change or else we will catch cold .."

Toh Meerab ne nahi main sar aur boli , " nahi , sir aur punish karenga . Unhone warning bhi di thi , voh hume ulta latka denga , aur main ullu ki tarah ulta latakna nahi chahti ."

Toh shahmeer imagine karne laga , voh ulta latak raha tha , aur uski iss halat per sab hans rahe the .

Voh chilla Kar bola , " NAHIIIIII , mujha chamkadedh nahi banna , NO WAY !"

Murtasim apna Dadaji ke room main Gaya .

Voh bola , " Dadaji apna bulaya ?"

Toh Dadaji ne bola , " Asim , Haan aao maine bulaya ."

Tabhi Murtasim ne waha bhut sare lakdi ke dash boards dekha , voh safed parde se dhaka hua the .

Murtasim bola , " Dadaji yeh sab kya hai ?"

Toh Dadaji hansta hua bola , " Arey beta , issi kaam ke liya hi toh bulaya hai , tumhari biwi ne yeh paintings banai hai . Mujha toh Vishwas hi nhi hota voh itni talented artist hai , maine isliya bulaya hai taki tum yeh sari paintings apni pasand se frame kara lo , main yeh sab paintings ko apna room main lagwana chahta hoon ."

Murtasim bola , " per usne yeh kab banai ."

Toh Dadaji bola , " jab tum yahan nahi the toh usne yeh sab kiya , main esa hi painting kar raha tha . Mujha dekh Kar usne bhi apni iccha zahir ki , toh main hairan hi reh gaya ki voh paintings bilkul tumhari maa ki friend Ujjwal ki tarah banati hai ."

Toh Murtasim mann hi mann bola , " aakhir kar maa ka talent beti main bhi hai , chalo dekhta hain choti gilhari ne kya kya banaya hai ?"

Aur voh sare parde hata kar dekhna laga , usme sabki tasveerien thi . Meerab ne dadaji ki Tasveer banai thi . Tasveer ko dekhkar lagta tha , jaisa voh abhi jee uthenga , voh ek dum asli lag rahe the . Murtasim khud hairaan tha , ek - ek kar ker parde utha kar dekhna laga , usme uska saare friends, uska bhai , sabki paintings thi . Yaha tak ki usne ghar ke servents ki bhi paintings banai thi . Usne saari paintings dekh Dali . Usse apni ek bhi painting nahi mili . Voh ek baar phir se saari paintings dekhna laga .

Aur mann hi mann bola , " sabhi ki painting banai hai bas meri hi nahi banai , tumhein toh main baad Main dekh lunga choti gilhari ."

Dadaji bola , " Tum bhi hairaan ho gaye na ?"

Toh Murtasim ne Haan main apna sar hilaya .

Reference portraits

Think him as dadaji



Murtasim's friends pics

Aaron



Abhram


Salvan



Shahmeer 👇🏻


Ohas

Pratyush

Think him as oriyan 👇🏻

The servant's pic



Miraj




❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️❣️

Hey hope you all like this update...

Vese toh aaj update dena nahi wali thi but I somehow completed it even after I am not well 🤒 so ab mujha dher sara comments aur votes chahiya i want to see Kitna pasand aaya yeh update padh ker sabko ..

Acha yeh batao apko mera songs acha lagta hai do you feel relatability more with it ? If you want you all can give me your song choices too ..

Aur mujha batao ki shahmeer aur Meerab ki shararat kis kis ko pasand aai ?

And did you like the talent Meerab got from her mother ?

How will murtasim react when he will get to know about Meerab feel into the pond ?

Do tell me that what will happen with shahmeer and Meerab when Murtasim will come to know about pond thing ?

Vese toh votes aur comments bhut kam the pichla update main per us baar wala main mujha bhut sare chahiya tabhi next update milaga .

Aur oriyan ke baare main tum sab kya feel karta ho ? Are you liking the characters I have created so far ?

ishh__mee Suhana_suffer Pinkkitkatobsession1 Khola76 zeinakhan1012 Moonbean12

See you soon

Till then

Take care

Bubbye

Lots of love

Yours

Dear diary

Zoey

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro