Sone Sone Pal - SS By AngelAshu (Part-6)

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Hello Everyone..
Kaise ho..?
Hope everyone following rules..
Stay at home.. Be safe..
Pray for everyone..

Toh chale.. #Part6 ki oor..

***

Recap - Swara Ki Insult..


So, Let's Starts Part - 6 Of #SoneSonePal


Palak opens book

***Book Opened***

Swara Writing..

@@@

Ab main kaise batau uss waqt mere dil par kaisa jhatka laga..

Main.. aur.. Kavita..

Usne socha bhi kaise..

Ragini mujhse puchi thi..

Ragini - Yeh kya horahi swara..

Swara - Ragu yaad hai maine tujhe boli thi.. rajat ki friend list se..

Ragini - haa..

Swara - Main jab bhi koi posts karti thi wo like comment kia karti thi yaar.. achi ladki hai wo.. mujhe bahut taareef karti hai.. meri talent ko encourage karti hai.. like a sister..

Ragini - tabhi main boli thi swara.. iss ladke ka koi bharosa nhi.. dekha kaise blame kar raha tha tumko..

Swara - Mujhe ab samajh mein aarahi hai.. kavita meri taareef kia hogi uske saamne.. jal raha hai.. jalke raakh horaha hai ye..

Ragini - Chalo abhi toh isko block karo.. aur wo kavita ko bhi.. papa phone band karme k bola hai...

Swara - Rajat ko toh abhi block kar dungi.. par kavita ki kya kasoor..

Ragini - tumhare marji..

Swara switched off phone..

Swara - ( to god) godji.. ye kya hogayi hai.. ab tak toh mousam itna shaanth thi.. khushi khushi sabkuch ho rahi thi.. suddenly aisa toofaan ka saamna kaise karu main.. ek dum akeli hogayi hoon..

Rajat aakar itna insult kia iss baat se zyada dard mujhe ek aur baat ke liye horahi..

Kud se nafrat horahi..

Kya main apna Mummy Papa ke nazron mein itna bhi nhi hu ki wo mujhe support kare..

Papa toh mera phone band karwaakar mujh mein hi fault show kar rahe hai unko.. jabki mera kasoor hi kya thi..?

Blood Relation ko chahna..? Yhi toh chahti thi ki hum sab bhaie behan saath rahe..?

Yahi meri galti hai na (wiping eyes)

Ab se ye galti kabhi nhi hogi..
Meri blood Relations ki list mein se Rajat mere liye mar chuka hai.. (confidently)

Itne saalon mein main meri Mummy Papa Ki Support bhi nhi kama paayi..
Kaisi Beti hoon main godji..
Maanti hoon meri galti hai.. ( Rajat Se Chatting Karna)

Par Bina Galti Kiye itna kuch ilzaam sahi thi main.. iska punishment toh milna chahiye Rajat ko..

Par.. main nhi doongi.. aapko dena hai godji.. aapko..

Dena hi padega..

Main intzaar kar rahi hoon..

Aapko use punishment dena hi hoga..

Usko sabak sikhaana hi hoga..

Main Intzaar Kar rahi hoon.. (cried eyes)

BG plays..

De re ra ra..
De re ra ra ra re ra ra..
De re ra ra..
De re ra ra ra re ra ra..

De re ra....
De re ra ra ra ra..

De re ra raa re.. raa re.. raaa...

(Swasan Sad BG)

Agle din Shomi Got a call..

( From That place where Swara went for utsav)

Shomi - Ji Maasi.. ache se pahunchgayi..

Maasi - mujhe bahut tens hua hai shomi beta.. yaha ki mamla hi kuch aise thi..

Shomi - kya hua maasi.. swara toh kuch bola tak nhi mujhe..

Maasi - bolegi tab na beta.. jab usko pata chalegi..

Shomi - kya hua..

Maasi - teri dewar, teri nanad, Rajat kuch baat kar rahe the.. Rajat chilla raha tha.. Teri nanad bhi chup thi.. mujhe itna samajh mein aayi thi ki wo swara ke bare mein baat kar rahe the..

Shomi - kaisi baate..

Maasi - Waise toh Swara yahan bahut achi naam kamai.. yahan sab ki nazron mein wo unchi hai.. yahan ke sab Swara ko bahut taareef karte rehte hai..

Shomi - yeh achi baat hai na maasi..

Maasi - Achi baat hi hai.. nazar lag gayi isse.. Teri devar ke dimag mein kuch galat pak rahi hai swara beti ko niche dikaane ki..

Shomi - yeh kya keh rahi hai aap maasi

Maasi - haan beta.. thoda door rakhna teri sasural walon se Swara ko.. Swara ko bahut achi future hogi..

Shomi - Rajat ki kya maamla hai maasi.. Kya swara ne waha use kuch galat boli..?

Maasi - nhi nhi.. dekho Thaali ek haat se nhi bajti.. hai na..?

Shomi - Ji..

Maasi - Swara bahut achi ladki hai.. Sarwagun Sampann Hai teri betiyaan.. Bilkul Teri chavi hai..

Shomi - acha maasi, rakhti hoon..

Maasi - ji beta, khush raho..

Shomi - ( in mind ) Tumko lagti hai ma main tujhe support nhi kia, teri liye nhi ladi, Swara hope tu samjhe.. main unn logon ki chaya se bhi tum dono ko door rakhna chahti hoon..
Isi liye mujhe Rajat se aisa baat karni padi.. Sorry beta..

2 din baad..

Shomi - Swara beta.. Teri papa se baat kia maine..phone use karne ki permission dia hai..

Swara - mujhe nhi chahiye maa kuch bhi..

Shomi - dekho.. papa agar aisa na kia hota toh wo log tujh par aur ilzaam lagaate hai..

Swara - phir bhi maa.. main khud ki nazron mein hi gir gayi.. ab dusron ki kya soche..

Shomi - kyu aisa..

Swara - 18 saalon mein mummy papa ke nazron mein itna bhi jagah kamaa na pai..? Ki mujhe dusron ki saamne unki support mil sake..

Aajkal ki dunia mein toh bacche ki galti ko bhi Support kar rahe hai parents..

Meri galti hi kya thi maa..? Mujhe meri parents ki support nhi mili..

Shomi - tum galat samajh rahi ho beta..

Swara - mujhe koi baat nhi karni maa iss topic pe..

@@@

Swara - (her self)

Kismat ki Tragedy mein main shikhaar ban gayi thi..

Wo din toh sach mein Horrible thi..

@@@

Ek Hasne wali baat batau..?

Meri koi AIM hi nhi thi..
Kuch banna chahti thi par.. wo kuch kya thi khud maloom nhi thi..

Haha.. daily drama thi meri life.. kab kya tamasha hojayegi maloom nhi..

But finally mujhe kuch chezon pe interest lagne lagi..

Tab main chahti thi ki main INTERIOR DESIGNER banungi..

Kyu ki mujhe design karna.. organization karna bahut acha lagti thi..

Ye wish... Wish jaisa hi reh gayi..

Baad mein main chahti thi LAWYER banungi..

Haha.. lawyer aur main..

Hasi aarahi hai na..

Chalo chalo band karo apni hasi..

Order.. order.. order..

Meri studies suitable nhi thi toh..

Yeh wish bhi.. wish jaisa hi reh gayi..

Aur phir ek wish thi.. use hi apna AIM bna li..

Wo hai.. P.hD, Yes P.hD

I donno ye Meri dimag mein kaise aayi yhi..

But bahut strongly bait gayi..

Aur aaj main apni Manjil ki bahut paas hoon..

Main bina MBBS pade Dr banjaungi..

Haha.. injection wali nhi..

Mujhe apni name k pehle Doctorate

(Dr) chahiye.. jo mujhe P.hD se milegi...

Main banungi bahut jald..

Dr.Swara...

yahi wish ab aise badal gayi

Dr.SwaraSanskarMaheshwari

Yahi meri AIM hai.. yess..
Bahut jaldi haasil karungi..

Bahut kaanton pe chalte aayi Hoon..
Ab phool lena toh meri haq hai..

Pata hai uske baad kya hua

Swara - Ragini.. main apna studies pe focus karna chahti hoon..

Ragini - bahut achi baat hai swara.. mujhe guide karne wale koi nhi tha.. par jitna meri experience hai life mein i will try my best to guide u..

Swara - (in mind)

Main Intermediate exams fail hui thi..

Par Rajat and Ye Log hota koun hai mujhe haraane wala..

Inke baare mein soch kar apna life apna career kyu barbaad karu..

Ab aisa nhi hoga.. bilkul nhi..

Ab main ye koshish nhi karungi ki Meri upar lagayi hui ye ilzam ko wo wapas le le..

Main ye koshish karungi ki.. aage se Meri taraf dekhne k liye bhi khud ko wo kamm samajhe..

Aisi position mein rehna hai mujhe..

Swara - ragu.. main exams dena chahti hoon phir se..

Ragini - haan swara (hugs her) tum bahut achi result paogi dekhna.. bas man lagaa le apni..

Shomi listens from back and felt happy..

Swara did hard work..

Ragini helps her..

Meanwhile swara applied for Re-exam (Supplementary)

Swara - (while reading) Goddd.. meri mann kyyu nahi lag rahi..

Wohi log wohi dhoka wohi ilzaam baar baar kyu yaad aarahi mujhe..

No swara.. teri koi galti nhi hai.. tujhe dekhkar jal rahe rahi log.. jalne do.. aur jalne do.. jalao poori tarah se unhe.. focus.. focus..

Ragini - well done swara.. tum toh bahut achi se practice kar rahi ho exam ke liye.. exam ki dates aachuki hai.. college se call aayi..

@@@

Pata hai mujhe kuch bhi chahiye toh raat ko sone se pehle ek chitti pe likh kar..

God se pray karke wo chitti Pillow ke niche chupaati thi..

Aur wo sab god ne mujhe bless kia..
Really.. thatz why i trust god more and more...

Usi din bhi likhi thi..

@@@

Swara - (writing on paper)

Godji.. dekho na.. main kitna hard work kar rahi hoon.. kya meri jeet ke liye ye kaafi nhi hai..? Agar meri jeet ke liye aur mehnat ki zaroorat ho toh shakti dijiye mujhe.. main karoongi aur mehnat.. par mujhe ab nhi haarna.. nhi haarna.. mujh se mehnat karwaakar.. mujhe jeet de dijiye..

Pillow ki niche chupaakar sogayi thi..

Finally exams de dia..

Some days passed..

One day..

Ragini - swara... Swara....

Swara - Kya hua ragu...

Ragini - tumhari result aagayi..

Swara - (hopefully) ohhh..

Ragini - tum sabhi subjects mein pass hogayi...

Swara - (felt 7th cloud) kyaaaaa...

Ragini - yes..yess.. yes...

All felt happy...

@@@

Wo jeet ki taraf meri pehli kadam thi..

Jismein meri kismat bhi meri saath thi..

Tab meri dusri subject mein already Graduation certificate thi..

Toh socha Postgraduation kar lu..

Par.. papa.. nhi maana...

@@@

Shomi - papa toh bilkul nhi maanega swara.. bahut fee hogi na.. PG koi mamooli baat nhi..

Swara - ab kya karu maa.. ghar baite sabki taane sunu?

Ragini - swara.. ek kaam karo..

Swara - kya

Ragini - humare aage wali street mein Arpita Madamji hai na... unke paas jayenge aaj.. koi na koi way try karenge..

Swara - okk

Evening time

Swara Ragini went to meet Arpita Madam

SwaraRagini - Good Evening Madam..

Arpita - Aree.. swara.. ragini.. tum dono.. aajao.. aajao..

Swara - Madam aap kuch way hai toh batayiye.. PG karna chahti hoon main.. par Regular ke liye financially tayyar nahi hoon..

Ragini - bahut mehnat se Swara ne Sabhi Exams paas hui Madam.. ab iski career yaha nhi rukhna chahiye..

Arpita - koi baat nhi swara.. mujhe pata hai tum bahut talented ladki ho.. tum kar sakti ho.. main Tumse PG karwaungi.. distance education mein.. mehnat karna toh padegi.. kyu ki mujhe tum paas hona IMP nhi.. achi result bhi laana padegi..

Swara - main din raat ek karke mehnat karoongi Madam.. par fee..

Arpita - Fee bahut kab hogi compared to Regular PG... Aur management mein meri pehchaan wale hai.. tumko extra time bhi denge.. dont worry..

Swara - Madam.. Thank You Sooooooo much.. Par kya main iss PG ke baad P.hD kar sakti hu..?

Arpita - haan kyu nahi.. bilkul kar sakti ho.. tum toh capable bhi ho.. par haan.. ye jo intrest tujh mein aayi hai na.. tujhe teri manjil tak zaroor leke jayegi.. meri kitna saanse bachi hai mujhe pata nhi.. iske andar hi teri kaamyaabi dekhna chahrahi hoon.. ( arpita is 60+)

Swara - aap aisi baat mat kariye madam.. aap ko bahut umar hai.. bahut ache hai aap.. ab toh main aapko Dr.Swara bankar dikhaungi..

Meri kaamyaabi ki steps toh abhi abhi start hui hai..

Swara Ragini Touches Madam's Feet..

Arpita - Khush Raho Bete..tum donon ki future bahut ache hogi..

Swaragini felt happy and left..

@@@

Uss samay raasta milgayi aage badne ki..

Khusi bhi hai.. Gham bhi..

Because.. papa maanega PG ke liye?

Chances toh nhi thi..

Uss din bahut bada drama hogayi ghar mein..

@@@

Shomi - yeh kya baat hui shekhar.. Madamji bade hai.. unki baaton ki kadar karna chahiye na..

Shekhar - Ye donon waha gaye hi kyun..

Swara - papa.. wo madamji call karke bulaya.. humein bhi pata nhi thi..
(acting bahut achi karti hoon main.. haha..lolll..)

Shomi - waha jane ke baad Swara ki exams ke liye pucha tha.. is ki result sunkar bahut acha feel hua tha wo..

Ragini - phir PG karne ki bole the.. humne mana kar diya..

Shekhar - madamji ki baat mana kar dia.. kyuu.. haan.. kyu

( As we all knows about shekhar's Character)

Swara - PG.. papa PG.. koi mamooli baat nhi hai.. bahut karcha hogi.. aao kaise uthayenge itna karcha.. isi liye main boldi..

Shekhar - kya boli..

Swara - ki main interested nhi hoon..

Shekhar - madamji kya bole..

Ragini - unhone toh kaha ki wo aap se baat karegi..

Swara - par humne mana kar dia.. bola papa toh maan jayenge par main nhi padh paungi itna..

Ragini - madamji toh Distance Wali PG ki Bhi suggest kia kyu ki us mein karcha kamm hogi ghar baite padai kar sakte hai.. par ye ladki mana kar dia..

Swara - nhi toh maan jaau kya Ragini.. thoda bahut toh fee hogi na.. humare ghar chalna hi mushkil hai.. kaha se laogi paise..

Shekhar - (thinking)....

Shomi - waise bhi baat hochuka hai na.. ab tum dono ye baat bhul jao.. jao andar jao..

Shekhar - wo jo kam fee wali PG hai na.. ghar baite padne wali.. wo padhle tu swara.. madamji badi hai.. unke baaton ki kadar rakhna chahiye..

Ragini - papa.. fee

Shekhar - main adjust kar lunga..

Swara - par humne toh mana hi kar diye.. (drama queen thi main.. haha)

Shomi - toh kal jaakar bol dena.. papa ki baat taalogi kya..

Ragini- nhi maa aap kaisi baate kar rahi ho..

Shomi - toh papa jaisa bola waisa karlo...

Swaragini went inside..

Swara - yeh mujhe papa se jhoot bolna acha nhi laga mujhe..

Shomi - tum jaakar unhe directly boldegi tog kya papa maanega?

Ragini - aur toh aur.. bolne ki tareeka alag thi swara.. galat toh nhi bola na hum..

Swara - woh toh hai..

@@@

Uhhhh... Uss din papa ke saamne itna drama karna pada.. waise bhi unhi ka khoon jo hai mujh mein.. parvati dadi chacha bua papa.. ek se bade ek hai..

Main bhi toh unse kam nhi.. The Great Drama Queen Swara.. ha.. ha.. ha..

Par haan.. mujh mein Papa ke khoon ke saath Maa ka khoon bhi beh rahi hai na..

Toh limits bhi maloom hai mujhe..

Kisi ko hurt toh nhi kar sakti main unke tarah..

***BOOK CLOSED***

Palak - jaan.. swara toh kitna strong hai.m

Aditi - Sherni hai wo.. sherni..

Palak - haan.. par wo sanskaar se kaise mili..?

Aditi - abhi toh success ki oor step forward ki na.. Ragini ki shadi bhi hona hai.. nahi nhi isse pehle ek shock hogi..

Palak - Shock.. kaisi shock..

Aditi - wo tu padhle..

Palak - good wali ya bad wali..

Aditi - wo padhle sweetie tum..

Palak - ek baat batao.. Rajat ki mumma usko kabhi sikhaya nhi ki ladki ko kaise izzat dena hai..? Ek zor se tappad lagaana chahiye jab ye choti si baat ko keench raha tha..

Aditi- wohi kia toh aaj ye sab nhi hoti na..

Palak - Pinky pinto ko dekho swara ragini se kitna pyaar karte hai..

Aditi - hahahahahaha...

Palak - ab kya hua..

Aditi - aise hasi aagayi sweetie..

Palak - kis baat pe..

Aditi - tu padhle.. padhte huye samaj mein aajayegi..

Palak - hmm..

Episode ends..

***
So, friends..

Bahut boring epi hai Na..
i know
But padhte huye aise lage toh socho.. how Swara felt..
feel that pain..
Be in swara's place and read..

Kabhi kabhi Main Roles Bhi Fail hote hai..
Wo bhi toh insaan hi hai na..

Reality dikhana chahti hoon..

Chalo.. its time to comment..

My dear readers, voters, ek comment please..
Bye

#AngelAshu

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro