4~Recovery

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng


Prachi and Ranbir met the next day but in a park.

Pr~itne baray sach ke saath aap jeete kaise ho? Kaise aap kisi ko khud ko itni hadh tak use karne de sakte ho?

Rn~majboori, jo ke aap bhi achhi tarah samajhti ho.

There was a slight pause in their conversation.

Pr~meri majboori Siya ki bemari hai, ab toh wo almost theek ho chuki hai, haan lekin phir bhi living ke liye paise toh chahiye he na. Aap ke papa jab theek ho jaein toh... aap Kaya ko divorce de dena, aur ek new life shuru karna, jis mein aap aur aap ka bacha ho

He looked at her and they gazed at each other.

Rn~aur... tum?

Pr~main kya?

Rn~tum nahi ho gi?

Pr~main kiun houn gi? Main samjhi nahi

Rn~bachay ko maa aur baap dono ki zaroorat hoti hai, mere khyaal se usay tum se achhi maa nahi mil sakti

Pr~maine us bachay ko sirf apne shareer mein jagah di hai apne dil mein nahi. Maine toh contract sign kiya hai na ke jaise he wo bacha paida ho ga, main usay us ke asli maa baap ko saunp kar apne paise le kar chali jaun gi us se koi taaluk nahi rakhoon gi

Rn~toh jala doon ga wo papers. Bhaar mein gaya contract, Kaya ko us bachay se koi lena dena nahi, at least tum us se munh mat moro. Prachi usay feel karo, us ki har movement ko feel karo, wo nanhee si jaan tumhare garbh mein pal rahi hai, waise bhi main us se ye baat nahi chhupa paun ga, ke us ki maa tum ho

She looked away and stood up beginning to leave. He came and blocked her way.

Pr~kya hua?

Rn~accept kar lo usay?

Pr~mera aur aap ka kya rishta hai? Dosti ka bas sirf? Hum dono koi premi premika toh hain nahi, phir kis hak se aap ne mujhe is ki maa kaha? Meri zimmedari bas sirf itni hai ke main isay janam doon aur aap ko saunp doon is se agay aur koi zimmedari nahi meri, baaki zimmedari mere parivaar ki hai mujh pe. Waise bhi aap ki shahdi abhi tooti nahi hai Kaya ma'am se, jab toote na tab bolna

She left.

After some months, Ranbir's father also became fine. Ranbir and Prachi met in the office, he was distributing sweets everywhere due to his father's recovery and he fed her a sweet as well.

Pr~thanks. I hope jald he is baat ki bhi mithaai baanti jaaye ke Kaya ma'am se chhutkara mil gaya. Ab toh divorce le lena chahiye na? Ab toh koi matlab nahi us se?

Rn~main bhi yahi soch raha tha, us ko main apni life se aise bahar nikaalna chahta hoon jaise makhan se baal

They giggled.

Ranbir filed for divorce, as the divorce papers got ready, he gave them to Kaya after signing on them.

K~tum mujh se alag hona chahte ho? Bhoolo mat mere he kaaran tumhare papa theek huay, Prachi ki behen ki treatment ho paai

Rn~aur tumhare he kaaran meri itni life waste hui, ab main apne bachay ko aisi maa nahi dena chahta jo us ki bhi life pe dhabba ban jaaye gi.

He gritted her teeth.

K~aur us Prachi ko us ki maa banao gay?

Rn~haan banaun ga kiun ke wo tum se har aspect mejn better hai

K~aur us ke pyaar se tumhara bank balance bhar jaaye ga kya?

Rn~hum dono saath kaam kar ke ameer ho jayengay

K~achha? Phir toh mujhe mere saare paise return kar dena, hmm? Prachi ki behen ke treatment ke bhi paise, aur tumhare papa ki treatment ke bhi paise

Rn~main kahan se laaun itne paise achanak?

K~toh ameer hone ka wait karo tab dena divorce mujhe, jab mujhe mere paise return hongay tabhi tumhe divorce doon gi, aur wo bacha, wo toh tum he ko chahiye tha na? Muft mein rakho usay

Rn~tumhe jo kehna hai mujh se kaho mere bachay ke baare mein kuchh mat kaho

K~hmm well good luck gathering money mere khilonay darling

She left making him angry. Then he collided into someone.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro