Chapter 9 اک صرف تم

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Paimanay ishq ke palu mein hain saray
Na janay hongay hum kab tumharay

"Kaisi ho Anmol? Mujhe khud se mohobat kera ker kahan ghayab ho?"

Yeh kya bakwas ker raha hai? Mainay tw isse kabhi seedhe moo baat nahi ki.

"Mainay kab khud se mohobat kerayi?"
"Na kero Zalima! Hum tw bus tumharay hochuke hain ab."
"Kya bakwas ker rahay ho tum?"
"Meri mohobat bakwas lagti hai tumhe?"
"Haan!"

Ya Allah yeh kya azaab hai? Isko itnay arsay baat kahan se yaad agayi mein?

"Mein tumse bohot mohobat kerta houn Anmol. Mujhe tumhari har ek baat mutasir kerti hai, mein kitni bhi koshish kerloon, tumharay khayal ko khud se juda nahi kersakta."

"Tum kyun nahi samjh rahay Haisam? Mein mohobat kerti hun kisi aur se."

"Agar tumhari mohobat sachi hai? Tw milti kyun nahi?" Usne bohot israr kerke pocha.

"Jo mil jaye, woh ishq hi kya?"

"Jo na mile woh kaisa ishq hoa bhala? Anmol kya chahti ho tum? Kyun ek aise insan se mohobat kerna chahti ho jo la hasil hai?"

"Mohobat agar asani se miljati tw uski kahaaniyan nahi banti, aur yeh zarori tw nahi ke har kahani ke akhir mein larka aur larki ek hi houn. Chahay phir unki mohobat Shereen Farhad, ya Heer Ranjha jaisi hi kyun na ho."

"Tumhe samjhana bilkul asana nahi hai yaar!"

"Tumse kaha kisne hai ke mujhe samjhao? Acha khair mein tumse phir baat kerti hun."

Mein Haisam ke baray mein sochnay lag gayi. Kya waqt tha woh, Haisam ko meri bestfriend pasand thi, aur mujhse pyaar ker betha.

Ishi tarha kari se kari jury gayi, aur mein phir maazi ki yadoon mein chali gayi.

Mein yadoon ke safar mein nikal chuki thi, 2014 mein honay walay school ke science exhibition ke baray mein sochnay lag gayi thi

"Zartab kyun baar baar khench ker yahan larahi ho? Aisa bhi kya khas bana hai?" Mainay hanstay hoye kaha, tw Fasih ne ghusse bharay andaz mein mujhe Dekha. Jab ke Hamden waheen Khara muskura raha tha.

"Is poori exhibition mein sab se acha project hai, aur itni bakwas kerdi tunay." Zartab ne ghusse se kaha.

"Bohot ala bana hai!" Hamdan said, while looking at our project.
I looked towards him, Qasam se Hamdan? Abhi itni batamezi kerke ayi thi mein, aur tum.

جو شخص میرا نہںی
اسے کروں کیا گلاہ

25 March ka woh din, 2014 ka woh Saal. Aur maazi ka woh chammat, ek baar phir mere moo per aker laggaya. Kaheen bhi chali jaon, kitna bhi dour ajaon, maazi ki yaad mujhse juda nahi hosakti.

Aaj mujhe usse mohobat hoye pandra soo din poray hogaye. Is pooray waqt mein mere dil mein sirf woh hi bassa hai. Na Rooh mein koi bas saka hai, na bas sakay ga.
Bus ek tum, sirf ek tum!!

A/N:
Assalam O Aliakum!!!!
Chapter kaisa hai??

Kya Haisam ka character Asfandyaar ko replace ker dega??
Please drop down your views.

And please fill that star ⭐️ for me!!
Jazak Allah!!

May 3rd, 2018

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro