Prologue

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

It was a bright, sunny day. For Nageshwari, who was soon to get married to Hriday, it was just another day to have fun on her wealthy father Viraj's wealth. Her father was more than happy when she was born, he had prayed endlessly for a girl who would be his little jaan just like his wife Janvi was and is his jaan. Viraj and Janvi, both had spoilt her together, but just in spending money, else she was a kind girl. Viraj came out of the washroom after bathing and dried his hair.

V~jaan, (he saw her having tea) aray ye kya? Mere bina chai pi rahi ho?

J~kahan aap ke bagair pi rahi hoon? Ye toh rahi na aap ki chai aap ki bedside table par.

V~haan lekin saath mein peene ka maza he aur hai

J~kya? Chai ya champagne?

They giggled.

V~tumhare saath kuchh bhi peene ka maza he kuchh aur hai, yahan tak ke pani peene se bhi mujhe nasha charh jaata hai

J~achha jee? Subah subah aisi baatein? Mujh se door rehna, aap ki niyat theek nahi lag rahi mujhe

She said as he neared her, he sat in front of her and she backed away from him shyly.

V~ufff, tum patniyo'n ki na sari problem he yahi hai, ke romance ko tharak(lust) samajh lete ho, kya ab main tumhare saath romance bhi nahi kar sakta?

J~kar saktay hain, bilkul kar saktay hain, kiun nahi kar saktay?

V~hmm toh karne do na phir. (he kissed her cheek and she blushed as he kissed the crook of her neck) kaash ke Nageshwari humara romance dekh le aur shahdi ke term se pyaar karne lagay

She chuckled.

J~ye toh bari he impossible si baat hai, wo aur shahdi se pyaar. Itne rishte thukra chuki hai ye keh kar ke "mujhe kisi bhi larkay mein apna baap nazar nahi aya." (Viraj laughed) Ab us ko kahan se us ke baap jaisa pati dhoond kar la doon, batao

V~toh matlab tum maanti ho ke main unique piece hoon?

J~of course maanti hoon. Aur maanti toh wo bhi hai, warna kiun wo har larkay mein aap jaise insaan ko khojti? Waise hairat ki baat hai, humare beech itna pyaar hai jo ke wo humesha se dekhti ayi hai, lekin phir bhi kabhi usay shahdi ke term se pyaar nahi hua

V~lekin wo jo chahti hai wo toh hona chahiye na? If she wants a carbon copy of me, usay toh milni chahiye phir

J~ab photocopy machine mein daal doon kya aap ko ke aap jaisa ek aur aa jaye?

They had a laugh.

V~agar ye ho sakta na toh main ye bhi karta, meri little jaan ko main ye bhi de deta

J~little jaan ab bari ho gayi hai, hum toh us ki shahdi ek achhay khaasay larkay Hriday se karane walay hain, lekin wo hai ke maan'ne ko tayaar nahi

V~lekin Hriday bhi maan'ne ko tayaar nahi na ke humari beti is shahdi ke liye tayaar nahi and that he should leave her alone

J~kabhi na kabhi toh shahdi karni he ho gi na usay? Kab tak rahengay hum is dunia mein?

V~abhi hum boorhay nahi huay, so chill. Achha batao, little jaan uthi ke nahi?

J~kumbhkaran ki beti ko us ki coffee toh de ayi thi lekin wo soti reh gayi

V~aray main kumbhkaran nahi hoon, wo hai. Aur ye kya? Tum ne uthaane ki koshish nahi ki dobara?

J~nahi na, kya karti main?

V~tum rehne do, main utha doon ga

J~aray pehle aap chai pi lijiye apni, nahi toh aap ki chai thandi ho jaye gi

V~us ki coffee bhi thandi ho jaaye gi

J~don't worry, cold coffee hai

V~phir theek hai

He drank his tea and went from there.

Viraj entered Nageshwari's room and saw her sleeping peacefully. He sat near her and caressed her hair.

V~little jaan

N~(sleepily) hmm

V~beta uth jao na, kya itna der der tak soti rehti ho bachay

She opened her eyes and looked at the clock on her bedside table.

N~papa, abhi toh bas 7 bajay hain, kaun sa mujhe school jaana hai jo itna jaldi utha rahay hain

V~beta tumhari shahdi hone wali hai, abhi se agar jaldi uthne ki aadat nahi daalo gi toh kaise kaam chalay ga. Aur chalo Hriday se shahdi nahi karni mat karo. Kabhi na kabhi kisi na kisi se toh shahdi ho gi na tumhari?

N~papa, kya subah subah aap bhi? Aap ki aur mumma ki dono ki sui yaheen aa kar atakti hai, shahdi ke term pe, I hate marriage

V~ghar jamai rakhwa doon ga meri maa

N~sach?

She sat up in excitement.

V~koshish karoon ga, (she lied down again) dono tarah se tu bhi khush hum dono bhi khush

N~ghar jamai bhi rakhwao toh shahdi toh shahdi hoti hai na? Same responsibilities, same sab kuchh wahi. Maa baap mein kaisa hausla hota hai ke beti itne pyaar se paalte hain bas isliye ke kisi aur ko usay saunp sakay, (she sat up again and hugged him, he hugged her back) main aap ko ya mumma ko chhor kar jaana nahi chahti

V~meri little jaan, betiyaan paraai hoti hain ye baat sun kar mujhe bhi achha nahi lagta, main ye baat maanta bhi nahi isliye ghar jamai ki baat ki. Achha okay ye sab chhoro, tum uth toh jao na, mumma ne itne pyaar se tumhare liye cold coffee banai hai, wo toh pi lo

N~cold coffee?

V~haan, (he picked the cup from her bedside table and gave it to her but she being cranky didn't want to have it) pi lo na yaar saadha sa doodh thori na de raha hoon, achhi si yummy si thandi thandi coffee de raha hoon

N~mujhe pehle he thand lag rahi hai aur mumma ne cold coffee bana di, subah mein toh hot deni chahiye na papa

V~oops, ye toh blunder ho gaya, kya karein ab? Haan, main pi leta hoon, okay

"Kis ne kaha?" they both looked at the entrance to see Janvi.

J~ye coffee Nageshwari ke liye hai, usi ko peene do na, aray aap ne abhi toh chai pi. (she took the cup from Viraj and made Nageshwari drink it) chalo abhi utho

N~ab aap dono ke kehne se maine coffee pi li na? Ab sone do na

V~aray bhy, kumbhkaran, itna so kar kya karo gi?

J~koi nahi, sone do isay, maine jo pohay banaye hain wo bas hum dono he kha lengay

N~pohay?

J~haan pohay, chalo jao fresh ho kar aao

She got down the bed and went to washroom. Viraj and Janvi had a high five.

 

Nageshwari's phone rang, she picked it up.

Hr~hi Nageshwari

N~come to the point, ye hi hello hota rahay ga

Hr~maine humare liye na ek date plan ki hai

N~aray ye date vate chhoro. Saaf keh do ke tumhe mere Canadian green card ka access chahiye but you know what? Tumhara ye sapna humesha sapna he reh jaye ga.

Call disconnected.

Hr~chahiye toh mujhe green card he. Warna tum mein aisa kya dhara hai, huh.

 

A sound of pot breaking could be heard which was broken deliberately to count the money inside. He picked the money counting them.

"60,000, bas sirf itnay? Itne mein kya ho ga? Aakesh tujhe apni khud ki travel agency kholni hai, bohat sari gaariyaan khareedni hai, ameer hona hai. Aur tu kar kya raha hai? (he stood up looking at himself in the mirror with the money in his hands) us Viraj Dobriyal ke liye rickshaw driver ban ke baitha hua hai."

 

Aakesh went out of his house and saved the money under his rickshaw seat.

Aa~ab wahan jao us Dobriyal jee ke ghar aur un ki bakwas suno, pehle usay office drop karo, phir un ki wife ko market aur un ki ziddi beti ko mall, roz ka drama, huh.

 

He sat inside and rode off to Dobriyal house, picked Viraj and Janvi, dropping them off to the said locations and then picked Nageshwari to drop her off to the mall, he stopped the auto near a footpath and she stepped down paying him money.

N~achhi tarah jaanti hoon aap ke khwaab ke baare mein, saving money and all, lekin halal ki kamaai hona he aaj kal ke zamane mein bohat bari baat hai

Aa~achha? Aap ke munh se ye baat sun kar hairat ho rahi hai. Aap jo ke sahab ke paise pe itna aish karti hain, laga nahi tha kabhi aap aisa bolengi

N~aap ka na lagna aur mera bol dena isi baat ka sanket hai ke kuchh cheezein unexpectedly hoti hain, aap ka khwaab bhi usi tarah unexpectedly poora ho ga

She left. Aakesh smiled hopefully.

 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro