Chapter - 39

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Agli Subha!!

Chehre pe battish inch ki muskan liye, kamre mei laage ladkiyon ke vichitra chitra dekh nawabjyade Vineet uthe. Sareer ko tod madod ke angrai lete hue apna phone uthaya aur jaisa usne socha tha bilkul waisa hi paya.

Karan ke 50 missed calls the, saath hi Birju ne bhi kai baar usse phone kiya hua tha, Vineet ko ye samajhne mei jara bhi der na lagi ki Karan ko dukh hai aab kyunki wo uspe chillaaya.

Vineet ko pehle se hi pata tha aisa hoga. Kai baar maar khake Karan ka mansik santulan hil jata hai aur wo chilla padta hai lekin badh mei fir sambhal bhi jata hai.

Muskurate muskurate Vineet bistar se niche utra aur kamre se bahar nikal gaya. Angan mei pahucha toh dekha ki uski nani, mama aur maa chai pee rahe hai aur sharma ji kahin nahi hai, shayad naha rahe hai. 

Vineet apni maa ki aur badha kyunki usse paise chahiye aur jo ki Sharma ji hai nahi toh aise mei uski maa hi usse paise degi. 

Bade pyar se apni maa ke bagal mei baith unke kandhe pe sar rakh liya aur apni baahon ko unke kandhe pe rakh apni maa ko gale laga liya.

Apne bete se itna pyar dekh Sharda muskurau aur pyar se Vineet ka gaal thapthapa diya.

''Kya baat hai aaj apni maa ki yaad aa rahi hai kissi ko, haan? Paise chahiye kya?'' Sharda ne pucha, kyunki wo janti hai unka beta unke pass tabhi pyar jatata hai jab usse paise chahiye ho.

Chhote bachchon ki tarah awaj nikalte hue aur apni maa pe pakad majbut karte hue Vineet ne halke se pucha,''tumhe kaise pata chal jata hai maa?'' Halka sa sar ghumaye hue apni maa ko dekhte hue Vineet ne pucha.

Sharda muskurau, ''maa hoon teri main, sab harkatein jaanti hoon teri aache se.'' Itna kehte hue Sharda ne panch sho ki karkarati hui ek note Vineet ko thama di. 

Vineet phoola na samaya, khushi se apni maa ke gaalon ko chum liya aur ghar se bahar nikal gaya.

Sharda aur Sasu maa muskurai lekin Rastogi ji ko pasand na aaya. Aakhir wo jaante jo hai unka bhanja kya gul khilata hai, bas baat ye hai ki wo kissi se batate nahi kyunki unhevpata hai unki behen ye bardasth na kar paayegi aur naa hi unki maa, saath hi pure Dilli mei unki badnami ho jaayegi issliye wo chup rehte hai. Aab unhe kya pata unka bhanja pehle hi puri Dilli mei badnam hua pada hai.

Chehre pe battish inch ki muskan liye hue Vineet Birju ki dukan pe pahucha.

Birju bechara khade khade dukan pe laga pada hai, aab bechara baithe toh baithe kaise Shakuntala ne usse baithne layak choda hi kaha hai. 

Dukaan pe pahuch Vineet aaram se kone pe khada ho gaya.

''Aur Birju, baithne layak hua ya nahi abhi tak'' halki si hansi hansta hua Vineet bola.

Birju ne usse ek najar dekha aur bola,'' jaane baithne layak hum kab honge bhaiya. Honge bhi ya nahi, humein toh ye bhi pata nahi hai. Jaane kis janam ka badla aapki kabhi hogi bhi ya na hogi sasu maa le rahi hai. Inna andar tak chaku ghusaya hai ki main saal do saal baithne se pehle sau baar sochunga'' roti si surat bana Birju ne jawab diya. Vineet halka sa muskuraya aur pyar se Birju ke gaal khiche.

''Kyun fikar karta hai mere bhai, bahut jald Sasu maa khud tujhe makhmal ke gulgulle gadde pe bithayegi. Ek baar teri bhabhi ko pata loon fir saara khandan hamare aage piche karega''badi Vishwas ke saath Vineet bola.

''Aasha hai wo issi janam mei aapse paat jaaye'' sar hilaate hue Birju bola, Vineet ko uski baat khatki.

''Kya matlab hai tera, tujhe kya lagta hai teri bhabhi na paategi mujh se, haan? Arey main chahu toh uske pure khandan ko pata sakta hoon, wo kya chij hai'' Apne thes pahuche aatma saman ko bachate hue Vineet bola.

Birju ne ek vyan bhari muskan chod di,'' paataoge toh tab na jab wo akele dikhengi kahin. Karan bata raha tha, aapke uss mote sasur ne kissi murge ko bhabhi ka bodyguard bana diya hai jo aab unke saath subha saam jokh ki tarah chipka rahega. Aur wo banda ek doctor hai, jisse aapke sasur ji aapki shayad kabhi ho jaaye biwi ki shadi karwana chahte hai''bade aaram se Birju ne saari baat bata di, Vineet soch mei doob gaya uski baat sunke.

''Sasur jii ne itni badi chal chali, meri haseena ki shadi kissi aur se karna ka socha bhi kaise unhone ye jaante hue ki uss phool ka bhawra aur maali dono main hoon. Lagta hai sasur jii ko aab aache se samjhana padega''apni shaitani buddi chalate hue Vineet ne Birju ke dukaan ke counter pe rakha cigarette utha liya.

Birju ne jhat se cigarette Vineet ke muh se khich liya,''Babu ji gin ke gaye hai aaye aur cigarette kam aur paise bhi kam dikhe toh khal noch denge wo meri.'' Cigarette wapas packet mei rakhta hua Birju darte darte bola.

Vineet ne Birju ke haath se packet chin liya aur Cigarette fir nikal liya,'' arey paise dunga main free mei nahi le raha hoon'' itna kehte hue Vineet ne Cigarette jala li.

''Ye toh bata Karan kahan hai?'' Dhuye chodte hue Vineet ne pucha.

''Wo apne ghar gaye, uski maa ka phone aaya tha. Aata hi hoga kuch der mei'' Ye kehte hue Birju Dukaan ke andar chala gaya kyunki ek grahak aa pahucha hai Dukaan pe aur usne kuch manga Birju se jo andar rakha hua tha.

Vineet bade aaram se cigarette ke dhuye chod raha tha aur wo aadmi jo saman lene aaya tha Vineet ko ghurre jaa raha tha. Pehle toh Vineet chup raha lekin jab uss aadmi ne ghoorna band nahi kiya toh ne usse ghoorte hue pucha.

''Abey, ghoor kya raha hai bey apni behen ki shadi karaani hai kya mujh se'' muh banate hue Vineet ne pucha. 

Bande ne Vineet ko upar se niche tak dekha, bikhre baal, upar baniyan aur niche half pant pehne cigarette peeta hua baitha hua hai.

''Sharma ji ke bete ho na tum?'' Uss aadmi ne pucha.

Vineet ne apni ucchka ke bande ko dekha,''haan wo mere papa hai, tujhe kya uss se. Main koi bhi hoon, tu apna kaam kar, rashan paani kharid aur nikal. Jyada CID banne ki koshish na kar'' ye kehte hue uss bande ko jhat se ek chatta maar diya Vineet ne.

Bechara gaal pakad kone mei sarak gaya, Birju bhi aa gaya tab tak saman leke. Bande ne jhat phat paise diye aur bhaga wahan se, Birju ko atpata sa laga. Usne Vineet ki aur dekha.

''Ye aise kyun bhag gaya?'' Birju ne pucha.

''CID wala baan raha tha toh uski hoshiyaari yahin jhad di issliye bhag gaya'' garv se Vineet ne jawab diya. Birju samajh gaya jaroor Vineet ne usse peeta hai, usne ek gehri sans chodi.

''Kissi din aap mera ye dukaan band karwa doge fir mujhe gali ke nukkar pe baith ke bhikh mangna padega aur Babuji ke darr se toh koi mujhe wo bhi na dekha'' apni chinta vyakt karte hue Birju bola. 

Vineet ki hansi chut gayi uski baat pe,'' fikar na kar wo din na aayega'' vishwas se Vineet ne jawab diya aur fir apne phobe mei kuch dekhne laga. Birju bhi bhavishya ki chinta chod Vineet sang phone dekhne laga.

…..

To be continued..

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro