29.🖤

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Shravani was sitting holding her head when Ritik came.

Ritik: Kya zarurat thi bechari Crystal pe itna chillane ki? Aur kya galat bola usne? Ye jo dusre kamre(room) mein so raha vo asal mein Mihir nahi Mahir hai. Aur tu Bela. Mahir ki memory loss ki wagah se ye sab natak ho raha hai.

Shravani: Ritik ab tu shuru mat ho jaa. Vaise hi mera ser ghuma hua hai iss time. Aur Bela mat bula. Shravani bula... Main Shravani hu iss time.

Ritik: Acha thek hai.. thek hai... Nahi bol raha. Main Mahi ko ghumane le jata hu. Vo Mihir uthne wala hoga. Mujhe lag raha hai usko shak hai ki raat ko teri video wali baat jhooth thi. Uth ke kahi ghar check na kare. Tujhe pata chahe vo iss time bheegi billi bana hua hai par sher(lion) rehta to sher hi hai.

Shravani: Thek hai le jaa. Par iss baar mat kho dena meri beti ko.

Ritik: Pura dhyan rakhuga aur kal ke liye again sorry.

Shravani: Aisa kar tu isse Sumi maa ke paas le jaa. Par unhe Bela ka address mat batana.
Vo iski dadi hai aur iske paide hone pe hi dekha tha unhone isse. Ye sare natak ke chakkar mein saza Sumi maa aur meri mumma(Dia) ko mil rahi hai. Aur bechari meri choti si bacchi ko bhi sabse alag rehna par raha hai.

Ritik: Thek hai..le jata hu. Ye sote huye kitni pyari lag rahi hai par uth ke royegi to nahi na? Gabbar Singh kaise sambhalta hai Dehradun mein tere peeche?

Shravani: Sambhalna parta tha. Par itni mushkil nahi hoti thi kyuki ye shaitan raat ko jaagti thi aur din mein soti thi. Kar leta tha sab vo. Ab dheere dheere thoda timing set ho raha hai madam ka. Abhi 2 ghante mein uth jayegi ye par ha achanak se dusri jagah dekhegi to ghabra jayegi par Sumi maa sambhal lengi isse aur zyada problem ho to mujhe call kar dena.

Ritik: Thek hai...

Shravani: Iski milk ki bottle aur diapers rakh lena aur 1 extra dress bhi. Apne kapre(clothes) bahut jaldi gande karti hai.

Ritik: Vo to tu iska chota sa diaper aur clothes ka bag har waqt taiyyar rakhti hai na. Vahi le jaunga.

Shravani: Ha vahi le jana. Aur har 30 min mein call karte rehna..video call aur aisa karna iske uthne ke 2-3 ghante mein wapas hi le aana varna mera betu mere bina rota hai.

Ritik: Aur koi aagya mata shree?

Shravani: Ritik! Maarungi main...

Ritik: Okay..okay..fine...

Ritik: Acha thek hai..thek hai... Tu Mihir ka dhyan rakh. Main pahle Bela ke ghar mein call karke sab set kar deta hu ki Ajitab phir se pauch jaye to vaha usse kya karna hai?(usse kise Ritik?)

Shravani: Thek hai... Aur sham ko inner circle ki meeting hogi. Mujhe last 6 months ke recruitments ki list chaiye. Jao ab...

She kissed Mahi's forehead and then Ritik took her out. Then she went to Mihir's room.

Shravani: (lightly shakes Mihir) Ab tak uthe nahi. Utho baby 9:00 baj gaye. Tum to itna latw tak nahi sote.

Mihir: Umm..some do... Raat ko der se neend aai.

Shravani: Aww! New place hai na isliye. So jao thori der aur.

Mihir: (holds her hand) Aap bhi...

Shravani: Okay...

She lie down hugging him and he drifted back to sleep and she got busy with her thoughts.

Her pov:
I love you Mahir and I am sorry tumhe itni pareshani ho rahi hai. But main jaldi hi tumhari memory wapas lane ki try karuri. Step 1 tha tumhare paas aana aur vishwas jeetna aur ab step 2 hoga tumhe purani baate, cheeze yaad dilana. Ab tum yaha ho aur yaha hamari kitni yaade judi hai sath. Yaha itni jagah hai jaha humne sath mein kai pal bitaye hai.

Main jab bhi 6 mahine(months) pahle jo hua tha. It was horrible. Mera sabse bada darr sach hua. Mujhe har waqt darr laga rehta tha ki tum durr na ho jao mujhse. Vahi hua... Tumhara accident. Mahi sirf 2 din ki thi jab vo kharab din aaya hamari zindagi mein. Tumhara accident hua aur vo koi normal accident nahi tha. It was planned atempt to murder. Plan by your major rival Cobras...

Main tumhare accident ka ilzam Ajitab bhai pe dalti hu because aur koi bahana nahi mila uss time mujhe ghar se nikal ke tumhe dhundhne jane ka. Aur ek tarah se vo ilzam jhootha bhi nahi hai. Takkar unki car ne hi mari thi tumhari car ko par unki car ko peeche se kisi aur ne takkar mara aur vo Cobra gang wale the.

Tumhara koi gold consignment aana tha jispe tumhare dushmano ki bhi nazar thi. Vo ye to nahi jante the ki Lion king kon hai aur kis vehicle se travel karega? Par ye jante the vo consignment kaha aana hai aur tum kaha se jaoge? Isliye unhone uss raste pe jane wale har vehicle ko nichana banaya. Aur unfortunately uss road par sirf 2 aur vehicle aaye. Tumhari car ke samne se 1 car aa rahi thi aur peeche se bhai ki.

Chalo samne se koi aa raha tha par sochne wali baat thi bhai tumhare peeche kyu gaye the?

Mujhe yaad hai jab Mahi paida hui thi uss din...

Pov ends...

___________________________________

We will see flashback in upcoming parts.

BB

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro