14) Kaash

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Kaash main hoti tumhare paas
Jab tumko sabse zyaada chahiye tha mera saath
Kaash main hoti tumhare paas
Jab tumne khoya tha use Jo tha tumhare liye sabse khaas
Kaash ki main hoti tumhe sambhalne ke liye
Kaash main hoti tumhare aasuon ko pochne ke liye
Kaash main hoti tumhare zakhmon pe marham lagane ke liye

Agar main tab hoti
Toh Yun tum mujhse Juda na hote
Agar main tab hoti
Toh tum yun tanha na hote

Kaash main hoti tumhare paas
To kabhi yeh khayal na aata tumhare man mein
Ki tum manhoos ho

Agar main hoti tumhare paas
Tum yun buri sangat mein na padte
Apne andar ki acchi aadaton ko
Yun marne nahi dete

Par ab Jo tum laute ho
Mujhse door jaane na doongi
Bahut tadpaya iss doori ne mujhe
Ab door bhaagne na dungi

Tum kya ho yeh kaise batau
Tum ashubh nahi ,tum toh sabse shubh ho
Tum mere liye ho aur kabhi tumse mujhe haani nahi ho sakti
Ab bas samjhadoon yeh tumhe
Mere paagal, buddhu Sameer!!

A small poem I have written keeping myself in Naina's place about her feelings about Nanajis death and the manhoosiyat track.

Lovingly,
Pratyu

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro