Arrange Love |1|

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Goenka house:

Kartik and Suwarna were talking on a topic, actually  bickering.

Kartik : (annoyed) but Mom!

Suwarna : Kartik please maine kaha na. dekho beta Sara or uski family ne khud mana kiya hai toh ab hum kia kar sakte hain.

Kartik : lekin itni jaldi dubara engagement or shadi.

Suwarna : toh kia hua Sara bhi toh kr rhi haina. toh tumhare liye konsi ladkiyo ki kami hai.

Kartik : (perplexed) Mom kia ab is waja se hum aik ladki ki life kharab karen gay kr hum uss Sara ko proof kr saken.

Suwarna : nhi aisa nhi hai Naira ko toh main hamesha se bohat pasand karti thi or tumhari dulhaniya banana chahti thi but tumne kaha ke tum Sara ko... acha khair chodo ye sab ab hum sirf Naira kr baare mai hi baat kare gay.

Kartik : Mom ap kyun mujhe force kar rhi hain main-

Suwarna : Kartik beta dekho tumhare dad Singhaniyas ko han kar chuke hain or unke sath hamare bohat purane relations hain. plz ab tum kuch aisa mat karna.

Kartik : apko pata haina ke main apki or dad ki koi baat nhi taalta.

Suwarna : toh phir kia problem hai. aise zid kyun kr rahe hu?

Kartik : abhi hum aik dusre ko jaante tak nhi or ap itni jaldi shadi ki baat kr rahi hain.

Suwarna : toh kia ho gya beta mil lena or jaan bhi lena aik dusre ko tum aik do baar mile the usse bachpan me (grins) bohat piyari bachi hai vo bohat hi piyari.

Kartik : (sighs) piyari toh apko Sara bhi bohat lagti thi.

Suwarna : wo tumko achi lagti thi mujhe nhi bas tumhari pasand ki maine apni pasand bana liya. Kartik plz Sara ka chapter ab khatam ho gya hai. Naira ko tum uss Sara ke sath compare nhi kar sakte.

Kartik : lekin abhi time hi kitna hua hai meri engagement khatm hue or ap ab meri Naira se baat chala rahi hain.

Suwarna : Mr. Singhaniya toh bohat ache hain kitni achi family hai tum bohat chotte the jab unki or tumhare dad ki friendship hui thi. infact tum khud kehte hu ke wo bohat achi family hai.

Kartik : Mom baat vo nhi hai problem sirf ye hai ke abhi mai iss trauma se bahir nhi nikla or ap meri phirse shadi ke baat kar rhi hain.

Suwarna : toh bahir niklo in sab se or han iss weekend pe mummy ji ne Singhaniyas ko dinner pe bulaya hai Naira bhi ayegi tum usse se mil lena or phir jaan lena.

Kartik sighs in defeat.

Kartik : baat karu ya na karu iss se kia faraq padta hai ap log toh already han kar chuke hain.

Suwarna : toh phir tum hi bata do kia tumhe koi or ladki achi lagti hai .

Kartik : ofcourse it's a no. bhala itni jaldi mujhe koi kaise pasand aa sakti hai. or maine kaha na ye baat nhi hai. ap log meri kia se bhi shadi karwaye gay main mana nhi karunga kyun ke ab apni pasand pe toh mujhe bharosa hi nhi hai.

Suwarna : (cupping his face) thanks beta. don't worry engagement kar lo phir shadi jab tum kaho gay tab hi hogi.

Kartik : (smiles) ab thanks kyun bol rahi hain. ye toh haq hai apka.

Suwarna :( smiling)  ye hui na baat. ye mere bete ki genuine smile hai.

They both chuckles.

_______

Precap: Kaira's first meet.. wedding but!!

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro