MURTASIM AUR MEERAB KI SHADI ❤️

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Chapter - 4

❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️

Character aesthetics from khan family from both this and previous chapter .. read the characters and keep them in mind when reading the chapter ..

KHAN family members..

1. AFSAAN SHAHNAWAZ KHAN - grandfather of murtasim and shahmeer .

2. MURTASIM SHAHNAWAZ KHAN- 30 year old , elder grandson of the family

3. SHAHMEER SHAHNAWAZ KHAN - 25 year old , young grandson of the family

————————————————
Now let's introduce you to the people who works with murtasim and lives with him only in his palace most of the time.. don't get confused if you ever got ask me ..

1. ABHRAM PATHANIA - 28 year old , close family friend of both the boys you can say he is childhood friend of them .

2. OHAS - Murtasim's personal assistant

3. AARON - Murtasim's secretary

4. PRATYUSH - manager

5. ORIYAN - chief bodyguard

6. VICTOR FIROZ KHAN - Murtasim's private detective agent

————————————————-
Occasional appearance..

6. DOCTOR ANAYA - family doctor hai

7. ILYANA- house maid

________________________________
Important characters hai iss story ka kabhi kabhi aayega ..

8. CHAAYA BAIG - 28 year old , a girl who is very chipku and very clever and wants to marry murtasim for his name , money and fame , Baig family ki badi beti hai .

AAMIL HASHMI - age - 24 aap sab ne yeh naam first update main read kiya hoga Aamil , Hashmi family ka ekluta beta hai aur yeh humari Meerab ka ex boyfriend hai, I mean tha .. studies in same university of Meerab .

SAHANA ROY - age - 23 currently girlfriend of Aamil Hashmi and same like chaaya , cheap and a very clever person. Roy family ki ekluti bigdi aulaad . Studies in same university and a big time bully .

————————————————

Now guys Maine dono chapters ke saare characters likh Diya hai I hope you will be able to imagine the actors you like in them . I hope isse padhne ke baad you will not get any confusion Baki aage ke characters next update main mil jayenga ..

HAPPY READING FOLKS !!

🪼🪼🪼🪼🪼🪼🪼🪼🪼🪼🪼🪼🪼🪼🪼

Subah , 8 baje

khan palace ,

Dining hall main ,

Murtasim ne Meerab ko dekha , toh voh darkar chup ho gai aur sar neecha kar liya . Meerab ke ek dum se chup ho jaane per shahmeer bola , " Arey kya hua bhabhi , abhi toh hans Rahi thi . Achanak chup kaisa ho gai ? Kahin bhai ne isharon isharon main apko daant toh nahi Diya ?"

Meerab usse shocked hoker dekhna lagi aur hairan hoker uske muh se nikla, " bhabhi "

Toh sab usse kehna lage .

Dadaji bole , " beta tum mera pota ki girlfriend ho na ?" Yeh sunkar Meerab ke piron tala zameen khisak gai . Voh chaunk kar boli , " girlfriend? Per kiski ?"

Meerab ka sawaal sunkar ab dadaji murtasim ko ajeeb nazron se dekhna lage .

Situation ko haath se nikalta dekh usse handle karne ke liya apna bhai ke bhachav main hadbadate hua shahmeer bola , " arey meri pyari bhabhi , kya aap bhi , gussa chod do ? AAP isliya esa bol Rahi ho na , kyuki bhai ke sath apka jhagda ho Gaya hai ? Don't worry bhabhi , bhai aapse shadi Karna wala hai , isliya toh voh apko ghar laye hain , Arey bhabhi ... meri pyari bhabhi , chinta mat karo ., chahe kuch bhi ho jaye main humesha apki hi side Rahunga , hum dono mil kar bhai ki class lenga ."

Usne murtasim ko dekha aur apna Dadaji ki nazaron se bachata hua usse aankh maari . Meerab yeh dekh kar shocked reh gai . Murtasim ne Meerab ko ghur kar dekha aur aankhon hi aankhon main keh diya , "Shayad tum bhul rahi ho ki tumhare upar mera ek crore ka karz hai , jo tum chuka nahi sakti  toh isliya behtar yahi hoga ki main jaisa kahun tum vesa hi karo , Meri Haan main Haan milao . "

Meerab uska ishara samajh gai aur dheera se boli , "I am sorry ."

Murtasim ne apna Dadaji se pucha , "Dadaji aapko meri pasand se koi aitraz toh nahi hai na ?"

Dadaji murtasim ka sawaal sunkar hansne lage aur bola , " mujha aitraaz hoga ? Kya tumhe sach main lagta hai ? Mera pyara pota , agar aitraaz hota toh raat ko hi tumhein ghar main ghusne nahi deta . Mujha toh Khushi hai , ki tum khud mera liya pota bahu lekar aaye ho , ab bas Jaldi se shadi kar lo , pata nahi main aur kitna jiyunga bas mujha Jaldi se par dada bana do , mujha apna per pota , par poti ka chehra dekhna hai ."

Yeh sunkar shahmeer hanste hua bola , "Dadaji bachhe ko market main milna wala product thodi na hai , ki market gaye aur wahan se khareeda aur phir ghar le aaye . Bachhe hone main bhut time lagega aur aapko kişne kaha ki aap Marne wala hain , aap itni Jaldi nahi mar sakta , aapko ko toh mera bhi bachhe dekhna hain , infact hum sab ke bachhe dekhna hain ."

Shahmeer ki baat ko aage badhate hua Pratyush bola , " aur nahi toh kya , dadaji aap bhi na humesha senti ho jate ho , kam se kam aapko 200 saal aur jeena hai ."

Apna poton aur Baki sab ki baat sunkar dadaji ke chehra per muskurahat aa gai aur voh bola , " agar tum log chahta ho ki main 200 saal tak jeeyu aur toh mera pyara pota se bolo meri pota bahu se shadi kar le kal ki kal ."

Yeh sunkar sab , " hairan reh gaye , per murtasim shant tha jaisa usse pata ho ki esa hona wala hai .

Dadaji murtasim ko dekh kar bola , "Maine maulvi saab se baat ki hai , voh bata rahe the ki kal ka din bhut shubh hai ."

Yeh sari baatein sunkar Meerab hakkı - bakki reh gai , Meerab sochna lagi , " SHADI ? Voh bhi meri .. inke sath ? Pehle girlfriend aur ab biwi ? Aap kya chahta hi Allah ji .. meri shadi itni si Umar main ? "

Uska pura shareer upar se neecha tak Kampna laga , Murtasim ne uski haalat Bhamp li aur table ke neecha se uska thar thar kampta haath tightly Pakad liya , lekin isse phayeda kam nuksaan zayada hua , Murtasim ke usse chuta hi uske ander maano current daud Gaya , uski thartharahat bhadhti hi jaa Rahi thi .

Murtasim ne usse dheera se bola , "shant ho jao , itna kyun kamp Rahi ho ? Konsa main tumhari bali chadha raha hun ? Shadi hi toh ho Rahi hai , yaad Rakho I am your boss . I saved you from those bastards, understood ."

Yeh sunkar Meerab khud ko normal dikhana ki koshish karna lagi , usko adat thi apni sauteli maa Lyba aur bhen Haya ke zulm sehna ke baad voh apna papa ko kuch bhi nahi pata lagna deti thi , unhe toh yahi lagta tha ki voh bhut khush hai unke sath hakanki uska sab ulta tha , apna dard , Takleef, akekapan sab chupana main usne maharath hasıl kar li thi .

Murtasim acupressure points ko dabane laga , Murtasim ke chune se Meerab ghabra Rahi thi , uska dil main ek alag hi tufaan uth raha tha , per murtasim ka touch usse negative nahi positive vibes de raha tha .

Tabhi shahmeer Khushi se chilla pada aur bola , " kya kaha dadaji aapna ? Oh my god ! Mera bhai ki shadi ! Kal hi hogi ! Wowww, mera pyari bhai ki shadi hai kal !! Per Dadaji itna kam time main toh .."

Shahmeer ki baat ko dadaji beech main hi kat-te hua bola , " Tum sab ko toh pata hi hai , iss shadi ko hum secret hi rakhenga, meri pota bahu ko nuksaan pahunchane wala bhut hai aur main esa kuch nahi chahta .."

Yeh sunkar murtasim ne dadaji ko samjhane ki koshish ki , " mujha işse koi farak nahi padhta dadaji , hum kab tak işse chupakar rakhenga, ek na ek din toh sabko sach pata chal hi jayega aur phir sabko batana hi padega ki yeh meri biwi hai aur phir mera hota hua kon hamara aur meri biwi ka nuksaan kar sakta hai ?"

Shahmeer iss baat per chidhte hua bola , " kon kar sakta hai ka kya matalab hai apka bhai ? Hum sab jante hain ki esa kon kar sakta hai ? What I think is dadaji is right for now we should keep this marriage a secret."

Phir kuch ghanton baad palace ka garden ko bada sundar dhang se saja diya Gaya .. aaj uski haldi jo thi .. usse house maids ne mayun ki rasam ke liya princess ki tarah taiyar kar Diya .. wahin bhar garden main sab log aa gaye the , humara dulha yani murtasim bhi baitha tha apni dulhan ki raah taka ... usne Meerab ke liya ek pyari si white dress bhijwa di thi ..

Garden ko yellow theme se şajaya Gaya tha.. sabse zayada excited toh shahmeer tha pura group main after all uska bade bhai ki jo shadi thi ..

Looks of garden entrance ..




Kuch der baad Meerab house maids ke sath garden main pahunch gai .. everyone was mesmerised looking at her beautiful face.., she looking really looking very pretty in that look she had worn white garara suit with flower jewellery .. Murtasim was lost in her while shahmeer who was so excited went towards her and said , " bhabhi aap Kitna pyare lag rahe ho isme ek dum rajkumari .. ab chalo bhai apka kabse wait kar rahe hain .. " when Murtasim heard this he made a face while others chuckled at his act .

Soon Meerab was made to sit beside him .. she was still very much nervous and was shivering thinking about her own marriage.. she has no idea how to handle this situation she was just doing everything like a robot.

When she had looked at Murtasim she thought how handsome he is looking in this attire but due to nervousness she looked down again .. he had worn white kurta pajama with yellow shawl around his shoulders .. he was looking elegant and classy as always .

Meerasim's look




Sensing Meerab's nervousness he holds her hand and gently rubs his fingers against her soft palms in order to calm her down .. slowly he spoke , "shant ho jao , kuch nhi hoga sab apna hi hain , just smile okay .."

phir Meerab ne khud ko badi mushkil se shant kiya wahi murtasim still kept pressing his fingers on the acupressure points to make her calm completely.. the touch of his fingers on her palm was still making her go weak on her knees while her heart was thumping loudly against her chest.






Soon enough everyone one by one came and put haldi on their hands and faces .. the couple even gave few poses for the pictures to click as requested by his dear overexcited brother , then with lots of love, laughter and teasing the ceremony got over.. everyone had dinner after changing into something comfortable..

AGLI SUBAH ,

KHAN PALACE MAIN ,

Aaj Meerab ki mehndi thi .. Meerab ke breakfast karne ke baad usse bhut hi sundar green colour ki dress main taiyar kiya Gaya .. girls have already came for the mehndi ceremony.. few traditional ladies were there playing folk songs while other girls were dancing happily..

In the middle of the garden in a swing Meerab was sitting and mehndi artist girls were applying mehndi on her hands and feet ..

Even the decoration was also changed to mehndi theme ..


Murtasim's look




Murtasim ne bhi aaj green kurta pajama with matching jacket pehna tha .. voh bhut dashing lag raha tha voh sab dekh Raha tha aur usse Khushi thi ki Meerab khush hai , has Rahi hai sab ke sath .. he was talking to his friends about wedding and it's decoration..

Meerab's look



Meerab ki mehndi ..

Then she pose for the camera..



Then she danced with girls as they were requesting her a lot and Murtasim was all messed up with her beautiful smile and was feeling happy inside about her being his bride but he was good enough to not show any kind of emotions on his face ..

His friends too started teasing him as they have caught him looking or say adoring his little wife time to time .. while he stayed neutral as always expressionless 😑 even after listening to their endless teasings..

Shahmeer usse chidhate hua bola , "bhai bhabhi bhut pyari lag Rahi hai na ?"

As he was looking at her lost he replied, " Haan " .. then suddenly he realised what he said and said "shut up meer and do your work.." and left from there while his friends started laughing looking at his face ..

After sometime they started requesting Murtasim to put mehndi on his hand for shagun but he didn't agreed then only dadaji came and told him that a man to be married had to put mehndi for shagun so he had to agree his dadaji , so he just told the mehndi artist sitting there to write his bride's name on his hand .. after that he left to look after the arrangement of lunch as soon it was lunch time ..

Everyone were having lunch but our Meerab was sitting there like a statue as her mehndi was still wet and she doesn't know anyone here that much that she could request someone to make her eat .. when Murtasim saw this he went towards her and asked her why was she not eating lunch with everyone.

"actually sir voh ... " meerab hichkichate hua boli .

"Haan bolo .. " Murtasim urged her to speak further,

"meri mehndi geeli hai aur main kisi ko bol kar pareshan nhi karna chahti isliya nahi kaha .. it's okay sir you don't worry main kha lungi baad main .. " Meerab told him everything in low voice .

Listening her answer Murtasim didn't liked it so he himself went and made a plate for her and coming back towards her he made her eat with his own hands sitting beside her . After that he told her to have some rest as they are going to marry tonight .. she nodes and leaves towards her room ..


Shaam , 7 baje

Meerab ko phir se ek bhut hi shandaar , khubsurat lal joda main taiyar kiya gaya... voh uss joda main kisi Rani se kam nahi lag Rahi thi .. bahir garden main phir se arrangements change kar di gai thi ,. Waha ab ek stage tha uske beechon beech phulon ka parda kiya hua tha .. ek taraf murtasim aur uske dost the toh dusri taraf Meerab ke baithne ki jagh thi ...

Murtasim ne black sherwani pehni hui thi jisme voh kisi raja se kam nahi lag raha tha ..

Soon Meerab was bought by few maids and two beautiful girls ..

Meerasim's look



Then she was walked to the stage where everyone sitting waiting for her .. as she was near the stage Murtasim stood up and brought her up making her way to the sofa .. beside her he asked those two girls to sit ..




Soon maulvi saab read nikkahnama and then making them signed the papers claiming them to be husband and wife for next seven lives .

Kuch ghanton baad , khan palace main sab Khushi se pagalon ki tarah chilla rahe the , alag hi tarah ki dhun machi hui thi , lekin Meerab sadme main thi . Usse toh yakeen hi nahi ho raha tha ki ab uski shadi ho gai thi . Voh toh bas Murtasim khan naam ke iss khatarnak tufaan ki Disha main badhti chali gai .

Murtasim ne usse jaisa kaha voh vesa hi karti chali gai . Unki shadi bas kuch hi logon ki maujudgi main hi hui thi - ghar ke sadasya aur Murtasim aur shahmeer ke kuch close friends and their family members. Ghar ke sabhi bade toh shadi ke baad khana kha ker chale gaye the per , sab dost philhal peekar tunn pade the , jaisa Murtasim ki nahi balki unki shadi hui ho .

Meerab jab room main aai hairan khadi usne apna room ko dekha voh bhut hi khubsurat tareeka se saja hua tha .. voh iss room ke arrangement ko dekh ker dar gai thi , usse laga jaisa voh wahi behosh ho jayegi . Phir voh khud ko sambhalte hua uss room ke walk- in closet main gai .

Meerab hairan khadi khud ko uss bade se mirror main dekh Rahi thi , voh kisi Rani se kam nahi lag Rahi thi . Unse bhut hi khubsurat red colour ka designer bridal lehnga pehn rakha tha .




Red colour uska favourite colour tha . Usne apni shadi main esa hi toh kapda pehnna ka sapna dekha tha . Uski aankein khud ko dekh kar yakeen nahi kar paa Rahi thi . Khan palace ki caretaker ne usse bhut ache se taiyar kiya tha . Usne apna haath main lagi mehndi ko dekha , gala main phuloon ka haar dekha .. usse shadi ka wakt yaad aa gaya .. murtasim ka qabool hai kehna , dua karna , ussa pendent pehnana..

Phir usne apna hath main lagi mehndi ko nihara jisme uska devil husband ka naam ka initial likha hua tha MK , phir usne apna gala main pehna uss pendent ko dekha , voh bhut hi sundar chain thi , voh iss tarah se design ki hui thi ki kişi ko pata nahi chal sakta tha ki voh kisi ke naam ki chain hai . Voh ek designer patli chain thi jisme ruby heart pendent tha aur bhut hi baariki se dekha jaaye toh isme golden work se MK likha hua tha . Voh bhut khubsurt aur pyara tha as if it belongs to her only . Voh itna dhayan se uss pendent ko dekh rahi thi ki voh khud se boli , " isme MK likha hai .. ıska kya matlab hai ? Ufff .. coca tujha toh apna hubby ka bhi naam nahi pata ab kon batayega ki sir ka kya naam hai ? Kitna ajeeb lagenga agar main apna hi husband ka naam kisi se puchungi .. aur phir yaha toh sabko yahi lagta hai ki main sir ki girlfriend thi , yeh sicker phir se voh apna ho khayalon main kho gai .. "

Heart Pendent





Tabhi Murtasim bathroom se nahakar nikala, usne bathrobe pehna hua tha , usme se uski thodi si chest dikh rahi thi aur usje baalon se pani tapak Raha tha jisse voh apna towel se sukha Raha tha , aur phir voh bina koi expression ke bola , " KMK means KHAN MURTASIM KHAN .."




Meerab uski aawaz sunker dar gai aur hadbadakar apna lehnga main ulajhker wahin gir padi . Usne sar uthakar murtasim ko dekha jo apna baalon ko sukhate hua usse ajeeb Nazron se dekh raha tha .

Voh bola , " itna hairan hona ki Zarurat nahi hai , tumhare sath main koi Zor zabardasti nahi karne wala , bhar jo bhi arrangement hai usse main hatwa dunga . tumse shadi karne ka mera pass ek solid reason hai aur jiasa ki tum per mera ek crore ka karz hai , toh tum vahi karogi jo main kahunga , samjhi ya samjhau ? "

Meerab ne Jaldi se Haan main sar hilaya ..

Murtasim bola , " Tum kuch bolti kyun nahi ho ? Humesha esa gungi - behri ki tarah react karti ho ."

Meerab darta hua boli , " j. Ji .. ji main samajh gai apki baat ."

Toh Murtasim Kadak aawaz main bola , "chalo main tumhein kya kya karna voh samjha deta hun ."

Usne Meerab ki baazu pakdi aur usse khada kiya , Meerab toh dar ke maare buri tarah kamp Rahi thi . Wahin murtasim meerab ko apni walk-in closet room se bahr laker aaya aur usne usse apna sofa per bithaya aur phir khud bhi uske bagal main baith gaya .

" tumhein meri sari baatein maanni hongi aur Zahir si baat hai ki ab tumhari mera sath shadi ho gai hai , tum meri biwi ho toh tumhein pata toh hoga na wife kaam ?"

Meerab boli , " ji Haan ."

Aur apna usi Kadak aawaz main bola , " Maine tumhare university ke dean ko tumhari 3 hafta ki leave application de di hai aur ek baat ache se apna uss chota se dimag main , aur apna iss dil main utar lo ki tum sirf meri ho , agar tumne mujha dhokha dena ki koshish ki ya mujha chod kar jaane koshish ki ya socha bhi , toh main khud bhi nahi janta ki main tumhare sath kya karunga . And don't you worry about my family , meri family ki taraf se tumhein koi problem nahi hogi , tum sabke sath jaldi hi ghul mil jaogi as everyone are very friendly here tumne dekha hi hoga . Aur sabse badi baat ab Tum apni uss family ko bhul jao kyuki ab unki koi jagah nahi hai tumhari zindagi main vese bhi ab main hi tumhara sab kuch hun , tumhari uss Ghatiya family ki tarah tumhara sath koi misbehave nahi karega ."

Murtasim meerab ko aage kaisa jeena hai , uske saare rules and regulations batata Gaya aur meerab bas Haan - Haan bolti chali hai , uske alawa voh aur kar bhi kya sakti thi ?

NAYA DIN , NAYI SUBAH ,

SUBAH KE 8 BAJE ,

KHAN PALACE MAIN ,

Shadi ke baad uss din ki nayi Subah ka Suraj chad aaya tha per Meerab abhi bhi bade hi sukoon main pura bistar per aadha teedha hoker so Rahi thi . Murtasim sofa per baitha apna laptop per kaam kar raha tha , ek haath main coffee ka cup tha aur ek haath ki ungaliyaan laptop ke keyboard per chal Rahi thi , aur coffee table per kuch files bhi padhi hui thi . Tabhi meerab ne karwat badli aur room ke sannate ko cheerti hui ek aawaz aai , " DHADAAAAAMMMM .."
uske baad ek aur aawaz aai , iss baar aaawaz Meerab Ke dard main cheekhna ki thi , " AAAHHHHH..."

Uski cheekh sunkar sab log bhag kar aaye per door ke pass ruk gaye .

Abhram bola , " Arey yrr ab toh murtasim ki shadi ho gai hai esa hi muh uthaye ander nahi jaa sakta , esa jaana matlab unki privacy ko disturb karna hoga ."

Ohas bola , " I think yeh cheekh kisi aur hi mamle ki hai .."

Aaron hansta hua bola , " tumhein bada pata hai khud toh single pade ho ! Hum sab ko pata hai ki voh Kitna unromantic Aadmi hain , aaj se pehle kabhi unki life main koi ladki nahi rahi hai toh voh khak kuch karenga , unhein toh yeh bhi seekhna padega ."

Ohas bola , " oh hello , yeh mat bhulo ki tum bhi single ho Aaron ." Aur phir khud hi apni baat per hanse laga .






🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

Akhir kyu kari murtasim ne Meerab se shadi ? Kya yeh sirf Chaya se bachne ka ek tareeka tha ya phir sach main Murtasim meerab se love at first sight hone ke wajh se usse pasand karta hai ?

Kya meerab apna iss naye ghar main bhabhi , bahu , biwi ki bhumika nibha paayegi?

AAP sab bataiya comment karke ki aap sab ko kya lagta hsi kyu ki murtasim ne Meerab se shadi ? Will she be able to adjust herself in this New environment ?

Do tell me do you like this update or not .. rate it between 1-10 ..

Please do comment vote share your thoughts about the update with me ..

Pinkkitkatobsession1 Suhana_suffer Ismit04 Singh_Anushka

See you soon

Till then

Take care

Bubbye

Lots of love

Yours

Dear diary

Zoey

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro