MURTASIM KA MASTER PLAN

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Chapter - 3

🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬

Der raat ...

Khan palace main ...

Murtasim khidki ke pass khada bahar kala ghane aasmaan ko dekh raha tha aur soch raha tha , uske dimag main ek bhut hi khatarnak plan chal raha tha . Halanki iss plan ke chalte Meerab ko koi nuksaan nahi pahunchne wala tha , per uski zindagi ek hi jhatke main hamesha ke liya badalna wali thi .

Ek taraf toh meerab ke liya murtasim AFSAAN Shahnawaz khan ek masiha tha , jisne uski zindagi main aaker uski izzat un bura logon se bachai thi . Per dusri taraf murtasim kisi rakshas se kam nahi tha . Voh bhut hi khatarnak tha - uske dimag main kya chal raha tha , yeh toh sirf wahi janta tha .

AGLI SUBAH...

Jab Suraj ki kirnein pardon se chanti hui Meerab ke gora aur masoom chehra per padhne lagi toh uski aankein khule , usne Charon taraf apni aankhon ko ghuma ker dekha aur jaisa hi usse iss baat ka ehsaas hua ki voh ek Anjaan admi ke ghar aur uske room main hai , toh voh ghabra ker turrant uth gai . Usne dekha ki uske shareer per ek bhi kapda nahi tha , toh usne Jaldi se khud ko blanket se dhak liya .

Darasal uske ghavon per dawai lagane ke baad usse kapde nahi pehnaye gaye the . Tabhi Meerab ki nazarein murtasim per padi aur voh usse aankein phad kar dekhti reh gai . Usne zindagi main pehli baar itna handsome aur charming yet elegant admi nahi dekha tha . Uske chehre per ek alag hi noor tha . Meerab usse ek tak bas bina paklein jhapkaye dekha jaa Rahi thi .

Murtasim bedroom ke sofa per baitha apni godh main laptop per kaam kar raha tha . Phir ek dum se kal raat ki vardaat yaad aa gai aur usse apni halat ka ehsaas hua toh voh buri tarah ghabra gai aur phir ulta - pulta sochna lagi , " kya jisne meri jaan bachai thi , ussi ne mera phayeda bhi uthaya tha ? "

Murtasim ka dhayan apna laptop per se hata aur usne dekha ki Meerab jaag gai hai aur usse hi dekh rahi hai , " toh tum uth hi gai .." voh coffee table per apna laptop ko rakhta hua bola . Meerab ka chehra dekhta hi voh samajh Gaya tha ki voh kya soch Rahi hai . Voh uski taraf uth kar Aane laga toh Meerab ghabra gai aur usne blanket ko bhut kaskar Pakad liya aur peecha sarkana lagi .

Murtasim bed ke paas aaya aur bola , "tumhare kapde meri maid ilyana ne change kar Diya the aur tumhare ghavon per Davao lagane ke baad kapde nahi pehnaye gaye the . Tumhare sath kuch bhi .. Maine tumhare sath kuch bhi nahi kiya hai .."

Meerab ne darte hua pucha , " kya kal raat apne meri jaan bachai thi ?"

Murtasim ek dum se bola , " tumhein kya lagta hai , kişne bachai hogi ? "

Meerab turrant samajh gai aur hichkichate hua boli , " thank you so much sir , agar aap nahi hote toh ..."

Meerab ab jazbaati ho Rahi thi lekin murtasim ne Meerab ki baat ko beech main hi kaat di aur seedha seedha bola , " tumhein bachane ke liya maine un ladkon ko ek crore diya the . ek crore , janti ho na ko ek crore main kitni zeros hoti hain ?" Meerab hairan hoker usse dekhna lagi .

Murtasim apna jaal phenk chuka tha , voh uski aankhon main dekhta hua bola , " tum agar zindagi bhar bhi kamaogi , toh bhi itna paisa ikatha nahi kar paogi . Maine tumhe 1 crore dekar bachaya hai , toh Zahir si baat hai tum ab meri ho , aur agar tum iss karz se chutkara pana chahti ho toh main jaisa kahun vese hi karti jao , issi main tumhari bhalai hai . Tumhein Shayad pata nahi hoga , isiliya bata raha hun , log mujha rakshas bulata hai yani maut ka devta ..

Meerab dar kar , sar se paun tak thar thar kampne lagi . Meerab sochna lagi , " Ek crore .., mera liya toh ek hazaar bhi bhut badi baat hoti hai . Yeh admi theek hi toh Keh Raha hai main agar zindagi bhar bhi kamaungi toh bhi ek crore ikathe nahi kar paungi ."

Tabhi murtasim uski aankhon ke samne chutki baja usse wapas hosh main laya aur bola , " samajh main aaya maine kya kaha ? Ab tum meri ho , tumhe ab meri sari baatein manni hongi . Mujha pata hai tumhare ghar walon ko tumhare jeena aur Marne se koi farak nahi padhta , aur tumhare pass rehna ke liya bhi koi thikana nahi hai , toh mera kaam tumhe karna hi padega ."

" kaisa kaam ? " yeh shabd Meerab ke muh se ek dum se nikal gaye . Murtasim usko ghurte hua bola , " Karz mera hai tumhare uper , sawal main karunga , tum sirf kaam karogi aur jawab main Haan , samjhi ya samjhau?" Meerab dar gai , aur Jaldi se sar Haan main hilaya . Voh aur kar bhi kya sakti thi ? Voh buri tarah se phans chuki thi .

Murtasim ke chehra per ek halkı si Muskaan aai aur voh bola , " good , very good , ab bathroom main jao aur Jaldi jaker maha lo , jao ."

Meerab confused thi , dari hui thi , usne blanket ko kaskar Pakad kar oadha hua tha .

Murtasim ne usse ghur ker dekha aur kaha aur iss baar those gussa se , " go , right now !"

Meerab darte darte blanket ko lapata
hua bistar se utari, tabhi ek jhatke main murtasim ne apna lamba haath aage badhaye aur Meerab ko apni baahon main utha liya . Ghabrahat main meerab ki saansein upar neecha hone lagi , Murtasim seedha usse bathroom main le Gaya aur usse jaker bathtub main Bitha diya .

Meerab samajh nahi paa rahi thi ki pickle 10 seconds msin hua kya tha , Murtasim usko besharmon ki tarah dekh Raha tha , usne pucha , " khud maha logi ya main help Karun?" Aur yeh kehkar usne uske blanket ka ek kona pakda. Meerab bhut zada dar gai aur usne puri jaan laga ke blanket ko Pakad liya . Voh rone hi wali thi ki , Murtasim ne blanket chod diya aur kaha , " kapda waha blue sofa per rakha hai aur tumhari sari Zarurat ka Baki ka saman bhi hai , tumhare hisab se geezar main pani bhi garam hai."

Meerab thodi si shant hui toh usne Charon taraf dekha , usse saaf alishaan custom made bathroom ko dekhkhar bhut hairani hui .

Aadha ghante baad bathroom ka darwaza khula aur meerab naha kar , taiyar hoker aai . Murtasim kamre main hi baitha tha , Meerab ke baare main Information padh Raha tha jo victor ne bheji thi , Murtasim ne pehle se hi Meerab ka liya comfortable kapde rakhwa diya the . Jisse uske ghav ko problem na ho . Meerab ne bada hi pyara blue colour ka kaftan pehna hua tha sath main choti heel wale sandals . Voh un kapdon main bhut hi pyari aur cute lag Rahi thi , Murtasim bola , " wahan kyun khadi ho ? "


Meerab ne Murtasim ki baat ka koi jawab nahi diya . Murtasim usse ghur the hua bola , " mujha pata hai tum gungi nahi ho , natak karna band karo . Mujha voh log bilkul pasand nahi jo gunga behra ki tarah behave karta hain ."

Meerab aur dheera se aage badhne lagi , Murtasim uski kachua ( turtle) ki chaal dekh kar irritate ho Gaya aur bola , " agar esa hi chalogi toh mera pass pahunchne main 4 saal lag jayenga ." Yeh sunkar Meerab hadbadai aur Jaldi se murtasim ke samne aaker kisi agyakari student ki tarah khadi ho gai .

ESA lag raha tha ki murtasim uska teacher hai aur voh uski student , jo usse instructions de Raha ho .

Murtasim ne usse sar se paun tak dekha aur bola , " bhook lagi hai ?"

Meerab kuch nahi boli , Murtasim samajh Gaya ki Meerab bhut hi sankochi ladki hai aur bhut zayada sensitive bhi . Laptop ko ek taraf rakha  aur phone apni jeb main rakh ke voh khada ho Gaya aur Meerab ki taraf badhne laga , Meerab ko pehli baar ehsaas hua ki murtasim usse bhut lamba hai , aur uske samne voh ek chuhiya ki tarah lag Rahi thi , vese meerab ki height bhi achi thi per voh sirf murtasim ke seena tak hi pahunch pati thi .

Tabhi murtasim ne kaha , " ab achi bachi ki tarah mujha follow karo ."

Yeh kehkar voh kamre se bahar nikal Gaya , Meerab bhi uske peecha peecha chal di . Voh dono dining hall main pahunch gaye , jaha uske dadaji , uska bhai , uska manager , personal assistant, secretary aur chief bodyguard breakfast ke liya unka wait kar rahe the .

Dining hall


Murtasim aur Meerab ko aata dekh kar shahmeer excited ho Gaya aur bola , " Dadaji dekho mera bhai aur meri pyari bhabhi aa gaye ."

Dadaji ne apna pota aur hone wali pota bahu Meerab ko dekha aur unke chehra per ek Muskurahat aa gai . Murtasim ne dining table per sabko dekha aur aaker apni chair per bhaith Gaya , per Meerab wahi Murtasim ke pass khadi Rahi .

Yeh dekh kar Dadaji ko bada ajeeb laga aur voh Meerab ko bole , " Arey , beta Daro mat , baitho ."

Phir unhone murtasim ko dekha aur usse tokta hua bola , " Tum khud aaker baith gaye , pehle usse bithao, Murtasim , apni hone wali biwi ke sath esa kon karta hai ."

Shahmeer bola , " Haan bhai esa kon karta hai ?."

Meerab ko samajh nahi aa raha tha , voh hakki- bakki dari - şehmi sabko dekh rahi thi . Voh sochna lagi ki kahin voh kişi paranormal world main toh nahi aa gai . Murtasim ke chehre per koi bhav ( expression) nahi the , usne meerab ko ek nazar dekha aur bola , " baith jao meerab ."

Meerab tab bhi nahi baithi thi voh vese hi jadh khadi Rahi . Tab murtasim ne Meerab ka haath pakda aur usse chair per apna pass bithaya .

Sab dining table per baith chuka the , servant ne breakfast serve karna shuru kiya . Itna healthy aur shahi breakfast uske samne Meerab ne pehli baar dekha tha , usse bhut Bhook lagi thi per voh khane main sankoch kar Rahi thi . Dada ji yeh dekh kar bole , " beta sharmao nahi , yeh tumhara hi ghar hai . " Meerab chup chap Dadaji ki baat sunti Rahi per uski khane ko chune ki Himmat nahi hui . Dadaji ne usse pucha ,  " beta kya tum theek se khati - peeti nahi ho ? Itni dubli patli ho ki ek hi phuk main udh jaogi. "

Yeh sunte hi shahmeer ko shararat Sujhi , aur khana chod ker usne Meerab ko phunk Mari . Table per baith sabhi sadasya uski iss harkat se hairan the . Meerab ko bhi bada ajeeb laga .

Shahmeer haste hua bola , " Dadaji , aap toh keh rahe the ki yeh udh jayegi , per yeh toh yahin per hai . Apka logic galat nikala , bhale hi meri bhabhi dubli patli hai , iska matlab yeh nahi hai ki unhe koi bhi ek phuk se Uda dega ."

Meerab ko kuch samajh nhi aaya , uska toh mann kar raha tha ki voh waha se bhag jaye .

Tabhi Murtasim ne kaha , " khana khao , ache sa ."

Usne jaanbujhker servant se meerab ko zayada breakfast serve karne ke liya kaha tha taki meerab pait bhar ke kha sake . Meerab dheera dheera khana khane lagi , breakfast sach main healthy aur tasty bana tha .

Khana khate hua meerab ki nazar shahmeer per padi , jo bade hi ajeeb tareeka se khana kha raha tha , aur ek dum se uski has chut gai . Sab usse dekhna laga , Meerab hanste hua bhut pyari lag Rahi thi . Phir sabne shahmeer ko dekha jo khaye jaa raha tha, usse kisi se koi matlab nahi tha , bas voh aur uska breakfast. Dadaji aur murtasim ko chod ker sab hansne lage . Phir shahmeer ne sabko hanste hua dekha aur bola , " esa kya hans rahe ho , koi joker dekh liya kya ?"

Toh Pratyush apna pait Pakad ker badi mushkil se bola , " oh my god , meer , tum esa khana Khaate ho ? You are so funny ."

Shahmeer bola , " isme funny kya hai , yeh toh mera style hai ."

Philhal voh apni beizzati nahi karwana chahta tha .





🦋🦋🦋🦋🦋🦋🦋🦋🦋🦋🦋🦋🦋🦋🦋

Yeh kis ajeeb parivar main phas gai thi Meerab ? Kya chahta tha murtasim meerab se ? Kal tak voh college Jane wali meerab ki shadi ki baatein shuru ho gai thi , voh bhi maut ke devta ka sath . Kya hoga Meerab ki Mayus zindagi ka Aane wala kal main ?

Apko kya lagta hai kya aage kya hone wala hai ? Batao apko yeh update kaisa laga ? Are you liking it .?

Don't forget to read vote comment follow share ..

Ismit04 Pinkkitkatobsession1 Suhana_suffer

See you soon

Till then

Take care

Bubbye

Lots of love

Yours

Dear diary

Zoey

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro