~•Khoj•~

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Awaaz:- agli subah hum dekhte hai ki shehzadi apni teerandazi ka rehaz kar rahi hoti hai. Ki tabhi unki nazar humare shehzade pe padti hai jo ki priya ko badi pass se pakdi teerandazi sikha rahe hote hai. Unhe dekhke shehzadi ko dil mein kuch chubta hai is vajah se nahi ki shehzada unke nikat hai balki is vajah se ki unhe kuch bura hone ka abhas ho raha tha aur uski vajah unhe Priya hi lag rahi thi.

Awaaz:- apne khayalo ko ek baar ke liye doosri taraf rakhkar woh dubara apne abhyaas ke taraf dhyan deti hai.

As:- kya priya kitni baar sikhaya hai tum phir bhool jati ho

Priya:- ab tum ho sikhane to main kyun yaad rakhun

As:- tumhe to baad mein dekhta hoon

Priya:- kyun abhi apni mangetar ko dekhna hai kya

As(man mein) :- unhe dekhne ke liye humein mauka thodi chahiye.

As:- philhal to tum teer pe dhayan dho nahi to pata chale teer ki jagah ban(bow) fek diya aur teer hath mein reh gaya.

Priya:- haan haan😒

Awaaz:- kuch samay paschat shehzadi ko kuch awaaz sunayi deti hai aur woh chaukana ho jati hai. Woh thoda door hat ti hai aur usi jagah se ek teer hawa ko chirta hua nikalta hai. Agar shehzadi na hat ti to woh teer unke sar ke ar paar hota. Tabhi wahan Priya aur anubhav daudke aate hai. Shehzada daudke shehzadi ke hath pakadta hai.

Anubhav:- haseena ji aap theek hai

Hm:- ji

Priya:- maaf karna shehzadi woh humne jan bujh ke nahi kiya galti se hogaya.

Hm:- hmm

Anubhav:- isiliye tumse kaha hai ki agar nahi aata to mat karo par nahi tumhe to apni zid pe rehna ki sikhao mujhe dekh liya na kya ho jana tha abhi.

Hm:- jane dijiye anubhav shant hojayie.

As:- hmm

Hm(shehzade ke kaan mein) :- waise bhi aapke chehre pe gussa nahi muskurahat zyada achi lagti hai

Awaaz:- shehzada unhe chaunk ke dekhta hai aur shehzadi bas unhe ankh marti hai

Awaaz:- dupher ke samay shehzadi apne kaksh mein bistar pe baithi hoti hai aur shehzada unki God mein sar rakhke leta hua hota hai aur shehzadi unke baal sehla rahi hoti hai.

As:- haseena ji

Hm:- boliye

As:- hum aapse bohot prem karte hai.

Hm:- hum bhi aapse bohot mohabbat karte hai. Par aaj achanak itna pyaar kaise.

As:- pyaar to aap par humesha aata hai bas chehtane ke mauke bohot kam milte hai.

Hm:- acha ji

As;- bilkul ji

Hm:- kuch hi dinon mein humari sagai hai

As:- hmm.

Awaaz:- shehzada uthakar shehzadi ke bagal mein baith jata hai aur unka hath pakad leta hai.

As:- haseena ji hum vada karte hai ki sansaar ki saari khushiyaan hum aapke kadmon mein laake rakh deinge. Har roz aapko pichle din se adhik pyaar karenge.

Awaaz:- shehzadi muskurati hai aur shehzade ko gale laga leti hai.tabhi khidki se ek teer aata hai jo ki shehzadi ko lagne hi wala hota hai ki shehzada unhe apni taraf khich leta hai.

As:- sipaahiyon jake dekho kaun hai woh gustakh!!

Awaaz:- dono teer ki taraf dekhte hai to teer pe ek chithi lagi hoti hai. Shehzadi use kholke dekhti hai to uspe likha hota hai

"Tumhari maut nazdeek hai haseena"

Hm:- kaun hai jo yeh badha sa mazak kar raha hai.

As:- jo bhi hai ab woh humare hathon bachega nahi!!

Awaaz:- shehzadi bina kisi chinta ke khushi vale chehre ke sath baith jati hai. Shehzada unke samne khada hota hai

As:- oh devi ji janlewa humla hua hai aapke upar aur aapko koi chinta hi nahi hai.

Hm:- bilkul nhi hai😗

As:- aur iski vajah jan sakte hai hum?

Hm(shehzade ka hath pakadke):- jab humare hone waale shauhar aur rakshak humare sath hai to humein darne ya chinta karne ki kya zarurat.

Awaaz:- shehzada shehzadi ka matha chum leta hai.

As:- hum aapke sath humesha hai haseena ji

Hm:- bas phir humein kisi baat ki chinta nahi😉

Awaaz:- kuch ghante paschat shehzada us insaan ko dhoondhne mein laga hota hai jisne shehzadi pe humla kiya tha. Aur idhar meena aur shehzadi baatein kar rahe hote hai.

Meena:- kya lagta hai Kisne humla karaya tumhare upar.

Hm:- hai ek jispe shaq hai humein

Meena:- kaun?

Hm:- Priya!

Meena:- woh shehzade ki dost

Hm:- haan jabse woh aayi hai tabse kuch ajeeb sa lag raha hai humein

Meena:- to is baare me shehzade se baat karke dekho

Hm:- Meena Priya unki ghanishth saheli hai aaise acha thodi lagega ki hum bina kisi thos saboot ke shehzade ke samne Priya ke baare me aaise bolein

Meena:- sochlo hum to kehte hai baat karlo kyunki koi bhi kehdega ki shehzade ko Priya se zyada tumhare upar vishwas hai.

Hm:- hmm dekhte hai is baare mein

Awaaz:- aur idhar

Priya:- anubhav!

As:- Priya abhi nahi, abhi humein kaam hai.

Priya:- jab dekho kaam mein ghuse rehte ho aaisa kya kaam hai abhi

As:- haseena ji ke upar janlewa humla hua hai usi humlavaar ko dhoondhna hai

Priya:- to yeh kaam to sipaahi bhi kardenge na tum kyun kar rahe ho. Tum chalo mere sath jab dekho haseena haseena is dost ko bhool hi gaye ho tum

As:- acha theek hai par sirf thodi der ke liye

Priya:- haan chalega

Awaaz:- Priya yahan anubhav ko apne sath vyast kar leti hai par shehzadi ke kaksh mein shehzadi uthakar shehzade ke pass aane hi wali hoti hai ki woh chakkar khake gir jati hai

Meena:- haseena!!

Meena:- haseena utho kya hogaya tumhe

Awaaz:- Meena dasiyon ki madad se haseena ko bistar pe letati hai aur shahi hakima ko bulaya jata hai.

Hakima:- dekhiye kisine shehzadi ko kam matra mein kam asar wala zehar diya hai jisese yeh behosh hogayi hai.

Meena:- kya!! Koi khatre ki baat to nahi na

Hakima:- philhal to rhne kuch der mein hosh aa jayega. Hosh mein aane ke baad ehne yeh aushadhiyaan dedijiyega.

Awaaz:- kuch der baad shehzadi ko hosh aata hai.

Meena:- haseena tum theek ho

Hm:- haan bas sar bhari lag raha hai

Meena:- tumhe kam matra mein zehar diya gaya tha.

Hm:- kya!! Par kisne

Meena:- pata nhi. Ammi abbu aur parvez aur parvita ji bhi aaye the par tumhe tab hosh nahi tha.

Hm:- shehzada nahi aya?

Meena :- nahi

Hm:- hmm

Awaaz:- idhar Priya ne poora intezam kar rakha hota hai ki shehzade tak yeh khabar na pohnche. Woh na to kisi ko unke pass aane de rahi thi na shehzade ko kahin aur jane. Par bhagwaan ki dya shehzade ko do sipaahi baatein karte sun jate hai

Sipahi 1:- shehzadi ki halat kaisi hai ab

Sipaahi 2 :- behtar hai shukar hai ki zehar zyada shaktishali nahi tha

As:- kya!! Haseena ji ko zehar diya gaya tha

Sipahi 2:- ji shehzade

Awaaz:- shehzada haseena ke pass jane wala hota hai ki Priya use rokti hai

Priya:- ruko anubhav

As:- nahi Priya abhi nahi humare liye haseena ji zyada zaroori hai.

Awaaz:- shehzadi ankhein band karke leti hoti hai ki unhe ek hath unke baal sehlata mehsoos hota hai. Woh apni ankhein kholti hai aur dekhti hai ki shehzada unke bagal mein baitha unke baal sehla raha hai.

As:- ab kaisi tabiyat hai aapki

Hm:- behtar hai

As:- maaf kijiyega haseena ji hum pehle nahi aa paye

Hm:- koi baat nhi.

Hm:- anubhav ji

As:- ji

Hm:- humein aapse kuch baat karni hai

As:- kahiye

Hm:-.....

Lekhika:- isi prakaar is adhyay ka ant ab dekhte hai ki kya anubhav haseena ki baat pe vishwas karega?

Aur ek suchna agla adhyay is pustak ka akhri adhyay hoga uske baad hum chalenge ek naye safar pe

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro