Chapter 2

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Ansoon ki qeemat woh kya janay
Jo har baat per ansoon bahatay hain
Iski qeemat tw unse pocho
Jo ghum mein bhi muskuratay hain.

Happy Reading!!!

Aaj phir meri ankh ushi khuwab se khuli thi. Ya Allah! Mujhe kis imtehan mein daldiya hai tunay? Pichle 8 mahine se har teesre din yeh khuab kyun ata hai mujhe?

Yeh ek woh darona khuwab tha, jiski tabeer mujhe sach hoti dikh rahi thi. Lekin na janay yeh khuwab har teesre din kyun ajata tha.

Fajr ki azaan ka waqt tha. Mein wuzu kerke neeche drawing room mein namaz perhne chali gayi. Mujhe wahaan dekh ker ammi hairaan reh gayi theen. Namaz perhne ke baad 8 bajay tak mein waheen Janemaaz (praying mat) per bethi rahi.
Us khamoshi mein ek Ajeeb sa sakoon tha.

Ya Khuda! Woh tw mera tha na. Usko mujhse kyun cheen liya? Woh kisi aur ko kaisay milsakta hai? Usko tw mainay manga tha! Woh mera kyun nhi hai? Sab kuch tw apke ikhtiyar mein haina Allah Miyan, kyun cheen liya usko mujhse?

Flashback starts
"Oye hoye hoye! Uske barabar mein!" Fasih pagalon ki tarha Hamdan ko tang ker raha tha.
"Abay yaarr! Woh line mein agay peeche hotay hoye.." Usne sharmatay hoye kaha.
Mujhe unki taraf dekhte hoye dekh, woh dono chup hogaye thay.
Flashback ends

Maazi ki woh ek choti si yaad mere chehre per muskurahat le ayi thi. Maazi ka sahiwal hi tw tha jo is kari dhoop mein chaoon ka kaam ker raha tha. Warna chaoon denay walay tw har darkht se mein dour achuki thi.

Aaj mera Dr. Urooj Sheikh ke saath phela appointment tha.
Mujhe kafi dair intezaar keranay ke baad woh apne office mein daakhil hoyeen.

"Sorry I am late!"
"It's okay." Mainay mayus hoi wi andaz mein jawab diya.
"Ap tw hum zabaan lagti hain. Am I right?"
"Jee!"
"Acha chalain, aap mujhe btayein ke ap kaisi hain?"
"Jaisi dikh rahi hoon?" Mainay sukha sa jawab diya.
"Kya aap yahan adjust nahi ker pa raheen?"
"Mein kaheen bhi adjust nhi kersakti ab."
"Kon hai woh?" Mein yeh dekh ker hairan thi, ke ek mukhtasir si guftagoo mein unhonay meri pareshani ki wajha pata laga li thi.
"Hamdan!" Mein ruki, "Hamdan Ali Khan." Woh halka sa muskurayein.
"Hmm. Tw yeh baat hai. Tw breakup hogaya kya?"
"Breakup tw tab hota jab koi relationship hota. Hamara tw benaam rishta tha."
"Hamara matlab? Tum dono ka? Ya sirf tumhara?" Unhone bohot hi dheeme lehjay mein mujhse pocha.
"Mere saath school mein perhta tha woh, shuro mein tab woh mujhe ghoorta tha. Te zeher lagta tha. Dil kerta tha ke wahaan se bhaag jaon."
"Hmm. Continue!"
"Dheere dheere uski adat hogayi thi mujhe. Dil kerta tha ke woh mere samnay rahay. Apko pata hai hamaray school mein ek larka tha. Jo har random larki ko tarta tha. Jab bhi woh meri taraf ankh utha ker dekhta tha, Hamdan uske samnay aker khara hojata tha. Na janay yeh koi coincidence tha, ya kuch aur." Mein kafi dair tak bolti rahi. Aur woh chup kerke meri bataain sunti raheen.
"Hosakta hai ke woh ek waqti pasand ho, jisse tum mohobat samjh bethi."
"Hosakta hai!"
"Kya pata aisa hi ho?"
"Pasand ek tarfa cheez hoti hai, jab ke mohobat dono taraf se hoti hai. Mohobat mein hi insan possessive hota hai, pasandjidgi mein nahi."

First session ab khatam hochuka tha, mein aur Dr. Urooj Sheikh ab bahar achuke thay.
"Acha mein tumhe kuch anti-depression tablets deraheen hon. Per koshish kerna ke inka istemaal na hi kero."
"Jee! Waisay bhi bewafayi ka ghum yeh tablets dour nahi kersakteen."
Unhone muskuratay hoye mujhe dekha.
"Khuda Hafiz!"

"Mohobat hoti hi aisi hai, apnay mehboob ki har cheez bohot azeez hoti hai." Woh chalta hoa mere pass aya. Mein achanak usse dekh ker chonk gayi thi. Per kuch bolnay ki himmat ki
"Bewafayi bhi?"
"Mehboob se jo milti hai!"

Mein do minute tak uski shkl dekhti rahi. Phir usne yeh khamoshi tori.
"By the way, I am Asfandyaar!"
"Mein Anmol hoon."
"Beshuk." Usne muskuratay hoye kaha.
"I mean mera--"
"Jee apka naam Anmol hai. Mein tw aise hi keh raha tha. Waisay yaqeenan ap bhi bohot anmol hongi."

Author's Note:
Hows the chapter people?
Please drop down your views

Tera shukriya kaisay kerain hum yeh bata
Ke woh konsi dua jiska hai tu Sila

Tujhepe kiya jo bharosa dhoka hi mila
Tujhko pukara meri jaaan tune na suna

November 19th, 2017

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro