9~Flight To Goa

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Manmeet opened her cupboard and saw a gift.

Mn~ye? Ye kis ne rakha yahan pe?

She took it out and saw a note over it. It said:

"Congratulations Mrs Manmeet Rajkumar Yadav. You've earned a gem, the gem is your husband, who's the most unique person, happy for you that you didn't miss the moon while counting the stars. To be a man who maintains the household rather than work is a brave choice, but to be a wife of such a man is even a harder choice. Take care of this moon like you care for a diamond. Aap bohat lucky hain ke aap ko aisay heeray jaise aadmi ki patni honay ka saubhagya mila hai jo ke har kisi ko nahi milta. Aap dono ki jodi ko kabhi kisi ki nazar na lagay, wish you a happy life with him. Jaya Bachchan."

Tears came to her eyes reading the note, she unwrapped the gift and saw a couple show piece. She kissed it.

Mn~ye... Rajkumar ne mere liye rakha tha? Mere cupboard mein jo usay Jaya ma'am ne diya. Wo mujhe ye dene wala tha as a surprise, aur maine... maine usay khari kothi suna di

She kept the gift and went to look for him.

Mn~Rajkumar! Rajkumar!

She tried finding him everywhere but to no avail. She went to Ahem and Gopi.

Mn~mummy jee, daddy jee, aap ne Rajkumar ko dekha kya? Kahan hai wo?

Ah~ye voicenote bheja tha us ne, suno

He played it.

"Mom, dad, main Goa ja raha hoon, lekin Manmeet nahi hai mere saath, kiun ke kabhi kabhaar distance zaroori hota hai relationship mein. Humein usi distance ki zaroorat hai. In 4 dino'n maine jo longing us ke liye feel ki, shayad wo feel nahi karti aisa. Usay lagta hai main is shahdi ka use kar raha hoon bas sirf, aur ye ke... main usay sonay ke anday denay wali murgi samajhta hoon. Jab ke aisa hai he nahi, maine koi safaai nahi di dad, main bas chup raha, door ho gaya, maine toh us se shahdi ki isliye kiun ke us ne mujhe waisa he accept kiya jaise main hoon, aur wo bhi apna dream poora karna chahti thi. Lekin shayad mujhse ye sab kar ke galti ho gayi. Aisa haath jo usay aur peechhe kheench le, aise haath ko toh chhor dena he achha hai. Yes I do feel hurt, main kuchh nahi tha, main jo bana us ki wajah se bana lekin... apni marzi se nahi, main toh mana kar raha tha lekin pressure mein aa kar aisa kar diya. Mujhe nahi pata tha wo itna hurt ho jaaye gi haan lekin andaaza zaroor tha. Andaaza hotay huay bhi maine apne kadmo'n ko nahi roka, aur bas chal diya lekin ye sab karne ke baad ab lag raha hai jaise we weren't meant to be. Wo toh mujh se achhay ko deserve karti hai, koi aisa jo usay us ke dreams poora karne de, lekin main ye faisla us pe chhor raha hoon yet I didn't talk to her about it. Lekin un kuchh dino'n mein wo samajh lw gi usay kya chahiye. Jab tak ke liye bye."

Manmeet cried.

Ah~kya hai ye sab? Us ne jaan bhooj kar thori na kiya. Wo tum se distance banane ke chakkar mein hum se bhi aaj door hai Manmeet. Kya tumhe sach mein koi lagaav nahi Rajkumar se? Itna sochta hai tumhare liye wo. Tumhe kya bas ek aisa aadmi chahiye tha jo naukaro'n ki tarah kaam karay? Aur tum.. Tum bas naam kamao, ye rishta kuchh nahi tumhare liye? Us ke khud ke koi sapne nahi kya? Us ki aankhein koi sapne na dekhe kya Manmeet? He only said he feels hurt. Tumhe us se achha toh door, us jaisa bhi nahi milay ga kaheen pe Manmeet, I realized he's worth what he got, mere betay ko humesha maine kaamchor kaha, lekin mera beta heera hai, jo tumhe mila lekin tum toh pathar chun'ne mein lagi ho. Kab tak rahay ga paisa? Kab tak rahay gi jawani? Ek din hum bhi nahi hongay aur na tumhare parents hongay, koi nahi ho ga, us din kya karo gi socha hai? Kaise aur kahan dil lagao gi? Yaadon mein? Mere betay ko wapis lao Manmeet, I have never felt so distant with him, tum us se patch up karo na karo, usay wapis lao magar. Tumhe usay chhorna hai chhor do, at least don't hurt him.

G~Manmeet, koi bhi faisla lenay se pehle soch lo, mere betay ko tum chhor do gi toh wo toot jaaye ga please.

Mn~aap ka beta bas sirf aap dono he ki nahi, meri bhi zimmedaari hai, main wapis laun gi usay, mummy jee, main laun gi usay wapis, hum alag nahi hongay, hum saath rahengay, we are meant to be together, separation se bas usi ka nahi balkay mera bhi dil toote ga. Usay chhorna manzoor nahi mujhe, and I promise, ab ki baar main usay kabhi hurt nahi karoon gi, keemti heera hai wo, lekin bas sirf mera hai. Sirf mera. Daddy jee, main yaadon se nahi, apna dil bas apnay Rajkumar se lagaun gi, mere liye wo sirf pati nahi, dost bhi hai, humsafar bhi aur humdard bhi hai. You're right ke us se achha toh door, mujhe us jaisa bhi kaheen nahi milay ga. Mujhe us ki har shart, us ka har sapna manzoor hai, lekin us ka yoon door rehna manzoor nahi hai, us ka dil jo mere haathon toota hai, us ke un zakhmo'n par for once and for all marham bhi main he lagaun gi, its my promise. Ek bahu ka he nahi, balkay ek patni ka bhi wada hai ye aap dono se.

She went. She booked a ticket to Goa ans began to pack.

Meri Tumhari Khwaab Who Saare

Dekhe The Jo Sach Honge Yahin

Honge Juda Na Tumne Kaha Tha

Aayega Pal Yeh Socha Nahi

She recalls her sweet conversation with him one night before she flied to US.

R~kiun miss na karoon? Wifey ko miss bhi nahi kar sakta kya? Miss toh karoon ga yaar, I really miss you jab tum ghar pe nahi hoti

Mn~kiun? Main aisa kya karti hoon ke tum mujhe miss karte ho?

R~tum saath hoti ho na mere, it feels good

Mn~achha? Toh main toh kal ja rahi hoon na, aaj good feel karna hai na jitna, kar lo

R~par tum kaun sa humesha ke liye ja rahi ho? Wapis toh aao gi na? Jab wapis aao gi toh aur good feel ho ga.

Mn~toh tab tak ka wait karo gay good feel karne ke liye?

R~Not at all, aaj poori raat hai na good feel karne ke liye

Mn~achha toh aisa kya karne walay hain pati dev jee?

R~good feel karengay, aur kya?

Mn~bas feel karna hai? Nothing else? Aur kuchh nahi karna?

R~nope

Mn~okay, lets be here near each other and feel good

Tears rolled down her cheeks recalling the sweet moment which was now a memory.

Yeh Bhi Kaha Tha Tumne Mujhe

Main Door Na Jaunga

 

Dil Ko Mere Na Samajh Aaya

Tera Bin Bole Chale Jana

Kabhi Tumhe Yaad Meri Aaye

Raah Se Meri Guzar Jana (Kabhi Tumhe female version)

She recalled what he said when she fought with him before the last time.

"Mere hugs mera time sab tumhara hai, main tumhara hoon, (she looked up at him with teary eyes) really. Okay main ho gaya tha busy, lekin ab tumhe prioritize karoon ga, my number 1 priority is you, Manmeet Rajkumar Yadav, (she rested her head on his chest) aaj tumhe pooray din bas mere haath ka khaana khana hai woh bhi mere haath se, hai na? (she chuckled, he patted her hair) Haan ye interviews mujhe nahi karne thay, don't know what came over me, lekin ab nahi... Ab tumhe he rise milay ga, don't worry, and the name Manmeet Rajkumar Yadav is not a joke, its an achievement, an honor, to me actually, (she smiled.) Aaj ke baad phir ek baar log mera naam bhool kar tumhe yaad karengay, I will take my step back, agar ye tumhe itna affect kar raha hai, toh main aisa kuchh nahi karoon ga jis se meri pyaari wifey ko dukh ho aur dil mein tornado ho, (she giggled) okay done? Solved?"

She looked up at him and smiled.

Her tears didn't seem to stop.

Mn~main aa rahi hoon Rajkumar, m coming

Her phone rang, she picked it.

Mn~hallo?

Ak~beta kya ho gaya? Itni jaldi mein kiun?

Mn~maa, main Goa ja rahi hoon Rajkumar ke saath

Ak~maa se jhoot? Us ke saath ja rahi ho ya usay manaane ja rahi ho?

Mn~aap ko kaise pata maa?

Ak~who bhi mujhe apni maa maanta hai aur baatein share karta hai

Flashback:

Rajkumar rang up Akshara.

Ak~hallo

R~namaste maa

Ak~aray Rajkumar, namaste, kaise ho beta?

R~theek, aap?

Ak~bas abhi theek hoon thori, hospital se kuchh time pehle he discharge mila

R~hospital se discharge? Kiun kya hua tha?

Ak~bp low tha toh behosh ho gayi thi

R~oh, ab kaisa hai aap ka bp?

Ak~ab theek hai, achha tumhare aur Manmeet ke beech sab theek hai na? Koi laraai toh nahi hoti na? You know na main kiun poochh rahi hoon?

R~(sighed) laraai toh hui hai last abhi, jabhi main yahan Goa mein hoon, distance is necessary right now

He narrated everything.

Ak~beta itna kuchh hua aur tum log is waqt saath rehne ke bajaaye alag rastay ja rahay ho?

R~she misunderstood me. Maa ab lag raha hai, we aren't meant to be together. Main usay deserve nahi karta.

Ak~abhi jo sab tum ne bataya us se toh ye lag raha hai ke meri beti tumhe deserve nahi karti. Us ke liye itna sochte ho tum, ke us ke dreams poore ho'n, tum khud par dhyaan nahi dete bilkul

R~kabhi kabhaar sacrifice karna parta hai

Ak~kabhi kabhaar? Tumhe toh humesha sacrifice karna parta hai. Khud ke liye stand lo, tumhari bhi koi jagah hai, meri beti ki zid ke kaaran tum khud ki khushi aisay sacrifice mat karo. Tum samjhao usay wo samjhegi, tum kaho ke tumhari khushi bhi important hai.

R~that's impossible lekin ye Goa aa kar us se alag rehna, ye filhaal maine khud ke liye stand he liya hai maa. Usay alag hona hai na? Ho jaaye, after all, main hoon he kya us ke aagay? Ek naukar? Agar usay mere yahan aanay ke baad bhi longing feel nahi hoti na mere liye, she's free to divorce me, usay aisa lag raha hai na ke wo mere liye sonay ke anday dene wali murgi hai, toh main kya hoon phir? Us ne mujhe kya samjha tha? Samjhi toh wo bhi mujhe same yahi cheez hai na

Ak~I understand, lekin... I am sorry tumhara itna dil dukha meri beti ki wajah se.

R~aap sorry mat boliye. I don't feel good. Aap se apna dard baant liya, mujhe achha laga u care for me. Sorry maine aap ko apni problem se pareshaan kar diya.

Ak~tum damaad kam, betay ziada ho, please tum bhi sorry mat kaho. Maa keh kar doosre he moment paraya mat kar do. Take care beta.

R~u too maa

Call disconnected.

Fb end.

Ak~beta kya hai ye sab? Kiun kaha hai tu ne us se ye sab? Nahi bata na wo kya hai tere liye? Ek naukar hai kya? Beta maana hai usay, damaad nahi, tumhare liye main usay sideline nahi kar doon gi

Mn~maa, wo naukar nahi mere liye. Mera pati hai, mera humsafar hai

Ak~toh apne pati ki success se itni jalan? Aur us se tu ye expect karti hai ke wo teri success se khush ho jaaye? Khushi bhi equality se honi chahiye na, jab wo tere liye khush hota hai, tu bhi khush ho na us ke liye. Bol usay m proud of u. Bol ke tumhari success bhi meri he success hai aur jaise mere liye tum khush hotay ho, main bhi khush hoti hoon tumhare liye. Tu ja rahi hai na Goa? Ja aur mana usay, tujhe heera mila hai, kho mat usay.

Mn~of course mumma

Call disconnected.

Mn~oh main wo jo shirt laai thi Rajkumar ke liye, wo bhi le leti hoon, thora chill bhi toh karengay na wahan

She stood up and went to her cupboard and her gaze went on the diary he gifted her on munh dikhai which she didn't read. She opened it. On first page, it was written:

"For my future wife. When I say I love you more, I don't mean I love you more than you love me, I mean I love you more than the bad days ahead of us. I love you more than any fight we would ever have. I loge you more than the distance between us. I love you more than any obstacle that could try and come between us. I love you the most."

On next page it was written:

"I just want to tell you that I will never lie to you, cheat on you or mess with your heart. I will be your protection, your extra motivation, your listening ear, and your safety to run to when you're feeling down... I will love you with my very all, I will cherish you, honor you, respect you, and I will never make you feel like you are not wanted."

Mn~par maine tumhe aisa he feel karaya as if you're not wanted, main in mein se kuchh nahi ban paai. Nahi, nahi khoun gi tumhe, aaun gi, aur phur se le jaun gi

She took the shirt she bought for him, packed it and left.

 ***********************************

Rajkumar was on the beach sitting sadly watching all the happy couples thinking of Manmeet.

Tum Agar Manaoge Toh Maan Jaunga

Main Tere Bulane Pe Laut Aaunga

Har Safar Mein Sath Tera

Main Yun Hi Nibhaunga

He recalled their first meeting, marriage, munh dikhai rasam.

 

Kabhii Tumhhe Yaad Meri Aaye

Palko Se Zulf Hata Lena

Saaf Dikhunga Main Tumko Wahin

Jo Na Dikhun Toh Bata Dena

He recalled their happy moments

 

Kabhi Mujhe Der Jo Ho Jaaye

Wakt Ko Thoda Bacha Lena

Phir Se Milunga Main Tumko Wahin

Jo Na Milun Toh Saza Dena

He recalled their fights.

Meri Zameen Ko Tere Kadam Ka

Na Jaane Kab Se Tha Intezaar

Ek Na Ek Din Aana Hai Tumko

Dil Ko Mere Hai Yeh Aitbaar

R~tum aao gi na Manmeet? Longing feel karo gi na mere liye aur manao gi na mujhe? Jao gi nahi na mujhe chhor kar?

Main Khuda Se Tere Siwa

Kuchh Aur Na mangunga

 

Kabhi Tumhe Yaad Meri Aaye

Itni Si Baat Samajh Jaana

Phir Se Milunga Main Tumko Wahin

Raah Se Meri Guzar Jaana

Manmeet was in aeroplane ready to fly to Goa meanwhile Rajkumar kept sitting sadly at the beach.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro